Ashk wahan ki chijen pack karne lagi, Aakash bahar ja kar ambulence dekhne laga aur yahan Drish ke dimag me jaise master stroke laga ho... Wo chup-chap wahan chal rahe tamase ko dekhne laga......
Kuch he der me Drish ko wahan se kisi dusre hospital me shift karwa diya gaya. Report file aur sab kuch dekhne ke baad yahan ke Dr ne kaha "dekhte hain kitna samay lagta hai, lekin ye tay hai jahan dusre tin mahine kahe hain, humare yahan uss se kam samay lagega".
Dr Drish ko aaram karne ke liye kah kar chala gaya, Ashk, Aakash ko dil se dhanywad kahne lagi... "Achha kiye bhaiya yahan la kar, ab Drish jaldi se thik ho jayega"
Itne me Payal bhi wahan pahunch gayi...... "Aap ki himmat kaise hui, mere bhai ko iss haalat me yahan se wahan shift karne ki. Honge aap bahut bare jane mane hasti, bahut chijon ka gyan bhi hoga, lekin iska matlab ye nahi ki jo ji me aaye wo kijiyega".
"Aap ko jarra bhi dimag nahi, ki itni chot lagi hai usse, itna zakhmi hai aur aap usse yahan se wahan ghuma rahe hain. Aur tu lado, sab chup-chap dekhti rahi. Jarra bhi akal hota to tum wahin mana karti... Kahiti kyon aisi haalat me isse yahan se dusri jagah le ja rahe hain. Nahi mante to mujhe phone karti".
"Ye bhi koi baat hui kya, jise dekho wahi dr bana hua hai. Aisa tha to isse ghar par he le aate. Ye kal se le kar aaj tak maine dusri galti ki jo lado ko rukne diya. Hato, kha-m-kha mere bache ko paresan kiya tum dono ne. Tu thik to hai na chhotu dard to nahi ho rah na"
Drish..... Di... Di......
Payal.... Haan bol na beta....
Drish..... Di dr ne kaha hai yahan main 10 dino me thik ho jaunga. Aap suni, 10 dino me thik ho jaunga. Iss hospital ka pata jija ji ne nahi Ashk ne lagaya tha, wahin shift ki hai yahan. Aur main thik hun koi taklif nahi.
Payal.... Kha to meri kasam tumhe koi paresani nahi hui....
Drish, Payal ko aankhen dikhate huye..... "Aap ko mana kiya tha na, kasam nahi dene... Aap aisa kahogi to main bed se uth kar daurne lagunga. Kya meri baton par viswas nahi raha jo aap confirmation ke liye kasam khila rahi hain".
Payal..... Nahi, aisa nahi hai. Par mera dil nahi manta na. Ghabra jata hai dil, lagta hai jaise tu dard me bhi hai to mujhe taklif na ho isliye hans raha hai.... Bas ye samjh le apne bechain dil ke sukoon ke liye kahi kasam khane.
Drish.... Aap ki kasam di... Chalo ab to jarra muskura do, aur dekho aap ne apni lado ko bina baat ke kitna dant diya....
Payal..... O' meri bachi, aa idhar aa... (Ashk ko Payal apne sine se lagati) ... Meri dant ka jarra bhi bura mat man'na. Waise bahut badhiya kaam kiya hai... Jarra inko dekho, ye bhi nahi hua ki iss hospital ka pata laga de.... Bas baten banwa lo duniya bhar ki inse...
Aakash.... Ji madam mera manphi nama kabool kijiye... Ab to aap ki sikayat dur ho gayi na. Chahe jis kisi ne Drish ko yahan laya, la kar achha kaam kiya hai....
Sabhi log jama the, wahan hasi aur kah-kahon ki kilkari phir gunjti rahi. Ashk wahin ruk gayi aur Aakash, Payal ke sath ghar chali aayi.
Dono ek baar phir se akele the, par Ashk, Drish se duriyan banaye pass lage dusre bed par magazine padh rahi thi....
Drish.... Cuteee bhukh lag rahi hai....
Ashk.... Ruko main kuch khane ko le kar aati hun...
Drish.... Haan par bhukh joron ki hai, jab tak tum lauto to kahin meri haalat na kharab ho jaye.
Aahk.... Haynnn ! Ye kaisi bhukh hai Drish, lagta hai tumhari tabiyat thik nahi ruko main dr ko bhi bulati hun....
Drish.... Tum sayad thik kah rahi ho, meri tabiyat bhi thodi thik nahi lag rahi.... Lagta hai jaise chakkar aur bukhar aa raha hai....
Ashk, Drish ke najdik pahunch kar uske matha chhu kar dekhne lagi, utne me Drish ne Ashk ke kamar me hath dal kar apne upar gira liya....
"Hato chhoro bhi badmash, jab se Arjun bhaiya ki sangati me aaye ho pure naughty hote ja rahe ho" ... Ashk, Drisk ke badan par leti bas thoda-bahut kasmasa rahi thi, par hatne ki jarra bhi kosis nahi kar rahi thi....
Drish.... Tumhara he badmash rahunga kisi aur ka thode na...
