Appu jamin par pair more baitha tha, Chandrika devi uska kaan pakar kar marore rahi thi, aur puri bhir gusse me khadi usse dekh rahi thi..... "Aaj to lagta hai ye gaya kaam se"
Bhir se ek aadmi.... Isse itna maro ki ye aaj ke baad dobara phir kabhi chori ka naam na le....
"Chatak-chatak" bhir aakroshit ho gayi, aur thappad parne lage.... Bich bachao me kuda Drish... "Hato, sab hato yahan se".....
"Iska pura gange lagta hai, maro isse bhi".... Bhir me se phir se kisi ki awaz gunji... Ab Drish ko bhi bhir ne dhar dabocha...... "Koi hath to laga kar dikhaye mere love ko, khun kar dungi main uska" .... Logon ka hath chhurati Ashk, Drish ke aage aa kar khadi ho gayi.....
Chandrika devi.... Ye kya nautanki hai tum sab ki, aap sab jaeye main in se nipat lungi....
"Nahi, nahi aap rahne dijiye, hum inki puri gange ko police ke hawale karwa denge".... Bhir me se phir kisi ki awaz gunji....
Chandrika devi taish me aati hui kahne lagi..... "Ab kaha na jao, bhago tum sab yahan se, koi kaam dhandha nahi hai kya"
Puri bhir titatr bitar hui.... Aur Chandrika devi sab ko le kar apne ghar pahunchi.... Sofe par baithe charo khamosh bas ek dusre ka muh dekh rahe the.....
Appu.... Aunty, kya chay milegi thodi....
Chandrika devi..... Shadi me aaya hai kya, jo main teri sewa karun.... Ja udhar hai kitchen hum sab ke liye bana kar la....
Ashk..... Rahne do, main jati hun.....
Chandrika devi.... Koi kahin nahi jayega.... Pahle ye batao bajar me chal kya raha tha....
Appu..... Aap bhabhi ki mummy hai na, to phir main aap ko kaise bata dun, ki bhai jo hai bhabhi se akele me kuch kahna chahte the, aur aap kabab me haddi bani hui thi..... Isliye main to kahunga ki main kuch nahi janta.....
Chandrika devi, Appu ko ek thappar marti..... "Dono niklo yahan se, samjh gayi main puri baat, aur haan dono me se kisi ne iss apartment ke aaju, baju bhi aane ki kosis kiye to dekh lena main kya karti hun...
Appu.... Main kya kah raha tha.... Bhabhi chahy banane ja he rahi hai, to hum chay pi kar chale jate hain...
Chandrika devi jhadu ki ore lapki aur do-teen jhadu jama diya Appu ko.... "Bhago bhai, ye buddhi to khisak gayi hai".... Dono nikle jaldi se bahar.....
Appu..... Bhai ye aap ki saas kya phulan devi ke khandaan se hai, jo baat-baat par marti hai....
Drish, Appu ko gale lagate..... "Tu mera bhai jaisa hai, tum ne jo kuch kiya uska ehsaan rahega mujh par"
Appu..... Bhai bhi kahte ho aur ehsaan ki baat karte ho, apan to anath hai bhai, mumbai ke sadkon ne pala hai. Maa kaun, baap kaun koi pata nahi.... Bas jo bhi mila yahin se mila.... To bhai ko aadesah kiya karo, aise aabhar jata kar senty mat karo. Bhul gaye kya humara rista... Ram-Sita aur Hanumaan....
Drish.... Haan haan samjh gaya... Ab bari-bari baten na kar.... Chal tujhe ghar chhor deta hun...
Appu ko Drish chhorne chala gaya. Appu jab utar raha tha tabhi kurta pajama pahne ek aadmi ke pichhe 6/7 gundey chal rahe the, aur usse dekh kar Appu dhire-dhire galiyan dene laga.....
Drish.... Kaun hai wo Appu...
Appu.... Madarchod harami hai.... Jane do bhai aap ghar jao, inhe jhelna to humara roj ka kaam hai....
