Aschrya se sab ki aakhen phati ki phati raha gayi.... Aur sab apne aap he apni jagah se uth kar khare ho gaye.... Chandrika devi jor se chikh pari...... "Ye sab kaise hua"
"Shant ho jaeye maa ji, aap itna over react na kijiye" .... Payal, Chandrika devi ke kandhe par hath rakhti hui kahi....
Chandrika devi.... Arree jara dekho to inhe, kaise gale lage chipke khare hain humare samne aur iss police wale ko dekho kaise luta pita aaya ho. Jaroor in dono ki karastani rahi hogi kuch na kuch....
Sach he kahi Chandrika devi, inspector ke badan par bas puri wardi he thi baki haalat bhikhariyon jaisi. Inspector, Chandrika devi ki baat sun kar khyalon me chala gaya. Ashk aur Drish ki pyar bhari baten aur usme piste wahan ke police karmi aur lock up me band mujrim. Kaise dono ne alag-alag lock up me rahne ke karan pure police station ki aisi ki taisi kar diya. Dono ke baton se trast ho kar kaise char kaidiyon ne apna sir diwal par patak-patak kar phor liya. Dono ne milkar kaise police staion ko sansand bhawan me tabdil kar diya.
Inspector rote huye..... "Kya kha kar paida kiya tha dono ko, abhi bata do, main apni biwi ko mana kar dunga uss chij ko khane se... Aise bhi bache hote hain... Kaun hai iske parent samne aao".
Aakash haste huye.... Arre ghopade ji, kyon itna ro rahe hain, aur aap ki ye haalat kaise hui...
Ghodpare..... Aap kaun, aur mera naam kaise pata, dikhne se itne bare ladke ya ladki ke pita to nahi lagte, jaroor bhai honge.
Aakash.... Wo aap ka name plate tanga hai na. Waise main bhai hun uss ladki Ashk ka aur jija hun uss ladke Drish ka.
Payal.... Sab shant, sir aap ke liye kuch chay coffee mangwaun...
Ghodpare.... Ek glass pani de dijiye bahan ji bari meharbani hogi.
Appu.... Hooooo, di aap ko bahan ji kaha, mazak urraya aap ka. Bhai suna na aapne...
Payal, ghodpare ko aankhen dikhati.... "Inspector sahab aap ne mera mazak urraya"....
Ghodpare khud he apne bal nochta khud ko do thappad mara.... "Main he gadha hun, mujhe samjhna chahiye tha ye inhi dono ki family hai. Aanhhh ! Pagalkhane me aa gaya hun main to. Sab ke sab pagal hain kya iss pariwar me ... Main ruka he kyon hun yahan..... Apne dono chiragon ko sambhal kar rakho.... Bahar khule me mat bhejo dono ko, logon ko taklif hoti hai... Dedly couple hain ye to ... Main chala...
Payal.... Arre sir, suniye to... Sir...
Ghodpade rukna to dur pichhe mur kar dekha tak nahi.... Payal dono ko aankhem gurrati puchhne lagi.... "Sadkon par aaj kya tamasa kar rahe the dono ... Jarra khul kar bataoge" ....
Drish.... Thodi si masti aur kuch nahi...
Chandrika devi... Besharmon, college me khullam khulla milte ho, tv par beshamon ki tarah aa rahe ho. Iss ladki ka to main khun kar dungi... Kaise bhangi si bani hui chadhi thi car ke upar.... Dono ander car me kar kya rahe the.....
Appu.... Romance he kar rahe honge aur kya....
Amme ne ek thappad jar diya Appu ke gal par.... "Aap sab continue karo, isse samjha di hun bich me ab nahi bolega"....
Ashk.... Amme, ek mere aur ek Drish ke ore se bhi do isse, ghar par phone issi ne kiya tha...
Appu.... Huhh ! Maro mar dalo... Khud to dono settle ho gaye, aur jab bari muskil se main Joya se apne dil ki baat kahne he ja raha tha, to dono ko wahi waqt mila tha khullam-khulla romance karne ke liye.
Payal.... Main to tang aa gayi hun dono ki harkton se, Aakash aap kuch bolte kyon nahi...
Aakash..... Mujhe yahan par kuch bolna chahiye tha kya...