Ashk apne hath Drish ke sine par tika kar apne chehra halka upar uthayi aur ek shararti hansi apne chehre par lati Drish se kahne lagi.... "Sunita ke badmash rahoge aur kiske"
Drish..... Hehe, to di ne tumhe sab bata diya....
Ashk.... Haan... Kal sam ko he batayi thi.... Please mujhe ye kissa pura batao na... Kya hua tha...
Drish.... Kya cutee chhoro na un bataon ko...
Ashk.... Ab batao bhi pleaseeeeeee....
Ab Ashk ki itni masoom si arji kaise thukra sakta tha Drish.... "Bata to dunga par tumhe ye wada karna hoga ki ye baat di ko pata nahi chalna chahiye".... Ashk.... "Wada raha, ab batao"
"Drasal hua ye tha ki Sunita ko apni magni turwani thi, aur rote huye wo mere pass aayi, uss waqt Arjun bhaiya bhai bhi khet par he the. Unhone madad karne ke liye hami bhar diya. Arjun bhaiya ka he plan tha letter wala. Uske sagai wale din jab puja ki vidhi chalu he thi tabhi maine Sunita ke liye letter le kar gaya tha, jise wahan par ladkey walon ne bhi dekha".
Ashk.... Achha to ye baat thi, mujhe laga Arjun bhaiya aur Sunita ka koi chakkar tha...
"Chakkar to tha, par mera aur Sunita ka nahi, balki chhotu aur Sunita ka".... Drish ke sine se lagi Ashk uske upar let kar kahani ka maza le rahi thi, issi bich kahani ko naya mor dete pichhe se Arjun ne kahani aage badha diya....
Pichhe se Arjun ki awaz sun kar, Ashk harbara kar Drish ke upar se hati..... Arjun dono ko dekh kar muskurate huye phir se kahne laga.... "It's natural, isme itna sharmane ki baat nahi hai. Ab do pyar karne wale romantic nahi rahenge to kya main aur Disha honge"....
Arjun ke sath Disha bhi thi jo uske pass he khadi thi...... "Arjun, pyar ghodon se kiya jata hai tum jaise gadhon se nahi"
Aahk.... Aannnhhh ! Dono kam se kam dost ki tarah he rah lo, tana kasi band kijiye aur mujhe pahle Drish ki khabar leni hai, koi chakkar ke bare me aap bata rahe the...
Drish.... Cuteee mat suno inki baat jhoot hai...
Ashk.... Drish shant, ab aage main Arjun bhaiya se sunugi....
Arjun.... "Batata hun aage ka sab baith jao".... Sabhi log apni-apni jagah pakar liye... Aur Arjune kahna shuru kiya....
"Maine chhotu se kaha letter doge to maar phasega, isliye ladkey paksah walon me se do char ke hath paun tor dena aur dhamka dena.. "Koi bhi shadi karne aaya to jinda nahi jayega"... Par wahan ho gaya ulta. Letter dekhte he ladkey wale bhag gaye, aur ladki walon ne yani ke Sunita ke ristedaron ne gher liya"...
Jaise maha puran chal rahi ho ... Dono ladkiyan dhayn se sunti hui .. Kahne lagi ... "Phir kya hua"
Arjun aage batate huye.... "Hona kya tha, bhai sahab ke sir par hath paun torne ka bhoot sawar, aur do char ke hath pawn tor diye"
Ashk jhallati hui.... "To isme Drish ka kaise chakkar ho gaya Sunita se"
Arjun.... "Batata hun. Baat ye hui ki panchayat baithi gawn me, aur katghare me mujhe aur chhotu ko khada kar diya gaya.... Panchayat ka ye faisla aaya ki Sunita ki shadi ka pura kharcha hume uthana hoga, aur chunki sagai tooti thi to ladki ki badnaami hoti isliye jald se jald ladkey ka bhi intzam karna tha"
Ashk... Ohhh, ab samjhi to wo ladka Drish tha....
Arjun.... Ashk, ab bich me boli to main nahi kahne wala. Suno pura pahle. Panchayat ka jo faisla tha yahan tak sab planning ke hisab se tha... Kyonki ab hume Sunita ke bf ko yahan par fit kar dena tha, love marrige bolte to kabhi inki shadi nahi hoti.
"Sab kuch sahi chala, Sunita ki shadi bhi ho gayi ussi ladkey se, lekin bich me sara mamla ulta kar diya Di ne. Unko punchayat ka faisla sahi nahi laga, aur hume naukar bana kar bhej di Sunita ke ghar. Phir hona kya tha, Sunita ka baiman dil ek kid par aa gaya.... Inaam me ek jordar kiss bhi mila tha.... Nahi viswas ho to kasam khila kar puch lo chhotu se"....
Ashk muskurati hui.... Koi baat nahi Arjun bhaiya, Drish hai he aisa kisi ka bhi dil uss par aa jaye, mere liye to bas yahi mayne rakhta hai ki uski chahton me kaun hai....
Disha.... Dekha, isse kahte hain true love & believe...
Arjun.... Haan dekh liya maine... Aur samjh bhi gaya....
