Appu.... Kise pakrenge..... Aur kaun mumbai mafia ka sarparast... Mumbai police commisnor.......
Drish.... Sab log 5 min me van ke pass pahunchi, hum abhi yahan se wapas nikal rahe hain.
Sab log gari ke pass pahunche, Appu sab ko rokte huye kahne laga..... "Ye sochne ka samay nahi hai doston, action time hai, tum log ek baar yakin to karo mere plan par.
Drish.... Appu ye pagalpan hai, is me phasne ka pura khatra hai.
Appu..... Bhai, over react karna band karo, aur isme ek percent bhi khatra nahi phasne ka. Robin se jyada aasan hai uthana commisnor ko.
Drish.... Bhale khatra na ho phir bhi hum police se chher-chhar nahi karenge. Humara target hai Rasul na ki mumbai police commisnor.
Appu..... Meri baat suno, yadi Rasul gaya to phir uski jagah koi aa jayega. Kyonki kewal Rasul ko khatam karne se uska dhandha nahi khatam hoga. Ye to tab pura khatam hoga jab uske har aadmi mare jayenge.
Drish..... Hmmm plan kya hai....
Appu.... Plan hai devide and rule. Hum commisnior ko kidnap karenge aur ilzam aayega Rasul par.
Drish..... Wo kaise.....
Appu..... Ye hui na baat ... To bolo sab taiyar hain ......
Sab ne kaha.... "Plan kya hai" ...
Appu.... Simple hai bulbul ko bas commisnor ke bedroom tak pahunchao, ek khabar Rasul tak pauncha do... "Uski beti commisnor ke ghar par hai".... Aur wapsi me bulbul ke sath commisnor ko bhi wapas lete aao.
Drish.... Ye full proof nahi hai.... Yadi man lo bulbul commisnor ke bedroom tak pahunch jati hai, to bhi Rasul ko khabar karne, aur uske yahan tak pahucne ke bich bahut samay lagta hai. Itne time me to phone par baat kar ke sara clarification ho jayega. Aur hum bulbul ko un logon ke bich chhor kar, phir usse un logon ke bich se kaise nikalenge....
Appu.... Sawal he paida nahi hota kisi bhi baat ka.
Drish.... Wo kaise...
Appu....
"Kyon ki hum Rasul ko pahle phone kar ke batayenge ki uski beti commisnor ke pass hai, aur jab wo log pahuchenge tab uss se thodi der pahle bulbul wahan hogi".
"Waise to Rasul, commisnor ke ghar pahunch kar sidha talashi he lega, us se pahle inki phone se koi baat-chit nahi hogi. kyonki usse yadi viswas hai ki uski beti commisnor ke ghar hai to wo phone kyon karega. Phone kar ke uske ghar aane tak ke bich ke samay me commisnor to bulbul ko kahin aur shift kar sakta hai... Aisa Rasul kya kisi ke mann me bhi ye baat aayega... Isliye Raaul commisnor ke ghar pahuchne tak commisnor ko phone nahi karega".
Haan par apni sefty apne hath, yadi koi phone se batchit hoti hai commisnor ke ghar aur uss waqt bulbul commisnor ke ghar par ho to mamla bigar sakta hai. Isliye hum Rahul ko tabhi phone kar denge jab bulbul work shop se nikalega".
"Ab jarra socho... Commisnor ko pata nahi ki bulbul uske ghar me hai, aur Rasul ko yakin hai ki commisnor ke ghar me bulbul hai... Commisnor na kahne me laga hai... Aur Rasul us par dabaw dal raha hai ki uski beti issi ghar me hai... Aur talashi hogi he hogi... Aur talashi ke dauran socho jab bilbul commisnor ke gahr se nilkli to kya hoga.... Ek ghamasan ... Aur in ghamasan me humare pass pura waqt milega bulbul aur commisnor ko waha se nikalne ke liye.... Rasul ko to pata bhi nahi chalega ki kaun uski beti aur commisnor ko urra le gaya, aur subah tak sara ilzam Rshul par thop diya jayega.....
Drish.... Hmmmmm ! Thik hai. Tum par bharosa kar raha hun... Koi bhi garbari hui to hum sab fasenge.
Appu..... Don't worry, mujh par bharosa karo.
Drish.... Hasan bhai aur Nadir bhai aap log bulbul ko jab le kar wahan se nikalna to call karna. Hum sab commisnor ke bunglow ke pichhe milenge. Climbing rope device sahit le lena. Aur haan kuch smoke bomb bhi le lena. Ab p Nikalo, niklo jaldi yahan se.
Hasan aur Nadir van le kar nikal gaye work shop ki ore, Drish, Rafiq aur Appu nikle commisnor bunglow ki ore.
Raat ke takriban 2am baje sab log pahunche commisnor ke ghar ke pass. Ghar ke thik pichhe car park kiya aur un logon ke call ka intzar karne lage.
Takribam 2:05 am par unka work shop se nikalne ka call aaya. Aur ussi waqt Appu ne Rasul ke number par call lagaya.....
Rasul..... Kaun hai...
Appu.... Beti ki talash hai, wo commisnor ke bedroom me bandhak hai. Kal subah wo pani ke raste ussi ke pass pahunch jayegi, jiske pass tum usse bhej rahe the.
Rasul.... Haramjade, tu mazak to nahi kar raha.
Appu..... Dimag me bhusa bhara hai, sari baton par gaur karo, mumbai mafia ke bich fasi hoti tumhari beti to tumhe pata chal jata, aur yadi koi naya le kar gaya hota to ab tak police ko pata chal jata.. To phir aakhir tumhari beti hai kahan par jo koi khabri, koi police talash nahi kar payi ab tak.
Appu ne phone cut kar diya, aur Rafiq ko van se 2km dur chhorne chala gaya, Rafiq ka kaam hoga, jaise he Rasul ki gari udhar se gujre turant iktalla karena...... Appu jab tak Rafiq ko raste ki nigrani ke liye chhorne gaya, tab tak Drish pipe se commisnor ke ghar ki chhat par chadh chuka tha.
Rasul ke ghar raat 2:05am. Rasul, apne sare ladkon ko jagaya.... Sab ko hathiyar ke sath taiyar ho kar gari nikalne ke liye kaha.....
2:10am .... Hasan ka phone..... Yaar nake par police checking hai, Bulbul ko kisi ne pahchan liya to paresani ho jayegi, kya karen ?
Drish.... Koi gali hai, jo nake ke aage nikalti ho...
Hasan.... Haan hai, par car uss gali se nahi ja sakti...
Drish.... Koi baat nahi, wahan se paidal niklo nake ke aage... Aur taxi se pahuncho idhar.... Yaad rahe taxi wala tumhe pahchan nahi paye....
2:12 am.... Appu wapas commisnor ke ghar ke pichhe pahunch kar..... "Bhai kidhar ho aap"...
Drish.... Commisnor ke ghar ke chhat par....
Appu..... Good bhai, aap kaphi tej nikle...
Raat ke takriban 2:20 am par Rasul ka karwan, puri taiyari ke sath nikla commisnor ke ghar ke liye. Aur Idhar Hasan bhi taxi le kar nikal gaya tha commisnor aawas ki ore. Drish aur Appu tak-taki lagaye..... "Hasan jaldi pahunch"
Raat ke 2:45... Rafiq ki suchna ..... Bhai Rasul ki gari abhi-abhi yahan se gujri hai. Bas 2 se 3 me pahunchenge aap ke pass....
