Charon fresh hokar coffee peene baithe.
Tabhi ek tasveer dekh kar Jagbeer ne kaha "to in mahashay ki biwi hain aap" "jee haan. Yehi Parvez hain. Kya aap jante hain inhhein ?". "Nahin bus aise hi poochh liya, kya woh shahar se bahar gaye hain ?" "Haan, kal shaam ko aa jayenge"
Coffee ka cup rakhte hue Jagbeer ne kaha "theek hai to hum chalte hain, phir milenge. Agar aapne yaad kiya to."
"Are itni jaldi kya hai, subah ke char baj rahe hain." Tazeen ne kaha "Bhaijaan to sham ko aayenge. Subah yehin se naha dhokar chale jana"
"arre bhai jinki biwi itni khoobsurat ho, woh jitni jaldi ho ghar pahunchna chahega" kehkar hans diya Jagbeer.
"achchha to woh kya kaam chhod kar aa jayega, shahar se bahar hi nahin jayega ?" Shabana ne beech mein chutki li
"Arre bhai, woh shahar se bahar jayega to bhi yehi kahega shahar mein hi hai, ho sakta hai Parvez subah 6 baje aa jaye, risk kyon lena ? "
"Chalo theek hai, waise bhi subah jaldi office jana hai." Pratap ne sofe par se uthte hue kaha.
Shabana aur Tazeen ne bhi zyada virodh nahin kiya.
Pratap aur Jagbeer donon nikal gaye.
Shabana aur Tazeen ne apne bistar theek kiye aur donon ekdum santusht aur khush hokar so gayi.
Subah 6 baje ghanti bajne par Shabana ne darwaza khola doodh lene ke liye.
"Parvez tum !! ? itni jaldi ? tum to sham ko aanewale the na ?" ekdum chaunk gai thi Shabana. "kyon mera jaldi aana achchha nahin laga tumhein ?" "nahin aisi koi baat nahin, yunhi poochh liya."
Shabana ne chain ki saans li. Woh aaj marte marte bachi thi, agar Jagbeer ne force nahin kiya hota to Pratap bhi wahin hota aur aaj uski shamat hi aane wali thi. Yeh sochkar uska dimaag ekdum ghoom gaya, uske kaanon mein Jagbeer ke shabd goonjne lage "Ho sakta hai subah 6 baje hi aa jayen" ... uska dimag chakkar ghinni ki tarah ghoom gaya. Usay shak hone laga ki Jagbeer ko pahle hi pata tha ki Parvez subah aane wala hai.
Subah 6 baje aane ke bawajood Parvez 9 baje ghar se nikal gaya.
"Tazeen, tumhein Jagbeer ki baat yaad hai ?"
"Kaunsi ?" befikr Tazeen ne jawab diya.
"wohi jo usne jane se pahle kahi thi" Shabana ne Tazeen ki aankhon mein jhankte hue poochha.
"jiski biwi itni sundar ho woh wali ? woh to usne sach hi kaha tha"
"Woh nahin. Subah 6 baje wali. Tumhare bhaiya subah 6 baje hi aaye the. theek usi samay jo Jagbeer ne bataya tha." Shaban ki awaaz mein darr aur chinta donon saaf jhalak rahi thi.
"Aise hi tukka laga diya hoga" Tazeen ab bhi befikr thi.