• HOME
  • AWARDS
  • Search
  • Help
Current time: 29-07-2018, 11:16 PM
Hello There, Guest! ( Login — Register )
› XXX STORIES › Hindi Sex Stories v
« Previous 1 ..... 5 6 7 8 9 10 11 ..... 61 Next »

All In One Rehan Ki Anokhi Takat

Verify your Membership Click Here

Pages ( 5 ): 1 2 3 4 5 Next »
Thread Modes
All In One Rehan Ki Anokhi Takat
rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#1
17-01-2018, 10:03 PM
Hi friends i m starting this new story post agar ye story pehle bhi yaha daali gayi ho or padh rakhi ho to please mujhe maaf kar dena agar nahi padhi ho to isse padh kar iss story ka maja lena and post par apne replies jarrur dena jaisa ki aapne title mein naam padha hain rehan jo ki iss story ka maine hero hain uske baare mein bhaut si baate aapko iss story mein pata chalegi apne suggestions sabhi jarrur de so enjoy
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#2
17-01-2018, 10:04 PM
beta raanu uth jaa beta subha ho gayi kab tak soyega..??
maa apne chote se bete rehan ke sar se kambal

khincte hhue kehti hai..


ummmmmm...chone dijiye na ammi jaan abhi chulaj ( suraj )
bhi kha nikla hai..??

chota sa rehan apni pyari si totli zaban me apni maa se kehne laga
or wapas kambal apne moo par daal kar so gaya...

are beta suraj nahi nikla to kya hua tujhe jungal se lakdiya
bhi to katni hai phir unhe bazar le jakar bechaga tabhi
kuch paise milenge or humare ghar ka chula jalega...
warna aaj dinbhar tujhe or mujhe hum dono ko bhuka rehna padega..


jaise hi rehan ki maa ne usse ye kaha wo foran bistar chod kar
uth gaya ...


nahi ammi jaan .... mere rehte hue aap kaise bhuki reh shakti
hai...

mai abhi jaakar kuch intejaam karta hu....

maa ko apne is chote se laadle ki itni badi
badi baate or apni maa ke liye itni parwaah
dekh kar bohat khushi hoti hai..

or woh muskurakar rehan nke mote mote gaalo ko
pakad kar khincne lagti hai...

sach me bechara rehan tha hi kitna bada..??


tab hi guzar chuka tha bas apni maa ke sath
jungle se lagi hui ek choti si
jhoppdi me rehta tha maa ne bhi jaise taise karke use itna bada
kar diya tha gharo me bartan maajhti jhadu katka karti
or kisi tarha apna or apne bete ka pet paal liya karti thi..

par ab na jane use kaun si bimari ne jakad liya tha haath pair
se zyada kahi chal phir nahi paati thi..
bas apni hi jhopdi me padi hui idhar se udhar thoda bohat chal liya karti thi usse
zyada mehnat ke kaam bhi nahi ho pate the ,,

isi liye rehan abhi zara sa hi bada hua hoga ke uski maa ki ye halat
dekh kar usne apni 6th standard ki sari ki sari kitabe phad kar henk di thi
kuke ab halaat to itne kharab ho chuke the ke ghar me daane daane ko
mohtaaj ho gaye the study kaha se karte..

ab wo roz subha jugal se kuch sookhi lakdiya or gaay bakriyo ka
chaara ikathha karta or use gaao ke paas hi ek mandi me le jaakar bech deta tha ..

jo bhi thode bohat paise aate the usse apna or apni maa ka guzar basar kar liya karta tha..

aaj bhi uski maa use subha subha isi liye uhta rahi thi taaki wo jaldi se jungle se lakdiya wagaira chun
kar laaye kyuke mandi subha subha hhi lagti thi or ye sare samaan subha subha hi bik jaya karte

isi liye rehan ko roz subha tadke hi uthna padta tha..

waah re mere laddu bohat bada ho gaya hai re
tu to apni maa ki bohat chinta hai tujuhe haina..

haan hikar karu bhi kyu naa..??
koi 2-3 nahi ek hi to maa hai meri...


ale ,,ale mele raja beta aaja mere aas aa..

or rehan ki ammi rehan ko apne chote se or pyare se bete ko gale se laga leti hai...

rehan jaldi jaldi moo hath dhota hai or bhukhe pet hi jungle ki taraf jane lagta hai..

jate waqt wo apni maa se poochta hai..

ammi jaan...

haan beta..

sab log kehte hai ke humare jungle me bohat chale bhoot pilet or bade bade rakshas
kya ye baat sach hai..??

are beta aaj ke zamane me insaano se bada rakshas is duniya me koi nahi hai...
insaan naam ke rakshas se har bhoot har pret darta hai....

tu in sab baato ki fikar mat kiya kar meri duaai hamesha tere saath hai
koi bhi kisi bhi tarha ki chiz tera kabhi kuch nahi bigaad sakti samjha..?

ji ammi jaan mai to roz jungle se aana jaana karta rehta hu mujhe
bhi aaj tak waha kuch bhi nazar nahi aaya..

s haan beta ye sari chize bina matlab kabhi kisi ka nuksaan nahi karti
gaao wale waha jane se darte hai kyuke unhone khud galat kaam kiye hue hai..

ye chize unhi ar haawi hoti hai jo galat hota hai ya unke
aade aata hai..

agar unhe nuksaan ohchaya jaaye taabhi wo alat kar waar karti hai..

tu aisi chizo ke raste me kabhi mat aana samjha ...???

thik hai ammi jaan mai is baat ka khyal rakhunga..

or agar koi mele laaste me aayega to mai unhe tumhala ??s
naam bata dunga thik hai naa.???

rehan ki maa rehan ke is bhole pan par muskurar kar reh jati hai..
thik hai beta ab jaldi jaa warna mandi shuru ho jayegi or
tu bhi der se pohnchega,,


thik hai ammi jaan mai jaa laha hun..
alvida..

alvida mere bacche..

rehan ki ammi ane nanhe se bacche ko ani aankho se door ghane
jungalo me jate hue dekhne lagi..
darr to use bhi lagta tha ke itni s nanhi si jaan akele kaise is bhayanak
jungle me kaam karega..

par kliya bhi kya ja sakta tha...

rehan ke ilawa us ghar me kamane wala koi or mard
nahi tha...

wo khud ab kisi kaam ki nahi thi warna wo rehan ko kabhi aise
akele jungle me jane nahi deti..

rehan ke chacha chachi bhi usi gaao me rehte the ppar wo log
in maa bete se kabhi koi rishta nahi rakhte bas ye dono maa
bete hi jungle se lagi hui is ek choti si jhopdi me pade
rehte the..
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#3
17-01-2018, 10:05 PM
rehan apni msatime chala jaa raha tha ghana jungle hai par use is baat
ki koi parwaah nahi thi...

ye to uska roz kaa kaam tha,,
jungle me jaana sukhi lakdiya chunna or bariyo ke liye haari chaara todna..

ek do dino se use raste me ek darwesh baba dikhayi dene lage...

wo ek bargad ke edh ke niche akele bhaithe rehte or aankhe band kiye na jane
kya kya mooh hi mooh me bad badaya karte un ke mooh se koi awaz to nahi aati
ar hont barabar hilte rehte the..

aaj rehan raste se jaate jaate ruk gaya or thodi der khada reh kar darvesh baba
ko dekhne laga..

aage bad kar wo unke kareeb gaya ...

usne dekha ke darvesh baba jis jaga kar bhaithe hai
wo jaga kafi gandi hai or waha kide makaude bhi chal rahe hai..


use ye baat achi nahi lagi usne dhire se awaz lagai

baba...

darvesh baba ki aankhe band thi par rehan ki awaz sunkar
unke hont hilte hilte ruk gaye..

or unhone apni aankhe khol kar rehan ki taraf dekha..

baba aap bas ek mint ke liye apni jaga se uthiye naa..

baba ne rehan ki is baat ka koi jawab nahi diya
bas chup chap uski baat sunkar apni jaga se uth kar bazu me kahde
ho gaye..


