18-03-2018, 02:26 AM
Update 138
Drish.... Amme kalmuhi hai hujoor, jis se main subah ke teen baje milne gaya tha, aur abhi lauta hun
Ashk.... Kya Amme... Pahle nahi bata sakte the......
Drish.... Pahle bata deta to itni sari baten kahan se hoti... Janti ho, tum har din aur bhi pyari aur bhi cutee hote ja rahi ho. Yahan hath laga kar dekho (Drish ne Ashk ka hath apne sine se laga diya)... Kuch mehsus hua...
Ashk.... Tumhari dharkane tej hain, meri tarah ... (Ashk ne bhi Drish ka hath apne sine se laga diya)
Dono kuch der khamosh, sine par hath rakhe ek dusre ko muskurate huye dekhte rahe..... Ashk gahri sasen leti hui..... "Kitna ajib hai na love, mujhe laga tha ki tumhe baar-baar dekhti rahungi to meri dharkane normal ho jayegi".
Drish.... Lekin aisa nahu hua, jitni baar dekho har baar utne he teji se dharkta hai...
Ashk.... Haan bilkul.... Ander ek gudguda-gudguda ehsaas hota hai...
Drish.... Aisa jaise heart se koi liquit nikal kar pure body me fail raha ho, aur ek mithi si chubhan...
Ashk.... Haan love bilkul waise he.... Jante hain, main to bikul mar si he gayi thi, jab suni aap Rajasthan ja rahe hain..... Mujhe chhor kar...
Drish.... Hmmm ! Cutee kya tum taiyar ho...
Ashk.... Kis baat ke liye love...
Drish..... Har pyari chij kabhi na kabhi sath chhor deti hai... Iss baat ke liye...
Ashk..... Zzzzzzzz..... Eeeeeee..... Chahhhhh chahhhhh.... Mujhe phaltu ki bakwas nahi sun'ni aur na he koi bhi kahin kahin jayega bas......
Payal..... Jan hai ji.... Aap dono ko abhi college jana hai.... Chalo utho aur jaldi se taiyar ho jao... Aur haan kabhi apne kitab bhi palat liya karo.... Usme dhup agarbatti bhi kabhi-kabhi dikha diya karo ... Pata nahi in logon ko akal bhagwan kab denge... Jise dekho ghumna aur ishq farmana.... Kitab se to lagaw he khatam ho gaya hai....
Drish..... Bas itti si baat di, bas aaj se he kitab se lagaw shuru samjho... Aap bol diya samjho ho gaya...
Ashk..... Kitab se lagao, phir mera kya hoga....
Payal.... Ha ha ha ! Ek wada karo to main iska upay bata dungi....
Ashk aur Drish dono sath me..... "Kaisa wada"
Payal kuch sochti hui..... "Saam ko batati hun, college se laut kar aa jao dono tab"
Drish..... Hmmm ! Thik hai di jaisa aap chaho..
Dono nikal gaye... Idhar Payal Aakash ko call laga kar samjha di..... Usse saam ko kya karna hai....
Dono aaj ghar se bare khush nikle..... Pyar ke geet gungunate huye....... Aaj class ke baad sare doston ka jamawra canteen me he ho gaya.....
Saurav..... Hay kya adaa thi, main to fida ho gaya....
Ashk.... Kya hua devdas fir kisi par dil aa gaya kya....
Saurav..... Haan Ashk, iss baar to lagta hai ye dil ghayal ho gaya.... Aur dil chir gayi, wo mera.....
Itte me Drish ne Ashk ko aankhon ke ishare se Appu aur Joya ko dekhne ke liye kaha... Dono ki najren mil rahi thi, hoton par muskaan aate aur phir dono najren pher kar idhar udhar dekhne lagte.... Bara he cute sa expression de rahe the dono....
Ashk..... Appu tujhe sharm nahi aati Purvi ko yun ghurte huye....
Appu chaunka... Joya ghuri ... Aur sab logon ka dhyan bas unhi dono par.....
Joya.... Main ja rahi hun, mujhe thoda kaam yaad aa gaya....
Ashk.... Tujhe kya hua Joya, abhi kaun sa kaam yaad aa gaya.....
Appu.... Mere class ka time ho raha hai, main nikalta hun aap log baten karo...
Appu wahan se nikal aaya, kuch der baad Joya bhi wahan se chidhi hui si nikali. Appu uske pichhe-pichhe.... "Joya suno to... Ek min Joya"
Joya muri aur teji se uske pass pahnchi... Aao dekhi na tao ek thappad...... Bechara Appu gal pakar kar baith gaya...
Appu.... Joya mar liya na, nikal li dil ki bhadas ab suno to...
Joya.... Kya hai, kyon chher rahe ho mujhe, main ja kar principle se complaine kar dungi. Hato mere raste se...
Appu.... Achhi dadagiri hai yaar, ek to bina baat ke mujhe ek thappad chipka di ab ulta complaine ki bhi dhamki de rahi ho.... Kiya kya maine wo to batao..
Joya... Kya kiya, tum jao... Jao uss Purvi ko he dekhte raho... Mera pichha kyon kar rahe ho...
Appu.... Lekin wo to jhoot kahi thi bhabhi ne, tum kya akal se paidal ho, jo insan canteen me tha he nahi usse main dekh kaise lunga.....