Payal.... Huhhh ! Mujhe to lagta hai dono ko badhawa aap he de rahe hain...
Chandrika devi.... Lado main teri maa hun, kuch to khyal kar, ab bhi mere samne chipki hui hai Drishse, hat to jao kam se kam...
Ashk.... Mamma, ab aise pass sath khare hone me bhi paresani ho rahi hai kya... Thode na main love se yun gale mil rahi hun... Uske gal par yun kiss kar rahi hun... Uske hont par...
Payal.... Bas-bas... Demo ki jaroorat nahi hai jyada, maa ji rahne do sath he to khare hain.... Par pata nahi kyon mujhe bhi dono se besahrmi ki bu aa rahi hai....
Chandrika devi.... Payal main to kahti hun, ya to Drish ko ya lado ko .. Dono me se kisi ek ko bhej do Rajasthan... Na ek jagah rahenge aur na he hume ye din dekhna parega...
Chandrika devi kaphi gambhirta se apni baat kahi. Uske chehre se saaf samjh me aa raha tha ki wo kitni serious hain. Drish ko bhi ye ehssas hua aur wo apne ghutno par baith kar sab ke samne hath jor kar kahne laga.....
"Sorry, hum bas thodi si masti mazak kar rahe the, aur aap sab ko thoda chidha rahe the. Rajasthan bhej doge to bhi wapas laut kar hum ek he honge na, to hume dur he kyon kar rahe ho.... Ashk thodi chanchal hai, par bahut samjhdar, hai mera viswas karo. Mazi cuteee is proud for me. Bas aap sab naraj na ho, haan thodi shararti hai to uske liye main maphi mangta hun... Aage aap ki marji".....
Drish sache dil se apni baat kah kar sab ke ore dekhne laga..... Pura mahol shant, halanki kah to raha tha Drish bilkul sach aur dil se... Sab log jaise sochne lage ho Drish ki baton par...
Appu, jor ki siti bajate huye...... "Woooo hoooo, chha gaye bhai. Kya baat kahi hai, ye bare log samjhte he nahi ki humare bhi kuch armaan hote hain. Khud to humari umr me humare jaise karne ka sochte honge, aur khud na kar paye to bachon ko rok rahe hain".
Amme.... Cute hai dono, please inhe alag mat karo...
Aakash.... Haan inka dil na toro, inki sharten raunak lati hain iss ghar me. Dono dur honge to achha nahi lagega.
Payal.... Jane do maa ji, aakhir miya biwi raji to kya karega kaji....
Ashk, apne dono kan pakar kar Chandrika devi ke samne khari ho gayi...... "Sorry mamma, aap jab chillati hain, to usme bahut pyar najar aata hai. Kuch shararten, kuch nadani, aur dher sare dil ke arman bas yahi humara kasoor hai. Please hume alag mat karo....
Mahol kuchh der shant sa raha, sabhi log Chandrika devi ki ore he najren kiye dekh rahe the. Chandrika devi sab se muh ferti picche mur gayi, najre fer li sab logon se..... "Har baat ki apni ek limit hoti hai, humne tumhe samjha. Tum dono ek dusre ko chahte the to aapas me milwaya bhi, lekin tum dono ne kya.... kabhi hume samjha"
Payal.... Maa ji main in dono ke ore se maphi mangti hun. Ab please gussa chhor dijiye...
Chandrika devi.... Nahi Payal, baat wo nahi hai. Main kya dushman hun dono ki par mere jazbaat ki kadar dono me se kisi ne nahi kiya.
Drish.... Aunty, main hum dono ki ore se maphi magta hun, aap ka dil dukhana nahi chahte the, lekin aap ka dil dukha, hume afsos hai. Aap jo bhi kahengi, jaisa bhi kahengi, main karne ke liye taiyar hun.
Ashk, Drish ki kalai kas ke pakar li, kabhi sochi nahi thi ki wo apne love se alag hogi. Saham si gayi uski dharkane ye soch kar he ki ab sayad kahin bichharna na pare.... Lekin Ashk ke man me koi do rai nahi thi ki wo apne swarth ke liye apne mom-dad ka dil dukhaye.......
Ashk, Drish ke hath ko jor se pakar kar kahne lagi..... "Galti meri hai mamma, Drish ki nahi. Lekin koi baat nahi aap ko jis baat se satifaction mile wo he karo, hum kuch duriyan bardast kar lenge.