rehan ne nariyal ki ek badi si patti kahi se utha kar layi or darvesh baba
ki bhaithne ki jaga par jhadu marne laga..
us jaga ko ache se saaf karne ke baad usne waha par kuch narm or aramdayak
pattiya lakar bicha di taki baba yaha araam se bhaith sake..

baba rehan se thodi hi door khade uski sari harkate dekhe jaa rahe the..
unke honto par ek muskurahat si aagayi wo rehan ko bas ek tak dekhe jaa rahe the..

rehan ka dhyan baba ki tarf nahi tha wo to bas apne kaam me magan tha ..

thodi der baad rehan ne wo jaga achi tarha saaf karli..
or baba ki taraf mud kar unse kaha..

baba ab aap bhaith jayiye keele makule nahi katenge aapko...

baba muskurate hue ani jaga aaye..
or bhaithe hue rehan se kaha..

kya naam hai tera..??

ammi ne to mela naam lehaan ( rehan ) rakha hai baba..



hmmmmmm...
yaha itne ghane jungle me akele kya kar raha hai..??

rehan ne apni sari kahani baba ko suna di

baba ne rehan ki sari bate sunne ke baad usse kaha..

thik hai ab jaa apna kaam kar le..

or rehan apna kaam me lag gaya...

bechara khud chot sa or chote chote haath kaha tak lakdiya or chaara
jama karta jitni uske haatho me taakat thi wo sari laga kar usne sookhi
lakdiyo or hari pattiyo ka ek ghatra banaya...

or utha kar use apne kandho par laada or waha se nikal pada mandi ki taraf..

jate waqt bhi use wahi baba bargad ke ped ke niche bhiathe hue mile
par phir unki aankhe band thi or wo na jaane kaun si duniya
me magan the ..


rehan unhe dekhta hua aage bad gaya...

mandi pohanch kar usne apna puarana bora bhichaya..or laga a
awaz maar kar apna samaan bechne ..

baklii ka chaala lelooooo.........jalawan lakdiyaa leloooooo...
aye chaaalee waaaalaaaa... leloooo bhai leloooo..
raste kaa maal saste me lelooooo...


bohat se log to sirf uski totli awaz sun kar hi ruk jate or use dekh kar
muskurane lagte phir aage bad jaaya karte..

dhire dhire karke uska sara ka sara maal bik gaya..

maal tha hi kitna ..???

jitni bechare chote se rehan ke hatho me jaan thi utna hi utha kar laa pata tha koi or
sadhan to tha nai uske paas jo zyad maal lakar zyada paise kama pata...


bas jo bhi mila usme uparwale ka shukar ada kiya or waha se raashan ki dukaan se ghar ke liye jo bhi laga
wo rasha khareed liya...

or usi bore me apna samaan lapeta or usi bore ko apne kandho pe daal ke apne ghar ki taraf nikal pada..

ghar me maa shayad usi ki raah dekh rahi thi..

jaise hi wo ghar me aya..

maa ne usse kaha..

raanu agaya beta...??

kaisa raha aaj ka din ..??

acha tha ammi jaan maine aaj bhi acchi tamai ti ( kamai ki )..

ye dekhiyei rashan bhi laya hoo chaliye jaldi se khana banaiye
mujhe bohat zoro ki bhuk lagi hai..

thik hai beta maine chulha pehle hi jala kar rakh diya tha..

jaa tu haath moo dhokar aaja tab mai kuch bana leti hun phir hum dono
sath bhith kar khayenge,,,


thik hai maa ..

or rehan bahar rakhi hui paani ki naan me se pani nikal kar hath moo dhone lagta hai..

uski maa andar chulhe ke paas bhaith kar kuch pakane lagti hai...

thodi hi der me kahan ban jata hai..

or dono maa bete mil kar sath me khana khate hai...

isi tarha in logo ki zindagi tangi me magar khushi se guzar rahi thi..

jo bhi mil jata usi me ye log hamesha khush rehte kabhi or zyada ki lalach in logo me
nahi thi....


par waqt ki godh me rehan ke liye khuch alag hi kahani likhi jaa rahi thi..

nanhe se rehan nahi maloom tha ke aage jaakar uske saath kya kya hone wala hai...??
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#4
17-01-2018, 10:09 PM
isi rehan ki zindagi me bohat si takleefe or dukh dard shamil the par
uska nanha sa rehan shayad in chizo ka matlab bhi nahi janta hoga...

wo jab subha
apne nanhe nanhe hatho me lakdiyo ka bojh uthye
bazar ki taraf jata to use apne sath ke apne hum umar bacche
apni hatho me school ka bag pani ki botal or teffin box liya apni
apni schoolo ki taraf jate hue nazar aate..

rehan badi hi hasrat bhari nighaho se un baccho ki taraf dekhta..

uske dil me bhi hook uthti hai ke..

kaash mai bhi kabhi in bacho ki tarha school jata..

par acahank se uski aankho ke saamne uski bimaar maa
ka chera aajata hai..

or wo jaldi se is khayal ko apne zehan se jhatak deta hai ..

nahi..nahi agal ( agar ) mai ishcool jaaonga to meli ammi jaan
ka khayal kaun lakhega...??

or wo apne kandho par lakdiyo ka ghattha lekar mandi ki taraf nikal jata ..

isi tarha rehan ke din or raat katne lage ..

uska roz yahi kaam tha subha savere uthna jungle se lakdiya laakar
bazar me bech dena or jo bhi thode paise mile unse thode se chawal aata
or daal kharidna or apni maa ka or apna pet inhi mamooli or ubli hui chizo se
bharna..


wo kabhi kabhi apne chacha chachi ke gahr ke aas se bhi guzarta tha..

chachi ki 2 betiya or ek chta beta tha..

paiso ke male me ye log rehan ke ghar se bohat ameer the...

chachi ki badi beti rehan se 3 saal choti thi kabhi kabhar rehan
unke ghar ke taraf se guzarta to use apne chacha ki badi beti khelte hue nazar aajati or
or rehan bhi ruk kar thodi der uske sath khelne lagta na jane kyu rehan ko dekh kar us
ke chere par ek bohat hi yari or bholi si mukaan aajati or nanhe rehan ko bhi uske sath khelna
bohat acha lagta tha..

wo dono hi gudiya gudde ka khel khela karte jisme cahachi ki badi beti neha
biwi banti or rehan uaka pati ban jata ....
neha ki chote bhai behan un dono ke baccho ka role play kiya karte the..


neha or rehan dono hi sath sath ye khel khela karte..

neha rehan se kehti..

suniye ji....aaj aap bazar se aate aate mere liye chameli ke phoolo
wala gajra lete ayyi ga..

neha ke maqaable rehan totli awaz me kehta tha kyuke uski zabaan abhi saaf
nahi hui thi..

uski awaz sunkar neha or uske chote bhai bheno ka bada maza aata tha..

haan ...haan ..jalool jalool ( zaroor zaroor)
lekal aaounga tumhale liye tomai chaand taale bhi tol ke laa
sakta hun ye chota sa jajra ( gajra ) kya chiz hai..

rehan ki aisi totli awaz sun kar wo teeno ke teeno bohat haste hai..

aap to bohat totla totla kar bolte hoji..

apni zabaan ka ilaaj karwaine..

na jaane ye chote chote bacche aise badi badi bate kaha se sun liya karte the..

unki acting dekhne laik hua karti thi shayad ye bacche bado ko dekh kar hi seekha karte the ...

acahnak hi gahr se chachi ki awaz aati hai or ye teeno ghar ki or daudne lagte hai..

jate jate neha rehan se kehti hai kal phir aana rehan hum sab kal phir sath me yahi khel khelnghe..
tumhre sath is khel me mujhe bada maza aata ahi..

rehan bhi muskurakar kehta hai..

haan ..mai aaounga jalool aaunga..

or neha rehan ki baat sunkar ek baar phir haste hue waha se bhag jatai hai..

rehan bhi kuch der wahi khad use jate hue dekhne lagta hai....

jab neha chali jati hai to rehan bhi waaha se aage bad jata ahi...
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#5
17-01-2018, 10:09 PM
aaj phir ek nayi subha hui rehhan roz ki tarha subha tadke hi uth gaya sahaya aaj maa ki tabiyat
kuch kharab hai isi liye wo abhi tak nahi uthi ..

