10-01-2018, 01:11 AM
Update 8
Kitna react karti thi har baat par Veena, aur uska yun chilla kar baat karna. Veena ke haw bhaw jab Payal dekhi to apni bhai se najre milati "naa" me sir hila di .... Payal ke chehre ke bhaw aise the jaise kahna chah rahi ho ..... Mujhe mat phasao, papa se tum khud nipto.....
Payal aage jakar car me baith gayi, Payal ke jate he, Raghvendr ne bhi Veena ko chalne ka ishara kiya, aur dono aakar car ki pichhli seat par baith gaye.... Chhotu car ko ghar ki ore le chala.
Veena.... Kitna chhota driver rakha hai, iska driving licence to hai na.
Raghvendr...... Iska licence, I'D card ata-pata sab Thakur Mahendr Pratap hain, yani ki mere pita. Bas iss ilake me unka naam he kaphi hai.
Veena.... Par ye to illegal hai.
Payal.... Aap ke pass hai kya bhabhi driving licence.
Veena.... Hayy ! Payal ne mujhe bhabhi kahi, mare khusi ke kahin main mar na jaun. Suniye ji ab to main apne sasuraal me he rahungi, kahin nahi jaungi.
Veena ki baat sunkar Payal ke muh se hasi chhut gayi.. Haste huye Payal kahne lagi.....
"Aisa to bas shadi ke baad he sambhaw hai. Meri rai mano to aap agli bus se wapas chali jao, nahi to papa ko pata chala ki aap shadi se pahle bhaiya se milne aayi ho, to aap ka patta saaf".
Veena..... Arre aise kaise patta saaf ho jayega. Aap kuch kahte kyon nahi.
Raghvendr..... Main kya kahun, tum aur tumhari jid hum dono ko le dubegi. Mana bhi kiya tha ki yahan ka mahol sahar ke mahol se pura ulta hai, par tumhe to har jagah ek si lagti hai. Aur kya kahi thi, hum 21th sentury me hain, aur desh ka koi gawn itna pichhda nahi.
Veena... Main kya karti jaan, tumhe na dekhti thi to rona aata tha, main tumhe ek pal ke liye bhi dur nahi dekh sakti. Manti hun thodi alhad hun, par main nahi rah sakti aap ke bina. Mujhe khud se dur mat karo, jo bologe wo karoongi, jaise kahoge waise rah lungi, par please mujhe jane ke liye mat kaho.
Payal..... Heee heee heee, jaan. Waise ek baat bata dun ki aap dono ki he jaan nikalne wali hai, kyonki jaise he ye baat pata chala ki bhaiya apni masooka ko yahan le aaye hain, ussi pal mere aashiq bhai ki jaan to gayi samjho.
Raghvendr..... To tu kis din kaam aayegi, kuch soch na payal, apne bhai ka itna khyal nahi rakh sakti.
Payal..... Dimag par jor dalne ka mujhe kya inaam milega, pahle ye batao
Raghvendr..... Tujhe kya chahiye.
Payal...... Mujhe sahar ghumna hai, bolo manjoor hai to kuch sochti hun.
Raghvendr.... Bas itti si baat, pagal tujhe sahar ghumna tha to pahle kyon nahi batayi, uske liye tujhe kya puchhna padega, thik hai main wada karta hun ki tumhe pura sahar ghumaunga.
Payal....... Thik hai ruko kuch sochti hun...
Kuch der ki khamosi ke baad, Payal kahne lagi..... Ek kaam karo bhaiya, main isse apni dost bana leti hun jo kuch din yahin gawn me padhi, phir sahar chali gayi padhne. Aaj lauti hai aur mujh se milne aayi.
Raghvendr.... Not bad idea Payal, par dost hai to milkar chali bhi jayegi na, thode na 10 din rukegi.
