30-01-2018, 10:20 PM
tum taiyar ho..."pilot ne Shivam ki taraf dekha...is samay plane aasman me badal ki oot me tha...Shivam ne haar me sar hilaya to pilot ne plane ko Lake ke plane ke upar upar udane laga....
"thoda aur neeche..."
Pilot ne plane ko aur neeche kiya...Shivam ne ek baar apni aankhe band ki aur neeli roshani ko apni dahini hath me samet kar , plane ka gate khola....
"tum ab wapas jao, aur sabko baa dena ki main Lake ko rokte hue mara gaya...."
ye Sunkar Pilot kuch der tak Shivam ko dekhta raha , aur phhir all the best kaha....
"good bye..."itna bolkar Shivam agle pal seedhe neeche ,Lake ki plane par kood gaya...aur ek zordar mukka plane par de mara, jisse waha ,Lake ke plane ke upari hisse me ek hole ban gaya...hole banne ke karan plane ka balance bigadne laga....
"bahut ho chuka ,Lake..."andar aakar Shivam bola....
"tum thik kaise hue..."Shivam ko dekhkar Lake chauk padi...use jaise yakin hee na ho raha ho ki Shivam jungle se nikal gaya....
"ek buri khabar hai ,tumhare liye..."Shivam bola"Neuron ne Aoron ko maar diya hai..."
Lake ne jaise hee ye suna, usne plane par se apna control chhod diya aur daant cheebh kar chillayi"ye kya bakwas kar rahe ho...how is it possible,..."
"Yehi sach hai, Lake....aur MidNight me tum nahi thi ,ye bhi maloom chal gaya...tumhari location bhi trace ho chuki hai...aur ab tumhare bachne ka koyi rasta nahi hai...."
Lake ki aankhe gusse se laal ho chuki thi, uski halat par kate pankshi ki tarah thi, jo sirf fadfada sakti thi,lekin udd nahi sakti.....
"Midland aur Shadowmoor towns me failta virus jald hee sari duniya ko apni chapet me le lega....."banawati hansi late hue Lake boli"aur is kaam me jaldi aaye, isliye main is plane ke missilies me bhare khatarnak virus se Midland par attack karungi...wo bhi tumhare aankhe ke samne...."
"tumne Rose ko kyun zinda rakkha...aur tum Rose jaisi kab se dikhne lagi..."
"To tumne Rose ko bhi bacha liya...bahut pyar karte ho usse....lekin tumhara ek aur pyar Shweta ka kya haal hai..."
"pahale maine jo puchha ,uska jawab do..."Shivam thode gusse se bola...
"well....2072 ke sciece ka istemaal karke maine apna face Rose ke face me badal liya aur phhir usko kidnap karke uski jagah aa gayi...kyunki tum par nazar rakhne ka sabse badhiya tareeka wahi tha....aur tumhare liye bhi ek buri khabar hai..."
Shivam chup hee raha aur intezaar karne laga us manhoos khabar ka...jo Lake sunane wali thi...
"aur wo buri khabar ye hai ki, tumhari pyari, bholi,meethi -meethi baate karne wali Rose ne tumse kabhi pyar nahi kiya...even kahi wo tumhe bhool na chuki ho....tum yakin nahi karoge par main tumhare sath Lightshine ke bomb dhamake se hoon, aur tumhare aur Rose ke beech ,pyar bhari takrar to uske baad hee hui thi....right..."
"main tum par yakin nahi karta..."Shivam ne Lake ka gardan pakad liya..."mujhe pura yakin hai ki wo rose hee thi ,jisne mere andar wo feelings jagayi...kyunki tum jaisi selfish ladki ke andar Rose ki masoomiyat kabhi nahi aa sakti...aur waise bhi maine tumhe Us raat,jis raat tumne Albion ko mara tha, tumhe tumhari shakal me dekha tha...."
"yadi mujh par yakin nahi hai to ,khud Jakar Rose se puchh lena, jab wo hosh me aa jaye to..."Shivam ke hath ko apne gardan se hatate hue Rose boli"aur jis raat ki baat tum kar rahe ho, us raat ya uske pahle jab bhi tumne mujhe dekha...mere chehre me meri shakal ka mask laga hua tha,..Shivam,maine Midland ke har us khoobi ka istemaal Midland ke khilaf hee kiya,jiske dam par ye udte the...."
"to iska matlab...."Shivam ka dil ek baar phhir toota,lekin aawaz is baar bhi nahi aayi...bhokanp ek baar phhir se utha,lekin nuksan sirf use hee hua....sunami ne Pure shahar ka doboya,lekin uske aksh ka namo-nishan tak mita diya......
"iska matlab yahi hai, ki Rose tumhe thik se janti tak nahi....aur tum jis ladki se yaha pyar kar baithe the, wo main hoon...Rose nahi...."
