27-01-2018, 12:44 PM
Update 33
Dono shant bas mann me yahi soch rahe the "hey bhagwan hume kuchh ho jaye to ho jaye, lekin Payal ko kuchh na ho"... Idhar jab Payal suni ki ... Chhotu, Aakash ko maar raha hai.. To uske aanshu phut-phut kar nikal rahe the ... Aur anter mann se yahi khyal aa raha tha.... "Hey bhagwan sb meri galti hai ... Wo to mujhe chhor rahe the, par maine he unhe roka ... Meri galti ki saza sirf mujhe he dena Aakash ko nahi" .....
Dono gari me baat karte badhne lage Raghuvendr ke ghar ki ore....
Aakash.... Sun oye sale, meri thodi help karega..
Chhotu.... Kaya, gari se bahar fek dun...
Aakash.... Mujhe tu nahi fek sakta, kyonki jisme tumhari jaan basti hai, usme meri bhi jaan basti hai... Aur Payal ki jaan hum dono me me basti hai, sayad tum me jayada aur mujh me kam...
Chhotu.... Kya ?????
Aakash.... Haan re sach kah raha hun, hum teen din se mil rahe hain, aur teeno din jab wo mere sath thi, tab usse kisi ki bhi yaad nahi aayi siway tumhare...
Chhotu, Aakash ki baat sunkar rah gaya, koi jabaw nahi diya... Aakash phir aage bolta gaya...
"Janta hai chhotu, Payal hai na wo sab se alag hai, mujhe manph kar dena, meri wajah se wo tum se jhoot boli, chaho to apna gussa aur nikal lo, par Payal par gussa mat hona... Tum naraj huye to sayad uska ye liya gaya faisla usse galat lagne lagega... Wo toot jayegi"
Chhotu.... Hmmmm !
Aakash..... Janta hai chhotu, jaroor meri koi kismat rahi hogi, jo mujh anath ko Payal mili.... Maine apne mata-pita ko kabhi nahi dekha, par jab se maine Payal ko dekha hai, usme mujhe pura pariwar najar aata hai... Aur sath me ek pyara sa sala bhi, jo apni bahan ke liye kuchh bhi kar sakta hai.....
Chhotu.... Bakwas band karo, aur kya help chahiye thi wo batao....
Aakash..... Meri drama company ke aane me takriban 15 se 20 min aur lagenge.. Tab tak mahol sambhal lena, baki unke aane ke baad to hungama hoga.....
Chhotu.... Hmmm ! Thik hai ... Ab pakao mat aur chup-chap chalo..
Aakash.... Sala kitna khadus hai, main itne feeling ke sath bola aur sala isne sab kachra kar diya... Koi jigyasa he nahi... "Ki kya baat ki Payal ne mujh se iske bare me" .. Thoda puchh lun....
Chhotu ghurti najron se ek baar Aakash ko dekha aur phir aage gari chalane laga... Kuchh he der me dono Raghuvendr ke ghar par the.... Bahar ka mahol he kaphi vhyawan tha.. Aisa lag raha tha, jaise pure jung ki taiyari chal rahi ho...
Bahar gate par 8 se 10 donali dhari, kale mote sandh... Aadmi ki shakal me khadey the... Jab Aakash unke pass se gujra to un sab ne aisi ghurti najron se dekha, mano abhi mirch masala laga kar kha jaye Aakash ko...
Dono ander pahunche.... Ander ka mahol aur bhi khauffnak.... Dare sahme do log... Raghuvendr aur Veena.... Jo hall ke bayen ore ek kone me khade the, dahine ore subkti Payal, bas muh ko dupatte se dhake apni aanshu chhipa rahi thi...
Dono ore, dayen aur bayen ke hisse se hall ke .. Takribn 12 hathiyarband log hall ke shurwaat se lekar anth tak faile the.... Aur Mahendr Singh bilkul hall ke bicho-bich gusse me tahal rahe the.....
Chhotu aur Aakash ko dekhte he, Mahendr singh garja...... "Le aao haramjade ko yahan ghasit kar mere pass"
Bilkul shant mahol me jab thakur Mahendr Singh ki awaz garji, to sabki najar gate par khadey chhotu aur Aakash par pari... Chhotu, Aakash ko gardan se pakrta hua Mahendr Singh ke pass le aaya, aur Payal ki side khada ho gaya....
Payal jaise he chhotu ko dekhi, daur kar uske pass aayi, uss se lipat kar roti hui chillane lagi.... "Bhaieeeeeeeeeeeeeee"....
Kaphi dard bhari chikh thi, chhoti ka kaleja kanp gaya, wahan khadey har insaan jiske pass dil tha, sabne uss dard ko mehsus kiya, par ek beti ke pita ko dikha to sirf apna ahnkaar....
"Chup karao iss ladki ko, naak katwa di mera. Iss se achha hota ki main isse janm ke waqt he gala ghont kar maar deta..... Kam se kam ye jillat to nahi jhelni par aaj mujhe.... Chupp karaooo iss ladki kooo"
Sabd jaise kisi tir ki tarah hote hain, jitna dard kisi ke maar ka nahi hota, uss se kahin jyada dard, kisi ki baton ka hota hai. Aaj Payak ko apne ladki hone par afsos ho raha tha. Apne pita ki baat sunkar uaki aatma tak kalap gayi.
Chhotu ne Payal ka kandha thama.... Aur usse apne sath upar lekar jane laga... Rote-rote hosh khoyi Payal ka paun jamin se gasit raha tha... Wo itne hosh me bhi nahi thi ki thik se chal paye...
Mahendr Singh.... Isse yahin rahne de ae ladke, aur apne gande hath hatao do kaudi ke naukar...
Payal ke kaan me jab ye baat gunji, usne apna sir gusse se fufkarti upar kar li... Par chhotu ne apne bajuon se uska sir niche karte... Mahendr Singh ko kahne laga....
"Thakur saab, main Di ko upar le jara hun... Inki haalat thik nahi hai... Abhi aap tay karo pahle Aakash se nipatna hai.. Ya mujh se .. Main har parinam ke liye taiyar hun... Par meri di yahan nahi rukegi, matlab nahi rukegi......
Chhotu ki gusse se laal aankhen jab Mahendr Singh ko ghur rahi thi, tab Mahendr Singh bhi kuchh pal ke liye khauff kha gaya... Wo apna dhyan chhotu se hata kar... Aakash par kendrit kiya... Payal aur Chhotu dono upar aa gaye...
Payal bas chhotu se lipat kar roti he rahi.. Rote-rote bare dard me chhotu se puchhne lagi... "Chhotu, tune bhi mujhe he galat samjha na, koi sath nahi dega ye to pata tha, par tu bhi....
Chhotu.... Bilkul nahi Di, bikul bhi nahi... Naa, aap sochna bhi nahi aisa...
Payal subkti hui, chhotu se kahne lagi..... "Chhotu, mera bhiayya.. Mera baccha apni didi ka ek kaam karega, bol na karega na"
Chhotu... Aap jo kahogi wo main karunga, par aap rona band kijiye, mujh se aap ka rona aur bardast nahi hoga...