04-03-2018, 03:23 PM
Update 107
Ashk.... Hua kya hai... Mujh se puchh rahe hai hua kya hai... Yaad nahi jaise kal ka class, itna bara hungama hua tha. Kal wo Rachna sach kah rahi thi.... Usse bhari class me chum liya tha... Wo bhi lip kiss.... Aaaaahhhhhhhhhh ! Ab bhi kuch jan'na hai .....
Ek he sound effect aaya ..... "Kya-kya-kya" ..... Aur kal jaise Ashk ko shocked laga tha waise he aaj Joya aur Saurav ko laga.
Joya aur Saurav samjh chuke the, mamla kuch jyada he serious hai, sayad iss ghatna se Ashk kuch jyada he sadme me thi. Dono ko kuch sujha he nahi iss par kya kahe aur kaise kahe "baat ko khatam karo"
Idhar college jaise chiriyaghar lag raha ho Drish ke liye aur sare janwar ek he din uske palle par gaye ho. College bich me he chhor kar Drish chala aaya.
Ussi saam .... Jab Drish ghar lauta....
Hall me Ashk, Payal, Aakash, Chandrika devi, Amme aur Arjun sabhi log maujood the aur Drish ka intzar kar rahe the. Drish ne jaise he sab ko dekha samjh gaya kuch bara hone wala hai, lekin usse pata nahi tha ki baat itni bari ho jayegi....
Drish nakli muskaan apne chehre par late huye kahne laga..... "Sab log hain yahin par... Aaj ghar me party thi koi mujhe bataya bhi nahi"
Payal.... Abhi ke abhi ghar se nikal jao....
Ye sound kaphi shocking tha. Sab logon ka muh khula ka khula rah gaya.... Drish ko to apne kano par yakin nahi hua.... "Kya hua di"
Payal gusse me uthi, aur Drish ka hath pakar kar usse hall se bahar karti kahne lagi..... "Nikal jao abhi iss ghar se"
Drish awak bas Payal ke chehre ko dekhte raha.... Pichhe se sab log bhi uth kar aaye.... "Hum baat karte hai na, aise gusse me faisla nahi kiya jata".... Log samjhane me jut gaye.... Tabhi Payal joron se chillayi.... "Koi baat nahi hogi ab, ya to ye yahan rahega ya main"
Payal itna kah kar wahan se chali gayi apne kamre me.... Jate waqt wo pichhe muri bhi nahi, sayad wo apne aanshu kisi ko dikhana nahi chahti thi. Drish bhi wahan se apne ek-ek kadam badhata nikal gaya.... Log hath pakar kar rokne ki kosis karte rahe ... "Ruk jao, mat jao... Payal gusse me hai abhi"
Drish apne bhari awaz me kahne laga... "Please mujhe akela chhor do"
Sab ke hath jhatkte Drish bhi sab ko chhor kar uss ghar se bahar chala aaya.... Bas sadkon par yun he chala he ja raha tha..... Drish chup-chap ja kar colony park ke ek bench par baith gaya... Khud ko kaphi tanha mehsus kar raha tha wo iss waqt.....
"Kya karna hai ab" .... Amme, Drish ke pith hath rakte boli....
Tanhaeyon me jaise kisi apne ka hath usne mehsus kiya ho. Drish bas uss se lipat kar foot-foot kar rone laga..... Amme bhi uske pith par hath pherti usse chup karane lagi.....
"Mana ki mujh se galti ho gaya tha, par mujhe sidha ghar se nikal diya. Mujh se kuch puchi bhi nahi di. Maine kya jaan bujh kar aisa kiya tha"
Amme.... Drish, chalo abhi yahan se.... Chalte hain mere ghar...
Drish.... Nahi Amme, mujhe kahin nahi jana....
Amme usse kandhe se pakar kar utha'ti hui kahne lagi..... "Chaloooo, pahle mere ghar, jitna kahi utna suno, jyada apni manmani achhi nahi".
Drish.... Nahi mujhe kahin nahi jana, main yahin achha hun.
Amme... To Payal ko main kya jabaw dun, wahan khana pina chhore hai. Main Aakash se kah kar aayi hun, Drish ko khana khila kar, usse msg karungi to wo bhi Payal ko khila de... Thik hai main msg kar deti hun, Drish kahin nahi mila, rahne do Payal ko bhi bhukhe...
Drish.... Pagal ho gayi hai Di.... Main to aa gaya na unki baat maan kar ... Phir kyon khana pina chhori hain...