Tabhi wo uss kurte pajame wale ke sath jo gundey the un me se ek Appu ke pass aa kar kahne laga..... "Iss raviwar, tum panter log aa jana, tum sab ki dawat hai".....
Appu.... Robin dada, kis khushi me party hai....
Robin..... Rasul bhai ki beti ki shadi hai, ussi me bahut sare kaam karne hain tum sab ko. Isliye koi deri mat karna.... Aur raviwar subah aa jana....
Appu..... Aa jaunga na bhai... Bilkul samay se...
Itna kah kar Robin chala gaya.... Uske jate he..... "Ye Rasul kaun hai"
Appu.... Bhai ye mayanagri ke sath-sath kali nagri bhi hai.... Aur Rasul ussi kali nagri ka ek harami hai.... Jane do, in sab se jitna dur rahoge utna achha rahega.....
Drish.... Waise ye kali nagri ka Rasul hai kaun, jarra surat to dikhla do....
Appu.... Arre wo jo kurte pajame me hai, wahi to hai Rasul...
Drish apne hathon se ishara karte huye.... "Ussi ke bare me baat kar rahe ho kya"
"Ye kya kar diya, uski ore ishara nahi karna tha, ab please chup rahna, kuch mat kahna"..... Itte me Rasul ke sare ladkon ne Drish ko gher liya.....
"Tu bhai ki taraf ishare kyon kar raha tha be"..... Robin ghurte huye puchhne laga.....
Appu kuch bolne he wala tha uss se pahle Drish bolne laga..... "Inhe bas jan'na tha isliye Appu se confirm kar raha tha" .... Ek baar phir Drish ne apni ungli ka ishara Rasul ki ore kra ke apni baat kahi....
Robin.... Aira samjha hai kya, kaun hai tu bata.... Kya karne aaya hai idhar...
Appu.... Bhai ye mera dost hai.... Aur...
Drish, Appu ki baat kat'te huye..... "Ek min, sawal mujh se kiya gaya hai mujhe bolne do.... Mera naam Drish hai, aur maine bas jigyasa wash pucha Rasul bhai kaun hai, Appu ne bataya to maine confirm karne ke liye hathon ka ishara kiya.... Par tum sab itne bare fattu ho mujhe nahi pata tha..... Ek ishara karne par itna shaq.... Aisa lagta hai hai, gidar jhund me aaye hain....
Puri gange ko uksa diya Drish ne, Robin ne turant gun ke point par liya Drish ko..... "Haramjade, kutte ke pille, ye hai asli sher, daba dun kya gora... Bata... Bata na"....
Appu.... Bhai, bhai ye kya kar rahe ho...
Rasul.... Hunnnn ! Gun hata Robin... Kaun hai be tu jo mere ilake me aa kar hum ko he aise suna raha hai...
Drish.... Main ek aam ladka.... Aur hasi aa rahi mujhe ab. Mujh se bhirne ke liye 20 logon ne mujhe gher rakha hai.... Khair maine sach he kaha tha sab ke sab phattu ho....
"Kya kaha be tune, madar"..... Abhi Robin ne itna he kaha tha ki ek solid mukka bikul 1000mile/hr ki raftar se uske bayin ore se sir par laga aur wo jamin par...
Drish.... Mard ka bacha hun, juban sambhal kar baat karo... Aur haan Rasul bhai, thode dimag wale ladkon ko palo, aise logon ko sath rakhoge to future jyada bright nahi hai....
Rasul ke sare ladke usse marne par tule the..... Gahma-Gahmi wahan par kaphi badh gayi..... Rasul sab ko side karte..... "Ae tu kya pagal hai, tujhe dar nahi lagta, itne sare log hain... Main chhor dun inhe to abhi tujhe mar girayenge"
Drish.... Roka kisne hai mar do.... Par Rasul bhai, mujh bache ko mar kar kya karoge dhyan apne dushmano par lagao na.... Yahi to maine bhi kaha tha pahle jarra gaur karo meri baton par... Aap he Rasul bhai ho bas yahi jan'ne ke liye ishara kiya tha na.... Phir baat khatam kar dena tha... Par gadhe pal rakhe hain .... Apne kaam me dhyan dene ke badle inhe naye lafre palna achha lag raha hai .....