Payal..... Kya, 10 din, na baba mujhe nahi parna iss jhamele me, mujhe laga 1,2 din ki baat hai. 10 din me pata nahi kahin ye bhed khul gaya to aap ko to thoda bahut dant padegi, par "main jante huye bhi sab kuch papa se jhoot boli", iss baat ke liye to wo mujhe kala pani ki he saza de denge.
Veena.... Main to kab se inhe apna pati maan chuki hun, ab batao bina inke main kaise rahun. Mera to dard samjho na Payal, please. Kaho to main tumhari paun parti hun, par mera sahara ban jao. Koi to tarkib batao humare sath rahne ki.
Chhotu chup-chap shant sun raha tha, usne dhire se kuch baat kiya, Payal muskurati huyi uska gaal khinch li.
Raghvendr..... Kya ??????? Koi mujhe bhi kuch batayega, ya aapas me he muskurate rahoge.
Payal.... Chhotu kah raha tha, bhabhi kabhi sunder hain, aur aap se bahut pyar karti hai.
Veena ka chehra dekh kar he, Raghvendr ne apna hath utha diya aur kahne laga .... "Chup, abhi koi over react nahi, aur shant baitho thodi der".... Phir Payal ki ore dekhta hua.... "Chhotu, aur ye kaha, isse samjh me bhi aata hai ki pyar kya hota hai"
Payal apni aankhen dikhati hui.... Huhhh ! Aap bahut samjhdar ho na bhaiya, achhi baat hai, par dusron ka mazak to mat urraya karo. Rahi baat samjhdari ki to sahi kaha aapne chhotu ne mujhe wo baat nahi kahi, balki usne kaha..... "Inhe aap sahar se aayi koi survey wali bana dijiye, jaise kabhi kabhi sahar se log aate hain. Babuji to unhe apne ghar he thahrate hai na"... Sun liya samjhdari bhi.
Payal phir aaj chhotu ko lekar gussa ho gayi thi, Payal ko gusse me dekh Chhotu ne apne aankh sikod kar Payal ko dekha aur "naa" me gardan hilane laga. Payal uska ye natkiya dhang dekh kar hasne lagi. Sab log fir plan ko aur pukhta karte huye ghar pahunch gaye.
Ghar par thakur sahab nahi the, maa ne nayi ladki ko dekhte huye Payal se puchhne lagi... "Ye kaun hai beta"
Payal kuch bolti, uss se pahle he Veena aage badh gayi, Sumitra devi ke paun chhuti hui kahne lagi.... Maa ji main yahan ke khet ki mitti ke upjaupan par research aur survey karne aayi hun.
Sumitra devi ne pyar se uske galon par hath ferti.... Tum to bahut pyari ho beta. Kya naam hai tumhara.
Veena.... Ji Veena
Sumitra devi.... Sun chhotu, jabtak inka kaam nahi ho jata, inko koi padesani na ho, aur ye mehmaan hain humari, dekhna koi taklif na ho.
Raghvendr.... Ye to humari mehmaan hai maa, main hun na, inko koi padesani nahi aane dunga.
Sumitra devi.... Tu kya gaun ka chappa chappa janta hain, suna nahi inhe kheton aur mittiyon ka kaam hai, tu rahne de chhotu dekh lega. Waise bhi thode din ke liye aaya hai, maa ke pass rahega ya ab bhi mujh se he dur.
Niras sa muh lekar, chhotu aur Payal ki ore dekh raha tha Raghvendr, mano abhi ro dega, pass ho kar bhi ye duriyan. Chhotu apne kaam par chala gaya, aur idhar Raghvendr tukur-tukur bas jab mauka milta chori se Veena ko he dekhta rahta.
Chhotu din me khana khane aaya, aur apne dincharya ke hisab se padh kar phir wapas kheton ke kaam par jane laga, par Payal usse tokti hui, "chhotu Veena ji ko bhi leta ja, unhe kuch kaam hoga, tum bagiche ke aage wali khet dikha dena". Chhotu haan me sir hilata hua wahin khada ho gaya.