Hasi khusi ka mahol dhire-dhire gum me tabdil hota caha ja raha tha... Wahan maujood kisi ki bhi ikchha nahi thi ki Drish aur Ashk ek dusre se alag ho. Sabhi kisi butt ki tarah khare ho kar bas Chandrika devi ke bolne ka intzar kar rahe the....
Mahol shant bilkul shant aur gamgin tha. Chandrika devi samne muri, kamosi se sab ke chehre padhne lagi.... Faisle ke intzar me sabhi logon ki najren bas chandrika devi par he tiki thi.....
"Tum sab ko kya lagta hai, mera dil patthar ka hai. Main kya inke jazbaat nahi samjhti. Lekin tum log bhi abhi tak baat ki gahrai ko samjh nahi pa rahe. Har din ye apne pyar ke nashe me swarthi hote ja rahe hain. Aaj sadkon par jo bhi inhone kiya jarra socho yadi koi medical emergency hoti to kya hota. Isliye chahe koi dukhi ho ya khush... Saza maine tay kar di hai, aur dono ko ye faisla man'na hoga warna main samjhungi meri koi beti thi he nahi, aur na he koi pariwar".
Maa ki baat sun kar Ashk ka dil ro para, jitni dard wo Drish se bichharne par mehsus kar rahi thi uss se kahin jyada maa ki wo baat chubh gayi jisme unhone kaha "main samjhungi meri koi beti he nahi"..... Kisi ke pass koi sabd nahi bache the, Chandrika devi se kahne ko .... Bas ab Drish ke jane ki taiyari ....
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
Maa ki baat sun kar Ashk ka dil ro para, jitni dard wo Drish se bichharne par mehsus kar rahi thi uss se kahin jyada maa ki wo baat chubh gayi jisme unhone kaha "main samjhungi meri koi beti he nahi"..... Kisi ke pass koi sabd nahi bache the, Chandrika devi se kahne ko .... Bas ab Drish ke jane ki taiyari ....
Drish.... Thik hai aunty, aap ki jisme khushi, main do din baad yahan se chala jaunga.
Drish ne jaise he jane ki baat kahi, Ashk uss se lipat gayi, kuch bunde anshu ke uske ankhon me the, aur nam aankhon se kahne lagai..... "Main tumhe bahut miss karungi love, pata nahi main kaise rahungi. Mujhe kuch bhi achha nahi lag raha".
Drish kuch der khamosh khara raha jaise Ashk ki dharkano ko mehsus kar raha ho. Kandhe pakar kar usse khud se dur kiya, Drish ki itni himmat nahi hui ki wo Ashk se najren mila sake, bas chup chap wahan se apne kadam dhire-dhire aage badha liye.
Tabhi gambhir se aise mahol me hasi thithkari gunj gayi. Sab log jor-jor se hasne lage. Dono he sab ke chehre gaur se dekhne lage. Ashk aur Drish dono ko samjh me aa gaya yahan kya chal raha tha.... Ashk phir bhi roti hui apni maa se lipat gayi.
Chandrika devi, Ashk ke sir par hath pherti kahne lagi..... "Main bhi teri maa hun, itna paresan kiya uske badle me humne bhi thoda sa tumhe paresan kar diya.... Chup ho ja koi kahin nahi ja raha"....
Payal.... Lekin iska ye matlab nahi ki dono apni he manmani karo. Ye abhi ka mazak sach bhi ho sakta hai, yadi phir kabhi tum dono ne logon ko paresan kiya to.
Chandrika devi...... Kuwari beti kisi ladkey se lipte chipte to maa ka dil par chot lagti he hai, ye tu na samjhegi, isliye hum sab ne tay kiya hai ki tum dono ki engagement jald se jald karwa diya jaye. Rana ji aa rahe hain agle hafte wo Drish se mil len uske baad dono ki engagement hum jald se jald karwa denge.
"Ab chhoro bhi mamma mujhe, ab to humara engagement hone wala hai, woohoo party time".... Aur Ashk uchhal kar ja kar Drish ke gale lag gayi....
Payal hsti hui..... "Ye kabhi na sudhrne wale hain"...
