21-01-2018, 11:07 AM
....zeeshan niche sar kiye hua bhaitha raha...
Aisha:- ab aap upar bhi dekhiye ya isi tarha sharmate hi rahenge...
Zeeshan phir se aaisha ki taraf dekhne lagta hai....
Jo kaam aap nahi kar sakte unke bare me bol kar kya fayda bataiye....??
Zeeshan sharmate hue kehta...
ha tum thik kehti ho aisha mai is tarha ke kaamo ke liye nahi bana hu shayad....
To phir kis tarha ke kamo ke liye bane hai aap....?
aaisha use kha jane wali nazro se dekhti hui boli sath hi sath apne
nichle honto ko apne daanto se katne lagi ... Shayad zeeshan ke bhole
pan par use zaroorat se zyada hi pyar aa raha tha...
Zeeshan ne jab aaisha ki taraf dekha to wo bhokla sa gaya or apni bagle jhankne laga.....
Usne apne gale ke thuk ko gitakte hue kaha...
Chodo na in bato ko aaisha tum abhi bimaar or kamzor ho jao jakar araam karo...
Itni zayada bhi kamzor nahi hu
Jitna aap mujhe samajh rahe hai..aaisha ne ek katil muskan shaan ki taraf paas ki....
Shaan ne jab aaisha ke ye tevar dekhe to ac ki full thandak me bhi use apne chere or peshani ( mathe ) par se paseene ki boonde behti hui mehsoos hone lagi....
Chaliye jane dijiye in bato ko.. Mujhe aap se ek shikayat hai...
Kya baat hai koi pareshani hai kya tumhe...?
Nahi nahi aisi koi baat nahi hai...
To phir kya baat hai batao na....?
Aap bolne denge tab hi na bataongi.... Bar bar meri baat bhich me kaat dete hai aap....
aisha tunak kar kehti hai
Acha baba bolo ab mai bilkul khamoosh bhaithunga....
...aap ne mujhse abhi tak mere naam ke ilawa or khuch kyu nahi poocha...?
Shaan muskurate hue kehta hai ..
Are baba isme poochne wali baat konsi hai jab bhi tumhe batana hoga tum mujhe khud hi bata dongi...haina...?
Haan par phir bhi aapne mujhse abhi tak khuch poocha kyu nahi mai yahi socha rahi thi ki aap mere bare me kya soch rahe honge...
Mai kya sochunga yar ...khuch bhi nahi .. Tumhe jo bhi batana ho bata do ya mat batao mujhe tumse khuch bhi janne ki zarurat nahi hai...
..nahi phir bhi aap suniye... Mera poora naam aaisha jibeen hai...mai Taar Jaam ke ek chote se gaao hasrat ganj me rehti hu... Ghar me mere abbu ..ammi do choti behne or ek chota bhai hai....
Abbu fruits ka ek chota sa thela chalate hai chunki ghar me amadni kam or log zyada hai isiliye
Hamara guzar basar bhi bade mamuli andaz me ho raha tha.. Choti behne or bhai padai kar rahe the or ghar me ammi akeli na ho jaye isiliye mai 10th ke aage nahi pad saki or ghar me ammi ka hath batane lagi...
Shan:- Par in sab ke beech me tum yaha is shahar me kis tarha pohanch gayi....?
Wohi to ....abbu ka kaam bilkul thap sa pad gaya tha ghar ke halaat itne bure the ki humare gharme khane ka ek dana tak nahi bacha tha .... Aise me hi ek din ek aadmi humare ghar aya or mere abbu se kaha ke wo unki madad kar sakta hai ... Abbu ne unse kaha ...ke bhai jo bhi kaam ho mai karne ko tayyiyar ho bas mere baccho ki roti ka intezaam kardo ..
Abbu us aadmi se is tarha baat kar rahe the jis se mujhe ye andaza hua ke shayad abbu use pehchante hai....
