11-01-2018, 08:06 PM
Update 10
"Bhagwan iss ladki ke dimag me ye kaise-kaise logic dal dete ho, aur uss chhotu ke bache ko to main kal batata hun. Do baar maphi mangwaya kal se, meri gf ko ghumane le gaya, Payal se jhagra, papa se dant, aur kitni minnaton ke baad thoda akele milne ka mauka mila tha Veena se, ab yahan bhi chhotuuuuu. Tu to gaya ab beta, dekh kal tere sath kya karta hun".
Veena.... Kya sochne lage ji, batao na chhotu ki bhi koi prem kahani thi kya ?
Raghuvendr .... Wo to kal Payal se puchhni paregi na, waise mujhe ye batao, tum abhi yahan kyon aayi ho?
Veena... Mujhe bhi cigerattee pini thi isliye pichhe aayi thi, do cigerattee ek sutta main bhi marun.
Raghuvendr .... Dekh raha hun tumhe, aaj kal bahut masti sujh rahi hai.
Veena.... Dekhte he to nahi main kya karun, aap ko to aaj kal bahut susti sujh rahi hai. Koi mere iss dil ka haal bhi puchhe, kitne armaan yahan dafan hote ja rahe hain.
Raghuvendr muskurata hua, Veena ko apni bahon me bharte huye, ek halki si funk se uske sir par aaye laton ko urrata hai, Veena ek pyari muskan bikhrti apne aankhon ko band kar leti hai. Raghuvendr apne honthon ko Veena ke hothon se mila kar aahista ek touch deta hai.
Dono ki sansen takrayi, aur dhadkane tej ho gayi, Veena ne kuch pal apni aankhen khol kar Raghuvendr ki najron se apni najar milayi, aur sharmakar apni palken niche kar jamin ko dekhne lagi. Raghuvendr thoda aage badha aur honthon ko chumte huye ghas par let gaya, aur uski bahon me Veena leti hui pyar ke iss pal me kho si gayi.
Veena, Raghuvendr ke sine par apna sir rakh kar upar chand ko dekhne lagi. Raghuvendr, Veena ke balon me hath ferte huye badi dhime aur madhur swar me bola .... "Aaj meri Veena inti shant-shant kyon hai"
Veena apni khoyi si awaz me kahne lagi... Bas jaan aise he sine sir rakh kar bas lete rahne ka mann kar raha hai. Kitna sukoon hai na yahan.
Raghuvendr .... Haan Veena, mujhe bhi kaphi sukoon sa mil raha hai.
Veena.... Hmmmm !
Dono ek dusre me khoye bas apne iss sukun ke pal kuch der yun he late kar gujarte rahe, tabtak jabtak ki wahan kisi ke aane ki aahat nahi hui. Jaise he dono ko laga ki koi aa raha hai, dono,ek dusre se alag ho gaye aur Veena ek per ki aar me chhip gayi.
Raghuvendr bhi bas kadmon ki aahat ki ore dekhne laga. Bagiche ke dusri ore se koi chala aa raha tha, jab chehra saaf najar aaya to ek baar phir Raghuvendr chidh gaya, uski itne pyare pal me khalal dalne wala aur koi nahi balki Chhotu tha. Bagiche ke anth me ek chhota talab bana tha, jisme roj raat ko chhotu nahane aata tha, aur aaj bhi wo apne roj ke samay ke hisab se nahane aaya tha.
Chhotu sidha talab me dubki laga diya aur nahane laga. Ragvendr ko chhotu ko maza chakhane ka ek behtrin upay sujha aur wo wahan se nikal kar sidha uske kamre me chala gaya, jo bagicha ke surwat me he tha. Raghuvendr chupke se uske kamre me dakhil hua aur wo cheq doondne laga.
Raghuvendr ko jyada mehnat nahi karni pari, samne ke table par he rakhe uske kapdon me cheq thi, usse liya aur chupchap apne kamre me chala gaya. Idhar nahakar jab chhotu bhige badan nikla, achanak he Veena, uske upar se nagan sarir ko dekh stabdh rah gayi.
Umar ke hisab se sarir ki banawat kaphi gathili thi, aur aakrshit karne wali bhi. Veena ko ab pakka yakin ho chala ki iss par to koi bhi ladki fida ho jayegi, phir ye chup-chup bhi rahta hai, iska ek he karan ho sakta hai, pyar aur nafrat.
Chhotu ke jane ke baad Veena bhi chali gayi wahan se. Chhotu jab subah bank se paise nikalne jane laga to Raghuvendr usse rokte huye.... Sun chhotu mera ek kaam karega.
Chhotu.... Ji kahiye
Raghuvendr .... Mera ye shirt press karwa kar la de.
Chhotu, Raghuvendr ke haton se wo shirt liya aur chup-chap chal diya dhobi ke pass, jabtak wo laut kar aata shirt dene tabtak Raghuvendr nikal chuka tha bank uss cheq ko withdraw karwane ke liye. Par bank pahunch kar Raghuvendr ko kuch bhi fayda nahi hua, kyonki gume cheq ki stop payment ka phone aa gaya tha chhotu ka, ulta bank walon ne Raghuvendr ko he pakad liya.