Haan manta hun ki aap khauff kayam karna chahte the, par ye kyon bhul jate hain ki kabhi aap se bhi koi balwan aap ke samne phas sakta hai.... Tab ... Tab kya hoga... Jo baat aasani se khatam honi thi, wo aap ke gange ke khatme ke sath khatam hogi..... Bas main yahi samjhana chahta tha... Baki meri koi aukaat nahi... Faisla aap ka.....
Rasul... Sab pichhe hato... Ladkey ke pass dum aur dimag dono hai.... Ae sun tu karta kya hai....
Drish.... Main to padhai karta hun bhai....
Rasul.... Kya tu mere sath kaam karega....
Drish.... Bhai full time nahi, lekin part time jaroor karunga.... Manjur ho to batana ....
Rasul.... Ha ha ha.... Chalega. Aur haan sun raviwar ko meri beti ki shadi hai, iske sath chale aana.....
Sab log wahan se chale gaye... Un ke jate he Appu kahne laga..... "Bhai, kya solid punch tha, ek punch me usse nani yaad dila diya, par jo bhi hua wo galat hua"
Drish.... Kya galat hua Appu...
Appu.... Bhai, tum uske gange me ja rahe ho, ye galat hai..... Kutte ki jaat hai inki, aur koi iman dharam nahi. Madarchod hain jaat ke ..... Jante ho uss din jo Hasan bhai aaye the na....
Drish chaukte huye.... "Haan Hasan .... Kya hua usse"...
Appu.... Hasan bhai ki ek bahan thi... Usse utha liya in logon ne .... Aur pahle to ** kiya aur phir usse videsh me kahin bech diya.... Harmjade hain sab ke sab ..... Jab tak in ko aap me koi kaam dikh raha hai tab tak aap ke, phir to ye apne baap ke bhi nahi......
Drish, Appu ke kandhe par hath rakhte huye..... "Thik hai, kal sab ke sath meri ek meeting fix karwao, koi mere doston ko paresan kare ye main bardast nahi kar sakta"
Appu.... Bhai tum karne kya wale ho.... Ye sab bhul jao. Aap achhi family se ho apne kaam par dhyan do....
Drish..... Mere Hanumaan, tu apne Shree Ram ka kahna maan jaisa kaha waisa kar.... Baki tamasa dekhta ja.......
Drish..... Mere Hanumaan, tu apne Shree Ram ka kahna maan jaisa kaha waisa kar.... Baki tamasa dekhta ja.......
Appu ko suspence me he chhor kar Drish wapas ghar laut aaya. Appu ko thodi chinta bhi satane lagi, aage Kya hoga. Kyonki Rasul ki darandgi wo bachpan se dekhta aa raha tha, aur wo kabhi nahi chahta ki Drish kisi bhi lafre me pare.
Idhar Drish muskurate hua pahuncha... Amme use ke muskurane ka karan bhi jaan rahi thi aur sath me Rasul ke sath panga hua wo bhi, lekin Drish ko uske haal par chhorti wo bas chijon par gaur kar rahi thi.
Aaj bahut din ke baad Ashk mili thi, ab dil mane kahan, par siway intzar ke aur koi chara nahi the. Drish ko intzar tha to bas raat ka... Kab raat ho aur wo Ashk se milne jaye.
Raat thik 01:00am baje wo nikla... Jaise he wo nikal raha tha, tabhi Ashk ka massage aa gaya..... "Sorry love, nind aa rahi hai, main sone ja rahi hun, kal milte hain". Lekin itne din ki tarap, ye dil mane kahan aur sidha ja pahuncha Ashk ke kamre me.... Light band thi, aur pura kamra andhera.... Ashk bistar par gahri nind me so rahi thi.....
