13-02-2018, 01:26 PM
Update 70
"Koi na iska badla to main jaroor lunga... Par abhi ka kya karun ... Main uss ke pass ja kar bol to dun... Par uske samne jate he pata nahi himmat kahan chali jati hai... Koi to madad karo reee"
Sare ghar wale bhi Drish ko ignore karte huye apne-apne kaam me lag gaye.... Drish chup-chap kabhi iska muh take to kabhi uska muh take.... Ghar wale the ki madad karne ko taiyar nahi the aur Ashk ke room me jane ki himmat nahi juta pa raha tha... Aakhir kare to kya kare....
Minute.. Ghante... Do ghantey.... Sochte-sochte 4:00pm baj gaya par Drish ki bechaini ka ilaz na hua... Reh-reh kar ek he baat aa rahi thi dinag me ... "Abhi to thik se mile bhi nahi the aur turant he ruth gayi.... Kaisi nisthur hai bahar aa kar dekhti bhi nahi kya haal hai mera".
Drish bhi kuch socha aur teji se bahar nikal gaya ..... Usse laga ab kya kare kya nahi kare .... Koi upay nahi sujh raha tha iss mamle me. Bas ek ke bare me soch kar he bahar aaya tha, jo uski madad kar sakta tha .... Drish bahar nikalte he foran Arjun ko call lagaya.....
Arjun..... Chhotuuu ka phone ... Bhai ye sach hai ya sapna...
Drish.... Arjun bhai mazak ke mood me nahi hun, ek samsya aa gayi hai uska samadhan karo...
Arjun... Haan beta wo to pata hai ki chhotu kabhi mazak ke mood me nahi rahta ... Par samsya chhotu par aayi hai ye sochne wali baat hai ... Kya ho gaya bhai bata to .... Kisi ne kuch kah diya ya Di ko le kar koi baat hai...
Drish.... Di ko le kar kya baat hogi, wo bhi mere rahte....
Arjun.... Sorry shaktiman maine galti kiya ye puchh kar ab tu mudde ki baat batyega.... Kyonki tere musibat ki baat sun kar mere dimag me to ek he ghanti baj rahi hai....
Drish.... "Suno bhai paresani ye hai ki" .... Kuch chhan ki khamosi....
Arjun.... Ab bolega bhi kab se intzar kar raha hun... Kya hua tu thik to hai na...
Drish.... Mujhe ek ladki se pyar ho gaya hai aur wo chahti hai main usse purpose karun ....
Drsih jaldi se apni baat ek sans me kah kar shant ho gaya.....
Arjun... "Ha ha ha ha ha ha ha" .... Lambi si hansi aur hansta he raha.....
Drish.... Kya aap mazak urra rahe ho... Batana hai to batao warna main phone rakhta hun....
Arjun.... Samjh gaya teri haalat .... Pahle tumhari madad karun ... Baki kya hua kaise hua aur kaun hai ladki ye sab udhar raha .... Main parso wahan pahunchunga to sab puch lunga....
Drish..... Kya mumbai aa rahe ho... Wo bhi parso, aur mujhe khabar he nahi....
Arjun.... Haan achanak plan bana hai ... Aata hun to baat karta hun ... Achha sun Di ko bhi bata dena...
Drish.... Hmmm ! Thik hai ... Lekin mera kaam .....
Arjun..... Haan ... Batata hun.... Ab ye to aam logon ki love story ti hai nahi, jo aam puposal ho ... Wo bhi kya yaad rakhegi hila de pure ilake ko....
Drish ..... Haan sun ne me achha laga ab batao to na hila dun pure ilake ko ... Yahan to main khud he hila hun...
Arjun.... Ab hilne ki bari uski hai .... Sun kya karna hai ....
Arjun ne suna diya.... Drish ne sun liya... Sun kar chehre par jo khili si raunak aayi wo dekhte ban rahi thi.... Drish ne jaldi ne dhanywaad kaha aur ... Phone kaat kar sidha hotel ke recesption par pahuncha.... Wahan hotel ke manager se baat kiya ... Kuch logon ko sath me liya aur le kar chal diya ussi jagah tak jahan par aaj subah dono alag huye the.....
Wahan pahunch kar Drish aaram se baith gaya ... Sab logon ko uska kaam samjha diya... Pass se paise nikal kar diya... Log chalte bane .... Ab intzar .... Takriban ek ghante baad uske pass ek aadmi aaya ... Apne hathon ka thiala usse thamate huye kaha ... "Sab ready hai sir"
Hotel me idhar....
