03-03-2018, 03:49 PM
Update--14
_______________
Apni baat poori kar Adi sir neeche kiye kuchh sochne laga par Karan ne Maya ki pic dekhi aur behadd jahreele tarike se bola " Maya Arora ".… koi aur naa sun paya par Anu ne sun liya aur ye sochne lagi ki aakhir ise poora naam kaise pata…
__________
Anu ne uss wakt Aditya aur Ishan se Karan ke bare me baat karna uchit naa samjha … Karan thodi der baith kar coffee banane chala gaya…Anu uske peechhe peechhe uski help karne ka bol kar rasoi taraf chal di … uss wakt Ishan aur Adi akele ho gaye to Ishan ne Aadi ke kandhe par haath rakh kar kaha…
Ishan :-- Adi please mujhe maaf kar de yaar … meri wajah se tu unn purani yaadon me wapas se fas gaya…mujhe bilkul idea nahi tha warna mai aisa kabhi kuchh kahta hi nahi…
Aditya-- nahi Ishan maafi to mujhe maangni thi tum dono se yaar… bahut badi baat chipayi thi maine… shayd bata deta to aisa naa hota… tune aaj ye baat chhed kar mujhe mauka de diya galti sudharne ka…thanks and sorry doston…
Aadi aur Ishan ne ek doosre ko doston wali jhappi di…par Ishan ke man me jo sawaal the use wo chhipa nahi paya…
Ishan-- waise rahti kahan hai ye Maya… aur kahi wo Apne Dr Rajesh sir ki bahan to nahi hai ?
Aditya-- hmm unki hi bahan hai …tu kya karega jaan kar ki kahan rahti hai… dekh koi matlab nahi hai abb mera usse… behtar yahi hai ki topic yahi par chhod diya jaye…
Ishan-- waah Re bhagwaan… bhai itna achha aur bahan ' man eater'… ohh sorry Aadi but …
Aditya-- its ok yaar…kya kar sakte hain… abb aisa hai to hai…jo bhi hai just leave the past …
Aadi kaise bhi karke bas matter closed karna chahta tha but wo galat tha kyu ki abb to ye topic burinning issue ban chuka tha…
Ishan-- to uske baad Maya se kabhi nahi mila tu…mera matlab hai ki after tere mbbs joining wo dikhi nahi kahi…
Aditya-- Naa dikhi tak nahi kabhi…
Ishan-- kahi aur chali gayi kya…
Ishan ki jigyasayein khatm hone ka naam nahi le rahi thi…
Aditya-- koi idea nahi hai mujhe uske baare me …
Ishan-- Aadi kya tu abb bhi pyar karta hai usse ?
Aditya--bilkul bhi nahi… abb bas bhi karega ya ' Chiya ' ki tarah tera ye rapid fire chalta hi rahega…
Udhar Anushka rasoi me pahunch gayi Karan ki help karne… Aadi aur Karan ke mammi papa out of station the… iss liye coffee banane Karan aaya tha…
Anushka--he Karan mai help karti hoon…
rasoi ke door par pahunch kar Anu ne Karan se poonchha…
Karan-- nahi di its ok…
Anushka--mood off hai ??
Anu ne Karan ko bade lagaw se poonchha…
karan-- hmm…
Karan bolne me bhi parhej kar raha tha…
Anushka-- rlx Karan… abb waise sab theek ho gaya hai… Aadi bhi theek hai to please ye sab apni mom se mat kahna please…
Anu ne request ki…
Karan-- dont worry di… nahi bolunga kisi ko bhi … but kuchh bhi Theek hua nahi hai par abb theek ho jayega…
Karan ne daant bheench kar reply kiya…
Anushka-- mere khayal se janta hai tu use…
Anu ne abb Karan se poonchh lena hi uchit samjha…
Karan-- shayad Di…
Anushka -- Tu kaise janta hai mujhe to bata bhai ??
Anu ne uchhalte huye kaha…
Karan-- mutual friend ki padosan hai… ladkon ko sab pata hota hai di…abb tak sirf suna tha iss naam ke baare me abb to dekhna bhi padega…
Anushka--wo kya bahut buri hai aur tu kya karne wala hai ?
Karan-- mila nahi hoon usse kabhi… ab mai Maya memsaab ki jasoosi karunga …
Anushka-- sirf itni request karti hoon ki ek ladki ke sath aisa kuchh bhi mat karna jo galat ho…
Karan-- to usne mere bro ke sath jo kiya kya wo sahi tha…ladki hone ka kitna fayeda legi wo…
Anushka-- mai to isliye kah rahi hoon ki usne to bewafai ke jakhm de hi diye hi hain Aadi ko… agar tu Aadi se pyar karta hai to kuchh bhi galat karke Aadi ko wapas se ghaaw mat dena…tune suna nahi tha usne kaise dukhi hokar kaha tha ki " use koi kuchh kahe mujh pasand nahi…"
Karan Anu ki baton par bas kutil muskan bikherta raha… jane kya chal raha tha uske dimag me…