Drish ne turant call lagaya Hasan ko..... "Kitni der me pahunch rahe ho"....
Hasan... Bas pahuchne he wale hain.....
Drish aur Appu ki sasen thami si ja rahi thi.... Kaun pahle pahuchta hai. Tabhi gate par Rasul ki dono gariyan aa kar ruki.... Commisnor ke ghar ke bahar 2 min ke liye sab ko roka gaya, guard se kuch baat chit hui, aur commisnor ke order milte he Rasul ko ander aane diya gaya.... Aur idhar bulbul, Hasan aur Nadir ka koi ataa-pata he nahi tha.....
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
13-03-2018, 03:55 PM (This post was last modified: 13-03-2018, 03:56 PM by honey boy.)
Update 130
Drish aur Appu ki sasen thami si ja rahi thi.... Kaun pahle pahuchta hai. Tabhi gate par Rasul ki dono gariyan aa kar ruki.... Commisnor ke ghar ke bahar 2 min ke liye sab ko roka gaya, guard se kuch baat chit hui, aur commisnor ke order milte he Rasul ko ander aane diya gaya.... Aur idhar bulbul, Hasan aur Nadir ka koi ataa-pata he nahi tha.....
Ander commisnor ke ghar gahma-gahmi badh gayi.... Commisnor ne itne sare log aur itni taiyariyon ke sath dekh kar hairan rah gaya....
Commisnor...... Rasul ye mera ghar hai, nikalo apne paltu kutton ko yahan se
Rasul.... Ye sab meri safety ke liye hai commisnor...
Commisnor.... Ye kya tarika hai, itni raat gaye kisi ke ghar ghusne ka, bhulo mat mumbai sahar me gundagardi ki dukan humare rahmo karam par hai. Mumbai police aur main uska mukhiya hun.
Commisnor ne turant ek bell baja diya.... Dekhte dekhte police ki ek tukri ander ghar me pahunch gayi....
Commisnor.... Nikal kar bahar karo iss kachra ko mere ghar se...
Rasul.... Comissnor sahab iss kachra ne kya-kya kaam kiye hain, khol kar rakh dun kya tumhare juniors ke pass, sari hekri abhi nikal jayegi.....
Commisnor ki ladki itte me apne kamre se bahar aa gayi...... "Papa aap thik to hai na, ye log kaun hain"
Commisnor..... Tum so jao beta, hum ek case par discuss kar rahe hain....
Ander jitni gahma-gahmi thi Drish & company me bhi utni he gahma gahmi thi.... Jab Rasul coomisnor ke gate par tha ussi waqt...
Drish.... Un logon ko aapas me settel karne do, hum nikalte hain, hasan tum wahin se wapas laut jao hum bhi aate hain...
Appu.... Bhai ruk jao, commisnor ke ghar ke ander bhi gahma gahmi chal rahi hogi... 10 min to unko mamla samjhne me lag jayega.
Drish.... Appu risk hai isme bahut jyada... Band karo isse, hum Rasul ko he dekh lenge baad me
Appu.... Bhai, bharosa rakho, yahan koi risk nahi, jo bhi baat hoga wo commisnor aur Rasul ke bich, humara naam tak nahi aayega.
Ander ghar me
Commisnor..... Sab ko bahar karo Rasul, hum aaram se baat karte hain...
Rasul..... Chhoro commisnor itni bahas ki jaroorat nahi, sidhe-sidhe meri beti ko mere hawale kar do.
Commisnor shocked hote huye..... Tumhari beti...
Rasul.... Jyada chaukne ki jaroorat nahi hai commisnor mere pass pakki khabar hai ki meri beti yahin hai.
Commisnor ke liye ye news wakai shocking thi, ander kaphi der tak iss par bahas chhiri rahi phir talashi par baat aa kar ruk gayi. Commosnar ke pass koi chara nahi tha, majbooran usse hami bahrni he pari. Ghar ka kona kona chhan mara par bulbul kahin nahi mili.
Idhar un logon ke pahunchte-pahunchte talasi shuru bhi ho chuki thi, aur bulbul ko rassiyon se upar chadhana tedhi khir tha waqt lag gaya. Upar Appu, Drish aur bulbul chhat par pahunch chuke the. Bulbul ke hath paun bandh kar ye log ready kar ke sidhiyon se niche ja he rahe the, ki police aur gundey logon ka rukh chhat ki ore mur gaya.
Drish.... Upar chalo, upar chalo...
Sab upar aa gaye...
Drish.... Appu bhago niche ab. Bulbul yahan kuch garbar hoti hai to tum apne baap ke stah chali jana aur humari fikr karne ki koi jaroorat nahi.... Hum tumhe phir wapas chhura lenge.
Bulbul ko bich chhat me lita kar Drish ussi ke pass baith gaya. Tabhi Rasul ke sare log, police wale sab ke sab upar pahunche. Upar ka mahol dekh kar sab dang, aur sab se jyada shock to commisnor he tha. Ab to kuch jyada he garmi badh gayi uss mahol ki. Ab to commisnor bura phasa tha.
Rasul ne apna dimag lagaya, uski beti mil chuki thi, isliye commisnor awas par humgama karna usne thik nahi samjha aur baad me commisnor se ulajhne ka socha...
Rasul.... Commisnor ye tu ne achha nahi kiya. Khair mujhe meri beti mil chuki hai isliye hum ja rahe hain. Iss baat ko main yahin khatam karta hun.
Commisnor.... Rasul isme jaroor koi sazis hai main sach kahta hun. Ye kahan se aayi mujhe nahi pata iss ladke se sach ugalwate hain.
Baat ab Drish par aate ja rahi thi. Drish mask lagaya khara, hathon me rassi pakre kudne ke liye taiyar he tha tabhi ek round fire hua....
"Khun ka badla khun...... Chalo Rasul bhai commisnor ko iski bharpai karni hogi"
Appu ki ye awaz gunji, aur charo ore dhuan he dhuan.....
Appu, duaen ke bich se Drish ko khincha, aur kahne laga.... "Bhai chalo isse le kar nikalte hain, kaam ho gaya"
Drish.... Lekin bulbul...
Appu.... Pahle niklo yahan se......
Drsih, Appu, aur unka pakage teeno nikale wahan se. Upar chhat par bhi afra-tafri mach gayi. Goli ki firing aur duen ne mahol ko war ki isthiti me tabdil kar diya. Rasul mauke ki najakat ko dekhte huye, apne admiyon ko firing karte huye nikalne ke addesh diya.
Police commisnor aur baki ke police wale firing sunte he action me aa gaye... Aur jabaw me unlogon ne bhi firing shuru kar diya. Wirless se msg gaya... Aur police ki kai tookriyan commisnor ke ghar ki taraf rawana ho gayi.....
Firing karte huye... Police wale niche aane lage... Kuch police wale zakhmi huye to kuch Rasul ke aadmi bhi mare gaye. Lekin kisi tarah Rasul apne kuch bache khuche admiyon ko lekar bhaga wahan se.....
Rasul.... Kis madarjat ne ye sab kiya.... Sale uss commisnor ko to baad me dekh lete abhi action lene ki kya jaroorat thi.
