06-01-2018, 07:49 PM
Update 4
Aruv ne ek smoke bomb chhora charon taraph dhuan he dhuan ... Dono hamlawar ne kayi flying bomb chhor diye ... Uss bomb ke baad jab dhuan shant hua ... To unhe 2 gariyn chithron me dikhi .... Sab jeet ka khushi manate huye .... Apne hathon me sarab uthate huye .... "Mar gaye sale"....
Gariyon ke parkhache udd chuke the, par aisa hona he tha isliye dhuan hote he sab parking ki ore bhage, jahan Hasan aur Saurav ne pahle se do gariyan jane ke liye ready kar chuka tha.
Jabtak un hamlawaron ka dhyan maidan me bhagte logon par jata, tabtak uss maidan me kayi jagah duan hone laga tha .... Aur andhere me teer chhor rahe the hamlawar ... Har dhuyen ki jagah par bomb bhut rahe the.
Visphot itna tej tha ki Madan ka to dil dahal gaya tha. Uske badan kanp rahe the....
Bakshi.... Chalo jaldi sab gari me baitho.
Suchitra.... Sir, wo ladki mar gayi...
Bakshi.... Kya ?????
Suchitra.... Haan sir, wo ladki, wo dr jo humare pichhe thi, wo dekhiye .... Ussee
Bakshi.... Ohhh noooo ! Come on hurry up ... Chalo chalo ... Chaloooo
Sab garyon me baithe ... Tay guton me sab nikle .... Ambulence me Hasan ghusa aur pichhe Saurav car lekar nikla... Ab dikh gaye ye log gate se nikalte ... 10 sec lage honge.. Sari gariyan apni top speed me.
Par ye flying bomb ki speed bhi kam nahi thi, kuch he palon me dono gariyon ke chhat par mandrane lage.
Hasan ne apne phone se Saurav se kaha .... Surav abhi.... Dono gariyon ne bilkul pura break ek sath laga diya...
Speed me chal rahi flying bomb kuch dur aage chalti rahi, phir wo wapas mudi....
Hasan.... Saurav aage se tum left aur main right, tumhe pata hai hume kahan milna hai.
Saurav.... Thik hai dost chalo chalen, aaj humare bhagne ka din hai, par ek baar Sahil ko jaag jane do hum inhe aise he bhaga bhaga ke marenge.
Phir Saurav aur Hasan ne alag-alag kisi aur ko call lagaya .....
Saurav.... 5 min me hum tumhare area se honge. Kuch bomb uran tastari humara pichha kar rahi hai, aur us se hume pichha chhurana hai.
Reply..... Kya mast chij apne sath la rahe ho Saurav bhai, aisa to hum filmon me dekhte the, aane do aane do .. Yahan aakar sab bekar ho jayega.
Idhar apne mobile se call lagate huye .... Tum log taiyar to ho na ... Jo photo mms kiya tha us se pichha chhurana hai, Sahil humare sath hai....
Reply.... Aap highway par pahuncho, Sahil bhai ke liye hum jaan laga denge... Par unhe kuch nahi hone denge.
Bakshi.... Kyon be ye tumlogon ka network Bsnl hai kya, connecting people. Sala yahan pure desh me millitary hogi, humari khabar bhi gayi, to bhi ab tak nahi pahunche, aur tum log ke liye madad har 10 min ki duri par khadi rahti hai, pura country he gange me samil ho gaya kya ?
Hasan, Bakshi ki baat ka koi jabaw nahi deta hai. Aur gari ko kabhi fast to kabhi slow me chalate rahta hai. Bomb lagatar phut rahe the, par kisi tarah bachte-bachate sab nikal rahe the.
Kuch dur aage jakar gariyan do alag alag raste par chal di, Saurav left ki ore nikal gaya, thodi dur raftaar me chalne ke baad Saurav ko unke sathi dur najar aane lage ....
Sumit aur Aruv ek dusre ka muh dekhte huye .... "Aakhir ye kar kya rahe hain".....
Saurav tabtak unhe call laga chuka tha .... Humari gari aa rahi hai .... Tum dikh rahe ho.
Udhar se reply ... Dikh raha hai Saurav bhai .. Aur ye bhi dikh raha hai ki chhote chhote alian ship aap ka pichha kar raha hai.