Usne phir abbu se kaha ke iske liye aapko khuch karne ki zarurat nahi hai aapki badi beti aaisha ko mai shehar me kaam dilwa dunga waha par kaam ki koi kami nahi hai
Ye waha par kaam bhi karegi or aapko paise bhi milte rahenge...
Par bhaiyya ye waha kaam karegi kya...? abbu ne pareshan hokar poocha ...
Aap uski fikar mat kijiye mai ise waha sales girl ki naukri dilwa dunga.... waha ise jo bhi payment mulegi ye aap ko bhijwa dengi or raha sawal khane ka or rehne ka wo kharch company wale khud apne zimme le lete hai isiliye aap befikar ho jayiye...
Usne abbu ko itna behlaya phuslaya ke abbu uski chikni -chupduli baato me agaye...or wo karte bhi kya usi waqt usne abbu ke hatho me 5000 rupay rakh diye or mai bhi dil hi dil me is kaam ke liye razi ho gayi ke.... Chalo accha hi hai ke mai apne ammi abbu ke khuch kaam to aa sakungi ... Isi tarha us aadmi ke sath mai aapke shehar pohach gayi or usne mujhe dhoke ek sharbat pila diya jisse mai behosh ho gayi ho usi behoshi ki halat me usne mujhe jism
Ke us gande bazar me 60000-70000 hazar rupiyo ke badle me un janwaro ke hath bech diya ...itna kehkar wo rone lagi.....or siskiya lete hue apni baat jari rakhi...zeeshan ne bhi use tokna munasib nahi samjha...
...or jab mujhe hosh aya to maine un janwaro ko apne jism se khelte hue paya mai samajh gayi ke mere sath kitna bada dhoka hua hai...mai kisi bhi tarha un ke chungal se bhag likli..par sach poochiye to mujhe apni ye koshish be matlab si lagi thi..ke mai akeli ladki in badmasho se kaha tak bach paaoungi.....or waha se bhagne ke baad maine allah se madad mangi or allah ne meri madad ke liye apne ek masoom se farishte ko bhej diya...ye kehte hue aaisha ke rote hue haseen se chere par ahsan mandi bhari ek halki si muskurahat aa gayi ... Uski aankho se behne wala ashko ka katra katra jaise shaan ka shukriya ada kar raha ho...
Or hakikat thi bhi yahi zeeshan is ek hi raat me us ladki se bohat hi humdardi or apna pan mehsoos karne laga tha is apne pan me kisi bhi tarha koi gandagi shanil nahi thi....
Wo apni jaga se utha or aaisha ke kareeb jakar bhaith gaya...
A pagal ab mujhe itna bhi chane ke jhad par mat chadao mai sirf ek insaan hu samjhi koi farishta nahi.....itna bhi acha nahi hu mai samjhi....?.
Or ye kya...? Shaan ne apne haatho se uske aansoo ponchne lagta hai Maine tum se kal hi kaha tha na aaisha ke itni khubsurat heere jaisi aankho me itne keemti moti jaise aansoo ache nahi lagte....
Aaisha use apne se pare dhakelte hue....
Chaliye jayiye aap to bas baato ke jadugar hai. Aap ki ammi ne aapki janam par zaroor bohat sari cheeni khayi hogi...
Shaan muskurate hue ... Kyu....?
Tumhe aisa kyu lagta hai....?:-)
Aap jab bhi mooh kholte hai meethi meethi bate hi karte hai...or kal raat aap ne heere moti nahi badi badi aankho me mote mote aansu ache naho lagte ye kaha tha...aap har bar khuch na khuch naya kehte hai....
Shaan hairat se kehta hai.... Acha mujhe to yaad hi nahi ke kal raat maine kya kaha tha....? Ek shararat bhari muskaan shaan ke honto par nachne lagti hai..
Chaliye bhagiye yaha se mujhe pata hai aap mera mazak udate hai....
Shaan apna mooh pitte hue... Are are nahi nahi rani saheba humari itni majal ke hum aap ka mazak udaye ..tauba tauba meri jaan ki tauba hume marna hai kya... ..
