par kuch bate hoti to pata chalta ki aise achanak thappad kyu mara
par acha hua ki main vaha nahi ruka varna bat aur badh jati
par thappad kyu mara tha
main sochne laga tha ki muze samaj me aa gaya
main reshmo ki bat kar raha tha apne dodt se aur reahma ko laga ki uski bat kar raha hu
to ye bat hai , sab galatfaymi se hua hai
par reshma jab lift me aayi
shayad mainussko ladke ki maa samaj raha tha wo reshma thi , ladka to pahale utar gaya aur muze laga ki lift khali hai
dost ke sath bat karte huye itna kho gaya ki kuch yaad hi nahi raha
muze reshma se bat karni hongi
par ab ager uske samne bhi gaya to wo kya kya kahengi kya karengi soch bhi nahi sakta
main ne kitna kuch bola dost se , aise me reshma ka thappad marna sahi tha
uski jaga kohi aur hoti to wo bhi thappad marti
ab to main yaha raha to bina vaja khachra ho jayenga , yaha ki bat office pir mere ghar bhi ja sakti hai
muze yaha se dusari jaga shift hona honga varna gand lag jayengi
reshma ke samne aate wo to meri jaan le lengi
reshma ager socity ke secretary ko thappad maarne se nahi dar sakti to main kya chiz hu
main secretary se bat karta hu , dekta hu unse bat karke ki dusari wung me kohi apartment khali ho to mere liye bat kare
ab to reshma dur dur tak muze nahi mil sakti
wo raat to aaram se nikal gayi
dusari din main ne secretary se bat ki to usne kaha ki yaha to kohi apartment nahi milenga ,
office vale bhi kah rahe the dusari jaga jane ki vaha kya hai
aise me muze vahi rahna padenga ek saal
pata nahi ab kya honga
meri padosan ke sath main kya kya karunga ye scha tha
kitne rangin sapne deke the
aur ab to uske samne jate mera kachra ho jayenga
main ab sidiyo se hi apne apartmemt me jane laga
kyu ki ab mera dimag chal hi nahi raha tha
is bich mr gupta jo mere samne vale apartment me rahte hai unno muze dinner ke liye bhulaya
unke shadi ki salgira thi
wo har saal unke flour ke padosi ko bhulate hai
ab to bas main aur reshma hi the
to unno muze invite kiya , muze samaj me aaya ki vaha reshma bhi hongi to main jane vala nahi tha
bas unko haa bol diya
lekin sham tak main bhul hi gaya aur sida apaetment me aaya , pahale socha tha ki sham ko der se apartmemt me jaunga jis se mr gupta ke ghar jana nahi padenga
lekin pir se galti ho gayi ,jaise main apne room ka door kholne laga to mr gupta ne aawz di aur jaldi aane ko kaha
ab to buri tara se fas gaya
ab to jana hi honga
main fresh hoker mr gupta ke ghar gaya to vaha reshma nahi thi
reshma ko na dek kar main relax ho gaya
main ne mr mrs gupta ko wish kiya
pir dinner suru hua
jaise dinner lag gaya to reshma bhi aa gayi
bas isi ki kami thi
main chup chap vaise baita raha
reshma ne bhi unko wish kiya aur dinner table par aa gayi
jaise uski najar muzpar padi to usko guass aa gaya
par wo mr mrs gupta ke samne scene create nahi karna chahti thi
hamara dinner suru ho gaya
mr gupta- reshma beti tum isko janti ho
reshma- nahi , khon hai
mrs gupta- ye rumare pados me hi to rahta hai , Avi naam hai iska
Avi-namste
reshma ne gur kar deka jaise muze khacha kha jayengi
mr gupta- Avi tum ko yaha kohi janta hi nahi , tume kya logo se milna pasand nahi hai
Avi- aisi kohi bat nahi hai , wo kya haina main pahali bar apni family se dur rah raha hu ,
mrs gupta- to kya hua
Avi- to main ne yaha aane se pahale socha ki ek saal yaha rahunga pir vapas chala jaunga kyu ki main apni family ke bina nahi rah paata
mr gupta- tum vapas jane vale ho kyu ye jaga pasand nahi aayi
Avi- yaha to sab acha hai par main yaha tik nahi paunga , aur meri family shahar me to main yaha nahi rah sakta