Bank ke manager ka phone aaya chhotu ke pass, aur usne sari baat bata di ... "Ki jis cheq par aap ka stop payment aaya hai, usse thakur sahab ke bade ladke yani ki Raghuvendr withdraw karwane aaye hain".
Chhotu usse 10 min rukne aur koi action na lene ka bol kar Payal ke paas chala gaya.
Payal.... Chhotu, iss samay tu yahan kya baat hai.
Chhotu.... Didi wo Raghuvendr bhaiya ne cheq mere kamre se chura kar withdraw karne gaye hain bank.
Payal.... Pagal ho gaya hai kya chhotu, tu kya bak raha hai ?
Chhotu.... Didi, raat mere kamre me cheq nahi tha, to subah maine bank manager ko stop payment ka bol diya tha, aur wahi cheq lekar Raghuvendr bhaiya bank gaye withdraw karwane, bank se he phone aaya tha. Puchh rahe the kya karna hai.
Payal.... Kya ? Bhaiya ne aisa kiya ? Bol de unko jo karna hai kare hum nahi jante.
Chhotu.... Jane do didi, kha-m-kha babuji padesan honge aur Raghuvendr bhaiya ko sharmindgi uthani padegi.
Payal... Par mujhe samjh me nahi aata ki bhaiya ko kya pagalpan sujhi, wo tumhe phasana kyon chahte hain ?
Chhotu... Sayad aap ne manphi mangwayi ye baat buri lagi ho, thehra to main naukar he na.
Payal..... Tu kuch jyada he bolne laga hai chhotu, dobara aisi baat ki to thik nahi hoga. Waise ho sakta hai bhaiya ko manphi wali baat buri lagi ho, thik hai unko bol de cheq pass kar de.
Chhotu ne bank phone kiya aur cheq pass karne ke liye kah diya. Raghuvendr jab aaya to Payal aur Veena dono usko gher li.
Veena... Ye sab kya tha ji, suna hai aaj kal aap masumo ko phasa bhi rahe hain.
Raghuvendr, Payal se kahte huye.... Tu kya ghur rahi hai, tujhe bhi kuch kahna hai kya ?
Payal.... Nahi bhaiya, main bas manphi mangti hun aap se, sayad aap ne hum dono se manphi mangi isliye aap ko bura laga aur aap ne ye kadam uthaya. Ghar me bair achha nahi. Chhotu ke rahne se papa ke gawn ka sara kaam ho jata hai, aur papa bahar ka kaam befikar ho kar dekhte hain, isliye usse yahan se nikalne ka khyal dil se nikal dijiye, uske jane se hume padesani he hogi.
Raghuvendr .... So sorry, tum dono se, main to bas thoda usse padesan karna chahta tha, paise to main usse he deta, par usse thoda padesan kar ke. Kyonki jab se aaya hun, usne mujhe padesan kar rakha hai.
Payal aur Veena dono ghurti hui.... Jarra batayenge ki kaise padesan kiya, na to kisi baat ka jabaw deta hai aur jo kaam bolo wo kar deta hai, phir aap ko kya padesani ho gayi.
Raghuvendr .... Kaise hui padesani... Suno... Jab aaya to do baar manphi mangwaya, meri gf ko ghumane le gaya, mujhe laga itna chhota hai, papa paison ki responsibility usse de rahe hain to ek chinta hui, ki usse abhi ye jimmedari nahi deni chahiye, aur ye umar bhi aisi hai ki log galat jaldi karte hain, wahan bhi papa se dant. Kal raat bagiche me Veena mili, socha pure din baat na ho payi hai thoda fursat se Veena se baten karunga, par Veena ne jaise he muh khola pahla naam chhotu. Bata kaise nahi kiya padesan.
Dono jor-jor se hasne lagi, phir issi hasi me Veena ne phir se apna sawal dohra di.... "Achha yaad dilaya inhone, Payal mera ek doubt hai chhotu ko lekar"
Payal... Kaisa doubt ?
Raghuvendr .... Ha ha ha, haan haan sun bhi lo kaisa doubt..
Veena.... Aap bhi na, Payal mujhe lagta hai chhotu ko kisi se pyar tha, aur jaroor un dono me kuch hua hai, aur chhotu tab se chup-chup rahne laga.
Payal haste-haste pagal ho gayi. Veena ki baat sun kar, uski hansi ruk he nahi rahi thi .... "Chhotu aur affair" .. Ha ha ha ha... Itni jor ki hasi thi Payal ki, Veena ko sochne par majboor kar di, ki aakhir maine aisa bol kya diya....
Veena... Kya hua Payal, aap hase kyon ja rahi hain..