Joya thodi shant hui, khari ho kar sochne lagi itte me sare log haste huye unhe gher liye .... Doston ke bichh chher chhar shuru ho chuki thi. Sab ne itna target kiya ki pure college me dono ghabraye-ghabraye se chhipte phir rahe the apne doston se.....
Jindgi bhi ajib thi.... College khatam hone ke baad Drish bilkul akela tanha smudnr kinare baith kar apni he chintao me duba raha..... Bite dino ko yaad kar ke sochne laga.... "Puri zindgi kabhi itne badlaw nahi leti jitna ki bite dino me usne mehsus kiya.... Wo bhi iss waqt jab ek hasta khelta pura pariwar hai mere pass"
Drish bas gumsum baitha, apne khyalon me khoya yahi bas sochta raha .... "Ye main kyon kar raha hun ... Kis ke liye kar raha hun, aur kya hasil ho jayega mujhe mere atit ko dhund kar". Khud me khichaw sa mehsus karne laga tha... Aur sayad wo zindgi me pahli baar ek anjaana dar bhi mehsus kar raha tha...
Uske aankhon ke samne Ashk, Payal, Aakash, sare dost aur khud se jure logon ka chehra samne aane laga.... Ek dar ka andesa ho chala tha... Kahin apne mrit mata-pita ke karan wo apne kai pyare logon ki zindgi dau par to nahi laga raha tha....
Ghar lauta.... Payal utra sa chehra jab dekhi Drish ka to wo bhag kar wahan pahunchi..... Bari he chinta me puchhne lagi ... "Kya hua chhotu"
Drish ke dil par jaise kuch baton ka bojh sa tha... Aur usne apni vyatha aur mansa dono Payal ke pass rakh diya.....
Payal..... Chhotu meri ek baat manega....
Drish.... Haan di batao na....
Payal.... Tu jo kar raha hai usse jari rakh.... Dekh beta, yadi kal ko kisi ne mere sath kuch galat kiya, ya Lado ke sath to kya tu usse chhor dega.... Phir to wo tere mata-pita the.... Tujhe to unka karz chukana hai pahle.... Isliye ye mera hukum hai.... Yadi teri mujhe rati bhar bhi fikar hogi to tum sab pata jaroor lagaoge.... Bas ab hum iss par kabhi koi charcha nahi karenge..... Aur tu koi chinta nahi karega....
Payal ko mann ki baat bata kar Drish ke mann ka bojh jaise utar gaya tha... Aur Payal ki baat sun kar aisa feel hua jaise usme nayi urza ka sanchar ho raha hai...... Drish ne Payal ke paun chhuye aur sidha pahuncha wahan se adde par.....
Drish ne aate he pahla sawal kiya Rasul se.... "Dr santanu ke bare me kya jante ho"
Robin ki haalat to pahle se khrab thi, zkahm ke karan usse bukhar bhi aa chuka tha aur kaphi jyada chirchira bhi ho gaya tha..... Rasul bhi bandha-bandha ubb chuka tha uss mahol se.... Aur samne ek ladka jiske chehre par munch ke baal bhi dnag se nahi aaye the....
Rasul bhul kar baitha... Aur chillate huye kaha.... "Kutte ke pille, tu jinda nahi bachega"
Phir se ek round goli ki firing aur iss baar Drish ne Robin ke janghon ko target banaya.... Robin dardse chhatpata gaya... Aur chillate chillate behosh ho gaya....
Drish.... Tujh se jabaw chahiye isliye goli tujhe nahi mari... Agli baar soch kar bona ... Kyonki mann me viswas ho gaya ki tujhe jabaw nahi pata to goli sidha aar paar....
Phir jo Rasul popat ki tarah bakna shuru kiya to ek-ek kar ke sab ugalta chala gaya.... Dr santanu ki bahut jyada information to nahi thi uske pass lekin kuch kaam ki chijen thi jo bata gaya.... Baki apne doston ke liye iss baar kuch karne ka waqt tha.... Rasul se bheji gayi ladkiyon ka pata lag chuka tha... Lekin ye adhura pata tha... Usse sirf itna pata tha ki ladkiyan supply kab aur kahan se hoti hai... Aur kaise wo videson tak pahunchti hai.... Aur bas ek link... Yahan se maal wahan delivary kaise hoti hai"
Drish ne sari jankari ko sunichit karne ke baad ... Aakash ko call lagaya.... Aakash ke phone utahte he Drish kahne laga....
"Aap sahi the jijaji Dr santanu ke bare me koi jankari nahi thi, par kuch baten hain jo kaam ki bata gaya... Lekin abhi wo baat jaroori nahi hai... Jaroori to abhi humra ek mission hai, jise main apne doston ke liye pura karunga...... Unke bichhdey se unhe milaunga".......
Aakash..... Drish dekho tum iss gandgi ke dal-dal me mat utro... Na to tum gangster ho aur na he koi govt. officer.... Pakre gaye to kahin ke nahi rahoge....
"Ab to jo hona hoga..... Lekin main sab ko wapas le kar aaunga... Aur ye ho kar rahega"

Mujhse hi aaj mujhko mila de
Dekhoon aadaton mein, tu hai ki nahi
Har saans se pooch ke bataa de
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi…
Dekhoon aadaton mein, tu hai ki nahi
Har saans se pooch ke bataa de
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Inke faaslon mein, tu hai ki nahi
Main aas-paas tere aur mere paas..
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi
Tu hai ki nahi…