Amme.... Ye yadi sudhar gaye to phir tum log baat kis visay par karoge..... Ab itne bhi orthodox na bano, gale he to mil rahe hain...
Ashk.... Appu sab ko phone laga... Hum party karne ja rahe hain aaj raat...
Aakash..... Koi kahin nahi jayega... Drish mere sath chalega... Aaj hum jija-sala baith kar aapas me baten karenge.... Idhar tum nanad-bhabhi bhi aapas me baten karo...
Aahk aur Drish ek sath.... Baten ???? Hmmm ! Thik hai....
Drish, Amme aur Aakash teeno he wahan se nikal aaye. Chandrika devi ko drop karte huye teeno sidha pahunche adde par....
Teeno confrance hall me pahunche. Ye wahi hall tha jiske ander ke hidden kamre me bahut sare electronic gazets rakhe the.
Aakash.... Tumhara kaam hum ne kar diya hai, lekin ab tum kya karoge...
Drish..... Santanu ki koi information hogi wo main nikalunga, phir bahut sari ladkiyon ko isne videsh bheja hai, Rasul se uska bhi pata lunga, aur phir dekhte hain kya karna hai....
Aakash.... Rasul ke pass se tumhe dr Santanu ki koi information nahi milegi, kyonki agar Dr ko muh he kholna hota to wo boss ke pass kab ka muh khol chuka hota...
Drish.... Boss ???? Hmmm ! Jijaji kya ho yadi hum boss ko yahan utha laye.
Amme.... Sayad tumhe kuch na ho, lekin Payal, Ashk, tumhare dost, in sab ko bahut kuch ho sakta hai. Tumhare dimag me chal kya raha hai Drish.
Drish.... Kuch bhi nahi.... (Aur ek khamoshi Drish ke chehre par aa gayi)
Aakash.... Jante ho Drish, hum isliye nahi darte ki hum kamjor hain, lekin kabhi-kabhi apno ke liye darna parta hai.
Amme.... Aakash, tum prwachan dena band karoge. Drish tumhara main lakshya kya hai.
Drish.... Main to bas jan'na chahta hun mere parent kaun the, aur kya hua tha unke sath.
Amme..... Hmmm ! Aur yadi pata chale ki kisi ke wajah se unhe kuch ho gaya tha, to tum kya karoge?
Drish ka khun ander se khaul gaya, lekin khud par kabu rakhte huye bare he dhime se puchha..... "Tum batao mujhe kya karna chahiye"
Amme.... Yadi capable ho to unke sath huye galat ka badla lena chahiye. Lekin kabhi-kabhi atit me jhakna dard he deta hai. Hum badle ki aag me to jalte hain, lekin humara vartman uss badle ko pura karne se rokta hai. Main ye nahi kahungi ki tumhare pichhe tumhara ek pariwar hai... Lekin ek he baat kahungi... Jo bhi karna apne vartmaan ko bacha ke karna.... Sab ko kho kar tum badla le bhi liye to bhi tumhe koi khushi nahi milegi....
Drish.... Hmmm ! Samjh gaya....
Amme.... Ab batao tumhe ye kyon jan'na hai ki Rasul ne yahan ki ladkiyan kise aur kahan bheja hai...
Drish.... Amme kaise baten kar rahi ho.... Unke pariwar ko dekha hai maine, apno se bicharne ka gum mehsus kiya hai... Main yadi unko milwa deta hun to main ye samjhunga iss bhalai ke badle upar wala jaroor meri madad karega.
Aakash..... Thik hai Drish... Humari jab jaroorat ho hume yaad kar lena... Waise bhi aaj kal humare pass koi kaam nahi hai... Aur jo bhi karna viswas se karna ....
Amme.... Ab hum chalte hain, Rasul tumhara hua...
Drish.... Ruko dono, hamesa apne he sawal dagte ho, aur khud he uska jabaw de kar nikal jate ho...
Aakash... Ha ha ha, kya hua sale sahab, bari bekarari hai ki Rasul yahan tak pahuncha kaise.
Amme.... Ha ha ha... Haan sayad, bechare ka chehra dekho kitna suspence me hai.... Drish bhul gaye kya kaise humne wo file urrayi thi uss ghar se... Aur yahan to tumne mujhe uss chindi chor Rasul ko uthane ka kaam diya tha.... Samay he kitna lagna tha.... Ek ghante me uske bill ka pata lagaya... Aur uske baad police ko ek phone call ... Phir kya 90% kaam police ne kar diya... Bache 10% me humne usse utha liya... Simple..