rehan bhi maa se kuch nahi kehta or hath moo dhokar jungle ki taraf jane lagta hai..

kyuke raat me khana nahi khaya tha or subha ka nashta bhi nahi kar paya tha isi liye use bohat zoro
ki bhuk lagne lagti hai...

wo in jaugli jhado me apne khane ke liye kuch dhudne lagta hai..

acahanak hi uski nazar ek tendoo ke ped par padti hai..

bohat bada ped tha us par chadna to rehan jaise chote se bacche ke liye imppossible tha...

par phir bhi rehan us ped ke kareeb gaya waha jkakar usne dekha ke ped ke niche
kuch pake hue meethe tendu ke phal gire pade hai ..

rehan ne un phalo ko jaldi jaldi chun kar apne bore me daal liya or waha se aage badne laga..

raste me wahi darvesh baba mile..

rehan unke paas gaya or unse kaha ...........

baba utho.......

baba phir apni jaga se uth gaye ...

rehan ne apna bora ek side me rakha or darvesh baba ke bhaithne ke liye
us jaga ko saaf karne laga...

ye ab rehan ka roz ka kaam sa ban gaya tha ..

wo roz jate waqt baba se milta or unke liye bad ke phed ki neeche ki jaga
jaha wo bhaith kar ibadat kiya karte the us jaga ko ache se saaf karta or phir
unhe waha bhaitha deta pped se kuch door hi ek choti si gaas hus ki j
jhopdi thi jaha shayad baba rehte the...

aaj phir reahn ne bina kuch bole bina kuch kahe baba ki us jaga ko saaf kar diya..

or baba bas use dekh kar muskurate rahe,,,

lo baba maine aap ki jaga saaf kardi ab aap araam se bhaith jao ...

itne dino se rehan ke is khidmat se baba ko rehan se lagao sa ho gaya tha

baba apni jaga bhaith gaye ..

rehan bhi unke samne aakar bhaith gaya or apne bore me se sare tendooo ke phal nikal kar
baba ke samne rakh diye..

lijiye baba aaj mujhe raste se aate aate kuch phal mile hai mai janta hun ye kuch zyada nahi
pal phil bhi aap khalo..

baba muskurakar rehan ki taraf dekhte hai..

rehan ke bhole se chere ko dekh kar unhe uspar bada pyar aata hai..

wo usse poochte hai..

kya tune kuch khaya hai..??

rehan na me sar hila deta hai..

to pehle tu khale agar in mese kuch bachega to mujhe de dena...

nahi baba ppehle aapp khao phil mai khaunga.. aap mujhse bale ho na isi liye..

bab phir se muskurane lagte hai..

acha ek phal tu utha ekj mai uthata hun..

dono sath me khayege..

thik hai baba..

or reha or baba ek sath phal utha kar khane lagte hai..

pphal khatam hone ke baad rehan arvi ke ek bade se patte me paas hi ki ek nadi se pani
lekar aata hai..
or baba ko ppilata hai..

chaliye baba ab mai jata hun jaldis se ladiya lejakar mandi me bechni bhi to hai mujhe..

or rehan apna bora utha kar waha se aage badne lgata hai..

acahanak se hi use pich se awaz aati hai..

ruk jaa rehan...

rehan ke badte hue kadam ekdum se ruk jate hai..

ye darvesh baba ki awaz thi...

rehan palat kar unki taraf dekhne lagta hai..

idhar aa mere paas aakar bhaith thodi der..

rehan kuch nahi kehta bas chup cahp baba ke samne jaakar bhaith jata hai..

baba rehan ki aankho me dekhne lagte hai or muskurate hue kehte hai..

rehan beta tune meri itni khidmat ki hai par iske badle me tune aaj tak mujh se kuch maanga kyu nahi..???

rehan baba ki baat sunkar muskurane lagta hai..

or bade hi bholepan se kehta hai..

baba ....aap to ek chote fakeel ( fakeer ) ho aap ki jhopli ( jhopdi ) bhi choti si ghaas poos ki hai..

mai aapse kya mangu ...??
or agar kuch maanguga bhi to aap mujhe kya de sakte ho..??


or mai aap ki mada sirf isi liye karta hu ke mujhe acha lagta hai aap ke kaam karne me maza aata ahi or kuch nahi..

haan beta maine tere dil ko phada hai tere dil me kisi ke liye koi burai koi mail nahi hai ek kora kagaz hai tera dil


or mera dil kehta hai ke mai tujhe kuch doo..??

nahi baba mujhe aap se kuch nahi chaiye bas aap ne itna keh diya utna hi kafi hai..

or mujhe bhi pata hai ke aap ke paas aisa kuch bhi nahi jo aap mujhe de sake..

rehan ki baat sunkar baba muskurane lagte hai...

or rehan se kehte hai..

mere thoda or kareeb aaja beta..

rehan baba ke or kareeb ajat hai..

baba rehan ke sar par hath rakhte hai or apni aankhe band karke
kuch padne lagte hai rehan kuch sun to nahi pata par use baba ke hont barabar hilte hue nazar aate hai

acahnak rehan ki aankhe band hojati hai..

use ek ajeeb si takat ek ajeeb sa bharipan or bechaini si mehsoos hoti hai,,

use bilkul aisa lagta hai ke bohat hi bhari sa wazan uske seene me utara jaa raha ho..
uske dil ki dhadkane tak use apne kano me sunayi dene lagti hai...
bohat hi ajeeb sa or anokha ahsaas tha ye use kuch bhi samajh nahi aa raha tha ke ye sab
kya ho raha hai..??

usne laakh koshis ki ke apni aankhe khol sake par uski aankhe khul nahi paa rahi thi..

or takat or bechaini ka ye anokha ahsaas use pagal kiye de raha tha..

use yu lag raha tha ke bohat si chize bohat si bate or bohat si ajeeb ajeeb na samajh me aane wali
baate uske dil me bohat hi tez raftaar se ghusti chali jaa rahi hai na hi uspar rehan ka kaboo tha na hi uske
dil kaa...

is kuch der ke wakfe me hi na jane usne apni band aankho se kya kya dekh liya tha or uska zehan roshan sa ho gaya tha..

ye ajeeb sa ahsaas jab uske bardast ke bahar ho gaya to badi hi mushkil se uske honto se awzaz nikli ...

bbb...bbb..baba ..ye mujhe kya ho raha hai mujhe band aankho se ye kya kya nazar aa raha hai..

mera seena mujhe itna bhali bahli ( bahri bhari ) kyu lag raha hai aap mere sath kya kar rahe hai..??

or thodi der baad baba rehan ke sar se apna hath hata lete hai..

shan apni aankhe khota or dekhta hai ke baba ke saanse bohat tez chal rahi hai..

poora ka poora chera paseene se tarbatar ho gaya hai ..

rehan ne jab baba ki ye haalt dekhi to usne jaldi se unhe sambhla or unse poocha...

baba ye aapko kya hogaya hai baba..

bab ne badi hi mushkil se awaz nikal kar kaha ..

ppp.pp.pani ..pani pildo mujhe beta..

hhh.hhhh.han baba abhi laya aap yahi ..
'mai ,,,,abhi apni lekar aata hun..

rehan turant arvi ka wahi patta lekar nadi ki taraf daudta hai ..

par ye kya uski daudne ki arftaar ppehle se kayi guna zyada tez ho gayi thi..

wo bilkul aise daud raha tha jaise koi chita appne shikar ke eeche apni ppoori raftaar se daudta hai..

or uska zehan bohat hi etzi se kaam karne laga tha raste me aane wali kaatiyo or pedo ki
daaliyo se wo badi hi tezi ke sath apne aap ko bachate hue..
daudne laga wo
hairani se apne pairo ki taraf dekhta hai par use kucha samajkh nahi aata hai..

daudne ke liye wo apni takat utni hi lagat hai jitni ki pehle lagaya karta tha par
ab na jane kya hua uski ye raftaar kai 100 guna bad chuki thi..

wo nadi ke 10 mint ke arste ko 1mint me pura kar leta hai or jaldi se arvi ke patte me
pani bhar kar baba ke paas wapas ajata hai or unhe paani ppilata hai..

paani peene ke baad baba ki halat pehle se vthik ho jati hai..

rehan baba ki taraf hairat se dekhta hai,..

baba aap ko kya hua tha..

kuch nahi beta jab jism se takate jati hai tab jism thoda kamzor sa ho
jata hai..

mera jism bhi zara der ke liye kamzor ho gaya tha par ab mai thik hunn..

baba pata hai abhi mere sath kya hua..??

mujhe sab pata hai beta tujhe baatne ki koi zarurat nahi hai..

or baba rehan ki bat kat hue kehte hai..

beta tu bachpan se hi KAALE ZEHAN ka malik hai ye baat mujhe usi din
pata chal gayi thi jis din tu pehli bar mere paas aya tha..

or jo takate maine tujhe dee hai in takato ki wajha se teri in zehni takato me bhi bohat
nikhar aa jayega...