Lekin gari me maujood kisi ne bhi nahi kabool kiya ki ye sara kand un me se kisi ne kiya hai.... Idhar police ki puri tukri Rasul ke pichhe aa rahi thi, isliye Drsih ke van ko kisi ne dekha tak nahi.....
Sab log jaise he chhat se kude, van start ho gayi, aur chal diye sab apne thikane ki ore...
Hasan.... Bulbul kahan hai....
Drish.... Wo Rasul ke sath chali gayi...
Hasan.... Kya, par aisa kyon kiya... Mujhe utaro, mujhe abhi uske pass jana hai. Chhat se kaphi firing ki awaz aa rahi thi. Kaise log ho tum log, uss bechari ko kasai ke hawale kar diya, aur apni jaan bacha kar bhag aaye.
Appu..... Nahi jab Raaul sidhiyon par tha, tab firing shuru hui thi, wo log safe nikal gaye hain, maine dekha..
Hasan.... Kya safe nikal gaye hai, bulbul ko lautana ye plan ka hissa to nahi tha na... Ab agar usse kuch hota hai to uska jimmedar kaun hoga....
Drish.... Main, main leta hun uski jimmedari... Aur main wada karta hun, kal bulbul tumhe sahi slamat wapas mil jayegi... Ab thoda shant raho Hasan....
Nadir.... Haan Hasan bhai, hume apne sathiyon par bharosa hona chahiye....
Drish, Appu ki taraf ghurte huye..... Sach batao hum niche kise le kar aaye hain... Kyonki commisnor to mere aankhon ke samne tha....
Appu.... Commisnor logon ke bich ghira tha, aur wahan ka mahol aisa tha ki commisnor ko uthaya nahi ja sakta tha, isliye uski beti ko utha liya.....
Sab ek sath...... "Kya commisnor ki beti"
Commisnor ke ghar ke ander bhi kuch aisa he shocking reaction tha, jab unhe pata chala ki uski beti ko Rasul utha kar le gaya.... "Khoon ke badle khoon"... Ye baat commisnor ke diamg me ghum gaya...
Rasul ne jab apne admiyon ke muh se uss ghatna ke bare me jab na suna to usse hairani hui, aur wo bhi soch me par gaya.... "Kahin koi to galatfahmi jaroor hui hai"....
Drish commisnor ki beti ke agwa ke bare me sun kar shocked tha, commisnor ki beti agwa hui isliye wo gusse me aag babula ho kar raton raat puri police team Rasul ke pichhe laga diya, aur idhar Rasool ka dimag chalna shuru ho chuka tha jab wo smoke bomb ki ghatna yaad kar raha tha, kyonki uske aadmi to itne dimagwale nahi the, lekin haan ye taknik un kidnappers ne jarur istmaal kiya tha jisne bulbul ko kidnap kiya tha.... Iss ek ghatna se gutthi aur he ulajhti najar aane lagi.
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
Drish commisnor ki beti ke agwa ke bare me sun kar shocked tha, commisnor ki beti agwa hui isliye wo gusse me aag babula ho kar raton raat puri police team Rasul ke pichhe laga diya, aur idhar Rasool ka dimag chalna shuru ho chuka tha jab wo smoke bomb ki ghatna yaad kar raha tha, kyonki uske aadmi to itne dimagwale nahi the, lekin haan ye taknik un kidnappers ne jarur istmaal kiya tha jisne bulbul ko kidnap kiya tha.... Iss ek ghatna se gutthi aur he ulajhti najar aane lagi.
Police ki jung chhir chuki thi Raaul se, idhar sab ke sab pahunch gaye apne adde par.
Drish.... Isse kisi ek hall me dal kar aaram karo tum sab, Appu tu chal mere sath.
Sab ko instruction de kar Drish nikal gaya Appu ko le kar sidha Amme ke ghar....
Amme.... Ye kaun sa waqt hai aane ka 3am sharp kahi thi, abhi subah ke 4:30 baj rahe hain.... (Amme ke pass aaj se Drish ko traning ke liye aana tha)
Drish.... Amme ek samsya hai dhyan se sun'na.....
Phir Drish ne usse pura kand samjhaya.... Amme pura kissa sun te he "wahh" kahne lagi, aur puchhne lagi... "Isme main ab kya madad karun"
Drish.... Mujhe aaj kisi bhi shurat me Rasul aur bulbul chahiye uss jagah par...
Amme.... Yes sir, aap ka kaam ho jayega... Ab tum dono ghar jao aur aaram karo.....
Idhar Amme ne dono ko ghar bhej kar sidha call Aakash ko laga di, aur apne naye mission ki jankari di.
Aakash.... Amme, ab kya hume chindi choron ko uthana parega.... Had hoti hai yaar ... Taiyari karo main aa raha hun.....
Amme aur Aakash lag gaye apne kaam par.... Idhar Drish ghar par pahunchte he dabe paun apne room me chala gaya Appu ko le kar. Dono jaise he pahunche, Drish ne Appu ko khinch kar ek thappad mara... Appu gal pakre aankhen bari kar ke Drish ko dekhne laga.....
Drish.... Sach kya hai, ab jaldi se bakte jao...
Appu... Kaisa sach...
Drish.... Pagal samjh rakha hai kya, tumhari planning humari planning se alag thi, tum shuru se commisnor ki beti ke kidnap ka plan kar rahe the...
Appu.... Nahi bhai, wo to ek dum se achanak se mere dimag me aaya....
Drish...... Achanak kuch bhi nahi hota hai Appu, tumhe kaise pata ki commisnor ki ek beti bhi hai, aur uska location kaise pata ki ghar me kahan milegi.... Robin jo roj aata tha aaj he kyon nahi aaya.... Tum se gaddari ki bu aa rahi hai.... Tum ne he humare bare me Robin ko bataya na...
Appu, thoda sa gambhir hote huye..... Haan mera plan shuru se commisnor ki beti ko uthana tha, aur ye bhi sach hai ki aaj Robin mere wajah se nahi aaya, maine usse kisi aur jagah ki ladki ka pata bhijwa diya aur wo aaj wahin chala gaya... Par ye sach nahi ki main gaddar hun....
Drish..... Appu isse dhokha he kahte hain....
Appu.... Ji nahi, isse dhokha nahi kahte hain, isse kahte hain perfect planning. Main comminor ki beti ko pahle target karta to aap me se koi bhi taiyar nahi hota, aur sahi mayno me hume Rasul ko jarr se khatam karna tha to police aur gangster ke bich war ho wahi achha tha....
Drish, ek thappad phir lagaya.... Nahi, ab bhi kuch hai jo chhipa rahe ho, sach kya hai wo batao mujhe abhi...
Appu... Bhai, aap ko sari baten sach sach bata diya, ab iske baad kuch bhi aisa nahi jo batane ko rah gaya ho. Baten chhipaya kyonki aap sab direct Rasul ke samne aa rahe the. Iska natija ye hota ki mafia aur police dono ko aap ki talash rahti... Ab chaho to jo saza de do....
Drish, ko Appu ki baton me sachai najar aayi...... "Hmmm ! Thik hai, tumhari saza ye hai ki Joya meri bahu banegi"...
Appu, apna gal malte huye kahne laga....... "Ye saza thi to aisi teen char khata aur kar dun kya, sayad teen char bahu ki khwaish aap ki main puri kar sakun"...
Drish.... Ja so ja.... Aur mere pass mat sona... Subah mujhe cutee aayegi uthane.....
Subah ke 9:30am ....
