Talab ki ore jane ki baat sun kar Raghuvendr aur Veena ke chehre ki hwaeyan urr gayi. Veena aur Raghuvendr ko chori pakdey jane ka dar satane laga. Bas yahi khayal aaya, maa kya sochegi, sur kis muh se kya khaenge. Dono ek dusre ka chehra bari chinta me dekhte huye.... "Ab kya hoga"
Chinta ki lakiren saaf dikh rahi thi Raghuvendr ke mathe par, lekin is waqt do-do samsyen thi, ek to Veena jo uske kamre me ardh-nagan awastha me thi ,usse bahar nikalna tha, aur dusri ki talab ke pass se kapdey kaise hataye.
Raghuvendr ko kuch bhi sujh nahi raha tha, Veena hall me jhank kar dekhi, Sumitra devi bahar ki ore nikal rahi thi, aur Payal apne kamre me ja chuki thi. Veena bhi apne upar ek chadar dal kar darwaja khol nikal he rahi thi ki Raghuvendr ne uska haat pakad kar kaha.... "Ab tum kahan chali".
Veena.... Koi bhi nahi hai hall me, jane do, iss se pahle ki sab aa jaye.
Raghuvendr ne bhi rahat ki sans li, aur Veena ko jane diya. Veena ke nikalte he Raghuvendr bhi jaldi se apna kapda pahan kar bahar ki ore nikla he tha ki pichhe se Payal tok di.... "Bhaiya yahan aana thoda"
Raghuvendr thoda hadbadi me puchhte huye.... Kya hua Payal, kya kaam hai ?
Payal.... Aap itni jaldi me kyon hain, thoda upar aao na, aalmira ke upar se wo baksa utar do. Kaphi bhadi hai mujh se nahi utrega.
Raghuvendr ko jana bhi tha jaldi se talab ke pass aur ye Payal .. Annnhhhh ! Bheja kha kar rakhi thi, thoda chidhte huye.... Jab utar nahi sakti to utni upar rakhti kyon ho.
Dono ki baten chal he rahi thi, ki maa bhi aa gayi.... Tum subah-subah kyon itna chidh raha hai beta, kya hua ?
Maa ko dekhte he Raghuvendr ke chehre ki hwaeyan urr gayi. Ander se heart beat panr aap badh gayi, mathe par ghabrahat ka pahina aur chehre par kisi pagal ki bhanti muskaan... Haa haaa ! Hehee, kuch bhi to nahi, baksa utarna hai, chalo ... Chalo Payal baksa utarte hain...
Kaphi ajib harkaton ke sath Raghuvendr, Payal ke room pahuncha baksa utarne. Din hone tak Raghuvendr aur Veena dono ne Sumitra devi ka samna nahi kiya, aur pure din ghabraye-ghabraye ghum rahe the. Din ko jab chhotu khana khane aaya, Veena aur Raghuvendr dono unhe hall he me mil gaye. Dono ko dekh kar chhotu thoda muskura diya.
Veena shock se achanak he bol pari..... Ye hasta bhi hai.
Uski baat sun kar Raghuvendr ghurti najron se ek baar pahle chhotu ko dekha phir Veena ko dekhte huye... Gunies book of world me naam likhwa dun kya chhotu ka.
Chhotu ek baar phir muskuraya aur dhire se kahne laga.... Aap ka kuch saman para tha talab ke pass, maine utha kar apne kamre me rakh diya hai. Daro mat aap, maa ji ko kuch nahi maloom. Room khula hai aaj bhi Raghuvendr bhaiya, utha lena saman.
Payal idhar khana la rahi thi, usne jab chhotu ko baat karte dekhi to wo khush ho gayi, sochne lagi, chalo ye kuch to ghul mil raha hai mahol ke sath. Khush hoti bhi kyon nahi, bilkul jaise maa apne bache ko palti hai, waise he Payal ne khyal rakha tha chhotu ka, khud me bahut udas rahti thi, ki chhotu kyon kisi se ghulta milta nahi, kyon nahi baat karta kisi se.
Kisi paraye ke liye itna pyar tha ki muskurate huye bhi uske aanshu nikal aaye. Chhotu ko achanak he laga jaise Payal di ro rahi ho, aur usne palat kar side me dekha. Payal ko rota dekh uska chehra jaise gusse se laal ho gaya ho, aur paglon ki tarah idar udhar dekhne laga, mano jan'ne ki kosis kar raha ho Payal ko kisne rulaya.
