10-03-2018, 12:30 AM
(This post was last modified: 10-03-2018, 12:32 AM by Zohra muskan.)
Chapter 1
Jay ne karvat badalkar samne ki deewar par lage digital ghadi ki taraf ektak dekhne laga. Us ghadi ke hare prakash ne chand ki dudhiya roshni se milkar kamre ko ek ajeeb sa bhayanak rup dene ki safal koshish ki thi. Jay ne socha unki koshish aaj ki raat ke mauke par jaayaz thi. Usne kuch der tak saans roke rakhi aur jaise hi ghadi ne madhyaratri ki ghoshna ki, usne dhire se khud ko kaha "Janmdin Mubarak ho". Phir voh karvat badalkar so gaya.
*****
Jay raat me phir ek baar neend se jaaga. Ghadi me 4 baj rahe the. Neend tutne ka ek hi karan tha use joron se laghushanka aayi thi. Toilet me jakar usne apni tanki khali karke is samasya ka nidan kar diya. Use bagal me lage shishe me apne apko dekhta paaya. Usne apni zip band ki aur shishe ke karib akar apne chehre ka bariki se adhyayan karne laga.
Kai salon me Pehli baar use laga ki uske muhanse kuch kam hote nazar aa rahe the. Uska chehra kafi saaf lag raha tha. Woh janta tha ki use apni ashaayen badhani nahi chahiye, par woh muskuraye bina nahi rah saka.
Uske chehre ke un shapit dhabbon ne use salon se pareshan kar rakha tha. Uske ham-umra doston ke muhanse lagbhag ek saal pehle hi gaayab ho chuke the. Jay ne nishkarsh nikala tha ki uske jeevan ke sabhi samsyaon ki jad ye muhanse hi hain. In muhanso ne use woh sab karne se rok raka tha jo uske baki dost badi aasani se kar lete the. Ladkiyon se baatein karna, parties me jaana, logo ki aankh me aankh milakar baat karna,shopping mall me salesgirls ke sath flirting karna etc. sabpar pabandi laga rakhi thi in nigode muhanso ne.
Woh hamesha sapne dekhta tha ki chehra saaf ho jaane ke baad uska jeevan kaisa hoga. Usne anginat bar kalpana ki thi ki woh Paayal se kya baatein karega. Paayal ki khubsurati ka kaayal wo school ke dino se hi tha. Use dar lag raha tha ki kahi use der na ho jaaye Paayal ko apne dil ki baat bataane me. Aakhir yeh college ka last year jo tha. Usne phir se apne aap ko shishe me dekha aur socne laga kya use sach me in muhanso ke shrap se milnewali hai.
Usne apne gaal par mukka mara aur jaaker bister par so gaya. Aur sapne me paayal to nahi aayi par Ek vishal langoor ko zaroor apne pichhe paaya.