( ENGLISH ME KAALE ZEHAN WALE INSAAN KO BLACKEES KAHA JATA HAI
IS TARHA KE KALE ZEHAN WALE INSAAN KARODO ME EK HOTE HAI OR IS SOCH OR IS TAKAT KE BALBOOTE PAR WO JISE CHAHE
USE APNE WASH ME KAR SAKTE HAI WO JAISA CHATE HAI WAISA HI HOTA HAI
JAISA SOCHTE HAI AGLA INSAAN WAISA HI KARTA HAI....
UN KE JISM SE EK AISI KHUSBOO NIKALTI HAI JISKI WAJHA SE KAI LOG UNSE AKARSHIT HOTE HAI OR ISI ATTRACTION
KE KARAN WO IS INSAAN KI TARAF KHINCHE CHALE AATE HAI
KAHA JATA HAI KE PURI DUNIYA ME KAALE ZEHAN KI TAKAT RAKHNE WALI SIRF ..100 YA 102 LOG HI
HAI JINME YE TAKAT GOD GIFTED HAI...
ISKE ILAWA OR BHI KAI TAKATE OR CHIZE HAI JO AISE INSAN KE PAS HOTI HAI JO MAI AAGE WQAT AANE PAR BATATA CHALA
JAAONGA...)



Tujhe aaj se duniya pehchanegi....

ye ek sacche darvesh ka qaul ( wachan ) hai..

or rehan baba ko hairat bahri nighaho se dekhne lagta hai ....

yaha se rehan ki roohani takato ka khel shuru ho jata hai..

ab aage aage uski zindagi in takato ki wajha se kaun kaun se mod lene wali
hai ye khud bechara nanha rehan bhi nahi janta tha...
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#6
17-01-2018, 10:11 PM
baba ne apni jholi me haath daal kar ek soorme ki choti si
kanch ki shishi nikal kar rehan ke hatho par rakh di..

ye kya hai baba..?


beta ise soorma kehte hai..
ye mujhe kisi ka diya hua tohfa hai par mujhe kabhi iski zaroorat nahi
padi ..
tu ise rakh le ye chiz tere kaam aayegi..


par baba iska mai karunga kya..??


jab kabhi bhi tu pareshni or tangi me ghir jayega is soorme ek
selaiyi ko apni aankho me laga lena tujhe apni preshaniyo ke
hal khud teri hi aankho se dikhayi dene lagenge..



or bhi kai chize or takate tere andar maujood hai beta jo waqt ke saath nikhati or
swarti chali jayegi...

jaise jaise tu bada hota jayega teri dabi hui takate bhi teri badti umar
ke sath badti chali jayegi...
par beta ek baat yad rakh,,,
ho sake to tu aoni in roohani takato ka istemal soch samajh kar or kisi ki
madad karne ke liye istemal karna..
in chizo ke galat istemal se hamesha gurez karna mere bacche..
tu samajh raha haina mai kya keh raha hu..


rehan apna sar haan me hilate hue kehta hai..

han baba mai samajh gaya..


chal ab jaa apna kam dekh le ..
or in takato se ghabrana mat ye tujhe kabhi koi nuksan nahi
pohchayegi par inke dikhawe se bhi hamesha bachna logo ke
samne apni in takato ka dikhawa mat karne rehan..
kuch din tujhe apni in nayi salahiyato ki wajha se
thoda ajeeb zaroor lagega par bad me tujhe in chizo
ki adat pad jayegi..


thik hai baba mai sab samajh gaya ..
kya ab mai apne kam pe jaou..??

acha beta jaa..

or rehan baba ke pass se uth kar andar janglo ki taraf lakdiya chunne
nikal jata hai...

sach to ye tha ke wo bechara bas baba ki han me han mila raha tha
par uske samajh me to kuch bhi nahi aaya ke baba aakhir usse keh kya rahe the..??


khair wo baba ki bato ko apne zehan se jhatak kar apne kam me masroof
ho gaya..

aaj kam bohat jaldi ho gaya..

usne jaldi jaldi sari lakdiya jama ki or use apne kandho utha kar mandi ki taraf
chal pada..

isi tarha se din guzarte chale gaye..
or rehan bhi waqt ki is chakkar ke sath or bada ho gaya..

darwesh baba us din ke bad use dobara waha nazar nahi aaye..

rehan ne kai bar unki khali jhopdi me jaker dekha jungle me unhe dhoondha
par wo use kahi nazar nahi aaye..


rehan ko kabhi kabhi baba ki bohat yad aati..



ab rehan apna zyada tar waqt akele junglo me ghoom phir kar hi bitata tha..


us ki roohani takate bhi roz ba roz badti chali ja rahi thi..

ab use ek jaga bhaithe bhaithe hi meelo door ki awaze sunayi diya karti thi..



wo usi ped ke niche jaha baba bhaitha karte the roz thodi der bhaitha karta
or apni aankhe band karke dhyan lagaya karta use apni aankho ke samne apni maa
dekhiyi deti jo is waqt ghar me bhaithi uska intezar kar rahi hai..


wo waha se kuch or door dhyan lagata achanak us ke zehan me neha ka pyara sa
chera ghoom jata..


wo foran hi neha ke bare me sochta..


use apni band aankho me neha dekhiyi deti..


is waqt wo apni ghar me bhaithi bhaithi kuch sabziya kat rahi thi..
ke achanak sabzi katte katte churi neha ki ungli par lag jati hai
or neha ki ungli se khoon niakl aata hai..

neha rote hue kehti hai kehti ,,

ooch...
ammi ....dekho meri ungli kat gayii..



neha......
acahnak rehan neha ko pukarta hai or waise hi us ki aankhe khul jati hai..


wo samjajh jata hai neha ke sath kuch galat hua hai..

sham me jab wo neha se milta hai to uski ungli
par rehan ko patti bandhi hui dekhyi deti hai..


rehan neha se poochta hai..

ye tumhari ungli ko kya hua neha..




kuch nahi,,
wo kya hai aaj subah sabziya katte katte churi ungli par chal gayi isi liye
ungli kat gayi..


ab rehan ko pakka yakeen ho gaya tha ke wo jo chize dekhta wo 100 percnt
sach hoti hai..
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#7
17-01-2018, 10:12 PM
ab rehan apni doosri khubiyo ko bhi aazmane laga..
or wo apni sari takato ko aazmane ke liye junglo ka hi rukh kiya karta.



kyuki kafi ghana or drawna jungle hone ki wajha se aam taur par log yaha
aane se katrate the jiski wajha se rehan ko kisi ke dekh lena ka bhi khatra nahi tha..


par kuch chize thi jo kabhi kabhi rehan ke samajh me nahi aati thi ..


kai bar aisa hota ke jab rehan subah subha lakdiya lane jata to
use pehle se hi lakdiyo ka bana banaya ghatta wahi pada mil jata..??



rehan sochta ke mere ilawa to yaha koi aata nahi phir ylakdiyo ka ye ghatta
aya kaha se..


khair mujhe kya karna hai..??

chalo ise hi liye chalta hun..


or rehan us ghatte ko utha kar apne kandho par dal leta..

par ye kya..???


un lakdiyo ka wazan rehan ko kuch bhi mehsoos nahi hota..

use aise lagta hai ke kisi ne upar se us ghatte ko pakda hua hai
or wo ghatta rehan ke kadho ko bas chu raha tha us ka wazan
rehan par nahi pad raha tha..