Drish dawe paun uske bistar tak gaya... Uske sir ke pass baith kar, uske mathe par hath ferte huye dhire se kahne laga..... "Tumhe sukoon se sota dekh kar, dil kitne sukoon me hai. Janti ho bite kuch din kaise gujre hain mere liye, dimag ne jaise kaam karna band kar diya ho.... Aur dil me to rah-rah kar dard uth'ta tha. Tum mujh par chikho, chillao, jhagra karo lekin please aise ruth kar hum dono ko taklif nahi diya karo"
Light on.... Aur Drish shocked .... Aaram se uth kar baithi Chandrika devi ... Aur Lado, Lado chillane lagi... Ashk daur kar kamre me aayi... Aur jaise he kamre ki haalat dekhi, wo bhi shocked......
"Do min tum dono aise he distance bana kar raho, main jarra aayi" .... Un dono ko warning de kar Chandrika devi batroom chali gayi.... Jaise he Chandrika devi batroom gayi ... Drish furti se Ashk ke pass pahuncha aur usse gale se laga kar thandi aahen bharne laga.....
"Baby maine msg kiya tha na main so rahi hun, phir kyon aaye"???
"Ab mujhe kya pata tha tum dusre kamre me soyi hogi..... Itte dino me kuch bhi good nahi hua, samjhti nahi kya dil ki haalat, bina tum se mile kitna bechain rahta hai ye dil"
"Meri bhi wahi haalat thi love, aur jante ho main bhi to yahi chahti thi tum aao, aaj to main tumhe kahin jane bhi nahi deti, raat bhar tumhe apne najron ke samne rakh kar, khub pyar karti. Lekin aein waqt par hitlarni ne kamra change kar diya. Mujhe laga tum kahin aa na jao yahan, isliye to sone ka msg ki thi"
"Aur darwaja khol kar dikhao, gusse me thi to sab logon ko sari baat dhindhora pit kar bata di, ab bhugto"
"Sooooo solly Love, ab hato bhi, mamma yahin hai... Aise dekh lengi to aur jyada panchayat karegi"
"Cuteee main khud ko rok nahi pa raha hun, aahh ! Hatne ka mann nahi kar raha"
"Love please baat maan jao, please abhi ke liye, nahi to thode waqt ki milan kahin lambi duri na ban jaye"
Drish, Ashk ko chhorte huye side hata, aur wapas aa kar apni jagah baith gaya.... Thodi der me chandrika devi bhi bahar aayi aur dono ko ghurte huye puchhne lagi..... "Aise kitne dino se mil rahe ho dono"
Drish.... Bas do baar, ek baar jab uss din naraj thi tab himmat kar ke aaya, aur ek baar aaj jab humara itte din baad duriyan miti....
Chandrika devi.... Tum dono ki to.... Saitan kahin ke main janti hun dono kai baar mil chuke ho aise.... Ab dhyan se suno.... Tum jab bhi yahan aaoge raat me aise choron ki tarah, tumhe kewal main he milungi.... Lagta hai humari chhut ka galat fayda uthaya ja raha hai.... Kal se dono ka sath me ghumna band ... College me bhi dono sath nahi rahoge haan thodi riyayat kar deti hun ... Bas dono ek dusre ko dur se dekhna....
Ashk.... Mamma... Ye kaisi tanasahi hai....
Chandrika devi.... Jo kah diya so bas kah diya, no argument ....
Drish.... Thik hai aunty, ab aap ka yahi faisla hai to mujhe manjoor hai.....
Ashk.... Huhhh ! Lagta hai tumhe mujh se pyar he nahi raha isliye aisi baten kar rahe ho love.
Drish.... Cuteee, tum se kitna pyar hai ye main kah ke to nahi dikha sakta par itna jaan lo ki meri ye jaan tum me basti hai .... Main kuch nahi tere bin....