Kuch der baten hoti rahi sab logon ki. Raat ho chali thi, isliye Ashk ko Disha ke sath bhej kar Arjun wahan khud he ruk gaya.... Takriban 11pm baje Arjun aur Drish bhi kha pi kar so gaye .... Raat bit'ti ja rahi thi... Raat ke takriban 1:30am baje....
Drish bari sawdhani se apni jagah se utha, choten kaphi thi, par kisi tarah himmat juta'te wo wahan se duty dr ke pass pahuncha..... Dr ne jaise he usse dekha... Chaukte huye puchhne laga... "Aakhir tumhe bed se uthne ke liye kisne kaha".
Drish waqt na gawate huye, dr ke gardan par ek kainchi rakha aur puchne laga.... "Ye nakli dr ka khel kisliye khela ja raha hai"
Drish waqt na gawate huye, dr ke gardan par ek kainchi rakha aur puchne laga.... "Ye nakli dr ka khel kisliye khela ja raha hai"
Dr.... Tumhe koi galatfehmi hui hai main dr he hun...
Drish.... Achha phir tum Parmar ki toli me kya kar rahe the, maine tumhe parmar ke sath dekha tha.... Ab dobara sach he batana warna tumhe marne me mujhe jarra bhi hichak nahi hogi.
Tabhi uss dr ne Drish ka hath pakra aur uske paun me apna paun phasa kar jhatka diya.... Drish niche frsh par gira..... Wo aadmi Drish ke upar baith kar jordar do punch chipkaya Drish ke chehre par...
"Bas itna he dum hai" .... Kahte huye Drish ne apna bayan hatho ka punch banate uske chehre par de mara..... Jab uski aankhen khuli to wo jamin par para tha.
Drish.... Main marta bhi rahunga to bhi tum jaise 3/4 ko to sath le he jaunga, ab sach kya hai uglo warna dobara main nahi puchhne wala.....
Wo aadmi "batata hun, sab batata hun" kahte huye dhire-dhire apna hath apne kamar par le ja raha tha.... Tabhi Drish apne pass se gun nikal kar usse dikhaya.... "Kahin isse dhundne to hath idhar udhar nahi dal rahe"....
Itna kah kar Drish ne uska muh dabaya aur uske hath ki ek ungliyon par goli chala diya. Gun par silenser tha... Isliye firing ki awaz nahi hui, aur uss aadmi ke muh par Drish ka hath isliye uske chinkhne ki bhi awaz nahi aayi.....
Drish thodi der baad uske kano me kaha..... "Dard bardast kar lo, yadi awaz nikli to iss baar goli sidha dil ko chirte nikle'gi"
Itna kahte huye Drish ne uske muh se hath hataya..... Wo karrate huye jor se kahne laga.... "Mujhe kyon maar rahe ho, ye sab planning tumhare jijaji ki hai, ja kar unse kyon hahi puchhte".
Drish wine ka ek glass aage badhate uss se kahne laga... "Lo isse piyo, dimag shant karo aur puri baat batao".
Uss aadmi ne jhatke me glass khatam kar ke kahne laga..... "Mera yakin karo, kya hua kyon hua mujhe kuch pata nahi, bas Aakash sir ka order tha aur hum ye sab kar rahe hain".
Drish..... Thik hai, ab batao kya ye hospital he hai ya koi aur jagah...
Aadmi.... Nahi, ye hospital he hai ... Par iss taraf hospital ke kisi bhi aadmi ka aana mana hai....
Drish.... Chal...
Aadmi.... Par kahan.....
Drish... Tumhare ungliyon ki marham-patti karwa dun....
Drish aur wo aadmi dono hospital ke mukhya hisse me pahunche, wahan ja kar Drish ne uss aadmi ko ilaz ke liye bhej diya. Drish ki najar ab kisi dr ko dhund rahi thi, jald he wo talaash khatam ho gaya...
Usne ek dr ko pakra aur apne pass se kuch paise nikal kar usse dete huye apna x-ray nikalwane ke liye kaha.... Aadhe ghante me sara kaam ho chuka tha.... Dr x-ray dekhte huye kahne laga....
"Arre tum itne injured ho, upar se ghum rahe ho, ab tak plaster kyon hahi chadhaya"....
Drish.... Kya matlab hai aap ka, mujhe to kaha gaya tha abhi sujan hai isliye palste nahi chadhega...
Dr.... Haan, par sujan ko khatam huye to kitna waqt bit gaya, haddiyan to jurni bhi shuru ho gayi hai..... Ab plaster nahi karenge to kya haddi jab aadi tedhi jur jayegi tab plaster karwaoge ?
Drish... Rahne dijiye dr saab. Abhi maine jis aadmi ko sath laya tha uss ke ungliyon me goli ka chot hai. Khatranak log hain aur mujhe roj marte hain..... Aap iss baat ka jikr bhi nahi kijiyega, warna ho sakta hai meri jaisi haalat aap ki bhi ho jaye....
Dr thoda ghabrate huye..... "Ye tum apne paise rakh lo, mujhe nahi chahiye. Aur tum jao yahan se warna usne tumhe mere pass dekh liya to baad me iske gunde mere pass aayenge".