rehan ne peeche palat kar dekha par waha koi nahi tha..

bat kafi hairat ki lag rahi thi..??


aisi koi takat to uske pas nahi thi ke ladiya khud ba kkhud jama hokar
ek ghatte ki shakal me band jaye or unka wazan bhi rehan ko apne kandho
par mehsoos na ho..??


phir ye sab kya hai..??


wo yahi sochta raha par waqt kam tha or use jaldi se mandi bhi pohancna tha isi liye
wo is bat ko nazar andaz karte hue aage bad gaya..


raste bhar use yuhi laga jaise ke uske kandho par kuch bhi nahi rakha hua hai..
ye koi dusri hi shaye ( chiz ) hai jo us ghatte ka wazan sambhal rahi hai..


khaie isi ke saath din guzarte gaye ab rehan jungle se thodi zyada lakdiya laa liya karta tha
jiski wajha se paise bhi kuch zyada mil jaya karte the,,


ab wo apni maa ka bade hi ache se khayal rakha karta tha..


rehan ki maa bhi rehan se bohat khush thi wo hamesha apne dono
haath utha kar rehan ko duaye diya karti or pyar se us ke sar par apna haath phera karti..


par shayad kismat ko rehan ke sar par uski maa ka aanchal zyada dino tak raas nahi
aaya..



kuch dino bad rehan ki maa apni beemari ke chalte is duniya se rukhsat ho gayi..



ehan jab mandi se anaj khareed kar wapas aaya to use apni ammi jan ki laash uska
intezar karti hui mili..


gum or dard se rehan ka kaleja mano phat sa gaya ...
ab is duniya me uske liya kya reh gaya..???


ab kaun use duaye dega..??
kaun use apni mamta ke saaye me jaga dega ..??

ab ...
ab....ab kya bacha hai is bacche ke liye is duniya me..??


rehan bohat roya or bohat roya..


jab basti ke kuch logo ko is baat ki khbar lagi to wo bechare insaniyat ke nate
is gareeb bete ki maa ko dafnaane chale aaye..


par in logo me bhi rehan ka saga chacha shamil nahi tha ..

rehan ko kisi se pata chala ke wo kam ke silsile me bahar gaon gaya hua hai,.,


rehan ko maa ko dafnane ke bad sare log apne apne gharo ko chale gaye
kisi ne is bat ki khabar tak naa li ke rehan kaisa hai..???


ya kya is masoom bacche ko kisi chiz ki zaroorat to nahi..??

par is zalim duniya me logo ko ;MERA OR MAI; se agar fursat mil jaye
to wo kisi dusre ke liye soche ..


yahi rehan ke saath hua use kisi na nahi poocha or sab ke sab use jungle se lagi is jhopdi me akela
chod kar chale gaye...


kuch din yuhi guzar gaye..

ab rehan wahi rozana ke kam par lag gaya..

lakdiya lejakar mandi me bechta or usse jo paise aate un paiso se thode se
chawal or ataa khareed kar apne hatho se apne liye khana banata..

kabhi roti jal jati to kabhi chawal kacche reh jate ...
par shayad use in chizo ka koi ehsaas hi nahi tha..

kyuke in sari taleefo par uski ek takleef haavi ho jati thi..

uski maa ka yu achanak use chodkar chala jana..


ye takleef ya ye gham rehan ke liye itna bada tha ke uske saamne duniya ki har
takleef use choti lagti thi..


ek do bar neha ke ghar ki taraf se bhi rehan ka guzar hua..


neha samne hi darwaze par bhaithi kitab kiye kuch pad rahi thi
jaise hi usne dekha ke rehan ghar ke samne se jaa raha hai usne
apni kitab wahi rakh di or daud kar rehan ke paas aayi or uske
gale lag gayi.....


neha ne rote rote rehan se kaha..


mujhe tayammi ( rehan ki mom ) ke bare me pata chala bohat bura laga sunkar ke ab
tum akele ho gaye ho..
maine ammi se bohat kaha ke mujhe tumhare paas jane do par unhone meri ek na suni
or mere zidd karne par mujhe bohat mara bhi ye dekho neha ne apne daye bazu ki aasteen upar karke rehan
ko dikhayi neha ke bazao par lakdiyo se padne wale hare hare nishan ban gaye the...



rehan ne jab neha ke bazuo par chot ke ye nishan dekhe to use bohat gussa aya..

achanak uski aanko ka rang ekdum kala ho gaya...
usne apni aankho ko ek bar aasman ki taraf kiya or phir foran hi zameen ki
taraf dekhne laga..

achanak neha ke ghar se uski maa ke chikhne ki awaz aayi ..


neha foran hi bhag kar kar ke taraf jane lagi to reha ne uska hath pakad liya..

rehan ne apni hathli neha ke chot ke nishano par rakhi or uspar apni hathli ko halke se
pherne laga ..



neha ne dekh ke uski sari chot ke nishan acanak se gayab ho gaye or jism me jo dard tha
wo sara ka sara ekdum se khatam sa hogaya..



wo hairat se rehan ko upar se neeche tak dekhne lagi...

hairat ke mare uski aankhe phati ke phati reh gayi ke itne sare chot ke nishan or itna dard
rehan ke ek hath lagate hi kaise gayab ho gaye..???


rehan ne muskurakar kaha..


jao ...
andar jakar apni ammi ko sambhalo unhe tumhari zaroorat hogi..


neha kuch bol nahi payi or chup chap daud kar apne gahr ke andar chali gayi..


ghar me jate hi usne dekha ke uski maa apni kamar sehla rahi hai or langda landa kae chal rahi
hai..


neha ne hairat se poocha ..


kya hua ammi aap ko..


neha ki maa ne kharahte hue kaha..


are....
mat pooch mooyi ..aisa laga ke kisi ne hawa me upar utha
kar mujhe bohat zor se zammen par patak diya ho kuch samajh nahi
aa raha ke ye sab kaise hue,,???



acahnak neha ko rehan ki kaali kaali or gehri aankhe yaad aagayi jab usne apni aankho
ko ek khas harkat di thi..

to kya ye rehan ne kiya hai..???

acahnak khud neha ke dil ne neha se sawal kiya..


rehan ko ye kya ho gaya hai ..???

wo pehle to kabhi aisa nahi tha..


neha ke zehan par rehan kisi pur israar saaye ki tarha havi hota jaa raha tha..


or wo rehan ki is nayi shaksiyat ke bare me sochti rahi....
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#8
18-01-2018, 12:43 AM
din yuhi guzarte chale gaye or rehan ab apne aap ko sambhalne laga tha
kam wahi pehle jaisa chal raha tha rozana lakidiya kato or bazar me lejakar
becho ..

rehan apne hi hatho se jale bhune chawal or aadi tedi rotiya banata or khuda ka shukar
mana kar kha liya karta tha..

na hi uske dil me khuch zyada pane ki lalach thi na hi aage badne ki hawas apni
isi halat par wo bohat khush tha par apni maa se bichadne ka ghum use andar hi
andar khaye jaa raha tha..

kabhi kabhar apne chachi ke ghar jane ki koshish karta par beizzat or zaleel kar ke waha se bhi nikala jata uski chachi
use bohat na pasand karti jiski wajha aaj tak khud rehan nahi jaan paya tha..


par kuch din us par aise aaye ke wo kuch samajh hi nahi paya or apne chacha ke ghar ki
taraf badne laga..

hua yu ke gao me dange fasaad shuru ho gaye the jiski wajha se mandi 3-4lagatar band thi
rehan bechara kuch kar hi nahi paa raha tha us bechare ki rozi roti to usi mandi se hone
wali kamayi par chala karti thi uske pass ka sara rashan khatam ho gaya ab na hi rashan lane ke
liye paise bache the or naa hi paise aane ka koi zariya nazar aa raha tha ..

bechare bacche se jab tak bardasth hua usne apni bhook ko paani ke kadwe ghoont pee pee kar
bardast kiya par aaj 3 din se upar ho gaye par uske pet me anaaj ka ek dana tak naa gaya..

majboori or kamzori ki is halat me use apne chacha ka ghar yaad agaya kamzor kadmo se
rengte rengte wo kisi tarha apne chacha ke ghar tak pohancha..