Ashk khud ko rok nahi payi aur wo jaise bhool he gayi ho kamre me chandrika devi bhi hai..... Wo ja kar sidha Drish se lipat gayi aur kahne lagi.... "Main bhi kuch nahi tere bin"
Chandrika devi.... Oye besharm laila-majnu main abhi yahin par hun.... Dur hato, abhi ke abhi dur hato dono...
Drish..... Meri pyari mummy ji, aap hum bachon par ye zulm kyon kar rahi hain..... Meri pyari sasu maa, aap kyon hum dono par zulm dhane ki kosis kar rahi hai.... Dekhiye main wada karta hun..... Hum jo bhi karenge apni had me rah kar karenge ... Ab please aise sharten hum par lagu na ki jiye jisme humare armaan pis kar rah jaye.. Kyon cuteee...
Ashk.... Yess my love.... Mammy plz ab maan bhi jao...
Chandrika devi..... Thik hai, Drish main sirf tumhari baton par bharosa kar rahi hun, yaad rakhna ye wada tootna nahi chahiye.... Ab tum ja sakte ho, aur haan iska ye matlab nahi ki tum choron ki tarah pipe se yahan aao.... Yahan dikhe bhi na raat ko iss tarah to to soch lena....
Drish hasta hua wahan se wapas aa gaya...... Agle din college ke baad .....
Drish, Ashk ko ek pyara sa choota sa kiss dene ke baad..... "Suno cutee, mera ek chhota sa kaam karogi"
Ashk..... Yesss my love, batao na kya karna hai....
Drish..... Tum yahan se sidha ghar jao, aur didi ko patao mujhe wapas bulane ke liye....
Ashk.... Hmmm ! Thik hai bhabhi se main abhi he jati hun baat karne.... Aao chalo, chalte hain....
Drish..... Nahi tum akele jao...
Ashk..... Par main akeke kahin nahi jane wali....
Drish.... Chup karo, ye sara drama tumhara he kiya hai.... Mummy ko uss raat darwaja khol kar dikha di, didi ko phone par sab chugli kar di... Upar se ek-ek kar ke sare doston me dhindora pit di.... Ab chalo jao... Sara kiya dhara tumhara hai, sab ja kar thik karo....
Ashk.... Uuuunnnn huuunnnn huuuunnn .... Mujhe dant kyon rahe ho.... Ek to tumne uss madam ke sath ye sab kiya upar se sara dosh mujhe he de rahe ho..... Ulta dant bhi rahe ho.....
Drish.... Cuteee natak band .... I love you baby, aur main janta hun meri smarty sab thik kar degi... Viswas hai isliye to akele bhej raha hun....
Ashk..... Sachi me...
Drish.... Sachi, muchi, kuchi.... Ab jao bhi, bahut din ho gaye di ko dekhe.....
Ashk, Drish ke hoton par ek chhota sa kiss karti bolne lagi.... "Sorry jaan meri wajah se sara garbar ho gaya, aaj he isse main thik karti hun"....
Ashk ke jate he Drish bhi wahan se nikal gaya Appu ke sath, sab logon se milne ke liye...... Wahan Appu, Hasan aur Drish ke alawa do log aur the.....
Hasan.... Drish bhai, ye main kya sun raha hun..... Tumne Rasul ko join kiya hai....
Drish..... Nahi, Rasul ko maine join nahi kiya. Lekin mujhe ek baat batao, tumhare sath itna kuch ho gaya, tumne mujh se aaj tak charcha kyon nahi kiya....
Hasan.... Kya batata ki main wo napunsak bhai hun, jiske aankhon ke samne uski bahan ko utha kar le gaye ye log, aur main kuch nahi kar saka.....
Drish..... Shant ho jao Hasan, ye dono kaun hai....
Hasan.... In dono ki kahani bhi mujh se milti julti hai. Ye hai Rafiq, uss Rasul ne iske maa ke sath sambandh bana kar isse sadkon par chhor diya.... Aur ye hai Nadir, iski bhi bahan ko wo Rasul utha kar le gaya....