Drish wahan se wapas chala aaya. Bahut kuch clear ho hua tha to bahut kuch ab bhi dimag me ghum raha tha jo ab to usse Aakash he clear kar sakta tha.
Subah-subah he Ashk apne toli ke sath howpital pahunchi. Ashk ke aate he Arjun ko wapis chala gaya. Kuch der tak uske dost sath rahe phir wo sab bhu college ka samay hote he wahan se nikal gaye......
Drish, Ashk ko bhi wahan se college jane ke liye kahne laga, lekin Ashk usse mana karti kahne lagi .... "Main pahle he hum dono ke chhuti ki aaplication de chuki hun college me, isliye ab se tumhare thik hone tak no college".
Drish ne college se chhuti lene par thodi narajgi bhi dikhayi, lekin Ashk apni aankhen dikhati uske sare baton par viram laga diya. Pariwar aur pyar ke dekh-rekh me Drish ka pare-pare din kaise nikal jata usse pata he nahi chalta.
Drish aur Aakash dono ko uske recovery ka pata tha, takriban 7 din ka waqt laga hoga Drish apne iss enjury se pura recovery ho kar wapas ghar lauta. Payal to darwaje par aarti ki thal le kar khari thi, jaise beta jung jit kar aaya ho.
Ussi sam takriban 7pm baje....
Drish.... Jijaji chaliye thoda ghum kar aate hain....
Aakash.... Kya baat hai sale saab, bahut dino ke baad jija ki yaad aayi, sab thik to hai na...
Drish.... Mujhe aap se kuch jaroori baat karni hai, chalo mere sath...
Aaaksh..... Ashk ko le kar hai ya tumhare iss chot ko le kar...
Drish.... Haan isse kuch surprise baten jaisa he samjhiye, na to Ashk na he koi chot in se alag kuch baten hai .... Ab chaliye bhi....
Aakash... Haan chalo chalte hain....
Dono ek over bridge ke sunsan ilake se gujar rahe the.... Drish ne car ussi jagah khari kar diya...
Aakash..... Kya hua car yahan kyon rok diye... (Aakash ke sabd uski ghabrahat ko bata rahe the, dimag me uske bhi yahi khyal tha, "kahin Drish ko sab pata to nahi chal gaya".)
Drish.... Jija ji dr santanu kahan gaye...
Aakash.... Kaun dr santanu....
Drish.... To aap dr santanu ko nahi jante....
Aakash.... Kaun sa matter le kar tum bhi baith gaye Drish.... Ab koi budha mila tumhe kisi din, aur uski jhooti baat par ab bhi yakin kar rahe ho. Tumne khud dekha tha na, kaise usne sab ko ullu banaya....
Drish.... Hmmm ! Thik hai jija ji main aakhri baar puch raha hun, jo kuch bhi sach hai wo mujhe bata dijiye, warna main sach ka pata to laga he lunga.... Phir chahe aap sath ho ki na ho....
Aakash, Drish ki baat par kuch der tak khara sochne laga.... Kaphi manthan ke baad usne kaha.... "Suno Drish, kuch baat to hai, jo tumse ab tak raaj hai... Thik hai main isse ab aur raaj nahi rakhunga, lekin tumhe bhi ek wada karna hoga"...
Drish..... Kaisa wada...
Aakash.... Sach jan'ne ke baad tum Payal ko chhor kar kahin nahi jaoge...
Drish.... Lagta hai aap mujhe jante he nahi, khair samajh lijiye wada he hai iss baat par, chahe main kahun ta na kahun.
Aakash.... Haan uss raat jo bhi tum se dr Santanu ne kahe the sab sach tha. Lekin jab tak hum pahunche tab tak wo wahan se gayab ho gaya tha. Mujhe laga ki tum usse dhundne uske pichhe jaoge, isliye maine ye sara jhoota plan banaya. Bas itni si baat thi.
Drish.... Pakka itni si baat thi ya kuch aur bhi hai jo mujhe jan'na chahiye.
Aakash.... Kuch aur jan'ne ka ishara main samjh gaya Drish. Lekin ye baat main tumhe bataun ya nahi, tumhe khud ehsaas ho jayega. Tumhare ander bhagwan ki di hui kai shaktiyan hain, jo tumhe dusre se alag karti hai, bas tumhe khud ko jan'ne ki jaroorat hai.
Drish.... Lekin mujh se pahle aap ko kaise pata chal gaya.
Aakash.... "Kaise nahi pata chalta. Mujhe to pahli mulakat se pata tha, jab Payal ko parking me un lafango ne chhera tha aur jis speed se tumne unhe mara tha, itna speed to kisi trained me bhi nahi hota".
"Tumhare badan ke ghaw iss kadar teji se bhar rahe the ki uss nurse ke liye iss baat ko pacha pana muskil tha... Tumhare ander ki shakti duniya ko jahir na ho isliye maine tumhare hospital change karne ka ye sara drama kiya"....
Drish.... Hmmm ! Aur kuch jo aap isme kuch kahna chahte ho.