Amme.... Tum aa rahe ho ya main jaun.....
Drish.... Ruko aa raha hun....
Dono raat ke waqt khane ke table par...
Amme..... Ab shuru bhi karo khana... Mujhe tasveeren bhejni hain....
Drish ek niwala apne muh me lete huye..... "Kya unko yakin nahi ki main khana kha lunga"
Amme... Sayad Aakash ko ho jaye, lekin Payal ko to tum jante he ho...
Drish.... Haan janta hun Di ko.... Tumne tasveer le li...
Amme.... Haan le liya....
Drish.... To ab jiju ko tasveer bhej do aur un se kahna Di ke khane ki bhi tasveer bheje phir main khana khaunga....
Idhar Payal ka haal bhi Drish se kam nahi tha, ro-ro kar uska bhi bura haal tha.... Aakash aur Arjun dono usse chup karane me lage the, lekin rah-rah kar wo ek he baat kahti..... "Maine usse gusse me kah diya to kya wo sach me chala jayega.... Aur dur hato tum dono mujh se, rok nahi sakte the usse jane se... Akela chhor do mujheeee"
Itne me Aakash ke pass msg aaya... Aakash, Payal ko manate huye kahne laga..... "Dekho Drish ka msg aaya hai... Kah raha hai ... Ek niwala kha liya hai ... Ab di khana shuru karegi, phir main aage khaunga"
Drish par kaphi narajgi jatate hui aakhir Payal apni aanshu pochhti khana shuru kar di. Amme bhi idhar Drish ko khana khilati puchhne lagi..... "Ab kya karoge Drish"
Drish.... Pata nahi Amme, kuch samjh me nahi aa raha. Main to kai dino se bas apne atit ko dhundne ki kosis kar raha tha, ab lagta hai mujh se mera vartman bhi chhut raha hai....
Amme.... Drish... Drish.. Drish... Tum ab bhi baat ko samjh nahi rahe ho.
Drish.... Khul kar bolo Amme....
Amme.... Dekho main yadi bataungi to umhe samjh me nahi aayega... Isliye jaisa main kahti hun waisa karo ... Sayad karte-karte tumhe ye samjh me aa jaye ki tumhe kya samjhana chahti hun ....
Drish..... Thik hai batao kya karna hai ...
Amme.... Thik hai ja kar pahle uss Rachna se milo, aur dekho wahan kya hota hai....
Drish.... Par Rachna he kyon... Wahan jane se kya hoga....
Amme..... Dekho tumne kisi aurat ko bina uske marji ka chuma, tumne koi chhoti galti to ki nahi hai. To pahle jo galti hui hai usse sudharo, jab tum uss se manphi mang loge to tumhe ander se confident feel hoga... Jab ye kaam ho jaye tab next kaam bataungi....
Drish.... What rubbish Amme, lekin mujhe to koi galti jaisa feel he nahi hua... Mujhe Rachna ko le kar kois afsos nahi, bas ghar ke logon ne isse kuch jyada he serious le liya.
Amme.... Drish kurrur mansikta kahte hain isse. Tumne kisi ko raah chate kiss kar liya aur tumhe uss ke liye jarra bhi feel na hona ki tumne koi galti hai ye bahut he afsos janak hai....
Drish.... Amme sahi galat ke chhakar me main ulajh kar rah jaunga. Waise janti ho, mujhe Ashk ke liye feel ho raha hai ki maine koi galti kar diya, mujhe di ke liye feel ho raha hai.... Par pata nahi kyon tum log itni bari baat bata to rahe ho kiss lena, par mujhe uske liye kuch feel nahi ho raha. Khair sab log uske liye soch rahe ho to thik hai pahle uss se manpfi mang kar main sahi ho jata hun.....
Agle din saam 5pm baje .....
Amme ne Aakash ko msg kiya..... "First obsevation start..... Drish abhi Rachna se manphi mangega, jab ki uski feeling ye hai ki Rachna ke sath usne kuch bhi galat nahi kiya"
Aakash..... Hmmm ! Keep watch, pure result ke baad baat karte hain....
Idhar Rachna ke ghar saam 5pm baje....
"Ting-tong, ting-tong"....... "Kaun hai" kahti hui Rachna darwaja kholi, aur jaise he Drish ko samne dekhi... Aschrychakit ho gayi..... "Tumhari himmat kaise hui yahan aane ki"