Aakash.... Haan uss commisnor ki ladki ko uthane ka plan tumhara badhiya tha, bas usme thoda badlaw kar diya humne....
Drish.... Kaisa badlaw jija ji...
Aakash.... Wo ladki yahan hoti to commisnor kewal Rasul ke gangue se puchhtachh karta aur apne beti ka pata lagata.... Isliye hum usse yahan se bahar le gaye... Ek car me akela chhora... Aur aisa mahol banaya ki Saurav usse car se nikal kar bhaga diya...
Drish.... Kya ???? Aap ne saurav ko bhi isme samil kar diya....
Aakash.... Haan mujhe laga tumhe ek aur sathi ki jaroorat hogi isliye ek dost ko aur involve kar diya...
Drish.... Hmmm ! Pata nahi aap sab ke dimag me bhi kya chalta hai, waise abhi baat khatam nahi hui. Iss Rasul ke chakkar me abhi to pura baki hai Rachna ke sath huye uss ghatna ke bare me Amme... Wahan hua kya tha....
Amme.... Na, wo nahi batane wali main, kyonki uss din he tumhe kahi thi, tum training ke liye aa rahe ho.. Par tum to busy ho gaye. Ab jab aaj se ya kal se traning shuru karna to bataungi... Wahan kya hua tha. C u .. Tum ab apna sikar dekho.
Dono wahan se chale gaye, Drish Rasul ke pass pahuncha apne sawalo ke jabaw mangne...
Rasul aur Robin ne Drish ko jaise he dekha chauk kar muh se unke ek he awaz nikli ..... "Tuuuuuu"
Drish ne dono ko ghura, gun nikal kar samne rakha, bola..... "Dekho, bas mere do teen sawal hain, uska jabaw de do, main kisi ko kuch nahi karunga.
Robin.... Tu janta bhi hai tune kis se panga liya hai...
Drish... Galat jabaw Robin, agli bar muh kholo to sawal jo puchha uaka jabaw aana chahiye, dusri baten nahi.
Rasul.... Ladkey tum ne sher ke mand me ghusne ki kosis ki hai, iski saza sirf tujhe he nahi tere khandan ko bhi bhugtni hogi....
"Dhichkyonnn" ek round firing ki sound, aur goli Robin ke paun ke anguthe ke chithre urrati nikal gayi. Robin dard se krrahne laga aur Rasul, Drish ka chehra bas dekhta rah gaya.
Drish.... Bola tha jabaw soch kar do. Sunte he nahi tumlog pyar se. Don't worry main kisi ko marunga nahi bas phaltu bakte rahe to aise he zakham deta rahunga. Ab in jakhmon se tum sab kab tak marte ho wo tumhari kismat. Ya phir mere sawalon ka jabaw de kar yahan se azad ho jao. Choice is your's. Filhaal main chala.
Mujhse hi aaj mujhko mila de
Dekhoon aadaton mein, tu hai ki nahi
Har saans se pooch ke bataa de
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi…
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
(17-03-2018, 04:50 PM)rishiraj : Kanjoos bas itu sa update
Bhai teko ek hi baat 100 baar bolni padti hai kya ?...
2 se jyada Update nahi de sakta... Aur ab to mere exams bhi chalu hogaye.... Pata nahi Update de bhi paunga ki nahi!
Drish.... Bola tha jabaw soch kar do. Sunte he nahi tumlog pyar se. Don't worry main kisi ko marunga nahi bas phaltu bakte rahe to aise he zakham deta rahunga. Ab in jakhmon se tum sab kab tak marte ho wo tumhari kismat. Ya phir mere sawalon ka jabaw de kar yahan se azad ho jao. Choice is your's. Filhaal main chala.
Drish apne mansubon ka ek chhota sa namuna Rasul aur Robin ko dikha kar chala aaya. Robin dard se chatpata gaya.... Rasul ke bhi dimag me kahin na kahin ye aane laga tha ki garam khun hai kuch bhi kar sakta hai. Drish bhi apna kaam karne ke baad wahan se bina kuch bole chala aaya.
