25-02-2018, 06:20 PM
Mein uttar bharat ke ek brahman pariwar se talluk rakhta hun. Meri do bahine aur ek bhai hai. Apne bhai bahino mein mai sabse bada hun. Hum charo bhai bahino ki shadi ho chuki hai. Mai apni patni aur 4 varsh ke bete ke sath apne mata pita ke sath hi rehta hun. Mere pitaji ka accha khasa business hai. Humne engineering products ki distributorship le rakhi hai aur hum dono baap bete milkar karobar chalate hain. Karobar se accha paisa aa jata hai. Jo hamare liye paryapt hai. Mera chota bhai apne pariwar ke sath videsh mein rehta hai.
Ye baat december 2009 ki hai, tab uttar bharat mein kadake ki thand pad rahi thi. Un dino jadon mein hamara karobar thoda sust chal raha tha. Isi dauran meri maa ne dakshin bharat mein tirupati aur rameshwaram jane ki iccha jahir ki. 15 january , ko tyohar ke din wo wahan mandir mein darshan karna chah rahi thi. Mere pitaji ki tabiyat theek nahi thi to unhone mujhse maa ke sath jane ko kaha. Mera jane ka man nahi tha to mai talmatol karne laga. Mai thoda parivarik aadmi hun aur parivar se dur yatra karne ka mera man nahi ho raha tha. Lekin maa ne jane ki jid pakad li to mujhe bhi majburan hami bharni padi. Fir ye nirnay liya gaya ki jab mausam thoda theek hoga tab hum dono maa bete jayenge. Meri talmatol dekhkar meri patni mujhe chidati rahi ki tum apne putra hone ka kartavya nahi nibha rahe ho aur tumhe apni maa ko unki icchanusar darshan ke liye le jana chahiye.
Jab mausam thoda theek hua to hamne apne sahar se delhi ke liye train ka safar kiya aur fir delhi airport se dakshin bharat mein madurai ke liye flight pakdi. Wahan se humne ek car book karayi jo puri yatra ke liye humne apne pass rakhi. Dakshin bharat mein mausam accha tha. Hum pehle rameshwaram gaye aur phir wahan se tirupati gaye. Tirupati mein maa ne mujhse sar ke baal safachat karwane ko kaha. Mene bhi is yatra ka anand liya tha to bina kisi lag lapet ke maa ki iccha anusar sar shave karwa liya.
Tirupati darshan ke baad hamari wapsi yatra suru hui. Jo car humne yatra ke suru mein madurai se book karwayi thi , usi se hum bangalore pahunch gaye. Takriban 4:30 pm par hum bangalore pahunche aur sidhe chancery pavilion jo ki mera favourite hotel hai , wahan aa gaye. Lambi dharmik yatra ab sampann ho chuki thi. Room mein aakar nahane ke baad thoda aaram kar liya.