Aakash.... Haan sirf itna he ki tumhare pass bahut si shaktiyan hain, kabhi bhi isse kisi aur ko jahir nahi hone dena. Khud ko pahchano, aur apni shaktiyon ka sahi istmal karo. Hum bhale he khud me bahut sakchham ho par ek baat kabhi nahi bhulna, humare pichhe humara pariwar hota hai... Hum se juri kai jindgiyan hoti hai.
Drish..... Chaliye ghar chale.
Aakash ne Drish ka chehra dekha, uske chehre par saaf likha tha, ab bhi uske mann me kai sawal the par sayad waqt he un sawalon ka jabaw de pata isliye Aakash ne baat ko yahin khatam karte dono ghar wapas aa gaye.
Agli subah phir se wahi sab kuch tha, Ashk ka roj subah ki tarah aana... Payal ka nasta bana'na aur Aakash ka der tak soya rahna... Drish jaag kar bas apne ghar ke logon ke ore he dekh raha tha.... Aaj subah jaise kuch ajib si thi...
Drish ke liye jaise sab kuch pahle ki tarah khamosh ho chuka tha. Soch uski do rahon par khari thi, ek taraf uska aaj tha, jisme uss se pyar karne wale itne sare log, ek pura pariwar to dusre ore uska bita kal jiske panne bilkul kore the......
Ek sath kayi sawal the mann me... Rah-rah kar dimag ki sui ek he jagah atak rahi thi..... "Kaun hun main, mere mata-pita kaun the ? Kya hua hoga unke sath ?
"Aur phir uske mann me dil dahla dene wala samiksha..... "Aakhir jiju ne kyon kaha humare piche humara pariwar hota hai, kya mere ander ki shaktiyan he mere mata-pita ke mirtu ka karan bana"...
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
"Aur phir uske mann me dil dahla dene wala samiksha..... "Aakhir jiju ne kyon kaha humare piche humara pariwar hota hai, kya mere ander ki shaktiyan he mere mata-pita ke mirtu ka karan bana"...
Drish aaj waikai khamosh tha.....
Ashk..... Heyyy, kya hua mere sona ko, aaj kahan khoye ho.
Drish.... Kuch nahi college chalen...
Ashk.... Haan college to chalenge, lekin tumhari tabiyat to thik hai na.
Drish.... Haan, chalo college chalte hain....
"Ye aaj itna ukhra kyon hai, kya ho gaya achanak isse".... Ashk apne mann me vicahrte, bina kuch bole Drish ke sath college chal di. Kamosh subah thi, na to good morning hui, aur na he koi baat, jaise do anjaan log uss scooty par baithe ho.
Thodi der chalne ke baad aakhir kar Ashk se raha nahi gaya..... Usne scooty roki aur sadak par khari ho gayi.... Drish bas sawliya najron se usse dekhne laga....
Ashk thodi mayus si, jaise uski aankhen thodi dab-dabayi ho, apne hathon se apne dono kaan pakar li... Chulbuli si ladki ke chehre par aise bhaw, ek tis si utha Drish ke sine me....
Drish, Ashk ke murjhaye chehre ko apne hathon me tham kar usse thoda upar karte usye puchhne laga.... "Kya ho gaya cutee, tum aise roni surat kyon banayi ho"
Ashk ke juban se kuch nahi nikla.... Bas hoth bichkaye... Aankhon se kuch bund aanshu ke tapak rahe the, aur band hoton se bas "unnnn, unnn" ki awaz nikal rahi thi. Drish se Ashk ka rona bardast nahi hua, aur wo Ashk ka chehra apne sine se laga kar puchne laga.....
"Please rona band karo cuteee, tum ro kyon rahi ho, kisi ne kuch kah diya kya"
"Nai, tumhara chup rahna akahr gaya Drish. Sorry mujh se koi galti hui ho to. Jis par mera haq hota hai, usse tang karna main apna haq samjhti hun, sayad anjaane me mujh se koi bhul hui, jo tum baat he nahi kar rahe"
Drish ne Ashk ke aanshu apne hathon se poche aur pyar se uake mathe par apna hath phirate huye kahne laga..... "Pagal kahin ki, kuch bhi soch leti ho... Main tumhare baton ke karan nahi, balki scooty se itni dur nikal aayi aur mera good morning bhul gayi, iss wajah se naraj hun"
Ashk, jise abhi Drish ka baat na karna akhar gaya, ek he pal me apni bhaw sikorti, aur aankhen bari karti hui kahne lagi...... "Huhhh ! Main bhul gayi thi to kya hua, tumhe to yaad tha na, aur itti si baat ke liye mujhe rula diya, mujh se baat tak nahi kar rahe the.... Aaj se agle aadesh tak sare good wishes band"
Drish..... Par cutee ye to socho mera kya hoga, abhi-abhi to main hospital se bahar aaya hun, meri dawa ke khurak ki tarah hai wo.
Ashk.... Haan to ab thik ho gaye na. Waise bhi pure hafte dawa ki khurak ki overdose liya hai tumne. Thauk ke hisab se kiss mili hai, ab un sab ko adjust karo... Chalo ab shanti se pichhe baith jao.
Drish.... Lekin baby....