Subah ke teen baje ...... Amme ke ghar, Drish ke training ka...... Pahla din .
Drish apne uss sawal ka jabaw mangne ke liye na jane kab se bekarar tha..... Wo Amme ke pass pahunchte he sab se pahla sawal Rachna ke bare me he kiya.....
Amme, Drish ki training shuru karti hui baat karne lagi.... "Rachna ke bare me jabaw dene se pahle tum mujhe ye batao, uss din Rasul ki beti ko hotel se kidnap karne ke baad phans kyon gaye".....
Drish.... Mujhe idea nahi tha, police humare pichhe hath dho kar par jayegi.....
Amme.... Dhyan se samne target ki ore dekho... Haan to tum kah rahe the... Tumhe idea nahi tha ki police pichhe paregi... Lekin jante ho garbari kahan thi.....
Drish.... Hmm kahan ...
Amme.... Exit plan.... Kisi bhi mission ka.... Kya kar rahe ho Drish, concentrate target... Haan to main kah rahi thi, kisi bhi mission ka sab se aham hissa hota hai exit plan ... Kyonki mission ke success ke sath-sath pure team ki jaan kewal exit plan par atki hoti hai.... Ek chhoti si galti aur kayi sare random musbit... So agli baar se jitna time sab kuch plan karne me lage uss se char din jyada exit plan par dena.... Har muskil se muskil, aasan se aasan chhoti bari har baat par gaur karna.
Amme.... Haan bilkul. Nishanebaji hume sikhata hai target lock karna... Target yani ki lakshya, jisne lakshya bhed liya usne jung jit li, isliye karte raho nishanebaji....
Drish..... Amme wo to samjh gaya, par uss raat main phasa kaise....
Amme... Drish, uss raat tum bfikr ho gaye... Jab tum kisi khatranak kaam me involve hote ho to tumhe har chij ka dhyan rakhna parta hai....
Drish.... Wo to samjh gaya ki main befikr ho gaya lekin phasa kaise aur kaun phasa raha tha...
Amme.... Phsaya kisne tha uska jabaw hai main.... Aur rahi baat kyon to wo naya assignment main tumhe kal dungi.... Phir tum samjh jaoge kyon... Filhaal aaj ki baat yaad rakhna exit plan...
Drish... Hmm thik hai Amme.... Amme waise ye reasoning ki book kahan milegi...
Amme.... Good point Drish, par tumhe kaise pata reasoning ke bare me..
Drish.... Yun he bas suna tha...
Amme.... Haan sahi chij suna hai, reasoning yani kisi bhi chij ka ek logical way aaklan karna aur uss se kisi natije par pahuchna.... Drish, bahut kharab nishana hai tumhara... 100 meter ki range me sahi se nishana nahi laga rahe.... Rahne do ... Aaj ke liye kaphi hai...
Drish.... To ye reasoning sikhte kaise hain... Kya koi simlar pattern hota hai...
Amme.... Nahi reasoning ka koi simlar pattern nahi hota. Yun kah lo ki ye ek aisi bhasa hai jiska izat koi bhi apne hisab se kar sakta hai, lekin haan us izad ka apna ek pattern hota hai, jisse hume logical way me soch kar jorna parta hai....
Drish.... Hmmm ! Thik hai amme samjh gaya main...
Amme...... Kya smjhe.... Abhi kuch nahi samjhe... Aaj he market se kai tarah ke book lena reasoning ke aur sath me physics ke bhi....
Drish.... Kya kitab bhi padhni hogi....
Amme.... Ha ha ha... Haan aur task bhi milega.... Reasoning ke koi ek chepter utha lena aur usse solve karna, kal aana to batana kya padha... Aur haan physics me motion ka chepter end kar lena ...
Drish.... Itna padhunga to Ashk ke liye samay kahan se bachega....
Amme..... Drish jo main tumhare sath shuru karne ja rahi hun, wo to haalanki bahut pahle ki training se shuru kiya jata hai, aur kai salon baad ja kar log isse sikh pate hain... Lekin tum khud ko pahchano.... Tum aam insan se kahin badh kar ho... You are class a part... Tum har chij kar sakte ho...
Drish.... Thanks Amme, lagta hai raat ko he manage karna hoga. Khair traning khatam ho gayi ho to main chalun...