Ashk chup chap Drish ke kamre me dakhil hui, aur darwaje ko band kar ke sidha bistar me ja kar kambal odh li. Bayan karwat le kar wo bare pyar se Drish ki ore dekhne lagi.... "Mera sona" aur ek kiss uske mathe par kar di.
Mathe par uss pyar bhare chumban se Drish ki aankhen khul gayi, aur apne najron ke samne Ashk ko dekh kar muskurate huye uske balon par hath ferne laga..... Dono najren milaye bas ek dusre ko pyar se dekhe he ja rahe the... Dhire dhire karib hote huye.... Sasen, sason se takrane lagi...
"Haaawwwwww ! Good morning bhai, good morning bhabhi"..... Bistar par bait'te huye apne dono hatho se jor ki angrai leta Appu dono ki ore dekhte huye good morning wish kiya....
Ashk sabse kinare par thi, good morning sun kar ek dum se dono ka dhyan toota, aur harbari me Aahk bistar ke niche gir gayi......
Drish..... Appuuuu, nikal bahar, tu mere room me kya kar raha hai, raat ko he mana kiya tha na....
Appu..... Bhai, aap mujh se aise baat kar rahe ho.... Bahbhi dekho na....
Ashk, bina kuch bole chup chap wahan se nikal gayi... Drish gusse me Appu ko marne ke liye bhaga... Wo bhi apna jaan bachata jaldi se ja kar Payal ke pass baith gaya.....
"Tum dono aise bhag kyon rahe ho, ja kar taiyar hona nahi... Pata nahi ye der tak sone ki aadat kahan se dal liye ho, Ashk ne rok liya warna main to subah he bistar me pani dalne wali thi"
Payal ki baten sun kar he dono nikal liye wahan se... Dono jaldi-jaldi college jane ke liye taiyar ho gaye.....
Drish aur Ashk dono scooty ke pass khare the, aur jane ke liye soch rahe the tabhi pichhe se phir Appu bola.... "Waise bhai iss scooty par hum teen log kaise jayenge"
Drish.... Appuuu, yaar bhai kyon itne pichhe para hai... Hum dono ko shanti se rahne de na...
Appu.... Lekin maine kya kiya....
Drish, Ashk ko haste huye dekha to aur chidh gaya.... "Tumhe dekh raha hun, aaj kal bahut khi-khi-khi kar rahi ho, Appu ye le car ki chabi aur college chala ja. Ab kuch bola to muh tor dunga....
Car ki chabi Appu ki ore fek kar Drish, Ashk ko le kar college nikal gaya.... Drish ke chidhe mood ko dekhte huye Aahk uske kano ko apne daton ke bich daba li aur kahne lagi..... "Kyon chidh rahe ho love, ab jane bhi do"
Drish gusse se..... Tum to hasti raho bas. Gadhe ko kaha ki mere kamre me mat sona to wo udhar he so gaya, ab scooty par teen log lad kar jayenge... Jo sath aane ko kah raha tha...
Ashk, Drish ke pet ko apne bajuon me jakarti uss se pure chipak gayi aur uske kan par apni jibh fira kar kahne lagi.... "Love lekin tum chidhe sirf isliye na kyonki hume waqt nahi mila, ab jab yahan waqt he waqt hai tab bhi chidhe ho"
Drish.... Ohhh sooo sorryy pyari cutee, main bhi na... Chhoro uss Appu ko, ab to ek good morning kiss de he do.... Kab se bekarar hun.
Ashk..... Sauk se jaan, gari rok kar jarra apna ye pyara sa chehra idhar to dikhao.....
Tabhi Appu bhi unke najdik aa gaya, aur khidki ke kanch khol kar chillane laga.... "Aage bhi dekh lo, nahi to accident ho jayega. Aise chipakte hain kya khule sadkon me"
"Appuuuuuu" Drish chidha aur teji se scooty badhya.... Aahk pichhe uske kande par sir rakh kar jor-jor se hasne lagi..... Drish car ke aage scooty laga kar khara ho gaya...... "Nikal bahar, bahar nikal abhi"
Appu, Ashk ke pichhe ja kar uska kandha pakar kar khara ho gaya. Ashk, Drish ki chidh dekh kar jor-jor se hans rahi thi.....
Drish.... Udhar kahan chhipa hai, bahar aa... Tu bahar aa....
Ashk..... Love jane bhi do kyon tang kar rahe ho isse...
Drish.... Cuteeeeee, hasna band karo, isse main nahi chhorne wala...
Ashk..... Main chali, chal Appu college, tum jaldi se aao scooty se college....
Bagule saman Drish gaur se Ashk ko dekhta rah gaya, aur wo bina mure car me baithi aur Appu ke sath chali gayi college......
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
14-03-2018, 03:51 PM (This post was last modified: 14-03-2018, 03:51 PM by honey boy.)
Update 132
Bagule saman Drish gaur se Ashk ko dekhta rah gaya, aur wo bina mure car me baithi aur Appu ke sath chali gayi college......
"Annhhhh ! Ye bhi uss Appu ke sath rah kar pagal ho gayi hai, meri paresani dikhti he nahi isse to"... Chidta raha kosta raha aur scooty daurata raha college ke rahon par.
Drish, chhota sa muh bana kar..... "Cuteeeee, ye kya kar rahi ho.... Baby, tum to dhyan he nahi de rahi"....
Ashk.... Love please hato bhi, hum jaroori baat discuss kar rahe hain....
Drish gusse me utha, chair unke pichhe dal liya, aur unke bich apni gardan ghusa kar unki baaten sun'ne laga... Idhar mission dil ka haal bataya jaye par Appu aur Ashk ke bich gahri baat-chit jari thi....
Appu.... Bhabhi, wo kuch kahegi to nahi... Dekho to Saurav uske sath chipka hai....
Ashk.... Arre kabhi hum teeno bhi sath raha karte the, Saurav ke liye galat feeling nahi...
Appu.... Lekin wo kabab me haddi, mera kaam nahi hone dega...
Ashk.... Tumhe Joya se sacha pyar hai na...
Appu thoda sharmate huye.... "Haan usse dekh kar kuch kuch hota hai bhabhi"...
Ashk..... To phir darte kyon ho.... Jao uske pass aur uski thodi tarif karo aur uske sath kahin ghumne ka plan banao.
Drish..... Ab sab bata to di, ab isse khud bhi to karne do...
Ashk.... Love, please thode der shant ho jao na.... Please...
Drish chup-chap wahan se utha aur bina kuch bole nikal liya....
Idhar Appu..... Bhabhi, mar to nahi khaunga na....
Ashk.... Ab yadi nahi gaya to mujh se mar khayega.... Samjha....
Appu.... Bhabhi dar lag raha hai....
Ashk.... Tum pagal ho, uss din car me itna kuch bol diya tab to nahi dar laga. Arre ullu tumne gaur nahi kiya kya, Joya ne tumhari baton ka koi jabaw nahi diya, matlab...
Appu, chehre par muskaan late..... "Matlab... Sachi"...
Ashk.... Love ab tum bhi jarra isse kuch samjhaoge, ya kewal order he karoge, tumhe Joya bahu ke roop me chahiye.... Lovee, Drish...
Pichhe mur kar jab dekhi to Drish nahi tha, Ashk ka muh chhota sa ho gaya..... "Ohhhh ! Naraj ho kar chale gaye loveee, main bhi na"..... Ashk bilkul he mayus ho gayi....
