Aaj Kuch Kami Hai Tere Bagair Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai Bas Dhadkan Thami Hai Tere Bagair
Ashq Bewajah Nikal Aaye Tere Bagair Hum Dhundte Hai Apne Hi Saye Tere Bagair Yun Toh Mili Hai Duniya Mein Shohrat Lekin Hum Pakar Bhi Kuch Na Paye Tere Bagair
Adhuri Hai Mehfil Tere Bagair Yeh Dil Kahan Hai Dil Tere Bagair Jeena Toh Kabse Hua Tha Mushkil Ab Toh Mar Bhi Na Payenge Tere Bagair
Phir Aankh Mein Nami Hai Tere Bagair Na Aasman Na zameen Hai Tere Bagair Ek Rishte Ki Kami Thi Tere Bagair Lagti Farishte Ki Kami Hai Tere Bagair
shadi shuda mazloom husband k izhar e khiyal arz kia hai . Jab se begum ne mujay murga bana rakha hai main ne nazron ki tara sir bhi jhuka rakha hai bartano! Aaj mere sir pe barastay kiu ho main ne dho dha k tumain kitna saja rakha hai pehlay bailan ne banaya mere sir pe ghoomerr or chimtay ne mera gaal saja rakha hai saray kapray to jala dalay meri begum ne zaib tan kernay ko banyan phata rakha hai ay kunwaro! Yunhi abad raho shad raho hum ko begum ne to sooli pe charha rakha hai wohi dunia main muqqadar ka sikandar tehra! Jis ne khud ko shadi se bacha rakha hai haq e niswan ki jo leeder hain batain to zara kis ne sartaj ko jooti pe utha rakha hai roz laiti hai talashi wo police ki manind puchti hai paiso ko kahan chupa rakha hai pee ja is maar ki talkhi ko bhi hans k akbar maar khanay main bhi qudrat ne maza rakha hai