Ashk.... Aisi roni surat bana lene se main nahi pighalne wali, ab baith jao warna paidal na aana pare college.
Drish muskurate huye scoory par tang gaya, aur scooty phir se chal pari. "Baten bari-bari hai par dil bache jaisa hai Ashk ka, nahi isse main abhi kuch nahi bata sakta, sahi waqt aane par isse samjha dunga... Thanks god, pata to chal gaya, warna khud ki udasi me main apno ko dukh de deta".
Drish ne aakhir abhi kuch na batane ka faisla liya.... Dono college pahunche... Lecture Rachna maim ka.. Aur khunnas khayi ye maim kab se kisi mauke ki talaash me thi dono ko maza chakhane ke liye.....
Dono jaise he class me aaye, Rachna ne dono ke hath me question paper thama diya...... Ashk to ascharya se bas wo paper ko he dekhti rahi.
Ashk..... Madam ye question paper kis liye..
Rachna.... Padh kar pass hui thi ya sidha college ne aa gayi muh utha kar, samjh me nahi aata exam hai aaj.
Ashk... Lekin madam exam lene ke bhi kuch niyam hote hai, humare pass koi information nahi iss exam ka.
Rachna.... That's not our fault, mid paper hum kabhi bhi waqt plan kar sakte hain, ab tum college nahi aayi to meri kya galti hai.
Drish ne yadi hath na pakra hota Ashk ka, to sayad wo Rachna ka muh noch leti. Chup-chap dono apna-apna paper utha kar apni-apni jagah le liye.
Exam de kar Saurav, Ashk aur Drish teeno sath nikle, jahan Saurav "thanks Drish, thanks Drish".. Ke alawa kuch aur bol he nahi raha tha, wahin Ashk, Rachna ko bas kose he ja rahi thi...
Teeno canteen me baithe the... Coffee ka garam cup pakarte he Ashk achanak se he kahne lagi.... "Kaash abhi wo kamini Rachna chali aaye to main ye puri coffee uske chehre par de marungi"
Drish.... Ab jane bhi do, tumhe kya tension, tumhari taiyari to puri he thi, dekhna tum he top karogi.
Saurav.... Tum dono chup karo. Sala tum dono ki dushmani ke wajah se main bhi phas gaya.... Kambkhton main bhi kai din baad aaj he college aaya tha. Waise ek baat bata Ashk, yadi madam yahan aa gayi to tu apni baat par rahegi na...
Ashk.... Haan Sourav bilkul...
Sourav..... Pichhe mur, dekh Rachna maim yahin canteen me aa rahi hai.
Ashk..... Aise muh phar kar kyon hans raha hai Saurav, Drish ne mera hath rok kar mana kar diya warna main fekne he wali thi.
Saurav.... Ha ha ha, thik hai maan liya Drish ne mana kar diya tha. Tum sab ko boring class jana hai to jao, main chala boxing dekhne.
Ashk.... Boxing, kahan par ho rahi hai....
Suarav..... Yahin apne college me. Next month sports week hai na ussi ki taiyari chal rahi hai.
Ashk.... Chal main bhi chalti hun.
Drish.... Itne din baad to college aaye ho, lecture attend karne ke badle class he bunk kar rahe ho.
Ashk phir bhi zid par arri he rahi, aur boxing dekhne ke liye chali gayi. Drish aur Saurav to chup chap wahan baith kar fighting dekh rahe the, lekin Ashk pratidwandiyon ka hausla badhati hui jor-jor se hooting kar rahi thi.
Ashk aur uska action love. Sport teacher ne jab open announce kar rahe the... "Jin students ko participate karna hai wo apna naam aur detaile likha de", tabhi Ashk chup-chap Drish ka naam likha di.
Teeno wahan se wapas laute. Aaj lagbhag college boring he raha Ashk ke liye..... Jaise-jaise din bit raha tha waise-waise Ashk thodi chidh bhi rahi thi, kiss ke chakkar me kam se kam ek excitement to bana rahta tha, lekin ek baar Drish ko mana kya kar di, wo to bilkul shant he baitha raha....
College khatam ho gaya, din bhi khatam, saam bhi bit gayi par Drish ne koi respond nahi kiya.... Aakhir jab raat hui aur sab so gaye tab Ashk se raha nahi gaya aur usne Drish ko massege ki, "ghar par milo abhi".
Drish iss waqt apne khayalon me duba bas santanu ki kahi gayi baat par surwat kahan se kare bas yahi soch raha tha. Bahut he jyada manthan me duba tha aur surwaat kahan se kare kych bhi sujh nahi raha tha.. Issi bich Ashk ka msg usne dekha.... Sayad ye msg nahi jaise koi clue samne aaya ho, msg dekh kar Drish ko jaise sochne ka naya angel mil gaya ho....
Drish iss waqt apne khayalon me duba bas santanu ki kahi gayi baat par surwat kahan se kare bas yahi soch raha tha. Bahut he jyada manthan me duba tha aur surwaat kahan se kare kych bhi sujh nahi raha tha.. Issi bich Ashk ka msg usne dekha.... Sayad ye msg nahi jaise koi clue samne aaya ho, msg dekh kar Drish ko jaise sochne ka naya angel mil gaya ho....
