30-01-2018, 02:26 PM
Update 37
Par ye bala ki khubsurat ladki hai kaun..... Jisne sabko moh rakha hai.... Kaun hai ye aur kahan se aayi hai..........
Dono ki baat aage kuchh aur niskrash par pahunchti, uss se pahle he ek aur anokhi baat ho gayi.... Wo ladki apne khane ka plate lekar chhotu ke pass chali gayi, aur uss se muskurate huye baat karne lagi.... Jitne ladkey maujood the, wo sab ye najara dekh kar to chhotu se jal bhun gaye...
Aur idhar Veena aur Payal ko bhi aschrya hua... "Kya ye dono pahle se ek dusre ko jante the.... Par kab mile, kahan mile, aur dono ki baten kaise shuru ho gayi"... Kai sare sawal Payal ke mann me ek sath aane shuru ho gaye.
Mehfil bhi khatam ho gayi, sare log bhi chale gaye... Ab bas ghar ke log bache the uss jagah. Sab aapas me baith kar... 2 mahine baad ki, shadi ki date pakki kar diye. Dono premi jodi, apne ek hone ki baat sunkar un ka mann gadgad ho gaya.
Lekin un sab ke armano par bijiliyan girate thakur mahendr singh kahne lage.....
"Aakhir tum sab ne bhi hume padesan kiya hai, isliye ab tum sab ki bari hai... Jabtak shadi nahi ho jati, koi bhi jora, na to ek dushre ko dekhega aur na he baat karega... Aur na he kisi bhi madhyam se sandesh dega... Yadi aisa karte paye gaye... To uske shadi ki date 6 mahine ke baad ki hogi"
Mahendr singh ki baat sukar premi yugal padesan ho gaye, lekin kar bhi kya sakte the... Mahendr singh ki baat ka samrthan sab ne kar diya, aur un logon ke pass baat man'ne ke alawa aur koi vikalp nahi bacha tha.
Agle din Mahendr singh ka pura pariwar wapas gawn laut aaya. Payal jab se raat ko chhotu ko uss ladki ke sath baat karte dekhi thi.. tab se wo bas chhotu se milna chah rahi thi... Par logon me phans kar usse mauka he nahi mil raha tha... Jo wo baat kar sake chhotu se....
Do teen din kaphi uthal-putal bhara raha, ghar ke log shadi me kya kaise taiyari honi hai usme vyast rah gaye, aur chhotu kheton aur bagichon ka kaam dekhne me lag gaya.
Sahar se aaye ye chautha din hoga, jab chhotu khet me bane, ek jhopde me khat par leta aaram kar raha tha, tabhi Payal ka phone aa gaya....
Payal kaphi gusse me chhotu ko datne lagi, aur uspar bhadkti kahne lagi.... "Jab se aayi hun dekh rahi hun, tu mere pass do min ke liye bhi nahi baitha, aur aaj kal to din me bhi ghar nahi aata, abhi ke abhi ghar wapas aao".
Payal ka gussa lajmi tha. Aaj tak kabhi aisa bahi hua ki chhotu Payal se itni dur raha ho. Payal ke dimag me bas ek he baat khatak rahi thi.... "Kahin ye uss ladki ke moh me to din bhar khoya nahi rahta jo mujhe bhulte ja raha hai"
Payal ka call tha, chhotu na chah kar bhi ghar wapas aa gaya... Aur sidha Payal ke kamre me chala gaya.....
Chhotu ko dekh kar Payal bhadkti hui puchhne lagi..... "Tu mujh se kata-kata kyon rahta hai, koi baat hai to kah na mujh se. Mujh se koi galti ho gayi to main tere paun pakad kar manphi mang lungi, par baat kya hua wo to mujhe bata de.
Chhotu... Kuchh bhi to baat nahi hai Di, utne din se main nahi tha, to yahan ka sara kaam phasa para tha, ussi ko jaldi-jaldi samany karne ki kosis kar raha tha...