Jab Raghvendr ne Veena ka naam suna to uske kaan khadey ho gaye. Wo bhi jaldi se apne kamre se bahar aaya aur mansa aisi thi ki wo bhi chhotu ke sath khet dekhne jana chahta hai. Payal ne ek sharart karti hui bol uthi... "Maa bhaiya kab se aaye hain, aur pura din ghar me akele rahte hain. Ab unse baith kar kuch baten bhi karogi ya rasoi me he rahogi. Mujhe to sahar ki kahani sun'ni hai".
Sumitra devi.... Raghvendr kahin bahar ja raha hai kya, roko usse subah se ghum raha hai. Paun me to jaise pahiye lage ho. Arre ruk beta gajar ka halwa banaya hai.
Itna kah kar Sumitra devi jaldi se bahar aayi, aur apne bete ka hath pakad kar bitati hui, gajar ka halwa pdos di. Baki sab logon ko bhi Sumitra devi ne gajar ka halwa khilaya. Khate waqt bhi Raghvendr bas chor najron se Veena ko dekh raha tha, aur dekh kar apne najron se pyar bikher raha tha.
Kha kar chhotu ne Veena ko "chalne" ke liye bol kar aage badh gaya. Veena mayus najron se Raghvendr ko ek baar dekh kar chhotu ke pichhe-pichhe chal di. Idhar wahin baith kar Payal aur maa dono ne sahar ki baat chher di, par Raghvendr ka mann kahan lag raha tha ab baton me, Payal ne unhe mila kar bhi tarpa rahi thi.
Raste me chhotu chup chap aage chal raha tha, aur Veena pichhe-pichhe. Veena teji se do kadam aage badhi aur chhotu ke sath ho gayi.... To chhotu ji kuch hume bhi iss gawn ki kahani bataeye.
Chhotu.... Main bas apna kaam karta hun, mujhe nahi pata yahan kya hota hai.
Veena.... Par aap ki umar ke ladkey to ghumte firte, aur mauj masti karte hain.
Chhotu bina koi jabaw diye aage chalta raha, Veena ko bada ajib laga. Veena chalte huye bas usse observe karne lagi. Yahi koi 200 meter sath chale honge, ek gawn wale khada tha, chhotu uske pass gaya, apne jeb se usse kuch paise diye aur wo chala gaya.
Kuch dur aage badhi to dekhi, chhotu ek ghar ke pass ruka, bahar ek maa apne bache ke sath thi, uske pass gaya, bache ke sir par hath fera, aur bas ek line bola, "kitne majdoor the"... Usne 20 kahi, aur wo usse paise nikal kar de diya.
Kheton ke pass pahunche dono, tab ek ladki pichhe se jor se boli.... Chhotu, idhar bhi dekhta ja ek najar, chhotu uski baat bhi ansuni kar ke chala gaya. Khet ke pass khadey hokar ek jhalak charo ore dekha aur aage badh gaya.
Kuch der wahan rukne ke baad aam ke bagiche wale khet ki ore chal diya. Thodi he der me dono bagiche ke pass wali khet me the. Thodi der rukne ke baad...
Chhotu.... Chalen wapas.
Veena.... Suno tum itne chup-chup kyon rahte ho.
Chhotu... Nahi, baat to karta hun.
Veena... Par ye normal baten thode na hui, tum bas kaam ki baten karte ho aur phir chup. Tumhara koi dost ya gf to nahi.
Chhotu..... Nahi kabhi jaroorat mehsus nahi hui...
Itna kah kar chhotu aage badh chala, Veena ko laga ki iski umar aisi hai ki isse jaroor kisi se pyar hua hoga, aur wo ladki isko dhoka dekar chali gayi hogi, kachi umar hai bechara ye sadma bardaast nahi kar paya hoga, aur sab se kata-kata rahta hai.