Aap....itna kehkar aaisha use marne dodti hai shaan jhapat kar chair se uth kar ek taraf bhagne lagta hai...
Thehariye ... Ruk jayiye ... Aap mere hatho se bach nahi sakte...itna kehkar aaisha shaan jo dodane lagti hai or shaan use idhar udhar dodge deta hai wo bechari use chu bhi nahi pati...or thak haar kar wapas bed par jake bhaith jati hai..or banaoti gusse bhari nazro se shan ko ghurne lagti hai...
Shaan thodi det baad khud hi uske paas aata hai or bade hi pyar se kehta hai... Are sory baba mujhe marna hi haina lo marlo or uske dono pairo ke pass or apni gardan jhuka kar bhith jata hai...
Aisha jaise hi use marne ke liye apna hath uthati hai wo shan apna chera utha kar uski taraf dekhne lagta hai or achanak aaisha ke hath ruk jate hai ... Use zeeshan ka chera itna bhola or uski aankho me itni masoomiyat nazar aati hai sa ke wo gusse me bhi muskura jati hai....
Nahi mai aap par hath nahi utha sakti...
Kyu...?
Aap ka chera hi aisa hai ke .....aisha iske aage khuch bol nahi pati...
Ke....? Shaan ek shararti muskurahat ke sath kehta hai..
bolo na ke....kya...?
Mujhe nahi maloom ...aaisha chid kar kehti..
Acha acha baba rehne do...
Itna kehkar zeeshan waha se uthta hai or aaisha tum ab aram karo mai zara khuch kam nipta kar aaya hu thik hai..?
Kaha jaa rahe hai aap...?
Kahi nahi bas thoda kaam baki reh gaya hai office ka use hi niptana hai...
Itna kehkar wo room se nikal jata hai...aisha use jata hua dekhti rehti hai or uske jane ke bad bed par let jati hai or aankhe band kar mand mand muskurane lagti hai......
Shan bahar lawn me ajata hai...
Banglow se hi lag kar ek bohat bada shade dikhai deta hai jiska phailaow takriban banglow ke barabar hi nazar aata yani ke jitna bada banglow tha itna hi bada wo shade tha kam se kam 5000 sq.feet ka raha ho ga jisme samne ki taraf ek bohat bada electronic shatar dikhai de raha tha ...
Zeeshan shatar ke samne khada ho gaya or apne sidhe haath par maujood watch ke ek bareek se button ko dabaya.... Uske botton dabate hi wo bada shatter bina awaz ke dhire dhire upar uthne laga jab wo pura khul gaya tab shaan uske andar chala gaya or shatter apne aap band ho gaya......................
Shade ke andar to puri ki puri ek nayi duniua hi basi hui nazar aayi....
Do partion the jisme se ek partion me Bohat sari cars jisme ek mamuli si car se lekar
super cars tak maujood thi sports cars .. Jeep cars etc etc ...
Or dusri taraf ke partion
me takriban har type ki bohat sari bikes jo ke kisi bhi mamle me caro se kam nahi thi apne
apne stand par khadi
Thi.....
In dono pariton ke beech me se ek rasta tha .... Pura ka
pura shade kisi bohat bade multi national show room ki misal pesh kar raha tha bahar se
jitna purana dikhai deta tha andar se utna hi aalishan nazar aa raha tha..
bhar se dekhne
wale kisi aadmi ke wehmo gumaan me bhi ye baat nahi aa sakti thi ye purana sa dikhne wala
shade andar se itna zabardast or alishan hoga...
Lights on.... Zeeshan ne ek awaz nikali...
Sari ki sari ligts on ho gayi...
is sare hall me ...hall kya ye to pura ka pura mall tha...
..... Me sirf or sirf gadiya hi gadiya thi...
Inke beech se guzarta hua zeeshan aage bada thodi
dur chalne ke baad ye rasta khatam ho gaya or yaha peeche ki jaga khuch khuli hui thi...
