Dever and naeem lakha Bhabhi
mera naam… naeem lakha hey, ji haan aap sahi samjhey....sindh key aik dehaat ka rehney wala hoon..yun tou khuda ney humain her cheez dey rakhi hey… hum zameendar hain..achi bari haweli hey udher gaaon mey humari..zamenain hain..garian..nouker sab jo kuch aik khatey peetey raais gher met hota hey wohi sab mujh ko bhi mayyaser hey..mey apni family ka taruuf kerwata chaloon..aur un key mizaj bhi takey aap meri is kahani sey mukamil tour per aagahi rakhtey hoye lutf andoz hon..
merey waalid sahab jin ka naam khuda baksh lakha..aik bara zameendar..wohi ghoror wohi apney banaye usool..aur sab per zaberdasti un usoloon ko ladney wala mera baap… wohi purana zameendarana dimagh paya tha abb ji ney..mey ney kabhi un ko hanstey na dekha … bachpan sey hi aik khof-o-dehsat ka nishaan they abb ji hum bachoon key liye… jin ki aik nazar yaqeen karain mera tou peeshab khata kerwaney key liye kaafi hoti thi… yeh haal tha un ka apney bachoon key saath apney khoon key sath… apney ghusey key aagey who hum ko bhi nahi dekhtey they.tou aap janye gaon waley kiss tour per dehsat zada rehtey hongey… ussi gher mey meri maa… haleema lakha… naam ki tou haleema laikin mizaj mey halm naam ko nahi nihayat sakht aur ghusey ki tez… duniya mey ager who kisi ko suntin thin to who they abba ji… bai sab tou un key samney dam bhi nahi maar saktey they… tou yeh they merey waldain..jin key saaye mey mera bachpan guzra… aap janye mey to shadi mr jata..mera nazuk miza yeh sab kahan berdasht ker sakta tha..jahan her roz kisi na kisi nouker ko kisi choti si ghalti per hunter sey buri tarah mara jata..us ki khal tak udhair di jati… jahan fiza mey aik dehsat ,aik khamoshi, aik andekha dar her waqt chaya rehta ho wahan mey bala kaisey jee pata..laikin khuda tou janta hey apney bandoon ko who waseela pehley hi tayyar ker deta hey..tou merey jeeney ka waseela tha meri behen..ji haan meri bari behen rehana lakha… jis ney mera her dam khayal rakha… humara aik bara bhai bhi tha… jis ko zameeno key hissab kittab sey fursat hi na thi..jo bechara abhi zameen per to kabhi sheher aur jab gher aata tou abba ji sey galiyyan khata… bus yehi zindagi thi becharey ki… naam tha us ka..rahim lakha..mey ussey bhai jaan kaha kerta tha..jab tak school janey ki umer na thi tab tak mey apni behen key sath haweli key pichwarey lagey aam key baagh mey khela kerta tha..phir mey school janey laga..meri behen mujhey yaad hey 19 saal ki thi jab hi us ka rishta aaya… abba ney haami bheri..maa ney tayyarian na janey kab ker lin aur bus dekhtey hi dekhtey meri behen is ghar ko chor ker humain chor ker mujhey chor ker apney shoher ket sath chali gai… us ka shoher bhi abb ki tarah bara zameen daar tha… aur shaadi mey mei ney dekha who kam sey kam 40 ka tou tha aur meri behen 19 ki… kahye… ziadti hey ya nahi..per humarey haan aisa hi hota hey janab..bus abba ney kaha ..mard ki ummer kiya dekhna… aur thamma di apni kam umer larki aik 40 saala zameendar key hath… aur kon tha jo zaban hilla sakta tha… aur heart ki baat sunain gey dostoon… shadi key baad jab pehley bachey ki pedaish per rehana humarey ghar aai tou who bilkul badal chukki thi ab who bhi aik tundkhuu zameendar ki biwi thi… wohi sara ghussa ..nukroon per apna qeher bersana jo ussey wirasat mey mila tha… ab who sir che ker bol raha tha..bus phir mey us sey dour honey laga bhala yeh thori thi meri behen jiss key seth mey ney na janey kitni tapti dopherain bagh mey aam khatey guzarin thin..aur mey akela reh gaya … us waqt meri umer17 saal thi..aur humar bhai rahim ab us ki umer 25 saal sey zaid ho chukki thi ab maa us key liye koi larki dhondh rahi thi..
oncha khandan… khobsurat larki… kam umer… haddi ki mazbout… bus yehi thi meri maa ki khuaish..jis ko pura ho ker hi rehna tha… chahey is key pura honey key intizar mey bhai jaan burhapey ki serhdon ko hi na cho lain… udher rahim bhai jaaan ko zameeno sey fursat hi na thi bulkey yun kahen to ziada behter ho ga key abba ji ney unhey kabhi fursat leney hi na di… be had shermeeley aur naik taba they merey bhai jaan… bus abba ji key ullat… khair tou janab maa ko humari aik larki pasand aa gai… meri bari behen key gaon key qareeb hi tha us ka gaon,,,naam tha zeenat..maa dekhney gai… abb gaya..laikin baat ban nahi paa rahi thi… larki thi tou onchey khandan sey laikin baap mr chukka tha aur sari zameeno per chacha qabza kiye betha tha… ab who apni bhateji ko wida tou ker sakta tha… laikin jahez key naam per deney ko us key pass dhella na tha..jab key yeh sab zeenat key baap ghulaam nabi magsi ka tha..lakin kon pochta hey janab ..yanha humarey haan tou bus jo taqat wala hey wohi sab kuch hey… is ki lathi tou ussi ki bhens … bus issi baat ko ley ker humarey ghar mey aaj kal khoob behes mubahisa chal raha tha… akhir rehaana yani meri behen ko bhi bulaya gaya..aap janye ab who aik theth zameendarni thi… aatey hi bli .."kiya hey maa… acha hey hai jaan to baher rehtey hain… ghar ka kaam kaaj ker key dey gi… dab ker rahey gi… zaban kaat ker aaye gi yahan..aur hum ney tou waris peda kerwana hey us sey… humarey khandan ka waris peda ho jaye bus..doulat tou ab ji key pass bhut hey… "
maa key samjh mey shaid yeh baat aa gai..
aur janab phir bhai jaan ki mang ban gai zeenat magsi… jiss ko jab mey dekhney gaya tou bari piyari si larki thi meri behen ki umer ki ho gi… choi moi si bani bethi thi… laal hoye ja rahi thi sharam sey..mey dewaar tha us ka..usko dekhtey hi merey dil mey us key liye aik ehtraam jaag uthha… aik mohabbat jaag uthi..bus waisi hi mohabbat jo insaan apni maa sey kerta hey..woh meri maa jai na sahi laikin meri bhabhi thi..aur maa key baad tou bhabhi hi hoti hey..aur iak bat jou us mey khas thi who taleem yafta thi … 12 classain peh rakhin thin us ney kion key us ka gaon jahan tha wahan sey bara gaaon qareeb tha jahan aik governement college tha..jab key humarey gaon mey sirf do log they jo itna perh gaye they… aik humara post office ka incarge… aur aik karam dad ka beta jo ab sheher ja chukka tha… ..humarey haan to 12 class perhney wala insaan nahi kisi aur hi duniya ki makhlooq tha… aur yeh baat mujh ko passand thi… mujh ko bhut bhut shuq tha mey sheher ja ker perhoon … khair tou baat ho rahi thi meri bhabhi ki…
khair to baat paki ho gai aur bhut hi jald shadi ho gai aur bus jhat pat hua sab kuch aur bhabhi humarey ghar aa gain…