Payal, chhotu ka hath pakar par apne sir par rakh di, aur phir apni kasam dekar puchhne lagi .... "Mujhe viswas nahi teri baton par, tu mujhe batayega... Baat kya hai"
Chhotu.... Sach he to kah raha hun, aap ko bhi aaj kal ye kya ho gaya hai, mujh par viswas he nahi hota... Main to teen char din me sara kaam samet kar ... Aap ke pass he rahne wala tha... Kuchh din me aap chali jaogi... Phir main akela ho jaunga... Isliye main jyada se jyada aap ko samay dena chahta hun....
Payal.... Ab mujhe rula mat aisi baat kar ke, tum kabhi akele nahi rahoge... Ab bas dobara iss baat par koi charcha nahi... Abhi main tujh se gussa hun... Pahle mere sawalon ka jabaw de...
Chhotu.... Haan puchhiye...
Payal.... Pahle ye bata ki ye achanak se papa ko kya hua, wo shadi ke liye kaise mane, aur ye iiti jaldi engagement ka programme, upar se bhaiya aur bhabhi ka bhi engagement ... Ye itna jaldi itna sab kaise ho gaya...
Chhotu.... Mujhe to samajh me nahi aata achhe hote kaam ka bhi karan jan'ne ke liye kyon paresan rahte hain, chup-chap enjoy kyon nahi kar sakte..... Suno...
"Aap ke goli lagne ke baad babuji pure toot gaye... Unse bardast nahi ho pa raha tha ki aakhir bachpan se aap ko har khusi dete rahe... Phir iss mamle me wo goli kaise chala diye"....
"Babuji ko rah-rah kar apni galti ka ehsaas ho raha tha... Tab maine he kaha", "aap aisa kyon sochte ho kuchh nahi bigra, wo bas ek hadsaa tha jo ho gaya... Haan kuchh karna he chahte hain to dono ki shadi karwa dijiye".
"Babuji meri baat sun-kar khush ho gaye... Aur aap ki muskaan wapas lane ke liye, aap ke aane wale din he engagement ka programme banaya, maine to bas usme Raghu bhaiya aur Veena bhabhi ki kahani jor diya".
Payal.... Hmmm ! Ab samjhi bhabhi kyon kah rahi thi sab tera kiya dhara hai.... Ek baat bata, tu to bolne se bhi parhej karta tha, phir achanak se mazak karne laga aur itna badlaw...
Chhotu.... Wo to main bas aap ki khushi ke liye kar raha tha, aap he kahi thi na... "Tu haste bolte rahta hai to achha lagta hai" ... To bas aap ki khushi ke liye... Baki main ab bhi kisi aur se jyada baat nahi kar pata hun...
Payal.... Jhoota kahin ka, mujhe to iss badlaw ka karan kuchh aur he samjh me aata hai....
Chhotu.... Kaisa karan...
Payal.... Wahi ladki jise engagement wale din tum diwal se tik kar dekh raha tha, wahi ladki jo tere sath khana kha rahi thi..
Chhotu.... Aap bhi na didi.... Kaisi baten karti ho, main kisi ko dekh nahi raha tha, aur wo Rana ki beti lado thi....
Bechara itna kaha aur sharma kar bhag gaya.... Kya kahta aage aur kya batata .... Raat ko sab khane par baithe the.... Chhotu chup-chap kha raha tha.... Tabhi Payal kahne lagi....
"Chhotu apne engament wali sathi ko miss kar raha hai, dekho bechara kaise gum ho kar kha raha hai"
Chhotu khate-khate sarak gaya... Usse samjh me aa gaya, iss baat ko lekar kahin sab na chherne lage isliye jaldi se kha kar bhaga.....
Agle din takriban 1pm baje Arjun, chhotu se kheton par mila ... Aur apna mobile dete kahne laga baat karo.... Chhotu ne chup-chap mobile liya ... Aur "hello" kaha...
Udhar se reply aaya..... "Hello main bol rahi hun lado".... Chhotu ne phone kata.... Aur arjun ko thamata hua... "Kya Arjun mazak karte ho"... Aur itna kah kar chalte bana..