Drsih ko nikle jab aadha ghanta ho gaya tha..... Payal ko thodi chinta hone lagi. Hotel se bahut he mayus nikla tha Drish... Usne sab ko ikattha kiya aur apni chinta jahir ki.... Sab Ashk ke kamre ki ore gaye ...
Ashk ka gussa to kab ka hawa ho gaya tha.... Par apni kahi baat ke chalte wo bahar nahi aa pa rahi thi .... Usse to ab tak aisa mehsus hone lag tha ki ..... "Kahan ho Drishhh, kuch mat kahna bas aa jao... Main thoda sa natak karungi par tum jid kar ke le chalna ... Kuch mat kahna main he tumhe pahle bol dungi ... Lekin please aa jaoo, dil nahi lag raha ab tum se dur rah kar".
Jaise he darwaje par aahat hui, Ashk ka dil joron se dharkne laga, lekin agle he pal wo mayus ho gayi. Ghar ke sare log ek sath pahunche uske kamre me.
Payal..... Lado jarra Chhotu ko phone kar usse bulao...
Payal ka itna bolna tha ki Ashk ke chehre par chinta ki lakiren saaf najar aane lagi....... "Kya hua bhabhi, kahan gaya Drish"
Payal..... Pata nahi kahan gaya lekin bahut he udas ho kar nikla tha...
Ashk ne turant call lagaya, lekin Drish ka phone band tha.... Mayusi se wo bhi sab ko dekhne lagi, aankhon me thode aanshu dab-daba gaye ho...
Chandrika devi.... Kya hua meri bachi...
Ashk.... Aati hun main Drish ko dhund kar....
Chandrika devi..... Yahi intzar karo lado, tu bahar kahan jayegi dhudhne... Yadi iss bich wo yahan aa gaya to.
Chandrika devi ki baat sab ko sahi lagi, sab ab bas Drish ke aane ka intzar karne lage. Har bit'te pal ke sath Ashk ki bechani badh rahi thi... Har pal bas wo itna he soch rahi thi.... "Kahan ho, please ab to aa jao, bardast nahi hota ab to"
Drish ke intzar me ghante bhar se upar ho gaye, ab tak koi khabar nahi. Phone laga-laga kar hath thak gaye the ab to. Achanak he Ashk bhi uthi... Aur bahar ki ore teji se chal di.
Ashk ko yun jate dekh sab log usse rokne lage, par wo kisi ki na suni aur chalti bani. Ashk ke pichhe-pichhe sare log nikle..... Sabhi Ashk ke pichhe pichhe usse samjhane ki kosis kar rahe the "kahin mat jao... Drish ko yahan kahan par dhundenge".....
Hotel ki lobby me pahunche sabhi log .... Aakash teji se Ashk ke aage hua aur uska rasta rok kahin bhi jane se mana kiya. Intzar me duba dil to ab tak bechaini ki sima paar kar chuka tha... Ashk tarpti kahne lagi.... "Pata nahi kahan ho ga Drish, main janti thi wo himmat nahi juta pa rahe, phir bhi apni jid ki wajah se khud se dur ki, mujhe jane do please usse dhundne".....
Sab log bari-bari se usse samjha he rahe the tabhi hotel ke bahar jordar aatisbaji hui.... Achanak se hui aatisbaji se sab logon ka dhyan ussi ore gaya.... Chandrika devi lobby se bahar nikal kar wo aatisbaji dekhne lagi.... Bahar jaise Ashk ke liye koi sandesh ho ... Chandrika devi jor se chillayi..... "Lado le Drish mil gaya"..
Ashk daur kar bahar pahunchi idhar-udhar najaren ghuma kar charo ore dekhi, aur chidh kar apni maa se puchhne lagi.... "Kahan hai Drish"
Chandrika devi hathon ke ishare se upar dekhne kahi.... Ashk jab upar dekhi to bilkul khil si gayi.... Ashk ke sath Payal aur Aakash ne bhi upar dekha.... Aatish baji ke sath hawaon me likha tha.....
I Love you ... Ashk.....
Dono hath apne sine se samete wahin lobby ke bahar Ashk roll kar gayi aur dhire se kahi... "I love you too... Par kahan ho jaan, ab to yun mat tarpao".
Sab log Ashk ki khushi dekh kar khush ho gaye.... Armano ko pankh lag gaye ho jaise, Ashk to puri chahak rahi thi..... Par abhi to ye sirf aatishbaji he thi.... Abhi to iss izhar ki surwaat he thi....