"Kabhi-kabhi to ji karta hai khud ko he aag laga dun itna jalta hai sina.... Humari najron ke samne wo kamina fal-ful raha hai aur hum kuch nahi kar pa rahe"..... Rafiq ne bare gusse me apni baat kahne laga....
Appu..... Chhoro hatao doston, har kisi ka waqt aata hai, humara bhi aayega par kya koi inhe samjhayega.... Aise kamine ke yahan kaam karne ja rahe hain bhai.....
Hasan.... Drish, tumhe aakhir kya jaroort hai kisi bhi chij ki.... Dost wahan bilkul bhi nahi jao...
Drish..... Chup karo tum sab..... Aur chudiyan pahan lo ja kar.... Itne log ek sath ho, kya uska kabhi kuch bigar nahi paye..... Mauke milte nahi hai, usse banana parta hai.....
Appu.... Aisa nahi hai bhai. Bahan ke badle uski beti ko uthane ka tay kiya tha, aur apna badla pura karne ka....
Drish.... Thuuu, galti baap ki aur utha uski beti ko rahe the....
Rafiq..... Drish jab sine me aag lagti hai to sahi galat kuch bhi nahi pata hota. Pata hota hai to bas badla.... Lekin Hasan bhai usse uthane ke badle uss se dil laga baithe.... Bahut famous hai inki love story.....
Drish.... Kya ????? Aisa hua tha... Phir Hasan ko bhi to wo maar sakta tha, isse kyon chhor diya....
Appu.... Maar he deta, lekin Rasul ko ab tak pata nahi Hasan aur Bulbul ke Ishq ke bare me.....
Drish..... To tay raha.... Bulbul ki shadi Hasan se hogi, aur Rasul ko uske kiye ki saza milegi....
Nadir.... Tu ja bhai apna kaam kar, hume apne haal par chhor de. Tere chakkar me hum sab mare jayenge.... Josh me tu to kuch kar dega, aur phasenge hum......
Drish..... Main yahan kisi ki izazat nahi magne aaya hun.... Na he mujhe tum sab ke koi sath ki jaroorat hai.... Sath aao to most welcome na aao to koi gum nahi .... Lekin kal usse apne kiye ka hisab dena hoga .... Ye wada hai mera......
Hasan..... Mauka milta nahi hai banana parta hai.... Iss mauke ko banane me main tumhare sath hun Drish....
Appu.... Bhai main to hanuman hun.... Main kaise pichhe rahunga......
Rafiq..... Main bhi tumhare sath hun....
Nadir..... Apna khun bhi pani nahi hua, marna to hai he.... Mujhe khushi hogi tum paglon ke sath marne me.... Itminaan to rahega kam se kam ek kosis to kiya...... Main bhi sath hun....
"To ye tay raha ..... Kal uss Rasul ka kali nagri se jane ka ticket katwa kar rahenge".....
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
Yaar mujhe na ek cheej abhi tak nahi samajh aayi jab se story start huyi hain or jab se main iss story ko padh raha hun mujhe ye samajh nahi aaya ki story starting mein story kuch thi or ab kuch or hain ho kya raha hain honey dude clear karoge
Dear, Aap Story Samajh hi Nahi Paa Rahe Ho, Memory ko Rewind Karo aur Yaad karo Yeh Sab Characters Wahi Hain- Dr Anu, Saurav, Hasan Itiyadi. Is Samay Story Flash Back Mein Chal Rahi Hai. Us Samay Jo Agent Hospital Mein Admit kiya Gaya Tha, Woh Aur koi Nahi Drish hi hai
(06-03-2018, 12:28 AM)rishiraj : Yaar par jo ladka uss waqt hospital mein admit hua tha tab uska naam sahil tha to yaha drish naam kaise aaya or inme doctor anu kon hain?
Sahil, Drish hai...
Doctor Anu, Varsha hai...
Jo aage ke Updates me pata chal jayega...