Usi din dupher kay taqreban 1 bujay ka wakat tha. July kay mahinay honay ki waja say aik to garmi apnay joban par thi. Aur dusra bijli ki load shading nay saab logo ki mut mar rakhi thi.
Is garmi ki shidat say nidhal ho kar Zahid police choki main banay huway apnay daftar main aan betha.
Aaj thanay main us ko koi khas masrofiyat nahi thi. Is liy behta behta ASI Zahid Mehmood apni guzri huwi zindgi kay baray main sochnay laga.
Apni sochoon main hi dubay huway Zahid Mehmood apni pichli zindgi kay us mukam par pohanch giya.Jub kuch saal pehlay wo apna FA ka result sun kar khusi khusi apnay ghar wakiya Machine Mohlla No 1 Jhelum main dakhil huwa tha.
Joon hi Zahid apnay ghar kay derwazay ko khool kar ghar main dakhil huwa to ghar kay sayhan main apni ammi aur dusray bhai aur behnoo ko zaror katar rota daikh kar Zahid bohat perishan ho giya. Aur wo dorta huwa apni ammi kay paas pohancha.
Zahid: “Ammi kahriyat to hai na, aap saab aisay kion roo rahay hain”
Ammi: Beta gazab ho giya,abi abi khabar aie hai kay tumray abbu aik police mukablay main HALAK ho gay hain”
Zahid kay waild (Abbu) Kareem Saab police main head constable thay. Aur wo hi apnay ghar kay wahid kamanay walay bi thay.
Baki ghar waloo ki tara Zahid par bi yeh kahabar bijli bun kar giri aur us ki ankoon say bi bay saktha ansoon jari ho gay.
Kuch dair baad thanay walay us kay abbu ki lash ko ambulance main lay kar aiy aur phir saab ghar waloo kay ansoon kay saiy main Kareem saab ki lash ko dafna diya giya.
Chonkay Zahid kay abbu nay us police mukablay main mulzamoon (Criminals) kay sath jawan mardi say mukbla kiya tha.
Is liy police department nay un ki is bahdari ki kadar karaty huway un kay betay Zahid ko police main constable bharti kar liya.
Khatay hain kay har insan ki apni qismat hoti hai aur kisi insan ka sitara dusray ki nisbat acha hota hai. Lagta tha kay kuch asi hi baat Zahid kay abbu Kareem saab ki bi thi.
Kion kay ghar kay wahid kamnay walay honay kay bawjood, apnay jitay jee Kareem saab apnay panch bachoon aur aik biwi ka kharcha bohat acha nahi sahi magar phir bi kafi logon say behtar chala rahay thay.
Lakin ab un ki wafat kay baad jub ghar ka sara bhooj Zahid kay NA TAWAN kandoon par aan para to Zahid kay liy apnay ghar ka kharcha chalana mushkil honay laga.
Zahid choon kay NIYA NIYA police main bherti huwa tha. Is liy shroo ka kuch arsa wo RISHWAT (Bribe) ko haram samaj kaar apni police ki salary main guzara karnay ki koish main masroof raha.
Zahid nay jub mahsos kiya kay police ki nokri main us kay liy apnay ghar ka kharcha pura karna mushkil ho raha hai.To Zahid nay apnay aik dost kay mashwaray say apni duty kay baad fairg time main “CHING CHE” (Auto Rikshaw) chalana shuro kar diya.
Isi duran Zahid say choti us ki behan Bilqis nay bi apna FA ka imtihaan pass kar liya aur apnay bhai ka haath batnay kay liy ghar kay kareeb aik school main teacher ki job shuroo kar di.
Bilqis din main school ki job karti aur phir sham ko ghar main mohllay kay bachoon ko TUITION perhnay lagi.
Dono behan bhai ki din raat ki mahnat rung lanay lagi. Aur is tara mehgai kay is door main un kay ghar waloo ka guzara honay laga.
Zahid aur Balqis jo kamatay wo mahinay kay akhir main la kar apni ammi kay hath main day detay.
Zahid aur Balqis ki ammi Razia Bibi aik sugar aur samgdar aurat thi. Wo janti thi kay us ki bachiyan aur bachay aab jawan ho rahay hain aur juld hi wo shadi kay kabil honay walay hain.
Is liy Razia Bibi nay apnay bachoo ki kami main say thoray thoray paisay bacha kar apnay mohally ki aurtoon kay sath mil kar KAMITI daal li.Ta kay ahista ahista kar kay us kay pass kuch paisay jama ho jain to wo wakat anay par apnay bachoon ki shadiyan kar sakay.
Is tara din guzratay gay aur din mahino aur phir saal main tabdeel honay lagay. Wakat itni teezi say guzra kay Zahid aur us ki behan Bilqis ko pata hi na chala.
Zahid ko apni behan Bilqis ka ghar say bahir nikal kar nokri karna acha nahi lagta tha.Magar wo majbori kay alam main apni behan kay is ikdam ko kabool kar raha tha.
Zahid ko umeed thi kay us ka chota bhai Zaman jo kay ab college main matric kay baad college kay first year main dakhil huwa tha.Wo juld hi paar kar us kay sath apnay ghar ka bhooj uthay ga to wo apni saab behno ki shadi kar kay apna faraz pura kar day ga.
Idar Zahid to yeh soch raha tha magar QUDRAT ko shayed kuch aur hi manzoor tha.