Amme.... Arre abhi to phusical excercise baki hain.... Wo shuru karo....
Takiriban ek ghante tak Drish apna physical exercise karta raha.... Uske baad wo wahan se wapas aa gaya... Raat chuki Ashk Payal ke sath he soyi thi isliye wo bhi subah jaag kar Drish se milne ke liye gayi, lekin Drish to apne kamre me tha he nahi....
Drish jaise he hall me kadam rakha, Ashk uss par bharkti hui puchne lagi.... "Kahan gaye the aap subah-subah, jante hai na main yahin thi, aap se milne kisi bhi waqt aa sakti hun, phir bhi chale gaye. Jao aap ko to lagta hai mujh se koi prem he nahi bacha....
Drish aschrya se Ashk ko dekte huye uske pass pahuncha... Uske sir par hath lagaya aur apna kaan uske sine se laga kar uske dharkan sun'ne laga....
Ashk.... Main abhi naraj hun, aap dur hatiye aur pahle mere sawalon ka sahi-sahi jabaw dijiye...
Drish bara sa aankhen phare.... "Ashk... Tum thik to ho na mazi cuteee"
Ashk.... Mujhe kya hoga bhala...
Drish.... Tumhari bhasha bahut he badli-badli si hai... Aur haan kaphi pyari bhi...
Aahk thodi sharmati hui.... "Wo kal bhabhi ne samjhaya, unhone ye bhasha try karne ki salaah bhi di, try ki.. Bahut achha lagta hai bolne me... Mujhe pasand aa raha hai aap se aise baat karna"
Drish.... Achha, to jarra feeling share karo, kya feel ho raha hai aise baat kar me...
Ashk.... Love... Mujhe na ander se ek ajib respect ki feel aa rahi hai... U know something that can feel but cann't express waisi haalat hai sayad. Amm ! Yun samjh lo ki main khud ko aap ke bahut karib mehsus karti hun. Kal sach he kahi thi bhabhi ne...
Drish.... Kya kahi di ne...
Ashk... Huhh ! Kya karoge aap jaan kar, wo mere aur bhabhi ke bich ki baat hai. Main puchhi kya, kal raat aap ke aur Aakash bhaiya ke bich kya baten hui...
Drish.... Achha yaad dila di, puchhna kya hai... Wo to main sidha kar ke dikha he deta hun....
Ashk sofe par baithi thi, Drish uchhal kar uske pass pahuncha. Uske baal ko khinch kar chera upar kar diya aur uske gardan se muh laga kar chumne laga........ Ashk jor se chilla di.... Bhabhi... Bhabhi...
Ashk.... Kuch nahi bhabhi, ek moti chhipkali thi bilkul mere upar he gir rahi thi...
Payal.... Bhaga kya, nahi bhaga to wahin sofe ke niche danda hoga, mar kar bhaga de...
Ashk hasti hui.... "Bhabhi, dar ke mare dur bhag gaya"....
Drish..... College chal tumhe to main raste me dikhata hun, bari aaj kal nanad-bhabhi me guft gu chal rahi hai... Aur sare practical idhar ajmaye ja rahe hain....
Aahk..... Huhhh ! Horny ho rahe ho subah-subah, kuch to khyal karo hum hall me baithe hain. Aakash bhaiya ne kya ye sab sikhaya... Jhoote.. Puchhun kya unse...
Drish.... Sauk se puchh lo na, yadi haan kaha to phir main pura wo sab karunga jo bhi unhone kaha...
Aahk.... Pura se kya matlab aap ka...
Drish.... Heeeheee heee heee, kahte sharm aayegi, karte huye he bataun to jyada achha hoga...
Ashk.... Dhat besharm kahin ke, pura topic he change kar diye. Aap baat ko ghumaeye mat... Kahan gaye the subah-subah, kaun kalmuhi hai jis se aap chhip kar milne jate hain...
Drish.... Amme kalmuhi hai hujoor, jis se main subah ke teen baje milne gaya tha, aur abhi lauta hun
Ashk.... Kya Amme... Pahle nahi bata sakte the......
Mujhse hi aaj mujhko mila de
Dekhoon aadaton mein, tu hai ki nahi
Har saans se pooch ke bataa de
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi…
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla