Update--20
_______________
Anushka-- Ishan tu janta hai ki galti tum sab ki nahi sirf aur sirf meri hai… mujhse crime hua hai yaar …itni mushkil se sab bhooli thi mai…Ye kaise ho gaya… ye log yahan tak kaise aa gaye… kahi usko kuchh ho to nahi gaya… kahi wo marr to nahi gaya…Ishan mujhe bahut dar lag raha hai…
Anushka apna chehra apni hatheliyon me chhipa kar rone lagi… baaki sare doston ke chehre par chinta ki jhalak saaf dikh rahi thi…
_____________
Anushka ko bachon ki tarah rote dekh sabhi doston ka mood buri tarah off ho gaya… Kirru jaakar back seat par baith gayi aur Anu ko samjhane ki koshish karne lagi…par Anu bahut dar gayi thi…
Ishan se jab nahi raha gaya to wo bhi driving seat se uth kar peechhe Anu ke bagal me aakar baith gaya…jaisa ki maine pahle bhi bataya tha ki Ishan aur Anu bachpan ke dost hone ki wajah se ek doosre ke behadd close the…
Ishan ne bade apnatwa ke sath Anu ke sir par hasth fera to Anu ne haule se sir utha kar Ishan ki taraf dekha…Ishan ka chehra dekh Anu ke sabra ka baandh toot gaya aur wo usse lipat kar rone lagi…aisa itne Saalon ki dosti me doosri baar hua tha ki Anu iss tarike se Ishan ke gale lagi ho… Ishan ki bhi Aankhein bhar aayi aur wo Anu se bola…
Ishan-- tu kyu ghabra rahi hai Anu… mujhe kasam hai teri dosti ki tujh par koi aanch nahi aa payegi… aur tum sab ko hamari dosti ka wasta koi bhool kar bhi Anu aur iss ghatna ka naam sath me apni jabaan par nahi layega…yaad rakho jo bhi hua wo maine kiya tha bas…
Ishan ne jab apna faisla sunaya to Anu awaak use dekhti rah gayi… par chup naa rah saki…
Anushka-- Ishan maine uss wakt bhi bola tha aur aaj bhi bol rahi hoon … galti ho gayi mujhse… mujhe bhaiya ko sab bata dena chahiye tha… police ko bhi… tumko nahi pata abb kitni badi musibat me fansne wali hoon mai… mera bhavishya chaupat hona tay hai sath hi mere pariwar ki izzat bhi mittu me mil jayegi…
Anu ke chehre par khauf tha…
Ishan-- Dimaag kharaab ho gaya hai kya tera… are kisi ne nahi dekha tha tera chehra… Helmet pahan rakha tha tune…aur wo gaadi bhi teri nahi thi… meri thi… jo hua matra ek hadsa tha… aur hajjar baar bol raha hoon ki mujhse hua tha tujhse nahi… mai hoon gunehgaar… tu kahe to jaakar police station aaj hi aatm samrpan kar doon… bol jaun…
Ishan ke chehre par gajjab ka aatm vishwaash tha…
Anushka-- par sach ye nahi hai… sach to ye hai ki…
Anu ko apni baat poira karne ka mauka bhi dene ke mood me nahi tha Ishan…
Ishan-- baar baar kyu ek hi baat ki rat laga rakhi hai tune… bola naa maine mujhse hua hai to hua hai…
Anu aur Ishan ko ek doosre me uljha dekh Aadi bhi kood pada waak yuddh me…
Aditya-- Anu kisi ne tera chehra nahi dekha hai… mai aur Ishan hain naa tu fikra kyu karti hai… dekh lenge yara jo hoga…ham sab sath hain aur sahi hain… koi kuchh naa bigaad sakta hai hamara…
Anushka -- Aadi tu bhi iske jaisi bahki bahki baat karne laga hai… iska to samjh aata hai par tu to samjh daar hai naa aise kaise koi aur mere gunaah ko apne sir le lega…jaane kya hua hoga uska… jinda bhi hoga ya nahi… samjh rahe ho naa tum dono
Anu wapas se foot foot kar rone lagi… abb Vikky se nahi chup raha gaya aur wo sabko daantne laga…
Vikky -- khabar daar se kisi ne agar apni janaan se ek shabd bhi nikala to…sala kitni der se tum teeno ki tarr tarr sun raha hoon… chup karo abb… uss bike wale ne kaha kya tumse ki wo wahi hai aur tumko pahchan raha hai… hadd kar rakhi hai yaar…bina matlab ke teeno thaak rahe hain…
Vikky ki baat sun kar wo teeno to kuchh naa bole par Kirru ke dimaag me khurafaat mach gayi…