09-02-2018, 03:28 PM
Update 59
Aaj bhi Ashk se milne se pahle he Kirti & friends mil gayi. Aaj lambi baten hui unki par Aahk ne koi rection nahi dikhaya... Aisa lag raha tha jaise Ashk ne uss se sare ristey khatam kar diye ho, par ye dil ki baten dil he jane... Ander se to chidh ho he rahi thi Ashk ko... Lekin phir bhi Ashk apna dhyan kahin aur lagaye apna kaam karti rahi....
Drish bahut der nahi ruka wahan, Kirti aur uski dost lagatar comment karti rahi aur Drish chup-chap se sabko sun'ne ke baad wahan se uth kar chala aaya...
2:30pm baje inki classes over hoti hain... Ghumte phirte dono 3:30pm tak pahunch he jate the ghar. Aaj jab class khatam hui to Ashk baad me nikli aur Drish pahle nikal aaya.
Ashk jaan bujh kar thoda late pahunchi, taki Drish ko ye samjh me aa jaye ki main uske sath nahi jana chahti... Par jab apne scooty ke pass pahunchi to Drish wahan nahi tha... Kuch der tak intzar ki, phir jab Drish nahi aaya to gahri sans leti sochi chalo achha hai samjh gaya main uske sath nahi jana chahti.
Ashk apne ghar chali aayi aur apne kaam me lag gayi. Saam karib sadhe panch baje Payal, Ashk ko phone lagati Drish ke bare me puchne lagi... "Chhotu uske sath to nahi"
Ashk.... Nahi bhabhi Drish mere sath nahi hai.
Payal.... Pata nahi kahan gaya, phone bhi laga rahi hun to mobile switch off aa raha hai...
Ashk.... Apne naye doston ke sath kahin ghumne chala gaya hoga bhabhi.... Aap chinta nahi kijiye aa jayega...
Payal..... Nahi re Ashk wo ghume-phire uss baat ki chinta nahi hai, bas bata deta na ek baar. Khair koi baat nahi, lagta hai nayi-nayi aadten usme aa rahi hai. Thik hai phone rakhti hun....
"Ye ladka bhi na, phone band kar ke kahan chala gaya, jaroor uss Kirti ke sath gaya hoga... Huhhh"
Ashk ek ghante tak apna kaam karti rahi, par rah-rah kar dhyan Drish par he chala jata, kabhi usse lagta "Kirti ke sath hoga" ... Aur ye baat soch kar usse gussa aa jata. To kabhi usse lagta... "kahin koi paresani me to nahi, ye sahar bhi naya hai.. Aur yahan ke logon ko thik se janta bhi nahi". Jab bhi Ashk ko ye khyal aata, wo chinta me dub jati.
Ek ghantey baad khud he Payal ko phone ki, pata karne Drish pahuncha ki nahi pahuncha... Lekin jabaw wahi tha, nahi Drish ab tak nahi aaya. Ashk ander se thoda gussa bhi ho gayi... "Kud ko samjhta kya hai, phone band kar ke gayab ho gaya hai"... Aur ussi waqt Drish ko dhundne nikal gayi.
Ashk ke jate he, Chandrika devi Payal ko turant phone lagayi....
Payal.... Haan lado
Chandrika devi..... Lado nahi lado ki mamma bol rahi hun.... Lado tum se baat ki aur pata nahi kitni harbari me thi, table se apne phone ke badla mera phone utha kar le gayi.... Ye lado tum se baat kar ke itni harbari me kahan gayi ?
Payal Drish ke ghar naa aane wali baat bata di aur puchhne lagi "kya hua so"... Chandrika devi kahi.... "Kuch nahi nikal gayi hai usse he sayad dhundne"
Payal.... Maa ji, dimag nahi hai kya usse, itne bare sahar me usse kahan dhundegi...
Chandrika devi.... Tum ab bhi nahi samji, jahan dil laga ho wahan dimag ka koi kaam nahi hota. Mujhe to lagta hai dono ek dusre ko pasand karte hain.
Payal.... Laga to mujhe bhi tha lekin aap Ashk ki maa hain, isliye main toda hichak rahi thi ye baat kahne se. Drish ko dekh kar mujhe bahut pahle he aisa laga tha.
Chandrika devi.... Haan maa to hun, kuch-kuch jamane ke hisab se bhi sochti hun beta. Aaj kal ka to faishion ho gaya hai love, main jitna mana karungi bache utna he wahi kaam karenge. Janti ho ek achhe gardian ka kya kaam hota hai, ye dekhte rahna ki uske bache kisi galat aadmi ke sangat me to nahi... Bas main bhi wahi dekh rahi hun... Drish mujhe bhi achha lagta hai, haan par iske papa ka nahi kah sakti... Unhe Drish pasand aaye ki na aaye... Dekh lenge unhe bhi, abhi to dono ki shadi me barson lagenge.
Payal.... Barson kyon lage'ge. Aap kaho to dono ki shadi kisi achhe muhrat par issi saal karwa dete hain..
Chandrika devi... Nahi-nahi, abhi mujhe budhi nahi hona. Beti ki shadi ho gayi to log mujhe bhudhi samjhne lagenge. Abhi to pahle dono ko sabak sikaho, ki aapas ke jhagre me hum se kyon ruthe rahte hain.
Payal.... Iss bare me jald he phone karti hun. Par pahle Ashk ko call kar dun chhotu aa gaya hai.
Chandrika devi.... Aa gaya wo... Puchna jarra kahan rah gaya tha.
Payal.... Puchna kya hai, apne samay se to ghar aa gaya tha, par jab se aaya chup-chap apne kamre me para bas kitaben ulta raha hai..
Chandrika devi.... Hehe, to tumne jhoot bola lado se...
Payal.... Haan thodi masti, aap he to kahi sabak sikhane... Par ab phone kar deti hun Drish aa gaya wapas.
Chandrika devi.... Koi jaroorat nahi hai, jab main phone karungi tab usse batana.... Abhi humara turn hai unhe paresan karne ka....
Payal.... Thik hai maa ji, jaisa aap kahe...
Itna kah kar Chandrika devi ne phone cut kar diya aur Drish ko call lagayi..... Par Drish ka phone band aa raha tha isliye wo wapas Payal ko call lagayi....
Payal.... Kya hua maa ji, lado ko phone kar dun wapas aane kya wapas aane ke liye.
Chandrika devi... 5 min me hriday pariwartan nahi hota, mujhe to Drish se baat karni thi, par uska phone band tha to tumhe call ki.
Payal.... Oh wo... Maine he uska phone switch off kar ke chhipa diya hai, taki lado usse phone karti to phone switch off aata.
Chandrika devi.... Achha dimag lagayi... Ab jarra usse phone de. Tumne jo paresani lado ko di, wahi main jara Drish ko bhi de dun.... Payal Chandrika devi ki baat par hans di, aur jakar phone Drish ko thama di....
Drish.... Namaste Aunty
Chandrika devi thodi chinta bhare swar me baat karti hui puchhne lagi.... Drish beta lado tumhare sath hai kya...
Drish..... Nahi mere sath to nahi hai. Kya ab tak wo ghar nahi aayi...
Chandrika devi..... Nahi ab tak ghar kahan pahunchi hai. Dono sath aate ho na, to phir wo ab tak ghar kyon nahi aayi.
Drish.... Nahi aunty wo aaj main pahle chala aaya tha sorry. Main jata hun usse dhundne.
Chandrika devi.... Rahne de beta aa jayegi wo. Pata nahi kahan gayi hogi... Khana bhi khayi hogi ki nahi....
Drish ne phone cut kiya aur apne bistar par idhar-udhar dekhne laga..... "Diiiiiii... Diiii" .... "Haan chhotu kya hua"..... "Di mera mobile nahi mil raha kahan hai"...... "Mujhe kya pata kahan hai, ruk main dhund deti hun"...
Payal bhi Drish ke room me aakar mobile dhundne me madad karne lagi, aur idhar Drish mobile bhi dhund raha tha aur Payal ke mobile se Ashk ko call bhi laga raha tha... Ek ring hua phir phone cut gaya. Dobara lagaya to switch off.
Drish harbari me apne kamre se nikla... Payal usse pichhe se tokti hui... Kahan ja raha hai chhotu itni teji me aur ye phone kise laga raha tha....
Drish... Didi, wo Ashk ab tak college se ghar nahi pahunchi... Ussi ko dhundne ja raha hun...
Payal.... Pagal hai kya, wo to issi sahar ki rahne wali hai, aa jayegi... Par tu usse kahan dhundega....
Drish.... Di meri chinta nahi karo, main ja raha hun....
Payal.... Achha sun mera phone leta ja, tumhe der hui to main tumhe kahan dhundungi.....
Drish, Payal ka phone le kar nikal gaya..... Ashk aur Drish dono paresan ek dusre ko dhundne nikle sadkon par.... Kabhi dono ek dusre par gussa hote, to kabhi chinta me khokar dhund rahe hote.
Saam ke 7 se raat 9:30 ho gaye dhund'te-dhunt'te par mumbai jaise shahar me kisi ko dhund'na... 2:30 ghante nahi 2:30 mahine bhi kam par jayenge.... Par kahten hain chahten mila he deti hai kisi na kisi tarah......