Samne hi kaanch ki ek gol lift nazar aa rahi thi
zeeshan lift ke pass gaya lift ka door
automaticly khul gaya zeeshan lift me gaya or kaha...
control room.....
ye kehte hi lift ke
niche ek bada sa circle bana or lift us circle me dhasne lagi aisa lag raha tha mano zameen
phati ho or wo kaanch ki lift usme sama rahi ho...
thodi der baad wo lift neeche tal ghar ya
kaha jaye tehkhane me jakar kar ruki samne ek chota sa rasta tha zeeshan lift se nikal kar aage
bada thodi aage bada hoga ke samne phir se ek normal electronic door nazar aaya jiske side me
screen lock system laga hua tha ....
zeeshan ne apne sidhe hath me pehni hui watch ko us screen
ke samne kar diya ....
achanak us screen me se khuc rays..( kirne )... nikli or shaan ki watch
ko scan karne lagi khuch second baad hi us mchine se ek awaz aayi..
Scaning completed.. welcome
kernal warior.....
shaan andar chala gaya andar ka mahaol bhi kisi science fiction hollywood ki
film se kam nazar nahi aa raha tha ...
jaga jaga diwaro se lage hue bohat si electronic machines thi ...
..samne hi ek bohat badi
Laboratery thi...
jisme shaan alag alag types ke chemical process karta tha or
nayi nayi chize ijaad yani ke naye naye formule create karta tha us haal ke center me ek bohat badi
transparent screen lagi hui thi..j
isme shaher ke alag alag ilako ki footage ek sath chal rahi thi....
zeeshan us screen ke pas jakar khada ho jata hai screen se attached bohat sare buttons hote hai
shaan unme se ek button dabata hai.....
Zeeshan :- Master computer Hardy activated....
Achanak jaise hall ke charo tarf se ek machini awaz gujnti hai
Good mornning kernal warior...
Zeeshan screen par dekhte hue kehta hai..
Good morning hardy....
( Hardy zeeahan ka master computer hai jo uske bohat se eham kamo ko niptata hai.... )
Ek baar phir Hardy ki awaz haal me gunjti hai...
Sir aap ka naya face tayyiyar hai ek bar dekh
lijiye khuc editing karna hai to aap apne hisab se kar lijiyega...
Haan thik hai preiview dikhao ...
Screen par ek chera nazar aata hai hai zeeshan use bade gor
se dekhne lagta hai...
Hmmm thodi bohat editing karni hogi hardy...
zeeshan ne khuch socthe hue kaha..
Or usi screen ki buttono par jhuk gaya or thodi hi der me usne us
face ki editing puri kar li...
Is face ko jaldi se tayyiyar karo hardy...
5 mint me tayyiyar ho jayega....
Itna kehkar hardy khamosh ho gaya...
Shaan hall ke ek corner par aaya
Jaha ek boht badi lazer machine fit thi uske samne hi ek plastic rubber
ke putle ka chera rakha hua tha machine se bohat hi bareek bareek kirne
nikal rahi thi or tezi se us sar ke ek hisse ko tarash ( kat ) rahi thi...
yeh wahi chera tha jo zeeshan ne screen par final kiya tha screen par remaining
4 mintes show kar raha tha zeeshan waha se aage bada ..
.Aage usne diwar me lagi ek kaach ki almari ko khola ...
usme ..ek lether jacket ... Ek alag hi material se bana hua pent ..
shoes goggle or isi type ki dusri chize thi usne apne kapde change kiye or
wo kapdre pehan liye shoes
( jo ke khuch ajeeb se the par phir bhi kafi
stylish lag rahe the .)
shoes ki less tight ki ...
or shirt ke upar lether jacket dall li...
Iske baad wo wapas usi lazer machine ke paas aaya kaam complete ho
chuka tha us rubber plastic ka chera ban kar tayyiyar tha ...
Jis tarha kele ka chilka kele se utar jata hai usi tarha zeeshan ne use
us chere ko bhi plastic ke sar se bade aram ae nikal liya.....