Payal chhotu ko apne aankhon se chhotu ko shant rahne ka ishar ki. Payal ka ishara samjh wo bilkul shant ho gaya. Idhar jab se Veena ko pata chala tha ki chhotu ye baat jaan chuka hai, wo bechari apni najron ko jamin me gare bas niche he dekh rahi thi.
Khair dono ke liye ye rahat ki baat thi, ki kisi ko kuch pata nahi chala. Raghuvendr khud me sharmindgi mehsus kar raha tha, jab kataksh bhare sabdon me chhotu ne bola "kamra mera ab bhi khula hai". Baat chhoti si thi par samjhdar ko ishara kaphi tha, kam baton me he jaise chhotu ne Raghuvendr ko bahut kuch samjha diya ho.
Khana khane ke baad jab chhotu padhne ke liye Payal ke pass pahuncha to mann me bas yahi jigyasa thi ki Payal didi kyon royi. Payal chhotu ke mann ki baat bhanpti usse apne sine se laga li, do boond aanshu ke phir nikal aaye aur apne aanshuon ke sath kahne lagi....
"Tujhe haste huye, sab se baat karte dekhi to dil bhar aaya. Tu kyon chup-chup rahat hai. Aise he sab se baat kiya kar na. Tera chup rahna mujhe bilkul bhi achha nahi lagta".
Chhotu ne Payal ke aankhon se aanshu pochhe, kandhe se pakad kar kaha ... Statue.. Aur samne jakar bander ki tarah uchhalne laga.
Payal uski harkaton ko dekh muskura di, aur apne pass bulakar uske sir par hath ferte huye kahne lagi.... Tu to mera sabse pyara hai, aaj padhai nahi kiya kya jo time pass kar raha hai.
Chootu... Haan kiya hun....
Dono phir apne kaam me lag gaye. Raghuvendr aur Veena ke liye ye pyar bhara saugat tha, gawn aana... Dono yahan aakar kaphi khusnuma waqt gujare. Kuch dino ke baad pahle survey ka kaam khatam hua aur Veena chalti bani, aur uske thik ek din baad Raghuvendr bhi sahar ke liye nikal gaya.
Raghuvendr jate-jate chhotu ko bolta gaya, Payal sahar aane wali hai tu bhi chale aana, waise ye main nahi Veena ka sandes hai. Chhotu bas muskura kar uski baat ka jabaw diya.
Kuch din baad Raghuvendr ka phone apne papa ke pass aaya aur Payal ko sahar bhejne ke liye kahne laga. Takur Mhendr Pratab kabhi nahi chahte the ki unki beti ko sahar ki aabo hawa lage, isliye to usse apne pass he rakhe the. Apne bete ko saaf inkaar karte huye kahne lage.... "Koi jaroorat nahi hai usse sahar ghumne ki, wo yahin thik hai".
Sumitra devi, chhotu aur Payal teeno wahin the. Payal apne papa ko aise mana karte sun kaphi udas ho gayi, bete aur beti ka ye bhedbhaw dekh kar usse rona aa gaya, aur wo apni najren nichi kar subkane lagi.
Wahan par koi aisa maujood nahi tha jo Payal ka rona bardast kar sake. Na to Mahendr singh, na he Sumitra devi, aur na Chhotu.
Mahendr Singh.... Payal tumhe mere faisle par aitraj kyon hai ?
Payal kuch nahi boli bas sir jhukaye subkti hui roti rahi, Sumitra devi apni beti ke pith par hath ferti .... "Payal papa kuch puchh rahe hain, jabaw do"
Payal.... Kuch nahi, papa ke liye to bhaiya aur Arjun he bacche hain, main to bas.....
Mahendr singh.... Tum meri pyari gudiya ho, tumhe aisa kyon laga ki main sirf beton se pyar karta hun. Yadi aisa hota to wo mere pass hote. Pyar unse bhi karta hun, par tum sabse pahle. Dekho beta, mujhe sahar ke rang-dhang, aur chal dhal katai nahi pasand.
"Wahan ke log jis tarah se rahte hain, aur baat karte hain wo humare yahan se bilkul alag hai. Unke mann me kuch aur, aur dil me kuch aur rahta hai. Isliye meri gudiya, wahan ke logon ka vywhar aur baten sunkar rone se achha hai, yahan mere mana karne ke baad kuch der ro lo. Aur ye tumhare liye to pyar he hai na, warna janti ho main kisi ko safai nahi deta".
Chhotu.... Babuji main kuch bolun
Mahendr singh.... Bolo
Chhotu..... Aap kuch dino ke liye Payal di ko jane dijiye, unhe kisi tarah ki taklif nahi aayegi, main apni juban deta hun aap ko.
Thakur saab thode soch me par gaye chhotu ki baat sun'ne ke baad. Payal bhi ummid bhadi najron se dekhne lagi apne papa ko. Sumitra devi bhi apne pati ko sahmati bhadi nigahon se dekh rahi thi, "ki ek baar ghumne bhej dena chahiye"...........
Thakur saab thode soch me par gaye chhotu ki baat sun'ne ke baad. Payal bhi ummid bhadi najron se dekhne lagi apne papa ko. Sumitra devi bhi apne pati ko sahmati bhadi nigahon se dekh rahi thi, "ki ek baar ghumne bhej dena chahiye"...........
Thakur saab ne anth me apni beti ki khusi ko dekhte huye, usse jane ki izazat de di. Payal khusi se apne papa aur mom ke gale lag gayi aur, bhag kar upar ja kar packing karne lagi.
Sumitra devi bhi chali kitchen me apni beti ke liye raste ke khane ka saman banane. Jab dono chali gayi, tab thakur saab chhotu se kahte huye.....
"Sun chhotu, main teri baat par bhej raha hun, itte dino me aaj tune pahli baar kuchh kaha hai. Apni baat par rahna, warna mujh se bura koi nahi hoga...
Chhotu bas "haan" me sir hilata kheton ki ore chala gaya, aur sara kaam majduron ko samjha kar wapas aa gaya. Payal pahle se apna aur chhotu ke jane ka packing kar chuki thi, uske aate he dono car se nikal gaye.
Dopahar 2 baje nikale the, lagbhag 6 ghante ka safar tha, aur dono rasta na bhatke isliye Raghuvendr pahle se highway par intzar kar raha tha. Dono aaram se karib raat ke 8.30pm baje pahunche. Raghuvendr pick-up karta hua dono ko apne flat le aaya.
Safar ki thakan thi isliye aaj halki fulki baat ho kar rah gayi. Subah jab nind khuli Payal ki, to naha dhokar freash hokar sabse pahle kitchen me kadam rakhi....
"Kahan ho bhaiya, yahan aao... Bhaiyaaaaa" kaphi jor se chikhti Payal apne bhai ko bulane lagi...
Raghuvendr... Kya hua Payal, aise chilla kyon rahi ho subah-subah.
Payal... Bhaiya ye kitchen hai...
Raghuvendr.... Haan yahi to kitchen hain, tum aise kyon puchh rahi ho.
Payal.... Isse kichen kahenge to kachra khana kisse kahenge.
Raguvendr, apne sir par hath ferta... Ab jaisa bhi hai manage kar le na, dekh main yahan akela rahta hun na.
Payal.... Aur wo Arjin kahan hai, raat se dikha bhi nahi.
Raghuvendr.... Jaisalmer gaya hai, apne doston ke sath. Do-teen din me aa jayega.
Payal.... Bahut kuch papa se chhipa kar karte ho dono bhai, sari khabar unhe dungi, phir dekhna kya hota hai.
Raghuvendr... Tu yahan ghumne aayi hai ya mera band bajane. Ek kaam kar, yahan ka market khula hoga, ja ghum aa, tabtak main iski safai karwata hun. Din ke khane ki bhi chinta mat kar. Tu ja ghum kar aa jabtak main isse saaf karwa kar rakhta hun.
Payal apne bhaiya ko aankhen dikhati hui.... Haan haan, thik hai, aap safai karo, hum jarra tafri kar ke aate hain. Tabtak sara kaam ho jana chahiye, chal chhotu....
Raghuvendr.... Chal ja abhi, nahi to sara kaam tujh se he karwaunga...
Payal, Raghuvendr ko jibh dikhati hui.... Pura kaam mujh se karwaoge to gawn me aap ko kheton me hal chala'na padega.
Raghuvendr, apne mann me kahte huye.... Ruk Payal, tumhe bahut comedy sujh rahi hai na... Aaj raat hoga tere sath asli comedy....
Payal apni baat kahti hui chhotu ko sath bazar ki ore nikal gayi. Sabse pahle gayi kapdey ki ek dukaan me jahan fancy kapdey milte the... Usne kuch jeans aur t-shirt pasand ki, aur chhotu ko deti hui, trial room me bhej di.