Saurav.... Tum ye do gariyon ke upar bari tin ki hording liye kyon ghum rahe ho.
Reply ... Bas dekhte jao Saurav bhai.... Aap iss hording ke niche se bilkul bich me apni gari lagao... Aur chalte raho...
Do gariyan sadak ke dono ore khadi thi... Uske pichhe dikki ke thik upar lohe ki ek chadar thi jo dono gadiyon ke dayen se bayen connect thi. Ye hording jaisa dikhne wala tin sadak se takriban 5 fit upar thi aur uski unchayi takriban 15 fit hogi.
Saurav ne apni gari us board ke niche se teji se nikala ... Upar aa rahe flying bomb uss chadar se takraye, aur heavy collision ke karan kuch blast huye, kuch ka urna band ho gaya. Lekin ye thode se ho tab na pichha chhore. Ek lot bekar hua to bomb ka dusra jattha aaya.
Saurav.... Pichhe dekho .... Aur bahut se aa rahe hain...
Reply ... Chinta kyon karte ho Saurav bhai ... Aane do ...
Wo najdik aur nadik aate chale gaye .... Flying bomb yahi koi do meter ki duri par hoga tabhi ... Dono gariyon se instruction aaya ... Sabhi break laga kar speed dhimi karo...
Saurav.... Par wo humare left aur right side se aa rahe hain .. Unka pahla target tum ho.
Phir reply mila... Marji hai Saurav bhai aap ki, phir baad me na kahna ki bataya nahi tha.... Itna kah kar ... Dono side ki gariyon ne ek dushreko instruction diya ... Ab ... ..
Aisa kahte he ek high voltage magnetic wave uss chadar par chhora gaya. Iss wave ka samay takriban 2 sec hoga... Ye wave itna tej tha ki garian tak khinch gayi, sare flying bomb ek ssath chipke aur chhute ... Sab itna chhan bhar ka tha ki jab tak wo bomb visphote hoti .. Sari gariyan unbalance condition me he aage badh chuki thi.....
Aruv in logon ka dimag dekh kar, bilkul josh me uske muh se nikla "wahhh" ...... Andhera bhi ho chuka tha aur in logon ka pichha bhi uss bomb se chhut chuka tha ....
Idhar jab Hasan ki gari right li aur kisi tarah bachte bachate chal rahe the, par ye thi to ambulence... Speed aur controle dono car ki tarah nahi thi. Right mudne ke 1/2 km jane ke baad he jab un flying bomb ne ghera, aur Hasan ne break lagaya ... Thik ussi waqt teen bomb visphot huye .. Jisme ek bomb engine par laga.
Aage ke kanch ke chhote chhote tukde sabhi ke badan me chubhe. Aage driving seat par hasan tha aur ek bada kanch ka tukra uske hath me ghus gaya, ek tukda pet me aur pure badan me kanch ke chhote chhote tukre ghus chuka tha. Hasan ussi chhan bhosh ho gaya, gari unbalance ho gayi.
Jaldi se Prakash ne staring sambhali, kanch ke tukre usse bhi chubhe the par kam chubh the. Dr Madan thik driving seat ke pichhe baitha tha isiye wo bach gaya.
Bakshi.... Prakah ek min me phir se bomb yahan tak hogi, ab humara bachna muskil hai.
Praash... Sir, marna yadi aaj kismat me hai to phir koi bacha nahi sakta, aur bachna tay hai to atom bomb bhi gire to bhi bach jayenge.
Abhi dono baat kar rahe the ki samne highway ka ek chauraha tha, jahan container dhone wale char teller khade the, jo pura pack the bas pichhe ka gate khula tha.
Bakshi.... Prakash sayad aaj humare marne ka din nahi. Gari uss truk ke ander daal do.
Truck ke upar se kuch aadmi ishara bhi kar rahe the, gari ander dalne ke liye. Prakash ne top speed laga diya aur jaldi se Ambulence ander dal diya. Truck ka pichhla darwaja band hua aur sab ghayalon par jaise behosi chha gayi ho.
Truck ke ander pahle se kuchh aadmi maujood the, wo ander ambulence me ghuse..... Sare log lagbhag achet awastha me the.