Appu.... Kya hua bhabhi, aap ka chehra kyon utar gaya....
Ashk, Appu ke baal par hath ferti..... "Kuch nahi dever ji, jo kaha wo karo... Main abhi aayi"...
Ashk teji se bahar nikli aur Drish ko idhar udhar dhundhne lagi. Tabhi Saurav ne usse bataya wo labrary ki ore gaya hai... Ashk bhi bhagi-bhagi Drish ke pichhe gayi......
"Lagta hai kuch jyada he aaj dono ke bich aa gaya.... Koi na dono kuch der me love song gate huye najar aayenge. Main bhi jarra Joya se mil lun".....
Joya ek per ke niche baithi, Saurav se kuch baten kar rahi thi... Appu apni jagah se utha aur per ke pass kadam badhaya. Appu per se thodi dur puhunch kar kuch der uske pichhe khara raha. Joya se baat karne ke liye khud me thoda himmat jutaya.... Do kadam chala, aur jaise he Joya ka chehra dekha ghabrakar phir char kadam pichhe hat gaya.....
"Cool, cool, cool, .... Huunhhhhhhhhhhhhhh".... Tej sans ander khincha aur phir se char kadam badhya... Kuch der khara pichhe se Joya ko dekha aur phir himmat toot gayi...
"Kya kar raha Appu.... Kya hoga jyada se jyada na kahegi, ab toote dil ko koi aur kitna torega... Be strong.. Be strong".... Wahin khara ho kar phir se jor ki sans khincha aur thoda himmat jutaya.... Aur ek kadam jaise he aage chala ki Joya uth gayi.
Joya apne jagah se uthi, aur pichhe Appu ke ore he mur gayi. Appu ne jaise he Joya ko apne samne dekha... Wo ghabra kar phir se pichhe mur gaya...... Lekin tab tak Joya ki najar uss pe par chuki thi...
Joya.... Aeeee Appuuu... Appuuuuuu.... Oye tumhe he kah rahi hun....
Appu pichhe mura, ajib si hasi chere par sayad gabrahat ke mare thik se hans bhi nahi pa raha tha...... "Ohhh ! Hi Joya, wo maine dhyan he nahi diya.... Tum kab aayi... (Ishhhh, duffer ye kya puchh diya)
Joya tab tak uske pass aa chuki thi...... Appu ke aakhri line sun kar wo jor-jor se hasne lagi.... "Kya matlab tumhara"
Joya ki hansi aur baat sun kar Appu ki bachi khuchi himmat bhi jabaw de gayi, aur ghabra kar wo pasine-pasine ho gaya.....
Appu.... Aaaa.... Bbbbb... Wo main kah raha tha, aaj tum bahut khubsurat lag rahi ho....
Gabrate huye Appu ke pasine chhut rahe the, wo itni jaldi me Joya se apni baat kaha ki khud bhi usse samjh me nahi aaya uske muh se kya nikla. Joya uski haalat dekh kar jor-jor se hasne lagi, aur haste huye Saurav ke kandhe se tik gayi. Joya ko jab ye ehsaas hua ki Saurav bhi wahin hai...
Joya, Saurav ko aankh dikhati kahne lagi...... "Sauravvv, tumhe to abhi jana tha na kuch kaam se"
Saurav.... Nahi to, maine aisa kab kaha....
Joya bhi ajib si muskan layi, ek asahjta ka, jaise usse yahan Saurav ka hona khatak raha ho. Dhime se uske kaan me boli..... "Saurav, yahan se chalte ban warna main tange tor dungi tumhara"... Saurav Joya ki baat sun kar barbarata wahan se chalte bana..... "Lage raho lage raho, sala school ke jamane ka sath humara aur ishqbaji kisi naye se sab ko maza chakahunga"...
Joya.... Haan to Appu kya kah rahe the tum....
Appu.... Joya pata nahi main thik se express nahi kar pa raha.... Ohhh aaj tum kitni pyari lag rahi ho... Jaise.. Jaise.....
Iss jaise-jaise par aate-aate jaise he Appu ki battery down hui.... Thik ussi waqt... "Ye kya naya natak hai (bare dhime se khud se Joya kahi, phir tej chillati hui jor se hooting ki) ..... Jiyo mere love birds, dono to chha gaye.....
Appu chala tha Joya ko dil ka haal batane ... Aur thik ussi waqt library pahunchi thi Ashk....
Labrary me charo ore shanti he shanti. Ek budha sa aadmi chasma lagaye apne kursi par baitha tha, aur pura ka pura labrary khali.....
Ashk ja kar chup chap Drish ke bagal me baith gayi aur desk par apna sir dal kar muskurati Drish ko dekhne lagi. Drish ne apne kitab ko hath me le kar thoda aur ucha kar diya, jis se Ashk ka chera usse dikhe nahi....
Ashk.... Loveeeee, ab aisi bhi kya narajgi..... Soooo solly loveee
Ashk muh bichka kar labrarian ko aise dekhi jaise buddhe ko abhi kha jaye. Ashk sir ko desk se tikaye upar najre dale rahi par Drish kitab me ghusa ka ghusa he raha.... Ashk kare bhi to kya kare....
Ashk ko shararat sujhi, aur apna paun niche le ja kar, anguthe se uske paint upar karne lagi... Drish ne kitab niche patka, aur ghurte huye kaha..... "Ab main yahan shanti se baitha hun, tab bhi tumhe paresani ho rahi hai. Paun hatao, mujhe abhi padhna hai"
Labrarian..... Dono bahar niklo, warna main principle se complane kar dunga.....
Drish utha aur wahan se uth kar jane laga. Ashk bhi uthi aur Drish ke pichhe chal di. Jate-jate uss buddhe ke desk pat jor se hath patki aur kahne lagi..... "Buddhe pura kabutar khana to khali hai, sala khusat tumhe bhi humari khusi nahi dekhi jati"
Apni baat kah kar Ashk phir bhagi-bhagi gayi Drish ke pichhe.... "Plz... Plzzz.. Plzzz.. Ruko bhi love, kahan itna gussa ho kar chal diye"
Dono college ke khule hisse me aa chuke the.... Drish ka gusse se para chadha tha... Ashk daur kar uske pichhe se aage aayi aur uss ka hath pakar kar ghutno ke bal baith gayi.....
Haw... Haw... Ha... Khula muh ka expression tha sbhi student me. Isliye nahi ki koi pahle love birds the college, balki isliye ki koi ladki aisa karte bahut kam payi jati hai... Aamuman ye pose ladkon ka hota hai.
Thik issi waqt Joya ne bhi Appu ke aadhi baat sun kar baki ki baat ansuni kar di.... Aur appu jo bari muskil se himmat juta kar, dil aur dimag ko ek kendr bindu me la kar ye baat kah raha tha, jab usne dekha ki Joya to wahan se khisak li, Drish aur Aahk ko dekhne......
"Sali kismat bhi na, inhe bhi abhi he pahuchna tha. Kitna muskil hota hai, love wali feeling dil me liye usse samne express karna, in dono ko bhi na abhi he tapkna tha........ Aap ki to kahani puri thi, kahin bhi ye khel, khel lete... Jab dekho tab inko khule me romance ka bhoot sawar rahta hai, aur kya timing mari hai..... In ki to .... Iss ka to main badla le kar rahunga wo bhi abhi he".
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
"Sali kismat bhi na, inhe bhi abhi he pahuchna tha. Kitna muskil hota hai, love wali feeling dil me liye usse samne express karna, in dono ko bhi na abhi he tapkna tha........ Aap ki to kahani puri thi, kahin bhi ye khel, khel lete... Jab dekho tab inko khule me romance ka bhoot sawar rahta hai, aur kya timing mari hai..... In ki to .... Iss ka to main badla le kar rahunga wo bhi abhi he".
Jaise he Joya awaz lagayi Drish apne charo ore dekhne laga. Dono sab ke liye point of attrection bane the. Idhar tab tak Appu ne Payal aur Chandrika devi dono ko phone laga diya.
Ashk apne ghutno par baithi, uska hath thame, bas hont hilati itna he kah rahi thi.... "Soo sorry love, smile please"
Drish..... Cuteee ye kya bachpana hai, please uth jao sab dekh rahe hain.
Ashk, Drish ka hath chhor kar bilkul uske samne khari hui, aur dono bahen faila kar kahne lagi.... "Pyar kiya hai jaan koi chori thode na ki hai, (fir bahen failaye huye, apni aankhen mund roll karti kahne lagi).... Jinhe dekhna hai dekhne do, mera to ji karta hai khule asmano me likh dun .... Ashk love Drishhhhhhhhhhh"...
Drish najar bhar niharta, khud se he kaha...... "Iski ye bewak adaa, uffff kitni pyari aur masoom lag rahi hai" lekin agle he pal khadus sa muh bana kar, uske hath ko side kiya aur aage badh gaya.....
Ashk, pichhe se uska shirt khichti kahne lagi...... "Azi hum he se ye mohabbat aur hum se he ye narajgi, bhala kab tak khud ko mujh se dur rakh paoge"
Drish aage se muskuraya, lekin phir bhi jhoota gussa dikhate huye kahne laga..... "Jao tum jao sab ke pass, sab log tumhe dikhte hain siway mere, kal se main tumhe dekh raha hun"
Ashk phir se bhagi-bhagi Drish ke samne aayi.... Uske chehre par apni ungliyan phirati kahne lage.... "To love isliye naraj hai ki maine waqt nahi diya.... Lo kaan pakri, ab to mafi de do please"......
Drish, uske kano se hath hatate huye kahne laga..... "Cuteeee tum to thode der bhi naraj nahi hone deti"
Aahk..... Love to naraj hote he kyon ho, just love me and noting eals....
Drish.... Meri cuteeee, my loveee, mere sonaa... Ab dur kyon khari ho, pass bhi aao jarra....
Ashk, Drish ki aagosh me aati uske gale lag gayi aur uske kano ke niche chumti hui kahi.... "I love you, my love.... I love you"
"Drish... Ladooooo" .... "Chhotu.... Lado"....... Payal aur Chandrika devi ek sath chillayi.... Dono alag ho kara samne dekhne lage..... Mahol bilkul shant, jaise sab kuch ruk gaya ho...
Ashk, najron ke isharon me puchhne lagi.... "Ye yahan kaise pahunche"
Drish ne charo ore najar ghumaya... Appu ki kutil muskaan sari kahani kah gayi.... Drish ne isharon me Appu ki ore dekhne ke liye kaha.... Ashk, Appu ko dekhi aur dekh kar gurrayi....
Chandrika devi.... Besharmon, tum dono ko jarra bhi sharm nahi aati....
Payal.... Maa ji in dono ka kuch na kuch to karna he parega.....
Dono chilla rahi thi, student tamasa dekh rahe the... Drish isharon me Ashk se puchha "ab kya karen".... Ashk ne Drish ki kalai jor se thami... Aur aankhon se ishara ki.... "Bhag chalo"
Ashk ka ishara samjhte he Drish bhi Aahk ki kalaeyi ko jor se thama aur daur laga diya..... Samne se nikal gaye dono ke, aur dono he ek dusre ka muh takte rah gaye....
Daurte huye dono car me baithe aur nikal liye. Payal muskura kar Candrika devi se kahi..... "Maa ji ab ye dono humare kabu me nahi aane wale"
Chandrika devi.... Haan beta sahi kahi, abhi to kuch kaha bhi nahi tha to dono bhag gaye, kuch kah deti to sayad wapas he laut kar na aaye....
Payal.... Heee hee hee, maa ji chaliye inki nakel kasne ke kuch upay socha jaye...
Payal aur Chandrika devi college se wapas ghar aa gaye.... Idhar Ashk aur Drish car me baith kar nikal liye...
Ashk.... Love mujhe thodi sharm aa rahi hai....
Drish car jhatke se roka aur upar se niche tak Ashk ko ghurte huye..... Cuteee sharm aur tumhe, tumhari tabiyat to thik hai na love, mazak to nahi kar rahi...
Aahk, jaldi jaldi drish ko mukke marti..... "Huhh ! Jao main tum se baat nahi karti, mera mazak urra rahe ho"...
Drish, apne dil par hath rakhte huye kahne laga..... "Uffff ! Baat na kar ke kya jaan logi cuteee, ae badmas chalo bhi thoda muskurao".
Ashk.... Loveeeee, mazak chhoro mujhe sachi me sharm aa rahi hai, kaise main mamma ka samna karungi....
Drish.... Haan ye to hai.... Kya hoga do char baat he kahengi na tumhe, sun lena...
Ashk.... Main kyon sunu kisi ki baat... Sari galti tumhari hai... Na tum muh fulate na main tumhare pichhe aati aur na he ye sara kand hota....
Drish.... Aaaa haaa hhaaa haaaa.. Uske pichhe add karo ek line aur add karo jhalli... Na tum mujhe ignore karti, na mujhe wo baat chubhti aur na he ye kand hota....
Drish..... Sach kahun to mujhe aaj se pahle itna bura kabhi nahi laga..... Tum itne pass ho kar bhi mujhe ignore kar rahi thi, mere dil me dard sa utha tha....
Ashk apna muh bichka di, aur aankhon me jaise aanshu dab-daba gaye hon.... "Heyyy cuteee, baby aise mayus kis baat par, sorry baba, mujh se galti ho gayi ab main aise ruth kar nahi jaunga.... Chalo chalo, ab smile bhi karo"
Tip... Tip.... Dono aankhon se aanshu ki ek-ek bund bahar aa gaye. Drish, Ashk ko sine se laga kar, uske aanshuon ko pochha..... "Cuteeeee, baby.... Ro kyon rahi ho.... Shant bhi ho jaoo please... Ye anshu itne cute se chehre par ache nahi lagte"
Ashk, apne aanshu pochhti.... Dil me dard hua love, aur anshu apne aap aa gaye... Sorry, sorry ... Ab dobara kabhi aisa bahi hoga... Maine jaan bujh kar ignore nahi kiya... Bas galti se ho gaya... Sorry love sorry....
"Kitni massom hai meri cutee".... Pyar se Ashk ko niharte huye Drish uska chehra jaise dil me utar liya ho... Bas wo uske aankhon ke aanshu Drish ka dil vichlit kar raha tha.....
Drish.... Cuteeee ab bhi to mujhe ignore he kar rahi ho....
Aahk.... Kahan kiya abhi ignore love...
Drish.... Ignore he to hai, apna mayus sa chehra dikha rahi ho. Chhoti si baat par ro rahi ho aur to aur aaj to kuch bhi good nahi hua.... Cuteeeee....
