Update -- 87
Kuchh hi der me Ishan airport par tha sath hi Kusum Sharma bhi thi par apni wardi me nahi thi …uski baat Goa police se ho rahi thi kisi GPS ke baawat … Ishan ke chehre par bahut gahra tanaaw tha … Aur haath me thame cell par ek tasweer … Anu ki…
----------------------
Anu ka chehra Ishan ko ek tees de raha tha …uski khushboo , uska sparsh , uski yaadon ne achanak hi aakar buri tarah jakad liya Ishan ko… uski aansu tapak kar Anu ki pic par jaa gira … Ishan ne jaldi se Yu cell ka screen saaf kiya jaise uske aansu se Anu ki pic kharab ho jayegi…
Doston bada hi anokha aur albela hota hai ye pyaar … pyaar ho jaye to premiyon ko ek dooje ke bin kahi chain nahi padta aur judai to uff saja hoti hai… koi jaan lele to utni takleef nahi hoti jitni dil me basne wale ke dard se takleef hoti hai… Yahi beet raha tha Ishan par …
Ishan ne jab apna aansu ponchha to Kusum ne pani ki bottle uski ore badhate huye poonchha…
Kusum -- mr Ishan aap theek to hain ??
Ishan -- ji mai… mai theek hoon…
Kusum -- rlx dear… waise ye tasweer Anu ki hai naa ??
Ishan-- ji wo hi hai… waise aapne uss samay poori baat nahi batayi thi… mam kya abhi batayengi kya…
Ishan ne lagbhag minnat ki …
Kusum-- hanji bilkul… Ishan ji mai Shuruaat se hi iss case ki under cover officer hoon… bahut sir khapane ke baad Ravi ka naam poori tarah benaqaab kar liya hai ham logo ne … Goa me mr Aayush ke dwara diye gaya pate par abb tak chhapa padd chuka hoga par badkismati se koi bhi network me hai hi nahi…
Ishan ko bechaini thi anu ke bare me janne ki … usne Kusum ko beech me hi tok diya …
Ishan-- ye baat nahi mam Anu ke bare me kya bata rahi thi aap …
Kusum-- ji aisa hai Romi ki bike ki chabi shayad uski jeb me hai… usme bhi GPS ki chip lagi huyi hai… ye baat uske pita ne jab batai to ham logo ne use trac karna shuru kiya … location samndar ke bich ki hai wo bhi Goa ki…
Ishan ne wapas tok diya kusum ko…
Ishan-- par isse Anu ke milne ki baat kyu kahi aapne ??
Kusum-- Ishan iske liye aapko meri baat Kam se kam sunni to hogi naa …
Ishan-- sorry mam …
Kusum-- police agar kuchh karna hi chahe to uske tantra bahut tagde hote hain Ishan ji … Uss aria ke Ship wale ka address khoja gaya to pata chal gaya ki kaun kaun se ship pani me utre hain… Goa police ne ship ke ek member se baat ki aur laga liya pata ki ek ladka ladki ko pakda hua hai mafia logo ne … behad jakhmi hai ladki aur hospital ke libas me hai jis par DMC likha hai… mera khayal se itna kafi hai …
Kusum ki baat sun Ishan ki aankhon se aansu ki dhar bah chali
… bas wo apna seena haantho se thame khud ko shayad dahade maar kar rone se rok raha tha… aur kyu naa ho jis Anu ko wo phoolon jaise treat karta tha uska daman aaj kaanton ne chhalni kar diya tha … Ishan ka chehra dekh Kusum jhatt se boli…
Kusum-- sab theek ho jayega Ishan ji … wishvas kijiye uparwale par … himmat rakhiye … iss wakt aapki himmat hi aapki Anu ko wapas la sakti hai… chaliye hamari flight ka time ho gaya hai… bas kuchh der aur uske baad ham Anu ke paas hoonge…
-----------------
samndar ke khare pani ne Anu aur Romi ki aadhi jaan to le hi li thi… poora sharir jakhmo se bara tha aur abb usme namak bhi bhar raha tha … sabse dikkat wali baat ki Anu ko tairna bhi nahi aata tha … charo ore failti halki roshni bhor hone ka sanket de rahi thi …
Romi ka sharir khud hi dard se behal tha uspar Anu ko bhi samhalna tha … Wo apni sari takat laga kar tairne laga … thodi hi der me watavaran me moter boat ki awaaj goonj uthi … saaf pata chal raha tha ki wo log idhar hi aa rahe hain… Anu ghabra kar baar baar Romi ka chehra dekh rahi thi … maut ka khauf uski aankhon me saaf dikh raha tha … achank Anu ne cheekh kar kaha…
" Romi see light house … shayad wo koi tapu hai… ham bach sakte hain…"