Payal apni hasi ko kabu karti hui... Bhabhi, aap bhi na. Usse love affair jaise chijon se dur-dur tak koi wasta nahi. Pahar ki unchi choti se gir kar bacha tha wo, jab papa usse ghar lekar aaye, na to koi dost hua na he uske pass koi baat karne wala tha, jab se hosh me sambhala bas kaam, kaam, kaam ... Usne bhi apni tanhayi ko apni duniya bana li aur aise he jeena sikh gaya.
Kuch der pahle jo hasi thi Payal ke chehre par, wo chhotu ke bachpan ko batate-batate kahin gayab ho chuki thi. Kahin na kahin usse bhi iss ghar me khud ke akelepan ka ehsaas tha isliye wo chhotu ke dard ko bakhubi samjhti thi.
Veena.... Ohhh ! Sorry. Main bhi na kya se kya soch li. Main ek baat kahun, aap jab sahar aao to usse bhi le aana, uski body presonality aisi hai ki ladkiyan gir jaye uske kadmon me. Kya attrective aur muscular body hai chhotu ki.
Payal... Thuu, thuuu, thuuu, bhabhi najar na lagao mere bhai ki presonality ko.
Raghuvendr rone jaisa natak karte huye.... Ab Veena tum ne usski body kab dekh li, tu bata Payal, ye mere samne kisi aur ki tarif kare, main kyon na jalun. Tum sab kabhi-kabhi meri bhi tarif kar do. Aur Veena aaj kal tumhari najren kaphi fisal rahi hai, pagal idhar udhar najren na dala kar.
Dono ladkiyan hasti hui nikal gayi. Raghuvendr ko laga ki stop cheq aur ghar me pata chal jane ki wajah se kaphi bejjati hogi, par aisa kuch nahi hua, par kahin na kahin mann me ye jaroor tha ki chhotu ko iss ghar me kuch jyada he ahmiyat di jati hai.
Khair, subah shuru hui thi, Veena aur Raghuvendr ke looka-chhipi ka khel shuru ho chuka tha. Din ka waqt tha, Payal aur maa dono kitchen me thi, Veena hall se hokar bahar ki ore ja rahi thi aur Raghuvendr haal ki ore aa raha tha. Veena ko dekh kar thik uske samne se chalne laga... Dono aamne samne..
Veena thoda muskura kar apna ek kadam left lekar nikalna chahi, to Raghuvendr ne bhi apne kadam left le liye, phir ryt li kadam to Raghuvendr bhi ryt... Kuch der tak jab Raghuvendr ne rasta nahi chhora tab Veena Raghuvendr ke kandhe se apni dono hath tikati huyi.... Chhoro bhi rasta hall hai koi aa jayega...
Raghuvendr ne Veena ke kamar me hath dal kar jhatke ke khinch liya, Veena sidhe sine se ja lagi Raghuvendr ke aur Raghuvendr ne bhi apne haton ka pura dabaw pith par banaye rakha jiski pakar se Veena chah kar bhi chhut nahi pa rahi thi.
Badi ghabrayi najron se idhar-udhar dekh rahi thi, .... "Chhoro na plz, koi aa jayega"
Raghuvendr .... Jab se aayi ho kitna tarpa rahi ho, kahan kahti thi ek pal bhi mere bina nahi rah sakti, aur yahan ho kar bhi ye duriyan.
Veena... Paas hone ka matlab har waqt chipke rahna to nahi hota na, hun to pass he. Mere pyare janu, plzzz chhor do na koi aa jayega.
Raghuvendr ... Unnnhukkk ! Nahi chhorta pahle ek kissi do.
Veena... Ye hall hai jaan, aap samjhte kyon nahi, koi dekh lega.
Raghuvendr .... Dekhne do, hum apni hone wali ardhangni ke sath romance kar rahe hain, jise kharab lage wo apni aankhen mund le.
Veena... Plzzz chhor do, aaj raat bagiche me milte hain na, tarap ko thoda tabtak aur badha lo, milne ka maza aur jyada aayega.
Raghuvendr .... Achha thik hai, ek consolation gift he deti jao, pappi... Ye raat tak roke rakhega.
Veena ne apne hoth ko Raghuvendr ke honthon se laga diye, par Raghuvendr tha ki kiss ko todne ka naam he nahi le raha tha. Kisi tarah Veena ne masakkat kar ke Raghuvendr se chhuti.... "Hato ji, bade besharam ho gaye ho, ek to iss tarah se khule me kiss karne par majboor karte ho, aur upar se chhorte bhi nahi, main bahi aaungi ab raat ko.
Raghuvendr .... Marji hai ji aap ki main to intzar karunga.
Itna kah kar dono alag huye, jab gate se Veena nikal rahi thi, tab uski najar chhotu par pari, wo sharmakar apni najren nichi karti hui bhag gayi wahan se. Aur jab Raghuvendr ki najar pari chhotu par, to wo idhar udhar dekhta hua, apne kamre me chala gaya. Raghuvendr apne kamre me jate he bas raat hone ka intzar karne laga......