Update--13
_______________
Aadi abhi aur bhi kuchh batana chahta tha par peechhe khade apne bhai Karan ko dekh buri tarah chaunk gaya…Karan ki aankhon me kayi sawaal tair rahe the…
_________________
Aditya-- K…karan tu ?? Tu yahan kab se khada hai…aise kyu dekh raha hai…
Karan ko dekhte hi Aadi ki aankhein jaane kis dar se chaudi ho gayi…
Karan-- aage kya hua Bhaiya ??
Karan ke shabdon me jwaala mukhi dhadhak raha tha…
Aditya-- kab aage kya hua ?? are pagle mai to iss rotadu moti ko chup karane ke liye yun hi kahani thonk raha tha…jab dekho tab aansu bahati rahti hai…
Aadi ne baat ko samhalne ki koshish ki…
Karan-- Bacha nahi raha abb bada ho gaya hoon mai… aapki nigaah me aapka best friend nahi hoon mai to kya hua aapko to maine hamesha apna sabse achha dost hi mana hai bhaiya…
Karan ne Aadi ke gale lag kar kaha… Uska gala rundh gaya tha…
Aditya-- are mai majjaq kar raha tha mere bhai …
Aadi najre chhupane laga Karan se …
Karan-- ladki ki photo lekar aur aankh me aansu bhare aap majjak kar rahe ho… bhai bada ho gaya hoon mai… sach aur jhooth ke beech fark kar sakta hoon…mai janna chahta hoon ki uss vamp ne kya kiya aage…
Aavesh me Karan gaali par utar aaya…
Aditya-- please dont abuse her Karan…please… wo bahut buri hai par bahut chaha tha use maine… jaane kitni raatein jala di hain uski yaadon ko raushan karne ke liye… mai kisi aur ke muhh se aaj bhi uske khilaaf ek shabd nahi sun sakta hoon Karan…kisi aur ko haq nahi diya maine… use pyaar maine kiya tha to saza dene ka haq bhi sirf mai rakhta hoon…
Aadi ka ye roop bilkul naya tha… chot khaya hua aashiq…
Anushka-- Aadi emotions par cntrl kar yaar…Karan tu chup kar bhai do min… uski haalat to dekho koi… Ishan samhalo yaar ise…
Anu Aadi aur Karan ke beech aakar khadi ho gayi… Ishan aur Anu ke chehre par bhi bahut sare sawaal the par dono abhi sirf Aadi ko samhalna chahte the… aur kuchh bhi nahi…
Aditya-- Anu yaar chup kara rahi hai yaa aur rula rahi hai mujhe…
Anu ko roti dekh ek baar phir Aadi use hasane ki koshish karne laga…par Karan apni dhun me tha…
Karan-- bhai aage kya hua… aap fail huye the aur ye dono paas lekin ye dono aap ki class me kaise hain…
Karan ki jigyasa theek bhi thi…sawaal lajimi tha…
Anushka-- Karan bhai tu chup kar jaa yaar warna pitega tu… ham poonchh lenge baad me…
Anu kabhi Aadi kabhi karan ko dekhti huyi boli…
Aditya--bolne de use Anu… Karan Maya ke dwara buri tarah ignore kiye jane par mai buri tarah toot gaya tha… Maya ne meri asflta ka theekra meri masoom dosti par fod diya tha… usne mbbs me dakhila le liya aur meri taraf kabhi palat kar nahi dekha… main buri tarah toot gaya tha…Yahan tak ki jaan dene ka bhi socne laga tha kyu ki asflta aur bewafayi ka bojh sath me nahi jhel paa raha tha…dost poonchhte the kya hua par doston se kabhi kuchh bataya hi nahi tha to abb kis muh se batata… par mere doston ne jo kiya wo shayad mere liye mera saga bhi nahi karta…
" Mere dono doston ne mere dukh ko bin kahe samjh liya tha… Ishan ne bhi join nahi kiya … ghar par bol diya ki mbbs ke liye ek chance aur chahta hoon… waise Ishan ke ghar wale to bina khas naa nukur ke taiyaar ho gaye the… par iss moti ne to bhaiya se hi yuddh kar liya tha… chhod diya isne bhi… isse bahut problem huyi thi… bhaiya ne ek thappad bhi jad diya tha aur bole abb nahi karni taiyari… chahe dental karo ya to bsc… ham sab darr gaye the par ye moti sirf hamari dost nahi papa ki ' pari ' bhi to hai… mil gaya ek chance… aur jiske aise dost hon wo kaise haar sakta hai… ek baar phir ham sath ho gaye…bas mai bhi purana Aadi ban gaya…agli chance me teeno ne mbbs ke liye qualify kar dala…sab bhool chuka tha par aaj Ishan ki baaton se wo naa jane kyu yaad aa gayi…
Apni baat poori kar Adi sir neeche kiye kuchh sochne laga par Karan ne Maya ki pic dekhi aur behadd jahreele tarike se bola " Maya Arora ".… koi aur naa sun paya par Anu ne sun liya aur ye sochne lagi ki aakhir ise poora naam kaise pata…