Ek patle si plastic ki parat uske hatho me thi polythin jaisi par us se
zyayada moti or mazboot ...
Samne aaina laga hua tha ...
Zeeshan aaina ke samne rakhi hui aram dayak sofe par bhaitj gaya or kisi solution
ki madad se us plastic mask ko apne chere par fit karne laga is kam me use 10-15 mint lag gaye ...
10 - 15 minute baad jo aadmi aaine ke samne khada tha use dekh kar koi bhi ye nahi keh sakta tha
ke ye wohi bholi or masoom si surat sa dikhne wala zeeshan hai....
Ye chera to itna khatarnak or khaufnaak tha ke dekhne wale ki rooh tak kanp jaye ....
Shaan ne mirror me apne aap par ek aakhri nazar dali or ek halki si muskurahat uske honto par aa gayi....
Par is muskurahat me na hi zeeshan ki shararat shamil thi na hi uski masoomiyat ye muskurahat to aisi
thi ke dekhne walo ke dil dehal jaye....
Waha se hat kar usne phir hardy se kaha....
Vishal ke current position batao...
Command recived... Hall me Hardy ki awaz gunji....
Achanak screen par ek bohat bade aalishan room ki video display hone lagi ..
room me bohat hi alishan tha or uske moddle me ek bohat bada or kafi alishan
bed pada hua tha jispar ek aadmi din duniya se bekhabar pada kharrate le raha tha.....
haan use dekh kar muskurane lagta hai...
Oh to sahabzade araam farma rahe hai....?
Hardy:- sir agar aap kahe to inhe bhi inform kiya jaye ...?
Nahi hardy jane do so raha hai bechara.... abhi waise bhi iske aram karne ki
din hai....
Ok....sir.....
Shaan hardy se kehta hai humara persol wifi-server on karo or mujhse connected rehna ok...?
Command receved.....hardy ki awaz aati hai
shan itna kehkar waha se hat jata hai or apni isi almari mese khuc chize nikal kar apne
jacket or pent me bane alag alag jebo or khano me adjust karne lagta hai...
Phir wo wapas upar aata hai or apni watch ko apne honto tak lakar kehta hai...
Hardy aaj ke liye mujhe meri dhanno chahiye...
Command recevied sir .... Hardy ki awaz yaha bhi haal me gunjti hai....
achanak ek super bike apne jaga yane jis lohe ki chadar par wo khadi thi us samet hawa
me upar uth jati hai us lohe ki chadar ke niche ek bohat hi takatwar crane ka handle
nazar aata hai jise master computer hardy control kar raha hota hai....
Sari bikes me se wo bike dhire dhire shaan ki taraf aati hai or bilkul uske samne lakar
rakh di jati hai...
Thank you hardy.... Shan musurakar kehta hai...
Its my pleaser sir.....Shaan apni dhnoo ko bade pyar se dekhta hai ...
uski dhanno ka matlab ....super bike hayabusa.....;D
Jisme khud usne bohat sare hydraulic changes kiye the or hardy ki madad se use kafi
had tak ek smart bike bana li thi...Zeeshan apna goggle lagata hai...or bike par bhaith jata hai ..
Bike par bhaitte hi uski overall persnality bohat hi khukhar or janlewaa dikhaiyi padti hai...
Chere ki sari smartness to uske is plastic mask ne waise hi tabah karke rakhdi thi...
Upar se ye rakshesh jaisi bike wo pura ka pura ek khaufnak janwar lag raha tha....
Usne phir hardy ko order diya..
shan>>>> Hardy lets play the game.......
Hardy:- command recevied sir....
Isi ke sath shaan bike start karta hai or use lekar hall me ek taraf mud jata hai or
achank us taraf ki sari ligths on ho jati hai ye ek patla sa gali jaisa rasta tha bilkul
ek undergroud tunnel ki tarha zeeshan usme kafi tez raftar se gadi bhagane lagta hai...
Par ye kya aage to rasta hi nahi.. Ye gali aage se band thi ........