Ashk, pyari si ek muskaan apne chehre par layi.... Ashk jo Drish ke sine se lagi thi, thodi dur hati.... Seat ko pura niche karti pichhe jane di.... Drish seat par lagbhag let chuka tha... Ashk, Drish ke dono paun ko faila kar uske bich khari ho gayi, dhire dhire uske upar jhuki.... Chere ko bilkul chehre ke karib layi... Sason ko sason se takra jane diya.... Apne dono hathon se Drish ka mukhra pakar kar uss ki aankhon me aankhen dal jhakne lagi.....
"Love, aaj kuch bhi good nahi hua kya"..... Drish dhime-dhime apni sasen ander khinchte huye haan me sir hila diya....
Aahk uske pure chehre par haule se funk marti, bari-bari se uske aankhon ko chum li.... "Ab kuch good hua love"
Drish haan me do baar sir hilate kahne "thoda-thoda good hua. Achha lag raha hai cuteee"
Ashk, Drish ke hont par apne hont dhime se rakhi... Haule se usse chum kar uske nichla hont apne hont ke bich daba kar, usse halka wet ki aur apne hoton ke bich phasa kar upar tak khinchti hui usse chhor di... Jaise jaise lips upar khinch rahe the, Drish apna gardan dhire-dhire upar utha raha tha.... Aur hont chhtne ke baad bhi apna gardan uthaye hoton ko aise kar raha tha jaise abhi dil bhara nahi.....
Ashk, dhime se uske chehre par funki... Drish besudh hokar sir fir se seat se tika liya.... "Ab hua kuch good love"
Drish apne lachre se awaz me kaha..... "Haan cutee, par dil bhara nahi.... Ek baar aur plzzz"
Ashk, apne naak ko uske chehre par firati niche tak aayi aur gardan par apne hont rakhti usse haule se chumi..... "Ab kaisa lag raha hai jaan"
"Ashk, ye jaan lewa tha, mere royen khare ho gaye.... Baby ek baar aur please"
Ashk, ab Drish ke shirt ke do button khol kar, uske sine seko apne nak se chhuti, uske sine ki khubu ko apne jehan me utarne lagi.... Dhime se apne honton se uske sine par matr chhuan di aur chumne lagi....
Drish par khumari ka nasha iss kadar chadha ki usne apne dono paun ko Aahk ki kamar me lapet liya.... Aur ulta ho kar Ashk ko seat par lita diya aur khud uske upar aa gaya.... Ashk aankhen mujnde bas tej-tej sasen le rahi thi.....
Drish thoda upar ho kar pyar se uska chehra niharne laga..... "Cuteee apne aankhen to kholo"
Lekin Ashk apni aankhen munde rahi.... Drish apna hath pyar se uske chehre par firate huye apne hont se uake hont chhye..... Aur apne hoton tale uske hont ko daba kar usse chusne laga.... Ashk ki aankhen ek alag he nashe me thi, jo bojhil ho kar ab khulna he nahi chah rahi thi....
Drish pyar se uske hont chumte ... Wo bhi uss ke hont apne hoton me phasa kar dhire-dhire upar khichte huye hont chhor diya. Ashk ki dharkane aur tej ho gayi.... Usne Drish ke gale me hath dal kar apne upar khinch li... Aur aankhen khol kar usse gaur se dekhne lagi.
Drish uski pakar se thoda upar utha aur uske chehre ke uapr se pura hath iss kadar firaya ki uske aankhen band hote chali gayi.... Aur jab Drish ne apne hont se kan ke niche uske gardan ko chuye to Ashk ki chhati dhak se rah gayi.... Ek alag he aanand uske ander jaise umar raha ho....
Drish uske chehre par hath firata dhire-dhire niche la kar uske pure badan par firaya..... Drish ke hath tab kanp gaye, jab usne apna hath uske shirt ke button par rakha aur pahla button khol diya.... Ashk ne apni aankhen aur jor se band kar li aur hoton ko hoton tale daba "gunnn.. Gunnn" karne lagi...
Kapte hathon se Drish ne dusra button bhi khola .... Aur shirt ko thoda failaya.....
Dono ki sasen ukhri thi.... Aur ander tab bechaini badh gayi... Jab Drish ne apne hont uske sine se laga diye.... Halki si ek aah uthi jo hoton tak aa kar dab gayi.... Ashk bechani se apna sir bayen mor li....
Drish apne hont Ashk ke sine se laga kar chumte huye dhire-dhire upar aane laga.... Ashk khud ko samarpit kiye bas tej-tej sasen le rahi thi, aur apni mutthi ko jor se bhinche thi.... Sab kuch bhul kar dono kho chuke the ek dusre me .... Ki tabhi achana... He dono ko kisi ne chauka diya......
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla
15-03-2018, 03:16 PM (This post was last modified: 16-03-2018, 09:27 PM by honey boy.)
Update 134
Drish apne hont Ashk ke sine se laga kar chumte huye dhire-dhire upar aane laga.... Ashk khud ko samarpit kiye bas tej-tej sasen le rahi thi, aur apni mutthi ko jor se bhinche thi.... Sab kuch bhul kar dono kho chuke the ek dusre me .... Ki tabhi achana... He dono ko kisi ne chauka diya......
Sise par jor-jor se knock hone laga. Drish aur Ashk chaunk kar bahar dekhe, log sise ko pit rahe the. Dono ko samjh me nahi aaya kyon log aisa kar rahe hain aur kya hua. Drish ne Ashk ko uth kar piche jane ke liye kaha, aur khud bahar nikal kar dekhne laga.
Drish romance me iss kadar khoya tha ki usse yaad he nahi raha usne bich sadak par achanak se break lagaya tha. Jab bahar nikla to pura traffic jam laga tha. Aage aur pichhe dono ore gariyan he gariyan. Bare sahron ke logon ki bhi bari baten, sab car me baithe jam hone ka tamasa dekhte rahe, car ke horn bajate rahe, lekin bahar nikal kar koi aaya nahi kahne "car side karo"
Itna lamba jam dekh kar Drish sochne laga.... "Ye kya ho gaya". Logon ki bhir jama hone lagi. Sab ke sab kosne lage Drish ko. Tarah tarah ki baten kahne lage log..... "Awara, bich sadak he mila tha romance ke liye... Waigrah, wagairah"
Bari masakkat karti hui police bhi wahan aa pahunchi. Drish ka collor pakar liya .... "Chal tujhe batata hun highway par jam lagane ka kya anjaam hota hai"
Police bhi kaphi gusse me thi, kyonki usse bhi apni gari dur khari kar ke paidal wahan tak pahunchna para tha. Police Drish ka collor pakar kar usse khinch kar le jane lagi.....
"Ruk jao, iss jam ki wajah main hun"..... Ashk gari ke chhat par chadh gayi aur jor se chilla kar bolne lagi...
Sab logon ka dhyan upar gaya. Ek behad khubsurat ladki gari ki chhat par khari hai. Bal thode bikhre, aur ankhon se aisa laga jaise nashe me ho. Sarir halka jhoomta hua.
"Chhor do mere love ko, sara kasoor mera hai, ye jam meri wajah se laga hai"
Police..... Kya kiya iss ladkey ne, koi jor jabardasti to nahi kar raha tha na... Abhi isse batata hun... Sale ladki ke sath jor jabardasti karta hai... Chal thane ab to tere upar aise-aise case thokunga ki tu bahar bhi nahi aa payega....
