UPDATE - 25
8 days later.
8din baad.
.
.
.
madam kay jany kay baad kuch ajeeb sa lag reha tha... Lakin uss larki noor ki waja sey madam kay na hony ka ehsas bhi nhi hua.
Ali ney uss larki ko dhund lia tha.. aur hamesha us kay agy pichy ghoomny laga.
mujhy aisa lagny laga jesy noor sey hi meri zindgi shru hoti hey aur noor par hi khatam. aur yahi meri Life hey.
Ali kai baar noor sey mill chuka hey, lakin noor ney kabhi ali ko bhow hi nhi dia.
ik baar too Noor kay driver ney Ali ki dhulai ki. (aur Ali maar khata reha) wo bhi noor kay samny.. ( uss din ajay ney bohat mazak banaya Ali ka )
Ali daily noor ko purpose kerny ki sochta, lakin kr nhi pata.
wo colage sey apni car main ghar kay liay nikal jaya karti.
------------------------------------------------------
'INTRODUCTION OF 'NOOR'
new character.
'Noor' beti hey 'Shaikh Sultan' ki. jo ik construction compony ka chairman hey
Noor isi city kay sab sey bary collage main (2nd year) ki perhai karti hey.
Noor apny baap ko bohat bara admi samajhti hey.. iss liay bohat ghamand hey usy doulat ka.
( noor family main kuch aur members bhi hain.. lakin wo abhi story sey dour hain. lakin samy Aany par un ki bhi entry ho gi )
------------------------------------------------------
Today....
ajj sunday tha. College sey chutti thi. Hostel incharge kisi kaam sey gia hua tha. iss liay sab larky soo rehy thay.
lakin phir bhi Ali subha Subha uth kar fresh ho kar exercise kerny laga..
pury ground main Ali ikela hi tha. Ajj Ali bohat kush tha.
phir sab log latr uthy ali ney nashta kia aur tyar hony laga.
Ajay- kidr jany ki tyari hey ali.
Ali- kuch nhi yaar ajj noor ko milny jaa reha hu.
Vijay- yaar Q pagal ban reha hey.. wo larki tujhy lift bhi nhi karwati aur tu hey kay.. wo kabhi tujh sey pyar nhi kery gi.. wo sirf paisy sey pyar karti hey.
Ajay- uss din bhi noor kay driver sey pit reha tha.. acha hua jo hum time par Aaa gay. aur tujhy bacha lia.
Ali- ik baar madam ney mujh sey kaha tha. " Ali tum itny Achy ho kay koi larki kabhi tumhy inkar nhi kar sakti ".
Ajay- madam too sab kay sath mazak karti thi. lakin...
chal maan lia kay teri shakal aur surat achi hey.
lakin abb handsome hony ka yeah matlab nhi kay har larki tery pichy bhagy.
Ali- salo apni kali zuban band rakho.. ajj main uss sey baat kar kay hi rahu ga.. main sacha pyar karta hu uss sey. pyar koi paisa ya power daikh kar nhi hota..
Main too Noor kay sath apni puri life bitana chahta hu. shadi kerna chahta hu. ( ajeeb sa style paas keety huay )
yeah sun kar Ajay aur Vijay pait pakar kar hansny lagy.
HAHAHAHAHAH ...HAHAHAAAHAHHAHAH.
Ajay- bas kar yaar lagta hey sapna daikh reha hey... jaag ja niend sey... (hansty huay mazak kerty huay)
Vijay- khuli ankho sey sapny daikh reha hey. aur shadi kar kay bachy bhi paida kar liay.. HAHAHAHAHAHHAAH..
Ajay- wo choor humary samny hi Suhagraat bhi mana reha hey. Hahahhaha
yeah sun kar Ali ko ajay aur vijay par gussa Aany laga.
Vijay aur ajay hansty huay bhagny lagy.
Ali- salo tum log dost ho ya dushman.. jab koi acha kaam kerny ki tyari karo, tum log tang hi khinchty ho.
yeah keh kar Ali bhi un ko pakarny un kay pichy bhaga.
Ali un dono kay pichy bhaga. aur pakar lia.. dono ki dhulai kerny laga.. (lakin pyar sey.)
Ajay- yar bas kar... tu too serious hi ho gia... Ooiiii maaaa...!
Vijay- choor yar abb serious baat kerni hey tujh sey. Ahhhhh..
Ali ney dono ko choor dia. teno ik jaga baith gyy.. aur khamosh thay.
Ajay- ali kia tu such main pyar karta hey uss larki sey?
Ali- abb kia main tujhy lund nikal kar tery pichwary par likh kar dikhow.
Ajay- gussa Q ho reha hey.. main too bas aisy hi puch reha tha.
Vijay- yaar ali tu janta hey us larki ka baap kitna bara admi hey. kia wo tujhy apni beti ka rishta dey ga.
kabhi nhi swal hi paida nhi hota.!
Ali- wo sab main nhi janta.. ager wo larki mujh sey pyar kery gi too.. yeah paisa humary bich nhi Aaa sakta.
phir humain ik hony sey koi nhi rok sakta.
Ajay- lakin Ali tu abhi 12th main hey..
tujhy abhi aur parhai kerni hey.. phir jaa kar koi achi job dhundni hey.. tab ja kar shadi ki baat kerna..
matlab abhi tujhy 5 saal aur lagy gyy shadi main.
baki teri apni marzi.
Vijay- aur wo larki bhu tujh sey kreeb 2 saal bari too ho gi hi.. aur ho sakta hey ua ka koi boyfriend bhi ho.?
Ali- main ney usi colg kay larko sey sab pata kar lia hey. uss ka koi boyfriend nhi hey. thori gussy wali hey. iss liay larky darty hain uss sey.
Vijay- jo bhi kerna soch samajh kar kerna. kahi kal uss ka baap na mana too.
Ali- hum bhag kar shadi kar lain gay.
Ajay- saly uss ka baap koi mamuli admi nhi hey. sidha goli maar dey ka tyjhy.
Ali- lakin ager main ney us ko "I Love U" nhi kaha aur wo ksi aur sey pyar kar baithi too.. waisy bhi jaha pyar ho wha Age(umar) aur paisa koi cheez nhi hota. "paisa too koi bhi kama sakta hey." lakin sucha pyar pana bohat mushkil hey.
Ali- paisa sirf hath ki mail hota hey.... kabhi Aata hey too kabhi chala jata hey.
Ali- waisy bhi mujhy uss kay baap Sheikh Sultan ki doulat aur paisy main koi Lagow nhi.. mujhy too bas meri GF noor chahiay.
Ali- waisy bhi ager paisa kamana chahu too kabhi bhi kama sakta hu.. Q kay meri dimag main bohat sary ideas hain.. lakin mujhy paiso ki koi zaroorat nhi..
Ali- meri nazar main paisa ik radi ka paper hey.
Ali ki yeah sab baaty sun kar ajay aur vijay bhi sochny lagy.
( yeah sab madam ka sikhaya hua hey, family, pariwar, pyar, emotions yeah sab paisy sey ziada (Qeemti) berh kar hain hain )
Ajay- chal theek hey.. hum dono tery sath hain.. best of luck.
Ali- thanks.
.
.
.
Ali thora kush bhi hua. Q kay abb uss kay dost bhi uss kay sath thay.
Ali tyar ho kar nikal gia apni bike ley kar. apni manzil ki traf.