Subah 9am baje ke karib sabki ninden khuli, sabke sarir par pattiyan bandhi thi, aur jitne kanch ke tukre dikhe nikal diya gaya tha. Lekin jab pure sarir me kahankahan tukre ghuse hain ye khud ko tab pata chale jab dard ho, to bhala nikane walon ko kaise pata chalega....
Sabhi jab uthe to kaphi dard me the, halaat sabki kharab thi, sab kal ke huye wardaton ke baad aaram bhi nahi kar paye the, aur jab aankhen khuli to khud ko ghane jungle me paya.
Saurav, uske sath kuch log aur Dr Madan, sabke pass pahunche, thoda nasta karwa kar sabko pain killer injection diya aur, kuch antibiotic khane ke liye...
Bakshi.... Hum kahan hain...
Saurav.... Aap sab surakshit hain, hum Delhi-Agra ke bich ke junlon me hain.
Bakshi.... Sahil kahan hai..
Madan.... Sahil ander kamre me hai, uski sansen ab tak chal rahi hai, par kabtak chalti rahegi pata nahi.
Bakshi.... Uski sansen bas aaj tak ke liye chalao dr, kal hum usse shift kar denge.
Madan kaphi gusse me bolte huye ..... Mar jaye ye, mujhe uss se koi lena dena nahi. Iski wajah se sakron jindgiyan dau par lagi.... Iski wajah se Anu mar gayi, aur aap kahte hain ki isse bachao.
"Aisa kya hai jo sabki jaan dau par laga kar .. Aap sirf iski jaan bacha rahe hain... Mujhe to shaq hai ki kahin aap he to in sab ke leader nahi, jo apne sathi ko bchane aaya hai".
Bakshi.... Ye Delhi sahar hadson ka sahar hai, yahan zindgi hadson ka safar hai, yahan roj-roj har mor-mor hota hai koi na koi ... Hadsaaa .. Hadsaa ... Hadsaaa
Madan badi he ajib najron se Bakshi ko dekh raha tha, Saihil ke bade me ulta bolne ke chakkar me Sahil ke sathi aag babula ho chuke the, aur Madan ko maar dalne ko betab... Aur uspar Bakshi ka karra jabaw sun kar ... Sabhi Madan ka mazak urate huye jor jor se hasne lage....
Bakshi..... Dr saab, inne bhole kyon ho aap...
Madan aschrya bhadi nigahon se dekhte huye .... Aap ka dimag to khiska nahi hai na ?
Bakshi.... Dimag to tumhara khiskne wala hai dr, jab tum Anu ke bare me janoge. Uska marna to tay tha, aur haan iss Sahil ka bhi marna tay he hai.
Sahil ka marne ka naam sunte he uske sare sathi aaj babule ho gaye... Par Saurav ne shant rah kar sir sun ne ka ishara kiya......
Bakshi apni baten kahta raha.....
"Yee abhi humare liye thoda jarooru hai kyonki iske sine me kayi raaj dafan hai. Anu aur Sahil kabhi ek sath raha karte the, afwayen ye bhi hai ki Anu aur Sahil do jism aur ek jaan the".
"Aannn hhhhhaaa ! Chakrana abhi nahi ... Abhi aur bhi baten hain ... Anu char saal se lapata hai... Aur 8 salon se main inke pichhe hun. Koi bhi hath nai aaya. Aap ke liye Anu, humare liye ye jis dunia se aayi hai wahan ke liye Varsha."...
"Aap ko jaan kar aatti prasannata hogi, kyonki Anu ne he mujhe call kar ke bulayi thi. Ab aap soch rahe ho ki jo log itte dino se hath nahi aaye wo dono ek he din achanak kaise mujhe mile, aur jo Anu lapata thi, khud phone se contact ki"....
"Ab suno .. Wo janti thi ki isse marne ki kosis jaroor ki jayegi, aur iklauta main hun jiske bute par ye jinda rahega .... Sath me wo ye bhi janti thi dr saab ki abhi to main usse marne nahi de sakta .... So I m here, to save his life".
"Aur ab finally ek baat jiski ummid na ho ... Inhe marwane wale koi aur nahi Varsha ke so called pujya pitaji hai" ....
Badi-Badi aankhen kar ke sab Bakshi ki baten sun rahe the... Bakshi ki baat khatam hote he sab ka muh khula rah gaya aur bas muh se itna nikla ..... Anu ke dad hain in sab ke pichhe....