use andar se khane ki bohat hi badiya khuboo aa rahi thi andar jakar dekha to samne ke hi kamre me neha..
uski choti behan or bhai bhaithe khana kha rahe the..


neha ne jaise hi rehan ko aate dekha wo khushi se muskurane lagi..
or usne kaha..

andar aayiye na..
bahar kyu khade hai..
akar humare saath khane me shareek ho jaiye..

rehan muskurakar aage bada aaisha ne rehan ko apne bagal me hi chatai par bhitha diya
or apni plate aage bada kar use khane ka ishara kiya..

rehan ne neha se poocha..

par tum kis plate me khaogi..??

neha ne muskurakar jawab diya..

aap ki plate se kyu kya nahi kha sakti ..??


nahi neha aisi baat nahi hai..


to phir shuru kijiye ab kis ka intezar hai..


thik hai neha khata hun..


or rehan ne plate me se ek niwala utha kar jaise hi apne honto tak
laya waise hi ek zordar thappad uske chere par pada ...

rehan ke hath me rakha hua niwala niche gir gaya or kamzori ki
wajha se wo bhi ek taraf ludak gaya..

samne hi uski jallad chachi khadi hui thi..


cahchi rehan ko kha jane wali nazro se deekhti hui boli..

namoorad kahi ke ..teri himmat kaise hui mere ghar me kadam rakhne ki
tujhe maine bola tha na ke mere ghar ke aas paas bhi nazar mat aana ...
phir tu yaha kyu aaya hai..


chote se rehan ki aankho se aansu nikla aaye..

usne badi hi masoomiyat se kaha..

chachi jaan ..
fasaad or jhagdo ki wajha se pichle ek hafte se mandi band hai mere
paas jitna bhi khana tha sab khatam ho chuka tha pichle 3 dino se maine
kuch nahi khaya aaj jab bhook bardast se bahar ho gayi tab majboori
ki wajha se mujhe aap ke ghar aana pada aap mujhe thoda sa khana
khilwa do jaise hi mandi phir se shuru ho jayegi mai aap ke rashan ke
sare paise wapas lauta doomga kasam se..


chachi phir dhadti hui boli..


mai kuch nahi janti,,
tu 3 din ka bhuka ho ya 3 mahino ka mujhe tujh se koi lena dena nahi hai..

neha ne aage bad kar kaha..

ruk jaiye ammi jaan wo keh rahe hai na ke aap ko paise de denge
or waise bhi mai unhe apne hisse ka khana khila rahi hun phir aap ko
kya takleef hai..??

cahchi ne neha ko ek taraf dhakka dete hue kaha...

tu chup kar neha mere bich me mat bol warna abhi bands ki lakdi se
teri khal udhed kar rakh dungi samjhi chup chap jakar apna khana khatam kar..

or rehan ke taraf dekh kar boli ..

or tu..

paida hote se apne baap ko kha gaya...

uske kuch din baad apni maa ko kha gaya manhoos kahi ke..

ab yaha kya hume khayega manhoos ..??

door hoja meri nazro se or aainda phir kabhi mere ghar me aane ki jurrat mat karna
warna mujh se bura koi na hoga,,

rehan phir bhi wahi khada raha..

or neha ke chote bhai behan ko kahte hue dekhta raha..


chachi ne foran rehan ka hath pakda or use ghar ke darwaze se bahar dhakel kar darwaza band kar diya...


rehan ki aankho se achanak aansoo nikal aaye...

ek hasrat bhari nighaho se usne apni chachi ke ghar ko dekha...

takate to uske pas itni thi jiske dum par wo abhi ke abhi is ghar ko gira kar mitti me mila sakta tha...

ya apni us chachi ko ek acha sa sabak sikha sakta tha ..

par har surat me takleef neha ko hi hoti or rehan apne aap ko takleef me dekh sakta tha par neha ko...??

kabhi nahi wo neha ko bohat zyada pasand karta tha isi liye wo bina kuch kahe aankho me aansu liye waha se aage bad gaya..



aaj use badi hi shiddat se apni maa ki yaad aa rahi thi purane zakhmo ko kured kar aaj phir uski chachi ne uske zakhmo ko hara kar diya tha...


uske dil se aaj sirf dard bhari aahe or sadaye hi nikal rahi thi ...

dil jab rota hai to uske sath sath ye aasman o zameen bhi roti hai ...

aaj rehan thake or bhojal kadmo se apni jhopdi ki taraf bad raha tha usi dauran use ke dil ke rote rote ye sara ka sara aasman bhi ro pada..

or achanak jhama jham barish hone lagi..

raste par maujood sare ke sare log barish se bacne ke liye idhar udhar bhagne lage par rehan raste ke bicho bich is barish se bekhabar chala jaa raha tha..

jab wo ek ghar ke samne se guzra to ek angan ki chat ke neeche khadi hui aurat ne use awaz lagayi..

beta ...

barish me kyu bhig rahe ho idhar aajao warna bimaar pad jaoge...


rehan ne muskurakar us bhali aurat ko jawab diya..

mujhe barish me bhigna bohat acha lagta hai khala...


aurat ne muskura kar poocha..r

kyu beta..??
tumhe barish me bhigna kyu acha lagta hai...


rehan ne phir jawab diya ...


kyuke koi bhi ye nahi jaan pata ke mai ro raha hun or meri aankho se girne wala paani asal me barish ki boonde nahi mere aansu hai...

rehan itna keh kar aage bad gaya..

wo aurat us ajeeb ladke ko badi hi hairat se
jate hue dekh rahi thi...

usne socha itni si umar or bato me sare jahan ka dard chupaye ye bacha aakhir kaha jaa raha hai...??

or us aurat ke dekhte hi dekhte rehan barish ki is aandhi me kahi gum ho gaya...
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#9
18-01-2018, 12:46 AM
rehan akela is barish me bhigta hua chala jaa raha
tha use pata hi nahi tha ke use jana kaha hai..??

bas uske kadam yuhi chale jaa rahe the or wo bhi
bina soche samjhe kadam badaye jaa raha tha..

wo soch raha tha..

kya aurte aisi hi hoti hai..??
jaisi uski chachi thi..??

agar aisa hai to aaj se mujhe lafz aurat or aurat zaat
se nafrat hai... usne apne hi dil me socha ..

par ruk ja rehan..

uske dil ne use awaz dee..

or usi ke dil ne use jawab diya..

rehan...teri maa bhi to ek aurat hi thi na..??

kya itni jaldi uski mohabbat uski shafaqqat or uski mamta
ko bhul gaya tu..???

or tere dil me basne wali neha...??

wo bhi to ek aurat zaat hi hai phir kyu na tu usse bhi nafart
karne lag jaa tujhe kisne roka hai..??

achanak hi aurat ke teen alag alag roop uski nigaho ke samne agaye..

ek roop uski maa ka tha jise wo apni zindagi se bhi zyada chata
tha apni maa ke ek ishare par wo apni jan de sakta tha ya kisi ki jaan
le sakta tha..

dusra roop tha neha ka..

neha ...
soch kar hi dil o dimaag ko ek sukoon or rahat ka ehsaas hua karta tha..
neha rehan ki zindagi me shamil ek aisi ladki jise wo apni dil ki gehraiyo se
pasand karta tha chata tha ..

neha me wo sari khubiyan thi jo ek sharik-e-hayat me honi chayie...
is zindagi ko khushgawar or ghar ko jannat bana dene wali aurat ka ek roop
thi neha ek behtareen humsafar..



or ek aurat ka teesra,, aakhri,,or sabse bhayanak roop tha uski sagi chachi..

sang dil ..bereham or jeete ji is duniya me hi dozak ka manzar dikha dene wali uski
chachi..
naam se hi nafrat ho rahi thi uske...

chachi ka kaha har lafz abhi tak rehan ke kano me gunj raha tha..


manhoos..paida hote se hi apne baap ko kha gaya..
uske kuch dino baad apni maa ko kha gaya..




to kya mai sach me itna manhoos hun..??

usne ek sawal apne aap me dhauraya..

kya meri wajha se mere abbu or ammi is duniya me nahi rahe..??