Arjun... Tu bolta bhi hai aaj pata chala.....
Raat ko chhotu apne samay ke anusar pichhe bagiche me tahal raha tha, aur talab me nahane ja raha tha.... Tabhi wahan par Raghuvendr aa gaya... Aur chhotu se puchhne laga.... "Nahane ja raha hai"
Chhotu bas hami bharte huye talab me chhalang laga diya.... Raghuvendr talab ki side me baith kar bolne laga .... "Waise iss waqt tere sath wo lado dubki lagati to tere nahane ka aanand he kuchh aur hota"
"Aanhhh ... Sab pagal bana rahe hain mujhe" .... Chhotu bahar nikla aur Raghuvendr se kahne laga ..... "Bhabhi se ab aap ko baat nahi karni kya jo mujh par tane mar rahe ho, aur talab ki kahani na sunao, ek kahani main bhi janta hun, kaho to bata dun"
Raghuvendr par jab ulta dau para to wo chhotu ke pass se ghabra kar bhag nikla. Raat ko khate waqt phir se Payal lado ko lekar chher di....
Ab to aisa aalam ho gaya tha, ghar me jo bhi milta uss se... Kabhi na kabhi lado ke naam se chher he deta.... Sher ki tarah rahne wala chhotu... Bechara aaj kal ghabraya-ghabraya sa ghar me aata tha.
Premi yugal birha ke din kat rahe the, ye engagement se shadi ke bich ki judai sab ko tarpa rahi thi aur har din bas gin-gin kar kaat rahe the.....
Dekhte-dekhte dur draj se memhmaan bhi aana shuru ho gaye .... Shadi ke din bilkul pass aa gaya... Sari taiyariyan aur shadi ke purv unki rashme shuru hi chuki thi....
Shadi ka pura intzam Jaipur me he kiya gaya tha.... Gawn ke kul devta ki sari rashmon ko pura karne ke baad .... Mehmaan sahit pura pariwar Jaipur shirkat kar chuke the.... Ek vawya sa marriege garden book kiya gaya tha jahan shadi sampann hoti....
Shadi ke thik ek sandhya purv......
Payal.... Chhotu main chahti hun ki tum logon se milo, unse baat-chit karo, najdikiyan badhao, dosti karo...
Chhotu.... Di, aap kyon chinta karti ho, main jaisa bhi hun achha hun.....
Payal.... Nahi, aise bilkul achha nahi hai.... Mujhe nahi achha lagta tum har waqt akele-akele rahte ho, aakhir tumhe kisi se baat karne aur unke sath ghulne-milne se kya parhej hai....
Chhotu.... Mujhe achha nahi lagta kisi se baat karna, ab main aisa he hun to main kya karun Di...
Payal... Babu, mujhe teri bahut chinta hoti hai... Tu apni didi ke liye itna nahi karega...
Chhotu.... Aise udas na ho, main confirm nahi karta, par main kosis karunga...
Payal shadi kar ke jane wali thi, aur usse har pal ye chinta sata rahi thi, mere jane ke baad chhotu ka kya hoga... Wo bhali-bhati janti thi chhotu na to kisi ko dost banane wala hai aur na he kisi ke sath ghulne-milne wala.... Aur yahi chinta Payal ko rah-rah kar sata rahi thi....
Khair, nach gane ke mahol ke sath shadi ka bhi din aa gaya.... Sari vywastha is kadar pukhta thi ki shadi wale din kisi ko koi kaam karne ki jaroorat nahi thi... Sab ko bas shadi me enjoy karna tha....
Dhol subah se baj rahe the, har rasm par thumke lag rahe the, lok geet gaya ja raha tha... Par in sab se pare chhotu to bas idhar udhar ke kamo me laga tha....
Veena ki bhi family uss marriege garden me pahunch chuki thi... Shadi ka intzam kuchh aisa tha ki, dulhe ke liye alag se dusri jagah vyawastha ki gayi thi, aur dulhan ke liye alag...
Chhotu akela bas gum, yahi soch raha tha.... "Di ab usse chhor kar chali jayegi"