mr gupta-kyu kya hua , kisi ne kuch kaha tume ,
mrs gupta- tum to kisi se bat bhi nahi karte , apne hi duniya me khoye rahte ho aise me kya hua
Avi- galatfaymi
reshma ne meri taraf deka
mr gupta- kaisi galatfaymi
Avi- lambhi kahani hai pir kisi din bataunga vaise aap ki shadi to lambhi chal rahi hai bahot pyar honga aap dono me
mr gupta- hamara pyar hi to hame sath rak paya hai
mrs gupta- bacho ne kaha ki unke pass aa jau par ham dono sath rahna chahte hai
Avi- shadi ke bad se hi aap sath ho
mr gupta- haa , ek din bhi main apni biwi se dur nahi raha
ye bat sunte reshma ko apne pati ki yaad aa gayi
wo shadi ke bad bhi akeli hai
Avi- main bhi jaldi shadi karne vala hu
mts gupta- ye to achi bat hai
mr gupta- to is liye vapas apne shahar jana chahte ho
Avi- haa ,
mrs gupta-ladki deki hai
Avi- haa ,meri girlfriend se shadi karne vala hu
mr gupta- kya naam hai uska
Avi- muze na do ladki pasand hai , bas meri maa jisko final karengi us se shadi hongi
mr gupta- 2 girlfriend hai
Avi- pahale to ek hi thi lekin mumbai me aate dusari ban gayi , ab confuse hu
mrs gupta- tum kis se pyar karte ho
Avi- mala se , 4 saal se us se pyar kar raha hu
mr gupta- aur dusari
Avi- abi 3 mahine mili hai , reshmo naam hai
apna naam sunte reshma ne khana khana rok diya
mrs gupta- reshma to shadi suda hai , haina reshma
Avi- inka naam.bhi reshma hai
mr gupta- matlab kohi aur reshma hai hame laga ki hamari reshma ki bat kar rahe ho
aur dono hasne lage
Avi-reahma naam bahot common hai jis se har jaga reshma naam sunne ko milta hau , jis se galatfaymi bahot ho jati hai , main to mere office ki reshmo ki bat kar raha hu , mere office me kaam karti hai , achi ladki hai , kuch mahino me hi mere karib aa gayi
mrs gupta- muzse pucho to tume mala se shadi karni chaiye
Avi- main bhi yahi soch raha hu ,
mr gupta- mala tik rahengi ,
Avi- ye to meri maa hi faisala karengi ,
mr guota- aajkal ke ladke to maa baap ki bat nahi sunte par tum vaise nahi ho , tumse milke acha laga
mrs gupta- ache ladke ho tum , muze to laga ki pata nahi khon yaha rahne aaya honga lekin tum ache ladke ko apne kaam se kaam rakte ho
Avi- muze bhi logo se milna acha lagta hai par yaha to har kohi ghar ke under hi rahte hai , door band karke jina jaante hai ,jis se kisi se bat hi nahi huyi hai ,
mr gupta-vaise secretary bol raha tha ki tum ye building chhodna chahate ho
Avi- haa , muze aisa lagta hai ki kisi ko mera yaha rahna pasand mahi hai , to main bat badhne se pahale yaha se jana chahata hu , bina vaja mere vajse kisi ko problem ho ye main nahi chahata
mr gupta- kohi pareshni ho to muze batav , main madat kar dunga
Avi- kabhi kabhi kuch bate aisi hoti hai ki jo dikta hai vaisa hota nahi ,
mrs gupta- tumari bate to samaj me nahi aa rahi
mr gupta- reshma beti tum kyu chup chap khana kha rahi ho
reshma- kuch nahi , office se sidha yaha aayi to thodi thaki huyi hai
mrs gupta- beti tu apna bhi khayal raka kar
reshma- muze kya hua hai main tik hu aunty
mr gupta- tumara husband kab aane vala hai
reshma- unko abi time hai , acha ab main chalti hu
mrs gupta- itni jaldi kya hai , kabhi to hamare sath bhi baite kar bate kiya karo
reshma- ji
aur reshma mrs gupta se bate karne lagi
aur main mr gupta se bat karne laga
chalo acha hua jo reshma ko indirectly bat bata di
ab kahi jake wo meri bat pe kuch sochengi
usko ye bhi pata chala ki main yaha se vapas jane vala hu
aur sirf uska naam hi reshma nahi dusaro ka bhi naam reshmo hota hai