Drish, Ashk ko koi jabaw diye bina ghar se nikal gaya, lekin aaj usse Ashk ke pass nahi jana tha, balki apne sawalon ke jabaw dhundne jana tha.... "Koi na koi uss raat to wahan jaroor hoga, jisne ye accident hote dekha hoga".
Drish ke mann ki jigyasa usse wahin le gayi jahan par uska takkar hua tha... Wahin sadak ke kinare bane footpath par Drish kambal odh kar baith gaya, aur pure raste ko dhyan se dekhne laga....
Raat bit'ti ja rahi thi, Ashk ke msg par msg aa rahe the, lekin phone ko silent kiye wo bas wahan baitha raha. Yahi koi raat ke 01:00am baje honege.....
"Hat re sale tu yahan kahan se aa gaya, ye meri jagah hai"... Ek bewre ne Drish ko ek laat marte huye puchhne laga... Drish apna sawl hatya, aur usse ghurte huye puchhne laga.... "Ye footpath teri jagah kaise ho gayi"
Bewra.... Chal hat kahin aur ja bikhari, ye jagah seth se maine liya hai, iske paise bhi bhare hain maine.
Drish do thappar khinch kar mara uske kaan ke niche, aur uska gala pakar kar puchhne laga..... "Teri ye jagah kab se ho gayi re"
Kaan par bajte he uske sir ke upar chand-tare ghumte najar aane lage..... Sara nasha hawa ho gaya..... "Solid kadak hath hai bidu, itna kadak to policewale ka bhi nahi hota, tum kaun ho"
Drish.... Main kaun hun iss se koi fark nahi parta, tujh se jo puchha wo bata...
Bewra.... Apan to idhar bas 3 dino se hai. Wo seth mere ko idhar le kar aaya.
Drish..... Tum idhar yadi rahte ho to tum se pahle bhi koi yahan rahta hoga....
Bewra..... Ohhh ! Apan ke bheje me baat aa gayi bacche, chal ek batli dila, main teri sari paresaniyan dur kar dunga...
Drish.... Kya paresani, kya samjhe tum...
Bewra.... Yahi ki tujhe kuch information chahiye, to le na. Apun hai na batane ke liye...
"Lekin tum to 3 din pahle yahan aaye ho, tumhe kaise pata hoga yahan kya hua tha"...... "Chhote dost, idhar kuch bhi chhipa nahi rahta, apan ko sari khabar hai idhar ki, aur kuch khabar nahi hoga to turant pata kar lunga.... Tenson nakko....
Drish uske sath ek desi sarab ke adde par gaya, taporiyon se bhari pari thi ye jagah. Kai log badtamiji bhi kar rahe the uske sath, lekin Drish sab baton ko najarandaz karte usse wahan bitha kar ek bottole sharab pilaya, aur dono wapas wahin aa gaye...
Bewra.... Wah mere chhote dost tune to mood bana diya, to batao, tum jaisa sarif ghar ka ladka itni raat me sadak par kya kar raha hai. Kahin koi murder-wirdar ka plan to nahi kar raha... Tere ko kisi ki fielding set karne ka hai idhar, jo uske time-table waste tu idhar intzar kar raha hai...
Drish.... Nahi, hafte din pahle yahan ek budhe ko goli mar diya tha, kisne goli mari bas ye pata karna tha.
Drish ka sawal jaise he pura hua wo aadmi upar se niche tak usse dekhne laga... Niche jamin par kapra marte huye usse saaf kiya aur kahne laga... "Baith idhar" ... Drish niche bait'te huye... "Bolo kuch jante ho uske bare me"
Bewra..... Dekh mere chote ustad apan janta hai uss murader ke bare me. Yahi koi 7/8 din pahle hua tha, idhar'itch ... Ek budha aur uske sath ek ladkey ko bhi urra diya tha... Pan ye sab tumhe kai ko jan'na hai...
Drish..... Jise goli lagi wo mere pita the, aur mujhe jan'na hai aakhir kya wajah thi jo usse mara...
Bewra..... Badle ka matter hai.... Goli Rasul ke chhokron ne chalyi, ab jaan gaya na... Ab ja ghar, ja kar so ja....
Drish.... Ye Rasul kidhar milega....
Bewra.... Tujh se bola na ghar ja kar so ja, aur bhul ja koi murder bhi hua tha. Dekh tu abhi bacha hai, bahut duniya dekhni hai tere ko. Meri baat maan bhul ja usse... Waise bhi tere baap ko kyon mara wo ye nahi bata sakta ... Kyonki client se paise lena aur bina kuch soche urra dena.. Yahi'ich dhanda hai inka.
Drish.... Suno, mujhe tum uska pata bata do bas please.
Bewra.... Waise tu uska pata jaan kar karega kya, sirf ek bewkoofi. Uss se jayega milne aur wo tere hath pawn tor dega. Jyada kiya to wo marne me bhi pichhe nahi hatega.
Drish.... Maine tum se uska pata pucha bas.
Bewra.... Mujhe jitna pata tha bata diya. Apan chala sone aage kya karna hai tu'ich jan...