Sare outtfit kaphi modern aur chhotu par khil rahe the. Chhotu in outfit me kaphi stylish aur prince ki tarah dikh raha tha, rahi sahi kasar payal ne uske aankhon par chasma laga kar pura kar di. Thodi dur hokar ek najar dekhi, aur khush hoti kahne lagi... Jach raha hai chhotu, aaj to Jaipur me ladkiyan kahin suside na kar le tere naam se.
Chhotu.... Didi, tum bhi to apne liye kuch lo.
Payal.... Thik hai, par ek shrt par, mere liye dress tu select karega.
Chootu apne chir-parichit andaz me.. Yani ki "haan" me sir hilaya, aur Payal ke liye ek khubsurat sa salwar kamij pasand kiya, jispar kaphi jari ke kaam the. Chhotu ki pasand ki hui dress thi, Payal usse wahin fit karwa kar trial karne chali gayi. Dress wakai kaphi khubsurat thi, aur pahn'ne wali to uss se bhi khubsurat.
Payal.... Achhi ni lag rahi main kya chhotu...
Chhotu..... Didi, aap bahut pyari lag rahi ho, kisne kaha aap achhi nahi lag rahi.
Payal.... To meri tarif kyon nahi kiya.....
"Umahhhhh.... Tu to iss kale dress me nagin lag rahi hai nagin, aa ja tera fan kuchal dun".... Wahin unke pass me kahadey kuch manchale awara ladko ke samuh me se ek ne bola....
Ek jab chup hua to dusra bolne laga..... "Aah, puri malai lagti hai,... Aur apna jibh hothon par pherte huye... Chat jane ko dil kar raha hai....
Chhotu jaise he ye suna, apna ek kadam aage badhaya, lekin Payal uska hath pakrti.. Aankhon se "naa" ka ishara ki aur chhotu ko sath liye dusri ore chali gayi. Lekin jaise gud ke pass mankkhiyan bhin-bhinate hain, thik waise he ye ladke bhin-bhina rahe the.
Payal ko kaphi bura bhi lag raha tha, par anjaan jagah tha, aur thoda bhi wo mayus hoti to chhotu rukne wala nahi tha, isliye Payal uski baton par dhyan na deti hui... Chhotu se baat karti, jaldi-jaldi apna shopping khatam ki.
Chhotu to ander se mano aag bana para tha, par Payal ne shant rahne ka ishara ki thi, isliye wo apne ander ke aag ko ander he dabaye rakha.
Dono jab bahar nikle to hadd he ho gayi. Parking ki ore thoda sunsaan tha, to ek ladke ne mauka dekh kar, pichhe se uske nitambon ko hath laga diya. Payal chikhti hui aage badh gayi.
Do kadam Payal aage badhi, aur iss tarah ki harkat se wo stabdh (aschrya) thi. Chhotu bina palken jhapkaye harkat me aaya. Itna tej tha chhotu ki pal bhar me char ladkey niche jamin me the.
Jaise he Payal aage badhi, chhotu teji se pichhe muda. Ek ke baal pakdey aur chehre ko apne ghutno me jor se de mara, dayen se ek hath uske pasliyon ko marne ke liye badhi, usse apne kehuni se roka aur aur bayen khadey ek ladke ko apne baye hath ke kehuni se thuddi ke niche gardan par jor ka ek prahar.
Idhar dayen ek ladke ka hath ruka tha, chhotu bayen wale ko maar, apne bayen hath ka punch bana, dayen khadey ladkey ke kano par pure jor se mara, itte me samne se ek ladka daura chala aa raha tha, uske chhati par lat utha kar jama diya.
Idhar dayen ek ladke ka hath ruka tha, chhotu bayen wale ko maar, apne bayen hath ka punch bana, dayen khadey ladkey ke kano par pure jor se mara, itte me samne se ek ladka daura chala aa raha tha, uske chhati par lat utha kar jama diya.
Ye sab karne me usse aadhe minute se bhi kam samay laga hoga, aur charo ladke wahan dher pade the. Par inki bahut badi toli thi, samne se takriban 10 ladkey aur daure. Chhotu bhaga aur yahan wahan najar dene laga. Parking me kuch two-whheler khadi thi, chhotu ki najar uske leg-guard par gayi.