Shivam ke andar ab aur sunne ki shakti nahi thi...wo peechhe ki taraf mud gaya...Plane ka balance lagatar bigad raha tha...lekin is taraf na to Shivam ka dhyan tha aur na hee Lake ka....
"jante ho ,Shivam...main apni puri zindagi me kise nahi dekhna chahti...."
Shivam ,peechhe jakar baith gaya, wo sun to sab raha tha,lekin samajh kuch bhi nahi raha tha....Lake ne bolna jaari rakkha....
"wo tum ho, jab se main tumse mili , thi usi samay se mujhe tumse chidh ho gayi thi...aur MidNight hotal me humare beech jo kuch bhi hua, wo meri zindagi ka sabse ghinouna pal tha, kyunki us din hum dono ke opposite nature wale portion mile , tum pagal hone lage the uske baad aur main thik thi...lekin baad me ek bahut hee khatarnak sach se mera samna hua,jisne mujhe puri tarah tod diya...wo sach ye tha ki, defensive power hone ke karan tum to bach gaye...lekin mera portion ,tumhari power ko sah nahi paya...aur wo khatm ho gaya....main ab ek normal insaan ki tarah hoon....ab ,main tumhe jab bhi dekhti hoon to mujhe mere pita Aoron ki nakami ke sath sath meri barbadi hee dikhayi deti hai..aur aaj ab tumhe dekhkar mujhe unki maut dikhayi deti hai.....aur unki maut ka jurmana ye duniya bharegi, main tumhari aankho ke samne hee sabko khatm kar dungi aur tum dekhne ke siwa kuch nahi kar paoge...tum ye dekhoge ki kaise Lake ne bina portion ke bhi tumhe hara diya...yaad hai maine ek baar kaha tha ki Midland me is raat ki kabhi subah nahi hogi..."
"andhera kitna bhi gahra kyun na ho, diye ki ek lau jaha jaha padti hai...andhera waha se hat jata hai...badal kitna bhi gahra kyun na ho,Suraj ki ek kiran hee use bhed deti hai....Midland me subah kal bhi thi ,Subah aaj bhi hui thi , aur Subah kal bhi hogi...tum kabhi kuch nahi kar paogi..."
"to tum mujhe rokoge..."Lake Shivam par hasne lagi..."tum mujhe sirf ek shart par rok sakte ho, aur wo shart ye hai ki tumhe mujhe marna padega...lekin ab,jabki tumhe maloom chal chuka hai ki , Tumhe Rose se nahi mujhse pyar hua tha to mujhe pura bharosha hai ki tum mujhe nahi maroge..."
Lake waha se samne ki taraf gayi aur virus wali missiles ko Midlans me chhodne ki taiyari karne lagi....Shivam ne apni revolver nikali aur trigger par ungaliya rakkhi....
"Shivam, ye tu kya kar raha hai...tu Lake se pyar karta hai...bhool gaya, tum dono ki wo pyar bhari jhadap...tera Lake ke liye fikar karna....."Shivam ka dil chillaya...
Shivam ne apni aankhe band ki aur trigger daba diya...jitni baar Shivam ki revolver se goli nikali ,utni hee cheekh pure plane me gunji...jisne Shivam ka kaleja berahmi se faad diya...goliya Lake ke jism me dhansi thi,lekin lahoo se seena Shivam ka chhalli hua tha.....
"Shivvvvammm...."ek dard bhari pukar Shivam ke kano ko phhadne lagi...Shivam ne apne kano me hath rakh liye...lekin phhir bhi wo Lake ke karahne ki aawaz uske kano me ghuskar use dard de rahi thi....jab Shivam se control nahi hua to wo ,Lake ki taraf badha....Lake khoon se sani hui...ek taraf padi thi...
"dusaro ka khoon bahate samay unki jo halat tumne ki thi,wahi halat aaj tumhari bhi hai ,Lake..."Lake ke najdeek baith kar Shivam bola...Plane teji se neeche ki taraf Samundar me gir raha tha...
"ajeeb khel khelte ho Shivam...goli tumne mujhe mari,lekin dard tumhe ho raha hai...main tumhari aankho me dekh sakti hoon..."
"Mujhe dard nahi hota..."Shivam ne Lake ke chehre ko chhu kar bola aur khada ho gaya...wo nahi chahta tha ki,Lake wapas kabhi bhi is shahar aur uski zindagi me aaye...isliye Shivam ne bhare dil se plane ki chair ko ukhada aur dusari taraf dekhte hue , Lake ke gardan par nishana banakar..............................
uske baad sirf ek cheekh gunji, jo Lake ki thi....Plane samundar me girta usse pahle hee Shivam plane se bahar kood gaya aur Lake ko hamesha ke liye Samundar me dafan kar diya..............