Drish.... Thik hai so ja tu, main pata kar lunga....
Drish wahan se chala aaya, uske pass ab ek naam tha "Rasul" aur Rasul uss aadmi tak phuncha sakta tha jisne bhi santanu ka murder karwaya tha.
Drish wapas aa kar mobile par Ashk ke sare msg check karne laga. 50 se bhi upar msg pare the. Har msg me jaise pyar aur chahten bhari ho, na mil pane ki ek tarap aur Ashk ka Drish se raat ke iss suhane waqt me na mil pane ka gum. Drish mobile chumte gn bola "so jao tum, kal aaunga milne" kahte huye Drish bhi so gaya.
Subah char baje Drish utha. Uth'te he Drish ne sabse pahle Ashk ko msg type kiya..... "Sorry, raat me pata nahi nind aa gayi thi, so gaya tha... So sorry cutee"
Msg type kar ke Drish jut gaya Rasul se milne ki taiyari me. Rshul se bhirne ke liye lhud ko ko taiyar karne laga, aur apni taiyariyon ke liye chal diya wahin pass ke ek ground par. Lekin jis ground par pahuncha tha, wahan pahle se surprise intzar kar raha tha, kyonki wahan Aakash pahle se tha... Drish ne jaise he Aakash ko dekha, wo chhip kar usse dekhne laga... Aakash bhi wahan work out kar raha tha.
Drish jaise he uss ground ke ander jane laga do logon usse rokte huye kahne lage.... "Sorry, ground 5:50am ke baad open hota hai abhi chale jao.
Drish.... Ander jo tumhare Aakash sir hain un se kaho Drish aaya hai, phir ye ground bhi open ho jayega.
Ek aadmi ander gaya, thodi der baad laut kar Drish ko ander jane jane ke liye kahne laga. Ander ka najara to kuch ajib he tha, aisa lag raha tha jaise koi training center ho. Aakash, Drish ko aschrya se dekhte huye puchne laga.... "Drish itni subah yahan, kaise".
Drish.... Aap itni subah-subah yahan kya kar rahe hain.
Aakash..... Main apna work out karta hun roj yahan Drish. Practice make u perfect always.
Drish.... Hmmm ! Mujhe bhi sikhao, ab se main bhi roj aap ke sath aaunga....
Aakash..... Welcome Drish, lekin yaad rahe, in sab baton ka pata ghar par nahi chale. Yaad hai na kya kaha tha, aap kuch bhi karo uska asar pariwar par nahi parna chahiye....
Drish.... Haan yaad hai, to shuri karen....
Aakash muskurate huye "haan bikul"...... Sath me ye bhi kaha... "Kal se 3:00am baje, on time yahan pahunch jana... Bina koi deri kiye".
Pahla din thode kam me nipta, kuch exercise aur thoda bahut daur dhup aur phir wapsi. Wapas aa kar Drish ki najar phir se mobile ke msg par tha, mobile par Ashk ka msg dekh kar Drish muskurane laga.... "Aaj mera din hai, aur meri har jayaj-najayaj mang tumhe hans kar man'ne honge, yahi kal raat ki saza hai"...
Muskurate huye Drish taiyar hua, main gate par khara ho kar wo Aahk ka intzar karne laga... Dur se he scooty ke sath Ashk najar aayi, kitni khili hui aur pyari lag rahi thi... Ashk aate he Drish ko dekh kar halke se muskurai.....
"Bahut tarpaya love raat me, tum bhi na ye ehsaas kara dete ho yadi kuch main mana karungi to main he tarpungi". Itna kah kar wo Drish se jor se lipat gayi.... "Aaj main tumhe kahin jane he nahi dungi, bas main aur tum ... Aur main jo kahungi, wo tumhe man'na parega"
Drish bhi apne dono hathon ka dabaw uske pith par majboot karte kahne laga.... "Jo hukum aap ka, waise abhi yahan se chalen, Di sayad hume dekh rahi hain"
"Kyaaaaaa, chalo-chalo yahan se jaldi, warna bhabhi tane maar maar kar mujhe chhorne wali nahi"... Lagbhag bhagi he thi Ashk wahan se. Dono niale wahan se ... Kuch dur scooty chalane ke baad Ashk ek sunsan kona dekh kar scooty rok di... "Love, ek dhamkedar good morning ho jaye"
Drish bina kich bole uske kamar me hath dala, usse apne ore khinchte huye dhire se hont uske hont se lagate kahne laga.... "Cuteee, itni bhi andhe na ho jao ki sadak aur ghar me koi anter nahi ho, hum aisi jagah par hain jahan sab hume dekh sakte hain, pyar par besharmi ka parda nahi chadhao, ryt baby"
Ashk muskurati uski gale lag gayi.... "Ryt baby, sorry kabhi-kabhi bekarari bardast se bahar hoti hai. Waise itne dino me aaj he ye khyal aana tha tumhare dimag me".
Drish.... Ha ha ha, arre cuteee iska matlab ye nahi ki dhamakedar good morning nahi hogi.... College me bahut aise jahah dhund liya hun jahan apnoi morning na kewal good balki awesome ho jayega.