haan ,,,
yahi sach hai mai hi is tabahai ki wajha hun meri manhoosiyat ne hi
mere maa baap ko mujh se juda kar diya..

or rehan in sari bato ka dosh apne aap ko dene laga..

chalte chalte achanak us ke kadam ruk gaye..


saamne hi qabaristan ka bada sa gate nazar aaya..


uske kadam use kabaristaan ki taraf le aaye the..


acahanak hi maa ki yaad ne dil me dard ki ek lehar utha dee..

ammi ki yaad se dil me lallak si uthi..

wo aage bada or apne hatho se gate ko khol kar
andar daakhil hua..

kabro ki bich se hota hua kuch aage bada
to use saamne hi apni maa ki qabar nazar aayi..


qabar par dale gaye phool ab murjha chuke the..
khuc pattiyan or naye pode qabar par uge hue the..


barish lagatar hone ki wajha se zameen kafi bhigi or gili thi
rehan ke paao bar bar kichad me phas jate phir bhi wo kisi tarha
apni maa ki qabar tak pohanch gaya..


qabar ke sirhane bhaitha or achank se hi uske honto se ek sada nikli..

maa........

dil ko chir dene wali rooh ko jhajhod kar rakh dene wali awaz thi
rehan ki...

apni maa ko pukarne ke baad hi thodi der tak wo khamoosh raha
shayad use umeed thi ke uski maa abhi aakar use apne aancahl ki
chaao me le legi or use is barish me bhigne se bacha legi..

par..

par aisa kuch nahi hua..


wo hasrat bhari nighaho se apne maa ki kabar ko dekhne laga..

or acahank hi uski aankho se aansuo ki barish hone lagi..

wo zaar-o-qatar rone laga..

or rote rote kene laga..

ammi...
kya mai hi teri maut ki wajha hun..??
kya meri hi wajha se tu ab mere pass na rahi..???

wapas ajaa ammi..
khuda ke liye wapas aaja..

mai ab kabhi koi shararat nahi karunga..
tujhe kabhi nahi sataunga..

kya meri shararato ka tune itna bura maan liya jo
tu mujhse rooth kar chali gayi..??

kya mai itna bura hun maa..??

tune mujhe is zaalim duniya ki bhid me tanha kyu chod diya maa..??

lafz uske honto se pisalte cahle jaa rahe the wo khud nahi jaan
paa raha tha ke aakhir wo keh kya raha hai..??

bas dil tootne ki awaz thi or uske honto se nikalne wale alafaz the waha
par..

jazbaat ki shiddat ne use is kadar andha kar diya ke wo
pagal sa ho gaya ..

or achanak use aisa laga jaise ke uski maa ne use pukara ho..

rehan..
mat ro mere bacche mei to yahi hun tere paas phir tu kyu is tarha apne
aap ko mere gham me barbaad kiye jaa raha hai mere bacche..??

rehan ..
ke chere par ek muskurahat si agayi..


use aisa laga ke uske maa ne use qabar ke andar se awaz dee ho
or wo qabar par jhuka or use khodne laga..

ke shayad andar maa zinda ho..

abhi zara sa hi khoda hoga ke..
acahank hi kisi ne use peeche se pakar kar khincha or ek zordaar
thappad uske chere par maara..

rehan foran hi ek janib gir gaya..

ye qabarstaan ki dekh rekh karne wale hazrat the..

unhone aage bad kar rehan ko uthaya..

or ek shaffaqat bhara haath rehan ke sar par phera..

or usse poocha..

rehan beta..

ye tu kya kar raha tha..??


rehan ne jazbati hote hue kaha..


baba...
maine abhi ammi ki awaz suni hai wo abhi andar hi hai.
mujhe pukaar rahi thi mujhe bula rahi thi..

mujhe un se milne dijiye baba..

meharbani kijiye mujh par bas mai unse ek baar milna chata hun baba..

rehan par jaise deewangi si tari ho gayi thi..

maa ki mohabbat or chahat me wo ye bhi bhul chuka tha ke ab wo is duniya me nahi hai..


hazrat uski is zehani kefiyat ko turant bhaanp gaye..

wo samajh gaye ke abhi rehan apne aape me nahi hai..

unhone turant hi rehan ke sar par haath rakha or apne honto me
kuch badbadane lage shayad kuch pad rahe the..


rehan ko aisa mehsoos hua jaisa ke uske dil se dukh or gham ke hazaro kilo ke bojh ko kisi
ne halka kar diya ho or dukh or gum ki shiddat kisi tarha halki ho gayi thi..

ab rehan zara sa normal hua to baba use apne dalan (teen ka chota sa ek khula hua chbutra )
me lekar agaye..

use niche beechi hui sharanji ( mate ) par bhithaya or pani pilaya..

phir uski taraf dekh kar samjhate hue bole..

rehan..
beta jo insaan is duniya se ek baar chaala jata hai wo wapis
laut kar kabhi nahi aata..

tumhari ammi bhi ab is duniya se dusri duniya me jaa chuki hai..
unka inteqaal ho chuka hai yani ke wo muntaqil ho chuki hai ek
duniya se doosri duniya me jaa chuki hai bete..
ab wo laut kar nahi aayegi..

or tumhare is tarha rone or pareshan hone se unki rooh ko
bohat takleef hoti hai beta tumhari aankho se nikla ek aansoo
unki rooh par tezaab ki mannind jakar girta hai samjhe..

rehan ne hazrat ki taraf dekh kar kaha..

par baba maine abhi unki awaz suni thi phir wo kya tha..??


wo tumhara weham tha bete..

jazbaat ki shiddat jab had se tajawiz kar jaaye to insaan
ko wahi dikhayi or sunayi deta hai jo wo dekhna ya sunna
chata hai..


tum apni maa ko lekar itna zyada ranjeeda or dukhi ho gaye the
ke tumhe unki awaz tak sunayi dene lagi thi...


par baba meri chachi kehti hai ke mai manhoos hu maine hi apni maa
or baap ko kha liya hai unki jaan le li hai..

or mujhe bhi yahi lagta hai ke meri manhoosiyat ki wajha se wo log
nahi rahe ..

baba..
kya mai sach much ek manhoos hun..??

rehan ne baba se sawal kiya...

hazrat ne rehan ki kaali or gehri aankho ko bade hi dhayan se
dekha or muskura kar bole..


manhoos..??

beta tu to is duniya jahan se nirala hai..

jo chize or jo takate tere paas hai uske bal boote par tu is
duniya par raaj kar sakta hai..

tu to apne aap me ek anokha hai mere bacche..

meri boodi aankhe wo dekh sakti hai jo teri chachi ye
tujh se chidne wale duniya ke aam log nahi dekh sakte..

rehan ne mayoosi se kaha..

aisi duniya par mai kya raaj karunga jisme meri maa na rehti ho baba..

baba ne phir kaha..


bas teri isi ada par to tujhe aisi chize di gayi hai bete..

agar tere dil me lalach or duniya kamane ki hawas paayi jati
to tujhe in takato se kabhi nawaza na jata..

hazrat ne kuch der rehan ko samjhaya..

or rehan thodi der baad apni maa ki kabar par salaam arz karke
waha se aage bad gaya..

par waha se nikalte hi dukh or ghamo ke badlo ne use phir aa ghera..

achanak hi wo phir se rone laga..

or kehne laga..

nahi baba ne mujhe aise hi samjhane ke liye keh diya hai..

ammi ne mujhse baat ki thi maine unki awaz suni thi..

or use phir se apni maa ki yaad aane lagi..
or wo barish me chalte chalte rone laga..

ek to pehle hi bhook ne badhaal kiya hua tha upar se
yu betahasha rone ki wajha se nakahat or kamzori me or izafa
ho gaya tha..

kisi bhi tarha rengte rente wo apni jhopdi tak pohancha..

jhopdi ke samne hi khada hokar use dekhne laga..

andar jane ki himmat nahi hui..

kyu ke andar har jaga use apni maa hi nazar aati or uski yaade use
or bechain kar deti wo
waha se aage bad kar andar jungle ki taraf chala gaya..

kabar khodne ki wajha se jism or kapdo par jaga jaga kichad or mitti bhari hui thi
jo ki barish ki boondo se dhire dhire beh rahi thi..

wo ek bade se bargad ke ped ke neeche akar bhaith gaya..

charo taraf sirf or sirf use apni maa ka hi tassuwur or usi ki
parchayi nazar aa rahi thi..

or wo bhaithe bhaithe apne honto me koi lafz bad bada raha tha..
andaz kisi geet jaisa hi tha wo lafz kuch is tarha the..