Ashk..... Arre inspector sab, ladka aur ladki ko dekhe nahi ki laga diya sara ilzam ladkey par. Main kah to rahi hun mere love ne kuch nahi kiya sara kasoor mera hai...
Bhir ki ek awaz..... "Wo kaise... Jarra detaile me batao"..
Bhir se koi nawjawan ladka kutil muskaan me puch raha tha... Ashk chillati hui kahi.... "Mere dost tumhe bari ikchha ho rahi hai detaile me sun'ne ki. Chup ho kar pichhe khare raho". Itta sa muh ho gaya uss ladkey ka aur wo shant ho gaya.
"Pagal hai bilkul mazi cuteee, ha ha ha" ... Drish, Ashk ko dekh kar mand-mand muskuraye ja raha tha aur dusre logon ki tarah bas usse he dekhe ja raha tha.
Bhir se ek aur awaz..... "Beta tum bataogi nahi to hume pata kaise chalega, hua kya tha"
Ashk.... Pairi pauna babuji.... (Puri bhir uss budhe ko dekhne lagi).... Aap ko sharm nahi aayegi, beti ke muh se sun'ne me aap ke beti aur jamai ki bich ki baten....
Puri bhir hasne lagi.... Inspector ne do halwadar bhej kar usse niche utarne ke liyea kaha..... Tabhi Drish chillane laga...... "Aap ko inspector kisne banaya, lady consteble bhejo na, yadi isne ulta case aap par kar diya to aap ki naukri to gayi"
Inspector.... Mere baap naukri waise bhi chali jayegi, utar usse aur bhir ko hatao, kah to tere paun bhi par jaun.
Drish.... Arre aap ye kya kar rahe ho, ruko-ruko.... "Cuteeeee, mazi bholi, my sweet heart, please ab niche aa jao, dekho bahut bhir pahle se lag gayi hai"
Ashk, baith gayi car ke chhat par, aur pure baal ko apne chehre par le aayi...... Unnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn (rone ki thoda low pitch voice) wwaaaaaaayyyyyyyaaannnnnnnn (full volume rone ki awaz)...
"Alhad kahin ki, band kar de meri maa nautanki aur niche aa ja"..... Drish, Ashk ke liye soch he raha tha tabhi bhir se phir ek ladki ki awaz aayi..... "Jaroor iss ladkey ne koi jor jabardasti kiya hai, aur isse dhamkaya bhi hai, tabhi ye kuch bol nahi rahi"
Ashk jaise he ye baat suni, jhatak kar apne baal upar ki..... Ghur kar uss ladki ko dekhi..... "Tu bari aayi jasoos ki nani, lalita pawar kahin ki. Hum dono ke sukhi grihasth jiwan me aag laga rahi hai. Dore dalne ke liye tumhe mera he lovee mila tha jo hum dono me phut dalwa rahi hai... Mere love par jhoota ilzam lagaya to jaan se mar dungi.
Uss ladki ka to khun khaul gaya aur wo dauri Ashk ko marne ke liye... Lekin bich me he uske parent ne rok liya.... Ab to bhir puri aakroshit ho gayi.... "Arre in logon se baat he karna bekar hai, ek to jam laga diya upar se ye jahil ladki bakwas kiye ja rahi hai"....
Drish ne bolne wale ka fauran baal pakar liya aur usse hilate huye puchne laga..... "Jahil kaise usse bol diya.... Kaise bola jahillll"...... Drish ke chehre gussa se laal par gaya tha... Drish ki chikh ne pure bhir ko shant kar diya... Chinghar itni sasakt thi ki police bhi sann rah gayi....
Ashk turant utri chhat se, usse lag gaya ki baat abhi badhne wali hai... Idhar Drish uska baal pakar kar hilate huye ghur raha tha..... "Jahil kaise bola usse.... Agli baar yadi bolna ho to hum dono ko ek sath hajil bolna, warna gusse me main tumhare baal noch ke ganja kar dunga"
Ashk bhi hans di.... Muskurati hui isharon ki bhasha se kahne lagi..... "Muaahhhh, I love u mere sona, thoda average tha performence par chalega"
Inspector....... Mere baap, meri mata ji, dono ka over ho gaya ho to iss jaam ko bhi hata do, dekho log paresan ho rahe hain....
Ashk..... Inspector sahab, aap hume yun he chhor denge.... Le chalo hume sasural (Ashk chahkti hui kahne lagi)
Inspector..... Tum dono kahan se aaye ho.... Chalo, le kar chalta hun... Aap log bhi ja kar apni-apni gari me baithiye aur bhir hataeye yahan se.... Aap dono to mere param pujniya hai... Mil kar dhnay ho gaye, aap se aagrh hai thodi dur tak paidal chaliye phir hum aap ko police van me baje gaje ke sath le jayenge....
Drish aur Ashk dono uss inspector ki haalat dekh kar hasne lage aur chal diye unke sath. Bhir se bahar ki ore nikal he rahe the ki Aakash ka phone aa gaya..... "Haan jijaji kahiye"
Aakash..... Dono to aaj tv par chhaye huye ho. Kya baat hai Drish ek he raat me pure news channels ko dewana bana diya... Breaking news me commisnor vs Rasul gangue aur tum dono he bas schhaye huye ho.
Drish.... Thanks jija ji. Waise aap aur Amme kisi mission par the na, kya hua....
Aakash.... Lage raho tum dono chinta ko chhor kar, tumhare doston ko bhi nikal diya hai yahan se abhi, aur chinta na karo kaam ho gaya hai.... Aaram se tum phursat ho kar yahan aao aur apna kaam kar lena aage ka. Hum dono ne apana kaam kar diya hai....
Drish khush ho gaya. Usne Ashk ka hath jor se thama aur chal diya police van ki ore..... Thane pahunch kar police ne dono ke ghar yani Payal aur Chandrika devi ko uske bachon ke bare me iktalla de diya aur dono ko alag-alag lock up me dal kar band kar diya.
Payal aur Chandrika devi ne bhi dono ko maza chakhane ke liye ye tay kiya ki rahne do ek din inhe jail me phir inke aashiqi ka bhoot utar jayega. Idhar inspector ne socha bache hain padhne likhne wale aur usne iss pure kand ko medical energency batate huye dono par koi fir nahi kiya, lekin paresan to inspector bhi hua tha isliye dono ko usne bhi maza chakhane ka socha.
Raat ke 8 baje... Aakash ke ghar....
Payal hall me baith kar Chandrika devi se Ashk aur Drish ke he bare me discuss kar rahi thi. Amme aur Aakash dono chup-chap wahan baith kar dono ki baten sun rahe the aur Appu bich-bich me Ashk aur Drish ka support kar raha tha aur Chandrika devi ki galiyan bhi sun raha tha.....
Iss discusion bhare mahol me hall ke gate par knock hui..... Inspector aur dono love birds darwaje par khare the. Sab ki najar darwaje par gayi..... Aur bahar ke haalat ko dekh kar sab ka muh khula rah gaya....
Aschrya se sab ki aakhen phati ki phati raha gayi.... Aur sab apne aap he apni jagah se uth kar khare ho gaye.... Chandrika devi jor se chikh pari...... "Ye sab kaise hua"
1 user likes this post1 user likes this post • dpmangla