Apne dono hath se leg guard ko pakda aur puri takat se khincha. Ek rod uski khinch kar nikal aayi. Daurte ladke uske karib aa rahe the. Kya speed aur taquat ka pradrshan kiya chhotu ne. Dhayn-dhayn-dhyan... Ek baar aage se pichhe hua aur marte huye rod sabhi ko lita diya.
Kisi ke hath toote, kisi ke sir se khun, to kisi ka paun toota. Chillane aur rone ki awaz gunj rahi thi parking me. Par in sab ke bich chhotu ka dhyan Payal se hat gaya. Chup-chap do ladkey payal ka muh band kiye, uske gale par chaku dal, parking ke nikas dwar tak pahunch chuke the.
Tabhi wahan ek mahasya padhare, ek hath se chalku ko pakda, aur dusre hath se uss ladke ke baal. Chaku ko pakad kar usse gardan se dur kiya, aur sir ke baal khinch kar pichhe kiya. Bich me kaphi jagah ban chuki thi, jo Payal ke nikalne ke liye pryapt thi.
Payal ke hat'te he uss aadmi ne chaku chhor, uski kalaeyan pakdi, aur mor kar uski kalai, uss chaku ko uske kandhe me gusa diya. Dusra wala to darr ke mare wahan se bhag he gaya. Chhotu ab bhi gusse me tha aur chikhta chinghrata, jo ladke pade the unko maar raha tha.
Payal daur kar uske pass pahunchi, aur chhotu ka hath pakad li..... "Bas kar chhotu chal, chal yahan se please bhai. Chhor de bahut achha sabak mila hai inhe".
Tabhi pichhe se taliyon ki awaz aur "bravo-bravo" ke sabd sunayi diye. Wo aadmi apna naam batate huye... Hello main hun aakash, kya furti aur stemna hai, main to tumhara fan ho gaya dost.
Aakash ki hatheli se khun nikal raha tha, jispar Payal ki najar gayi, ek jhalak Aakash ko dekhi, aur uss se kahti hui.... Aap ka bahut-bahut sukriya, aap jaldi se doctor ke pass kyon nahi jate, aap ke hathon se khun nikal raha hai.
Aakash.... Koi baat nahi, aap thik to hai na, aap ko kahin chot to nahi lagi.
Aakash ki baten sun kar chhotu sawaliya najron se Payal ko dekhne laga, Payal samjh gayi ki chhotu kya jan'na chah raha hai ..... "Kuch nahi chhotu, jab tu idhar mar raha tha, to do ladke meri gardan par chaku rakh kar, mera muh band kar ke mujhe le ja rahe the. Tab inhone unko khub sabak sikhaya".
Chhotu ki tej awaz kaundi..... Kahan hai abhi wo...
Aaksh uska hath pakdte.... Uska bhi wahi haal hua hai, jamin me para hai, par tum dono abhi niklo nahi to police ka mamla ho jayega.
Payal, Aakash ki baat ko samjhti huyi chhotu ka hath pakad li, aur usse chalne ka ishara ki. Jate jate Payal aakash ko apni muskurahton me dhanywaad di aur wahan se chali gayi.
Jab wo dono nikle tab Aakash bhi wahan se bahar aaya. Usne kisi ko call karte kaha... Sir, kya furti aur taqat thi, 28 sec me apne pass khadey char ladkon ko adhmara kar diya, aur baad me jab dusra shift aaya to 10 ladkon ko 22 sec me rod se maar kar gira diya.
Udhar se jabaw aaya.... Abhi wo jaroori nahi hai, jaroori apna kaam hai, tum jakar pahle usse karo.
Phone rakh kar wo nikal gaya apna kaam karne par jate huye bhi wo chhotu ke bare me he soch raha tha. Raste me Payal ko rah-rah kar wo wakya yaad aa raha tha, jab Aakash ne uss lake ko pakad kar usse chhuraya. Kam jagah me jab wo Aakash ke badan ko asparsh kar ke nikli, usse rah-rah kar wahi yaad aa raha tha.
Chhotu... Di aap thik to ho na.
Payal.... Haan thik hun, tere rahte mujhe kya hoga. Waise wo Aaksh bilkul samay par aaye, nahi. Kya taqkat thi unme bhi, apne hathon se chaku ko pakad liya.
Chhotu.... Hmmm
Payal.... Aur janta hai, uski kalai yun modi, aur ussi ke hath se uska chaku uske kandhe me ghusa diya.... Aur mann me sochti.... Kya adaa aur presonality thi uski.