MERA PEHLA DOST HAI TU HI MAA....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA....



MAI TERI AANKHO KA TARA HUNN....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA...



TERI ROTIYAN YAAD AAYEGI...
JAB JAB MAI DEKHUNGA CHANDRAMA...


TU HI MARGDARSHAK HAI MAA SAHARA BHI TU..


BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN ..
IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..



BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN ..
IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..


andazz itna masoom or itna dard bhara tha ke apne seene
me dil rakhne wali har maa ka dil is bacche ke liye tadap
uthta jo iski awaz ek baar sun leti ...


par rehan to gham or apno ke diye gaye zakhmo se toot toot
kar bikhar chuka tha use lag raha tha ab is duniya me use sahara
dene wala koi nahi raha..

par kya ye sach tha......????
 •
      Find
Reply


rishiraj Offline
Soldier Bee
**
Poster Of The Month
Joined: 24 Nov 2017
Reputation: 40


Posts: 555
Threads: 6

Likes Got: 65
Likes Given: 1


db Rs: Rs 12.33
#10
18-01-2018, 12:48 AM
ro ro kar aankhe soojh si gayi thi par dil ka dard tha ka
kam hone ka naam hi nahi le raha tha..


par shayad apni maa ko kho dene ka dard to sirf ek aisi aulad
hi samajh sakti thi jo is beshkeemti dulat se mehroom ho chuki ho..

halki halki barish ab bhi jari thi or rehan ka dil or uski hasrat bhari aankhe
idhar udhar apni nazre dauda rahi thi ke kahi se shayad koi aisi rah nazar
aajaye jaha se wo apni maa ko pane ka rasta talaash le...

par aisi koi raah use nazar nahi aati thi...

or upar se bhook ki shiddat ab bardasht ke bahar ho chali thi..

bechara baccha na jane kitne dino se bhuka tha..??

aakhir kab tak bardasht kar pata..??

or ab nakahat or kamzori ki wajha se uski aankho ke samne andhera sa
chane laga tha ..

or rehan usi ped ke niche bhaithe bhaithe ungne laga ..

sar bohat bhari bhari sa lag raha tha..

shayad barish me bhigne ki wajha se dimag par bhukhar ki si kaifiyat
chad rahi thi..

or wo isi hosh or behoshi ki halat me kuch badbadane laga..

alfaz the......


MAA.....
BOHAT BHUKH LAGI HAI ..

AAJ APNE REHAN KO KUCH KHILAYEGI NAHI KYA..??

DEKH MAI CHACHI KE GHAR BHI GAYA THA..

PAR UNHONE MUJHE WAHA SE BHAGA DIYA..

WO KEHTI HAI KE MAI MANHOOS HUN MAINE TUMHARI JAAN LI HAI..

or wo ekdum se rone laga or rote rote phir badbadane laga..

MAI TERI JAAN KAISE LE SAKTA HUN MAA..??

MERI JAAN TO KHUD TUJH ME BASTI HAI..

TO PHIR MAI KHUD APNE HI HATHO SE APNI JAAN KAISE LE SAKTA HUN..??

KAISE MAA ..??


MAI MANHOOS NAHI HUN MAA..

MAINE TUJHE NAHI MARA ..

KASAM LE LE MUJH SE MAINE TUJHE NAHI MARA MAA..

MAINE TUJHE NAHI MARA..

....

AB TO TU MUJH SE NARAZ NAHI HAI NA..??

DEKH MAA BOHAT BHUKH LAGI HAI RE...

KUCH BHI KHILA DE JO BHI GHAR ME HAI MAI KOI NAKHRE NAHI KARUNGA ...

TUJHE BILKUL NAHI SATAUNGA..

TU APNE HATHO SE JO BHI KHILA DEGI MAI KHA LOONGA RE ..

AB TO MAAN JAA ..
KYU MUJHE SE ITNI NARAZ HAI TU..??

KYA MERI NADANIYAN OR GALTIYA ITNI BADI THI JO TU MUJH SE BAAT NAHI KAR RAHI..??


par shayad waha rehan ki ye pukaar or awaze sunne wala koi nahi tha..

or isi kefiyat me us par behosi taari hone lagi or wo wahi pada pada behosh ho gaya...
 •
      Find
Reply


« Next Oldest | Next Newest »
Pages ( 5 ): 1 2 3 4 5 Next »


Possibly Related Threads...
Thread Author Replies Views Last Post
Desi  Anokhi Raat rajbr1981 6 12,184 14-02-2018, 01:24 AM
Last Post: rajbr1981
Incest  EK ANOKHI BALIDAN studboyripzy 5 26,899 03-05-2017, 04:28 PM
Last Post: sangwaivaibhav
All In One  anokhi duniya diksha 2 18,268 30-07-2016, 02:57 AM
Last Post: diksha
Desi  Meri Zindagi Ki Ek Anokhi Ghatna rajbr1981 0 10,808 10-02-2015, 03:14 AM
Last Post: rajbr1981
Incest  Dost ki behan ki anokhi chudai kunal56 1 25,594 16-07-2014, 09:24 PM
Last Post: kunal56
Romantic  Ek Anokhi Durghatna kunal56 5 8,783 01-07-2014, 07:50 PM
Last Post: kunal56
Incest  Meri Anokhi Suhaagraat Smartykhan 3 30,054 15-05-2014, 03:37 PM
Last Post: kalpesh089

  • View a Printable Version
  • Subscribe to this thread


Best Indian Adult Forum XXX Desi Nude Pics Desi Hot Glamour Pics

  • Contact Us
  • en.roksbi.ru
  • Return to Top
  • Mobile Version
  • RSS Syndication
Current time: 29-07-2018, 11:16 PM Powered By © 2012-2018
Linear Mode
Threaded Mode


dost ki hot mom  story sex in urdu  goan sex videos  desi hindi sex kahaniya  desi prono video  choti sex story  xxx video of mahdvi,sonu,babita,anjali  wife swapping stories hindi  maa ki chudai sex story  angala devi  gudmarani nokar xxx  desi lesbos  urdu sex stories books  urdu sexi stories urdu font  pooja bhabhi  telugu sex sto  kannada hot heroines  desi teacher story  hindi sex story didi  sexy mil stories  sexy indian hindi stories  types of vagina pic  hyderabadi sex stories  urdu xxx sexy story  akka pundai tamil stories  hot bhabhi hindi story  hindi sexi stories  hairy armpits of aunties  nude mujra dancers  sexy shalu  dastan sexse  suhaag raat sex  doodhwali actress  bangla sexy choty  sexy story in hindi writing  sex kahaniya oxford  exhibitionist wives  sex stories lushstories  types of vagina pics  lacey lane and manx  desi aunty arpita  tamil hot story with photos  shemale xxx comics  bur chodna hai  hyderabad xxx movies  indian inchest stories  annan thangai sex stories  dost ki mummy ko choda  gandi sex khaniya  shimale image  nanna modda  desi hindi kahani  sec stories in telugu  hindi sex story hindi me  desi ladies exbii  maa beta ki sex story  hindi sexy stores in hindi  desi malu  mallu sex story pdf  telugu boothu kathalu sex  bur me ungli  xxxnude images  dasi babs.com  bua ki chudai  sex joke cartoons  desibabes images  hind sex stori  ass sniffing pics  hijra sex picture  bangla xey  real suhagraat stories  mummy ki gand mari  ashlil marathi katha  canadian desi chat  desibaba image  undressed girl pic  porn stories urdu  bou bia  nani ki gand  wet clothing girl  bunny de la cruz pornstar  pinoy kantutan story  aunty undress  drawn incest cartoons  hindi fonts kahani  saniya mirza sexy images  hot aunties navel show  dadi ki chut  bur me khujli  indian angela devi  shreya hot ass