Chhotu... Hammm
Payal.... Tu sun bhi raha hai, bas "Hmmmm-hammm" kiye ja raha hai. Achha sun, ye baat kisi ko pata nahi chalni chahiye.
Chhotu... Thik hai didi. Waise sun bhi raha hun, aur samjh bhi, ki aap uss ladkey ki tarif kuch jyada he kar rahi ho.
Chhotu ke baat par Payal thodi sharmayi si muskaan deti... Hat pagal, tu aaj kal jyada he samjhne laga. Main to bas uski ehsaan mand hun.
Bilkul samany roop se dono ghar pahunche, aisa mano kuch hua he nahi tha. Ghar ki puri saaf safai ho chuki thi, aur Raguvendr ne sara ghar vaywasthit karwa diya tha.
Ghar ko vaywasthit karne ke waqt, Payal ko darane ka pura intzam bhi kar aaya tha Raguvendr. Aaj Payal ko iss ghar me bhut dikhana tha. Raat ko khane ke waqt tv par bhi Raghuvendr ne horrow movie he lagayi.
Kaphi drawni movie thi, jise dekh Payal thodi dar gayi, aur bich me he movie chhor kar chali gayi. Payal jab ja rahi thi tab, Raghuvendr ek kutil muskaan me hasa, jaise uski chaal kamyaab ho gayi ho.
Payal ke kamre me ek murti rakh di gayi thi, jo bhuton ki awaz me achanak se bolta aur ander se khoon ke chhinte samne parte. Raat ko 12:30 baje ke karib, jab ghar me puri shanti chhayi thi, remote se chalne wale uss putle ki remote ki button jaise he Raghuvendr dabaya, Raguvendr khud he dhakka kha kar gir gaya, jo awaz Payal ke kamre se aani thi, wo awaz uske kame se aayi wo bhi achanak. Bechare ki sansen kuch der ke liye atak he gayi thi.
Gate par kahadi Payal jor-jor se hasne lagi, Raghuvendr jab Payal ko haste dekha, to aankhe phad kar dekhne laga, mano puchh raha ho ye sab kaise hua. Payal pichhe se chhotu ko aage karti dikha di Raghuvendr ko mamla samjh me aa gaya.
Raat ko he Raghuvendr, Veena ko call kiya aur usse sari baat batayi. Veena, Raghuvendr ki baten sun, hans-hans kar pagal ho gayi, aur anth me kahi, "ruko sahar aaye hain dono, to apni nanad aur devar ka swagat hum karenge". Veena kuch plan uss se discuss ki, aur dono hasne lage. Raghuvedr, Veena ka plan sun kar mann me sochne laga.. Smita se kaun tum dono ko bachayega........
Agli subah jab Payal niche aayi to, Veena ko dekh kar khush ho gayi. Veena ke gale lagte puchhne lagi... "Aap kab aayi bhabhi"
Veena.... Aayi nahi lene aayi hun, tum dono ko abhi mere sath chalna hai mere ghar.
Payal.... Lo to hum kaun sa mana kar rahe hain, chalo chalkar ghum aaya jaye aap ka ghar.
Veena.... Suniye aap aur chhotu apni car se aaeye, main aur Payal apni car se.
Payal.... Ja to sab ek he jagah rahe hain, to sab sath he chalte hai na.
Veena, Payal ko aankh marti dhire se kahi..... Raste me maze karenge...... Itna kah kar Raghuvendr ki ore dekhne lagi.... Aap sab abhi tak yahin khadey ho, chalo nikalo.
Raghuvendr aur chhotu jab pahuncha Veena ke ghar, tab Raghuvendr, Chhotu ke hath me ek box deta hua kaha.... Sun chhotu, wo gulabi rang ka makan Veena ka hai, tu ye box uski bahan ko de kar baith, main jarra market se thoda kaam nipta kar aaya.
Chhotu "haan" me sir hilata chala gaya ander. Yahi kahani Payal ke sath bhi hui, jab Payal aur Veena pahunche. Veena bhi bahana kar ke Payal ko ander bhej di, aur khud bahar rahi.
Payal jab darwaja par hath lagayi to wo pahle se khula tha. Ander jaise he pahunchi, to wahan ka nazara dekh kar dang rah gayi. Dianing table ke saman farsh par bikhre the. Chhotu ek chair par baitha tha, aur ek chair par kisi ladki ke muh aur hath bandh diya tha... Jooo bandhe muhhh se ... "Uuuuuuuu uuuuu" kar rahi thi.